Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 56

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.4k

Users

54

Likes

415

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago


kashu waiting.. jaldi comment post kar na...😊

jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
awesome part suri loved it cont soon
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: jyothi_cool

awesome part suri loved it cont soon



thanku so much jyothi. i'll try & continue soon...😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Next Part coming up in five minutes..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Hey Guys..Kaise ho aap sab… I hope all of you are doing fine… I'am back with the next update of my fanfic "Hogi Pyaar Kii Jeet".. Sorry thoda sa late hogayi woh actually just two days back my Semester 3 internals finished..November 20th se we have the Semester 3 Finals… But I thought kiii I should update my fanfic before the exams.. so here I'am typing the fanfic for all my dear sweet readers…. Guys thank you so much for your encouragement & comments.. they really help me write better & also improve as a writer… I'am glad that all of you like my fanfic & wait for it, chahe how much ever time I take…. Guys one thing is for sure may be sometimes the updates of the fanfic might get delayed, but I'll never leave the fanfic in half.. as I like to write.. Writing is my hobby & I enjoy doing it… so be rest assured that I'll surely complete the fanfic sooner or later & then write my next fanfic.. waise sach kahoon tho even the plot for my next fanfic is ready…. Thank You to all of you once again… & I thank the silent readers too as they take time & read my fanfic.. Guys I have a request please do press the like button if you like the part which is posted… The fanfic has reached it's 15th part.. which I think is the exact half of the last part which most likely will be part number 30… I'am very happy that you guys like my writing…. Now let me stop my talking & let us carry on with the next part of "Hogi Pyaar Kii Jeet"… lekin yeh dekhne se pehle kii "Hogi Pyaar Kii Jeet - Part 15" mein kya hotha hai, usse pehle ek nazar daalthe hai recap par….

Recap:- well in the last part we saw that yash is getting alright… yahaan dusari taraf chah yash kii taraf ek ajeeb sa kheechaav mehsoos karr rahii hothi hai… jab yash ko hosh aatha hai tho woh sabse pehle angad se us ladki ke bare mein poochtha hai who was in the tent while he was getting consciousness… then yeh hotha hai kii chah orders some healthy food for yash.. aur yash hai kii zidd karr raha hotha hai kii he would not eat it… aur yash ken a khan eke wajah se even chah ko bhii mann nahii kartha to have her dinner… then yash aur chah ke beech pehli baar thodi proper baat hothi hai.. jahaan hume yeh patah chaltha hai kii yash ko injection se darr lagtha hai.. chah yash ko apni baaton mein uljhakar yash ko injection laga dethi hai.. aur yash ko ehsaas bhii nahii hotha….. yash aur chah ke beech we get to see some unknown chemistry, jis baat se khud yash aur chah anjaan hai.. woh dono hii ek dusare kii taraf, ek tarah ka lagaav mehsoos karr rahe hai, lekin dono mein se na koi is baat ko accept karna chahtha hai… aur na hii koi is baat ko samaj na chahtha hai.. & last part mein we also saw kii kripa aur angad ek dusare se kafaa hai.. & both kripa & angad ek bhi mouka nahii chod rahe hai ek dusare kii burayi karne ke liye.. kripa chah ke saamne angad kii burayi karr rahii hai.. tho angad kripa kii burayi karr raha hai yash ke saamne… so in short ek taraf angad, kripa ek dusare ke bare mein bhool nahii paa rahe hai.. tho dusari taraf yash aur chah ekdusare ke khayalon se kudh ko bahar nahii nikaal paa rahe hai… au raise hii the day ends…. Chaliye ab agge badhthe hai.. aur dekhthe hai kii "Hogi Pyaar Kii Jeet – Part 15" mein kya hone waala hai…

*****Hogi Pyaar Kii Jeet – Part 15*****

Yash is in his tent thinking about chah.. tho dusari taraf we can see kii chah kii haalat bhii yash se kuch alag nahii thi.. woh bhi yash ke khayalon mein hii khoyi hui thi…. They are thinking about the moments which happened a few minutes ago in yash's tent, jab chah ko injection dene jaathi hai… both are feeling happy… unke mann ka restlessness ab jaake durr hua hai… yash thinks about the time jab chah kii wajah se usse injection ka zara bhi darr nahii laga… aur yahaan chah is thinking kii usne yash ko joh kaha woh kyun kaha.. why did she tell him to look at her jab woh injection laga rahii thi… yash aur chah, dono ke dil mein bohat saare sawaal uth rahe the.. and both of them are unable to find answers to that questions… they think about the time jab woh dono ek dusare ke aankhon mein kho rahe the…. Chah ka yash ke tent se hadbadi mein nikal na… yash ka chah ko attitude dikhana…. Yahii sab baatein dono ke dil- dimaak p;ar chaya hua hotha hai….
Yash khud se kehtha hai:- yash tujhe kya hogaya hai…. Jis ladki se tujhe mile choubees ghante bhi nahii hue tu uske bare mein kyun itna soch raha hai… aisa kya hai us ladki mein… [then yash closes his eyes uske saamne chah ka chehra aatha hai, he immediately opens his eyes, smiles & says] kuch tho tho hai us ladki mein.. chal yash ab us ladki ke bare mein sochna bund kar… aur so jaa…
Yahaan in chah's tent woh kudh se kehthi hai:- yeh mujhe kya ho raha hai.. main kyun uske bare mein itna soch rahii hoon.. usse milkar tho bas abhi kuch ghante hii tho hue hai… tho yeh mere dil mein kyun ek halchal so ho rahii hai… kyun mujhe aisa lagtha hai kii main yash kii taraf kheechav mehsoos karr rahii hoon.. mujhe yeh ajeeb sa ehsaas kyun ho raha hai.. aakhir kyun…. Agar main aise hii uske bare mein sochthi rahoongi tho main pukka pagal ho jaaungi… bas mujhe kal se us yash se durr rehna hoga… aur waise bhii parsun tho woh yahaan se chala jayega… uske baad tho shayad main bhool bhi jaaungi kii main kissi yash naam ke ladke se mili thi.. tho bas mujhe yeh do din usse avoid karna padega bas…. Warna sach mein I'll loose it….
Ab yash aur chah ek dusare ke bare mein sochthe rehthe hai… & dheere-dheere ek dusare ke bare mein sochthe hue both go off to sleep.. sleep envelops them… they both sleep with a smile on their faces… aur unhe dekhkar koi bhi yeh keh saktha hai kii all their mann ka restlessness is gone.. aur woh dono apni hii dhun mein, in their own sweet dreams khoye hue hai….

Dekhthe hii dekhthe agle din kii subaah ho jaathi hai…. Ek sukoon kii neend ke baad yash aur chah dono hii jag jaathe hai.. aur apne apne tent mein hothe hai.. dono ke chehre par ek ajeeb si khushi hai, muskaan hai… chah & kripa in their tent are getting ready to go to the hotel & get freshen up & come back again to the tent by the afternoon after lunch.. lekin before going they need to go to the tents & check their patients & see whether they are doing fine…. Kripa aur chah tent se nikalthe hai to go & check on the patients… tab chah ko lagtha hai kii usse yash ke pass nahi jaana chahiye.. as usse lagtha hai kii abhi uski joh restlessness hai yash ko lekar woh kum hui hai.. she feels that may be agar woh phir se ek baar yash se milegi tho phir again she will have that ajeeb sa unknown feeling, coming back to her again… aur issi feeling ko avoid karne ke liye chah, kripa se kehthi hai…
Chah:- kripa kyat u meri madat karr sakthi hai…
Kripa:- bol na chah.. kya madat chahiye tujhe…
Chah:- kripa kya tu mere liye woh kal ke accident patient ka check up karr sakthi hai…
Kripa:- kal ka accident patient… matlab mujhe us ladaku se phir milna hoga.. ab main jaaungi tho woh mujhe phir se irritate karega…. Lekin phir bhi chah tere liye main wahaan jaaungi aur us patient ka check up kar doongi… aur us ladaku ko poori tarah se ignore karoongi.. isse usse koi mauka nahii milega mujhse ladne ke liye….
Chah smiles & says:- idea achcha hai… thank you kripa… main sach mein wahaan us patient ke pass nahii jaana chahthi hoon….
Kripa:- any time chah.. tumhe mujhe thank you kehne kii koi zaroorat hii nahii hai… kal ko agar mujhe tumhari zaroorat pade tho kya tum mera saath nahii dogi.. dogi na.. tho dosti mein sab chaltha hai… waise chah tum wahaan kyun nahii jaana chahthi ho… [kripa then teasingly adds] us patient ko dekhkar kuch kuch hotha hai kya..
Chah:- krips yeh kaisi baatein karr rahii hai tu… tut ho jaanthi hai na kii mujhe aisi baatein pasand nahii.. tho please aisi baatein matt kiya kar… [chah yeh baat accept nahii karna chahthi thi kii wakayi mein yash ko dekh kar uske dil mein ek taraf kii hulchal mach rahii hai…]
Kripa:- haan baba… main jaanthi hoon…. Theek hai agge se aisi baatein nahii karoongi…. Ab khush…
Chah smiles & says:- haan… bohat khush….. chalo phir krips ab kaam pe lag jaathe hai.. aadhe ghante baad apne tent pe milthe hai.. aur wahiin se hotel ke liye nikalthe hai…..
Kripa:- theek ai.. tho kuch dher mein milthe hai.. just hope kii woh patient ka dost mujhe irritate na kare.. kyunke agar aaj woh mujhe irritate karega tho main usse chodne waali nahii hoon…
Chah:- achcha theek hai.. ab jaa tu….
Both chah & kripa start walking in different directions.. tab suddenly kripa calls chah…. Chah turns around sees kripa & says:- ab kya hua….
Kripa:- ek baat tho main poochna hii bhool gayi… yeh tho bata kii tere us kuch kuch hone waale patient ka naam kya hai…
Chah:- mujhe kuch nahii hotha kripa.. woh sirf ek patient hai mere liye aur ek patient hii rahega… aur us patient ka naam yash hai…. Ab tu jaa.. main bhi jaathi hoon.. jaldi se kaam khatam kar lethe hai..
Kripa:- ok…
Kripa aur chah apne apne kaam par lag jaathe hai…. After about 20 minutes kripa goes to check the last patient & that is yash… in yash's tent… yash is just sitting reading some magazine.. jab kii angad bas dus minute pehle utta hua tha… yash hears foot steps near coming near his tent… tho yash ko aise lagtha hai kii shayad chah aa rahii hai.. yash kii umeed bad jaathi hai.. he closes the magazine… and starts looking at the tents opening.. yash ka dil is beating faster… is smile is getting broader by the second… yash just can't wait to see chah… woh aisa kyun karr raha hai woh nahii jaantha tha… lekin haan yash itna zaroor jaantha tha kii uska dil usse aise karne par majboor karr raha tha…
angad yash ko aise dekhtha hai.. aur yash se poochtha hai:- yash aise kyun muskura raha hai.. aur yeh tu tent ke opening kii taraf ause kyun dekh raha hai.. aise jaise tujhe palkein bichakar kissi ke aane ka intezaar ho..
yash looks at angad & says:- nahii yaar angad.. woh mujhe laga kii shayad koi aa raha hai issi liye main dekh raha tha….. tu bol neend poori hogayi teri…..
angad:- haan hogayi…. Ab main kuch time baad hotel jaake tumhara aur mera samaan rakh kar aaunga…. Aur hum dono ke liye room bhi book karwa loonga…
yash says:- theek hai…
lekin phir bhi yash kii nazrein wapas goes to the tents opening… all his wishes crash down when he sees somebody else walking inside the tent & not chah…. Yash yeh dekhthe hii irritated ho jaatha hai…
angad sees that kripa has come in… & he says:- hey Bhagwaan yeh subaah- subaah kiska chehra dikha diya…
kripa angad ko dekhthi hai.. & she knows kii angad has made that comment hinting at her.. but kripa decides to ignore him.. she goes, stands by yash.. & starts checking his wounds & his BP…
kripa talks to yash & says:- so Mr. Yash how are you feeling today…
isse pehle kii yash kuch bol sake angad kehtha hai:- aapko dekhne se pehle tho yeh theek tha Miss. Kripa Sharma.. but now I'am sure mera dost bilkul theek nahii hai… kyunke aap joh aagayi hai yahaan mere dost ko darane ke liye…. [angad says this with a cheeky expression on his face..]
yash kudh se kehtha hai:- angad ne yeh baat tho sahii kaha… kii ab main bilkul theek nahii main chahtha tha kii chah aaye yahaan mujhse milne.. lekin yahaan tho koi aur aaya hai.. yash sighs.. he comes out of his thoughts as he hears krips talking to angad..
kripa:- dekhiye Mr. Angad main aap se baat nahii karr rahii hoon.. tho behtar hoga kii aap chup rahe aur mujhe patient se baat karne dijiye…. Is that understood…..
angad makes a face & says:- Ohhh yes…. I have understood it completely….. that you don't want any disturbance in your work…
kripa:- good… so Mr. Yash How are you feeling today….
Yash in a very uninterested way says:- theek hoon… bas thoda pain ho raha hai…..
Kripa:- aap aaj ek din yahaan rest kar lijiye.. kal thak I'am sure you will be fine…..
Yash then asks in a sarcastic way:- waise kya aapke yahaan students kii yeh custom hai kii woh apna kaam kissi aur ko de dethe hai…
Kripa:- kya matlab hai aapka main kuch samjhi nahi….
Yash:- nahii woh darasal main yeh keh raha tha kii kal jis student trainee ne mera treatment kiya, woh kahaan hai… dekha jaye tho unhe hii aana chahiye than a mere check up ke liye.. kyunke unko meri condition ke bare mein patah hai… mujhe nahii patah tha kii aap log itne irresponsible hai kii joh chahe aatha hai aur treatment karke chala jaatha hai.. unko tho yeh bhi patah nahii hotha hai kii patient kii actual halat kaisi hai… I must say kii future mein jab aap doctor bann jayengi aur tab agar aap log aisa karenge tho the doctors profession will go to dooms…
Kripa:- excuse me… yahaan par koi irresponsible nahii hai.. chah kissi aur case ko attend karr rahii hai issi wajah se main yahaan ayi thi… aur haan ek baat aur agar aapko hum se treatment lena hai tho lijiye warna aap jaa sakthe hai yahaan se… lekin humare khilaaf, hum logon ko bina jaane aapki ray zahir karna sahii baat nahii hai….
Yash looks at kripa & realizes kii shayad usne kuch zyada hii bol diya tha kripa se, in the irritation kii chah nahii aayi uska check up karne… yash phir kehtha hai:- dekhiye sorry.. mera woh kehne ka matlab nahii tha.. main bas aapko us student trainee ke bare mein poochna chahtha tha.. aur jaan na chahtha tha kii woh kyun nahii aayi…
Kripa:- woh busy hai.. issi liye woh yahaan nahii aayi.. waise bhi aapka matlab is baat se hona chahiye kii aapki check up ho, chahe woh main karun, chah kare ya koi aur kare… criteria yeh hai kii aapka check up karna tha joh ab hogaya… theek hai nurse aakar aapko dawayi de degi… agar koi takleef ho tho nurse se keh dijiyega…
Kripa leaves the tent in a huff.. aur yahaan yash is very irritated… yash ko yeh baat clearly patah chal jaathi hai kii chah has not come because she wanted to avoid him… yash yeh jaantha tha kii jis tarah ke ajeeb feelings he was feeling when he sees or talks to chah, chah par bhi aisa hii asar ho raha tha….. tho yash yeh baat samaj jaatha hai kii chah has not come there, just to avoid him….. is thought se yash ko aur bhi zyada ghussa aa raha hotha hai…. Aur ab is irritation kii wajah se yash wants to leave the place soon… woh wahaan nahii rehna chahtha tha…. Aur dusari taraf kripa after going out of the tent goes & waits for chah joh kii kissi aur patient ke saath busy thi..

yahaan back in angad aur yash ke tent, yash angad ko pareshaan karr raha hotha hai kii ab he wants to get out of this place… aur angad hai kii yash kii ek bhi nahii sunn raha hotha hai..
Angad:- offfoo yash.. main jaantha hoon kii tujhe hospitals pasand nahii hai, unki feel jaise tu kehtha hai woh pasand nahii hai… phir bhi tu kyun itni natak karr raha hai… bas ek hii din kii tho baat hai… waise bhi kal tho yahaan se chale jaayenge na hum… tab tu joh bhi hotel kahega hum us mein check in kar lenge.. lekin bas aaj ke liye chup bait tu… please mera sarr matt kha.. samjha tu..
Yash sulks & says:- lekin angad main yahaan se jaana chahtha hoon.. nahii rehna chahtha hoon yahaan… dekh ab tho main poori tarah se theek hoon na.. aur waise bhi jab main fine mehsoos karr raha hoon tho phir problem kya hai.. please angad chal yahaan se.. main yahaan do hafte kii chutti manane aaya hoon, yahaan hospital mein patient bann kar rehne nahii aaya hoon… tho issi liye main tumse keh raha hoon kii chal angad yahaan se..
Angad:- dekh yash tu koi doctor nahii hai.. doctor ne kaha hai kii tu yahaan rukega kal thak tho rukega bas.. yeh baat decide hogayi.. ab is baat par aur koi behes nahii karni hai mujhe…..
Yash:- dekh angad yeh baat soch zara, doctor ne thodi na kaha hai kii mujhe yahaan kal thak rukna padega yahaan tho saare students kii hai na.. jaise woh teri Miss. Kripa aur woh Miss. Sadu… yahaan tho bas saare students hii hai mujhe tho lagtha hai… aur mujhe tho aisa bhi lagtha hai kii yeh saare students apne classes se bachne ke liye yahaan aagaye hai… aur yahaan baitkar mujh jaise bechare patients ke saath time pass karr rahe hai.. main sach keh raha hoon angad yahii baat hogi… warna aise thodi na hotha hai kii yahaan ko senior doctor hii na ho…
Angad:- ufffffffffff… yash.. tum aur tumhare explanations.. please yaar mujhe bore matt karr.. aur waise teri joh yeh theory hai na woh bilkul 100% ghalat hai… tu jaantha hai kyun….
Yash:- (yash makes a face and says) kyun…
Angad:- woh isliye kyunke yahaan in students ke saath unke senior doctor bhi aaye hue hai.. kal main mila tha unse… aur rahii baat tere yahaan kal dopahar thak rehne kii tho yeh koi student ne nahii balki doctor ne yeh baat kahii hai… dekh yash main jaantha hoon kii hum log yhaan chutti manane aaye hai, lekin bas kal thak tho baat hai.. au phir parsun se hum Manali mein ghoomenge… waise bhi agar do hafte mein do din chale bhi jaayenge, uske baad bhi humare pass dus din ka waqt hotha hai… so is liye aaj ek din tum yahaan raho aur relax karo… parsun se tumhe jahaan jaana hai tum jaa sakthe ho.. kyunke tum yahaan se tho kal hii jaa sakthe ho……
Yash:- angad tu samaj kyun nahii raha hai.. main yahaan nahii rukhna chahtha…
Angad:- aur kya main jaan saktha hoon kii tum yahaan kyun nahii rehna chahtha ho.. aur please apne us feel ke bahane ke siwaye aur kuch bhi de do…
Yash:- mujhe yahaan par kuch logon kii shakal pasand nahii hai….
Angad:- shakal… kiski shakal pasand nahii hai tujhe.. zara main bhi tho jaannu… bata mujhe.. [angad asks with a confused expression]
Yash:- mujhe yahaan us Miss. Sadu kii shakal pasand nahii hai… kyun tujhe koi problem hai kya…
Angad:- yash tu yeh Miss. Sadu kisko bol raha hai.. waise bhi us Miss. Kripa Sharma se tho tu abhi thak bas ek hii baar mila hai, aur abhi tho usne tujhse aisi koi baat nahii kii, kii tu usse sadu bol sake…… tho kyun usse sadu bol raha hai…
Yash:- arre waah.. agar main Miss. Sharma ko sadu bula bhii raha hoon tho tumhe kyun problem ho rahii hai angad.. kuch chal raha hai kya.. ya kahiin yeh likha hai kii sirf tum kripa ko sadu bula sakthe ho.. [yash angad ko chidathe hue kehtha hai..]
Angad:- [shows anger & says] shut up yash… aisi koi baat nahii hai…. Tum usse sadu bulao ya joh chahe bulao…. I don't care… aur waise bhi mere hisaab se tho usse zyada sadu tho aur koi ho hii nahii saktha..
Yash: - haan haan theek hai.. lekin mere hisaab se kripa was nice.. yeh tho maine hii usse thodi rudely baat kari thi.. issi liye usse ghussa aaya hoga shayad… main tho Miss. Sadu woh ek aur student hai na usko keh raha tha.. woh kal raat aayi thi na… jisne mera treatment kiya.. kya naam tha uska… main bhool gaya.. [yash acts like he is trying to recall chah's name par usse yaad nahii aa raha hai.. kyunke yash angad ko yeh ehsaas nahii dilana chahtha tha kii chah uske khayalon mein hai.. & he is constantly thinking of her…]
Angad:- ohhh.. tu Chah kii baat karr raha hai….
Yash:- haann main ussi kii baat karr raha hoon….
Angad:- yash tub hi na.. chah tho kitni sweet hai.. tu khamakha usse sadu bula raha hai.. mujhe tho aise lagtha hai kii tu yeh bhool hii gaya hai kii aakhir sadu kisse kehthe hai… agar tune Kal dekha hotha na kii woh kripa mere saath kaise behave karr rahii thi, tho tu usse sadu boltha.. aur tu hai kii chah ko sadu bol raha hai.. usne tho meri itni madat kii… tumhara treatment itne achche se kiya.. aur phir raat mein hum dono ke liye khana bhi order kiya….
Yash makes a face & says:- haan tere liye tho tune khana order kar liya tha.. aur mere liye usne kya order kiya woh soup aur khichidi…. Ufff.. mujhe tho poori tarah se patient banane ka intazaam usne kar liya tha.. aur upar se maine raat se kuch khaya bhii nahii hai.. bhook ke mare main theek se so bhi nahii paaya tha…
Angad:- ohhhh.. tu raat mein theek se nahii soya tha kya… agar tu jaga hua that ho mujhe utana chahiye than a tumko…
Yash:- jaise kii mere utane se tu uth jaatha…. Tu tho ghode bech kar so raha hai.. patah nahii kitne din kii neend poori karr raha tha tu.. ek tho mujhe bhook ke mare neend nahii aa rahi.. aur upar se tere kharate mujhe sone hii nahii de rahe the..
Angad:- excuse me main snore nahii karta.. aur dusari baat joh hai tune nahii khaya woh tho teri problem hai.. woh tu hii tha joh bhaav kha raha tha aur yeh keh raha tha kii tu nahii khayega.. tho agar tujhe bhook ke mare neend nahii bhi aayi tho ghalthi teri hii hai.. kisne kaha tha tujhse kii tu khana na khaye…
Yash dheemi si awaaz mein, in a whispering tone kudh se kehtha hai:- soya nahii tho iski wajah woh Miss. Sadu hai… ussi ke khayalon ne mujhe theek se sone nahii diya…. Ab main yahaan rehna nahii chahtha hoon.. woh agar mujhe avoid karne ke liye kissi ko mera check up karne bhej sakthi hai tho mujhe bhi koi shouk nahii hai kii main yahaan rahun.. lekin yeh angad hai kii samajtha hii nahii hai… ufffff.. ab kya karun main.. agar yahaan rahoonga tho mera dil yeh chahega kii main chah se milu usse baat karu, lekin agar woh mujhe avoid kar sakthi hai tho mujhe bhi koi interest nahii hai us mein… mujhe angad ko kissi bhi tarah manana tho hoga… yahaan se nikal na hii hoga hume…
Angad sees kii yash kudh se baat karr raha hai tho angad kehtha hai:- oyeeeee.. yash… kya bol raha hai tu… tu zara zor se bolne ka kasht karega.. mujhe kuch sunayi nahii de raha hai… tab se blah blah blah kudh se keh raha hai..
Yash:- haan.. sorry.. kuch nahii keh raha tha main.. main tho bas tumse yeh keh raha hoon kii mujhe yahaan nahii rehna bas…
Angad:- yash tu itna ziddi kab se hogaya hai…. Maine keh diya na kii hum kal yahaan se niklenge…
Yash:- angad mere dost.. please tu mere liye itna nahii karr saktha kya.. jaa na aur doctor se pooch kya hum aaj nikal sakthe hai… dekh agar tu yahaan rahega tho tujhe bhi teri us dushmann kripa ka saamna karna padega joh I'am sure tum nahii karna chahthe ho na… iss liye please.. dekh meri baat logical tho hai.. tu bas ek baar zara soch ke dekh…
Angad yash kii baaton se soch mein pad jaatha hai aur woh kehtha hai:- yash baat tho teri sahii hai… mujhe sach mein us kripa ko dekhna bhii nahi hai.. achcha theek hai main doctor se baat kartha hoon.. dekhtha hoon kii woh kya kehthe hai…
Yash smiles & says:- than you angad.. yeh hui na baat…
Angad leaves the tent…. Aur yahaan yash breathes a sigh of relief…
Angad sees outside lekin usse doctor kahiin nahii milthe… & on his way back to his tent he sees chah…. Angad goes to chah.. & says…
Angad:- hello good morning chah jii….
Chah:- good morning Mr. Angad… aapka dost kaisa hai ab?
Angad:- ohh.. he is absolutely fine… aap ne itne achche se treatment joh kiya uska…. Yash ko tho theek hona hii tha…
Chah:- maine bas apni duty kii hai… usse zyada aur kuch nahii kii hai… waise aap tent ke bahar kya karr rahe hai…. Shayad aapke dost ko aapki zaroorat pade.. aapko andar hona chahiye..
Angad:- woh actually mera dost aaj hii yahaan se jaana chahtha hai.. issi liye maine socha kii ek baar doctor se baat karlun aur dekhun kii aakhir woh kya kehthe hai… tho issi liye main doctor ko dhoond raha tha…
Chah:- well Mr. Angad, abhi aap jitna bhi dhoond le aapko Doctor Kapoor kahiin nahii milenge…
Angad:- kyun..
Chah:- kyunke woh abhi hotel gaye hai…. Ab hii kuch waqt main aa jaayenge…. Unke aane ka waqt tho ho gaya hai…. Shayad aaj woh thoda late aayenge…. Lekin abhi kuch dher mein, main aur kripa hotel chale jaayenge.. aur baaki students joh kal raat hotel mein the woh yahaan aa jaayenge duty karne…. Aapko kuch chahiye tho nahii hotel se.. kuch khana…. Ya kuch….
Angad:- ohhh.. tho aap log bhii jaa rahe hai… nahii hum log theek hai…. Humein kuch nahii chahiye…. Waise bhii subaah nurse ne breakfast diya tha yash ke liye… healthy food… as usual usne bohat kum khaya.. anyway aap log kab wapas aayenge…
Chah:- haan hum jaa rahe hai.. lekin fikar matt kijiye hum afternoon theen baje thak aa jaayenge.. phir wapas tab se night duty ke liye lag jaayenge… chah tells him smiling…
Angad:- chah jii waise aapko kya lagtha hai kii kya main apne dost ko le jaa saktha hoon yahaan se…
Chah:- well agar aap yeh baat mujhse pooch rahe hai tho mera jawaab na hai.. mujhe lagtha hai kii atleast kal afternoon thak unhe yahaan rehna chahiye… lekin jahaan thak main jaanthi hoon aapke dost bade hii ziddi kisam ke insaan hai tho mujhe nahii lagtha kii woh kissi ki bhi baat sunn ne waale hai… aap ek kaam kijiye aap senior doctor ka wait kijiye… aur woh yeh kehthe hai kii aap apne dost ko yahaan se le jaa sakthe hai tho shouk se le jaayiyega…
Angad:- sahii pehchana aap ne chah jii mera dost bade hii ziddi kisam ka insaan hai.. lekin kya kare dost kii zidd tho poori karni hii padthi hai na….
Chah:- haan main maanthi hoon kii doston kii zidd ko poora karne ka farz dusare dost ka hotha tho hai.. lekin dost kii zidd jayaz bhii hona zaroori hai… aur abhi is waqt joh zidd aapke dost lekar baite hai mujhe nahii lagtha kii woh jayaz hai…. Well yeh mera maan na hai.. shayad aapki soch alag ho…
Angad:- chah jii main jaantha hoon aap joh keh rahii hai woh baat bilkul sahii hai… lekin yash ko samjhana itna aasaan nahii hai.. agar woh ek baar kissi baat ko taan letha hai tho woh us baat ko karke hii dikhatha hai… woh bohat ziddi hai aur passionate bhi hai…. Theek hai main kuch kartha hoon… main koshish kartha hoon yash ko is baat ke liye convince karun kii aaj ek din woh yahaan reh jaye.. kal dopahar thak hum yahaan se chalenge…
Chah:- theek hai.. koshish kijiye….
Angad then starts to walk back to his tent.. jab woh chah ke pass phir aatha hai aur kehtha hai:- chah jii aap abhi kuch dher mein hotel jaa rahii hai na aap kaise jaathi hai…. & if you don't mind can I join you…. Mujhe bhi hotel mein humara samaan rakhna hai…
Chah:- well id, lekin mujhe lagtha hai kii aap zaroor mind karenge…. Humare saath chalna aapke itna comfortable nahii saabit hoga…
Angad:- nahii chah jii I would not mind at all… I'am sure I'll be very comfortable…
Chah:- soch lijiye Mr. Angad aapko humare saath almost half an hour chalna hoga…. Kyunke main roz yahaan se hotel chal kar hii jaathi hoon.. kyunke mujhe chal kar jaana aur atmosphere ko enjoy karna achcha lagtha hai..
Angad:- ohhhh.. aap chal kar jaathi hai… kya yahaan koi aur rasta nahii hai hotel jaane ka…. Cabs ya kuch….
Chah:- well rasta tho hai lekin woh darasal baat yeh hai kii Manali ke cab drivers are on strike… angad:- ohhh great… I think Manali ke sab log time dekh kar strike peg aye hai.. unhe patah chal gaya hoga kii main aur yash holiday ke liye idhar aa rahe hai.. aur koi rasta nahii hai kya….
Chah:- ek aur rasta hai.. aap wahaan main road par rukh sakthe hai, aur joh bhi gaadi aathi hai unse lift maang sakthe hai.. lekin I'am too sure agar aap ko lift milega ya nahii…
Angad:- nahii chah jii main aapke saath hii chaloonga.. kyunke patah nahii kii mujhe lift ke liye kitna dher intezaar karna hoga.. tho isse achcha hai kii main aapke saath chalkar aadhe ghante mein hotel pohanch jaaun…
Chah:- theek hai.. jaisi aapki marzi.. hum log abhi pandrah minute mein nikal jaayenge.. agar aap humare saath aana chahthe hai tho aa sakthe hai…
Angad:- ok then.. I'll see you in 15 minutes… thank you chah jii…
Chah:- my pleasure… & all the best.. abhi aapko jaakar apne dost se baat karna hai na….
Angad:- ahhhh.. don't even remind me of that… saying this angad smiles.. aur phir he walks into yash's tent..
Yahaan kripa comes to chah… & says:- chah yeh yahaan kya karr raha tha…
Chah:- kaun….
Kripa:- wohii us patient ka dost… joh kal mujhe itni akad dikha raha tha….
Chah:- ohh.. tumhara matlab woh Mr. Angad se hai…
Kripa:- haan wohii….
Chah:- haan woh mujhse kuch pooch rahe the….. chal kripa abhi hum pandrah minute mein yahaan se nikalthe hai..
Kripa:- okk.. then main thoda sa kaam khatam karke aathi hoon…
Chah:- ok….
Kripa then walks off…. Yahaan chah bahar tehel rahii hothi hai… uske mann mein yeh khayal aatha hai kii woh ek baar yash ke tent mein jaaye aur usse ek baar dekhe… uska dil wanted to go have a glimpse of yash… lekin chah ka dimaak usse apne dil kii sunn ne nahii de raha tha… and chah sochthi hai kii woh nahii jaayegi.. kyunke usse lagtha hai kii joh feelings uske dil mein panap rahe hai chah ko unko bhadava nahii dena chahiye… so bas chah keeps walking around aimlessly.. ek aur do baar woh mudhkar yash ke tent ko tho dekhthi hai… par she controls her urge to go in there aur woh apna mooh pher lethi hai… & calls her home & talks to prerna & gayatri… after talking for about 10 minutes chah feels a lot better… & according to her she has taken her thoughts away from yash.. lekin ek baat jisse chah bhi waakif thi woh yeh kii she is thinking of yash constantly… though yash uske khayalon par haawi nahii ho raha hai.. but still she cannot stop thinking about yash…. Yahaan yeh tho thi chah kii baat let us see kii yash aur angad kya karr rahe hai… in their tent.. angad apne kaam mein laga hua hai & he is explaning to yash kii right now the doctor is not there.. angad yeh bhi kehne kii koshish karr raha hai kii woh hotel jaakar un dono ka saamaan rakhkar aayega… but yash is not ready to listen.. usne jaise yeh faisla kar hii liya hai kii woh aaj wahaan se jaayega…
Angad:- dekh yash… main abhi hotel jaatha hoon.. wahaan check in karne ka baad shayad doctor kapoor mujhe wahiin mil jaye.. kyunke abhi thak woh yahaan aaye nahii hai… tho agar woh mujhe wahiin par mil gaye tho main unse baat kar loonga.. aur hum aaj hii nikal jaayenge… lekin aisa karne ke liye yeh zaroori hai kii tu mujhe yahaan se akela jaane de…
Yash:- angad hum ek aur kaam karr sakthe hai…
Angad:- woh kya?
Yash:- woh yeh kii main bhi tumhare saath hotel chaltha hoon.. wahaan hum log doctor se bhi mil lenge.. aur phir hum wahiin par check in bhi kar lenge…. Issi tarah mujhe is tent hospital se chutkara tho mil jayega.. I feel like I'am a patient here…. Don't you think it is a good idea angad.. achcha idea hai na..
Angad:- pehli baat you are a patient here.. bhool gaya tujhe chot lagi hai.. kal humari gaadi ka accident hua tha… & no tumhara idea bilkul bhi achcha nahii hai… aur mujhe tumhara idea bilkul achcha nahii laga….
Yash sulks his face & says:- lekin kyun…
Angad:- woh is liye yash kyunke…. Mujhe nahii lagtha tu itni durr chal nahii paayega… kyunke tujhe chot lagi hai.. aur agar tu aadha ghanta chalega tho tere pair par strain hoga.. & I don't want to take any chances sorry…
Yash:- lekin mujhe chalna kyun padega.. hum kissi se lift le saakthe hai.. ya phir even better hum yahaan ke logon se koi taxi ya cab drivers ke number lenge aur unhe call karenge… hui nay eh simple si baat.. angad tu na apna dimaak bilkul nahii use karr raha hai aaj kal.. very bad angad… cha lab koi cab waale ka number dhoond ke aa..
Angad:- sorry my friend… lekin Manali ke cab drivers strike par hai… tho koi bhi yahaan nahii aayega.. aur upar se yahaan highway par bohat limited gaadiyaan aathi hai.. aur woh bhi sure nahii hai kii kya woh humein lift denge ya nahii.. tho is wajah se hume yahaan se kuch aadha ghanta chalna hoga.. tab jaake hotel pohanchege… aur mujhe nahii lagtha kii tu chal paayega.. issi liye tu yahaan rukh… main jaatha hoon… dopahar thak aa jaaunga main.. tab thak tu apna laptop le aur usmein kaam kar le…
Yash;- tho iska matlab tu chal kar jaane waala hai…
Angad:- absolutely my friend…
Yash:- kya baat hai… tu aur itni durr chalega… angad tho sudhar gaya lagtha hai.. kyun…
Angad:- kya kare yash.. majboori hai… chalna tho padega.. waise bhi agar akele chaltha hoon tho zaroor boring hoga.. lekin jab saath mein logon kii company ho tho I think it will be better.. & I think I'll enjoy enjoying the scenery..
Yash:- company… kisske saath jaa raha hai tu.. zara main bhi tho jaanu… kahiin teri us dushmann Miss. Kripa ke saath tho nahi… [yash teases angad]
Angad:- haan woh tho saath aa hii rahii hai… lekin uske alawa ek aur shaqs kii company bhi hai…
Yash:- ek aur shaqs… ab woh kaun hai.. kiski company kii baat karr raha hai tu..
Angad:- wahii tere hisaab se Miss. Sadu, mere hisaab se Miss. Sweet… Chah jii kii… it was so nice of her kii mujhe offer kare kii main unke saath hotel thak chal saktha hoon.. warna main sach mein bohat bore ho jaatha..
Yash:- ohhhh… Miss. Chah ke saath jaa rahe ho.. angad I'am sure tere liye I'll be a better company.. waise bhi woh kripa aur chah tho friends hai na if I'am not wrong so tumhe nahii lagtha kii tum do doston ke beech unki privacy ko intrude karr rahe hoge…. Soch lo angad I'll be better company for you.. tu mujhse baat kar saktha hai.. aur main tujhse.. is tarah na unko odd lagega.. na unke beech rehkar tumko odd lagega… soch le angad.. main baat tho tere hii faide hii karr raha hoon….
Angad:- yash baat tho tu sahii keh raha hai.. waise bhi woh kripa mujhe chah jii se bhii baat karne nahii degi…. Tera idea kaafi achcha hai…
Yash:- tho iska matlab yahii hua na kii main bhi chal raha hoon tere saath…
Angad:- dekh yash main maantha hoon kii joh tu keh raha hai woh sahii hai… lekin uske bawajood bhi yash sorry tum mere saath nahii chal rahe ho… jaise maine tumse pehle bhi kaha hai, main khamakha tumko strain nahii de saktha.. aur mujhe nahii lagtha kii tum taiz chal paaoge… issi liye behtar hoga kii tum yahiin raho aur aaraam karo.. main bas yun gaya aur yun aaya..
Yash:- angad pleaseeeeee…
Angad:- yash nahii yaar.. dekh is baar main teri zidd ko poora nahii karr saktha hoon… waise bhi kissi ne mujhse kaha kii doston kii zidd ko poora tho karna tho chahiye, lekin hume woh zidd tab poori karni chahiye jab woh jayaz ho.. and my dear friend mujhe aur kissi aur ko tumhari yeh zidd jayaz bilkul nahii lagthi… tho sorry yash I really can't help it….
Yash:- yeh tune joh abhi abhi bola kii tujhe aur kissi aur ko meri yeh baat rather zidd achchi nahii lagthi woh koi aur kaun hai zara bolega tu mujhe…
Angad:- woh aur jiski baat main karr raha tha woh chah jii hai.. aur mujhe lagtha hai kii unhone joh kaha woh sahii hai…
Yash ko is baat se ghussa aatha hai aur woh chillatha hai:- to hell with your chah jii.. I don't care woh kya kehthi hai.. main uska ghulam tho nahii hoon na kii woh joh chahe main woh karun… mujhe yahaan se jaana hai tho matlab jaana hai.. baat seedhi hai angad… dekh main tujhse keh raha hoon chup chaap chalo yahaan se… mujhe yahaan rehna achcha nahii lagtha… aur waise bhi yahaan ka kanoon hai kya kii joh bhi tumhari woh chah jii bolegi wohii hoga, tu tho aise bol raha hai kii yahaan is jagah par joh woh bolegi wohii law hai, aur wohii rule hai… common yaar angad.. give me a break…
Angad:- yash mujhe lagtha hai kii woh joh bol rahii thi usmein koi ghalat baat nahii hai.. woh joh bhi bol rahii hai tere achche ke liye hii tho bol rahi hai… aur waise bhi yash aaj ek din kii hii tho baat hai… kal dopahar barah ya ek baje yahaan se nikal jaayenge hum dono.. aur dekh yash main tujhse waada kartha hoon agar kal tujhe yahaan rehne ko bhii bola jaye tab bhi main tujhe yahaan se le jaaunga.. tho bas mere yaar aaj ke liye yahaan reh jaa…
Yash:- dekh angad yahaan woh chah jii kuch bhi kahe I don't care… yahaan ke log itne irresponsible hai.. koi treatment karta hai tho koi aur check up karne aatha hai, jisko patient ke condition ke bare mein kuch nahii maloom… aise doctors, aur student trainees ke beech main nahii rehna chahtha.. aur sabse zyada irresponsible tho woh tere hisaab se Miss. Sweet hai… Chah… patah nahii agge chal kar woh ek achchi doctor kaise banegi….
Isse pehle kii angad yash kii baat ka koi jawaab de sake… chah comes inside the tent… she has a very stern face… and yash ka saara joh irritation tha for not being able to see chah woh chah ko dekhthe hii udanchuu ho jaatha hai… & he has got back that smile on his face… yash thinks:- Godddd.. yeh yahaan kaise aagayi.. I just hope isne meri baatein na sunn li ho.. please God…
Chah:- [just looks at yash ones aur phir woh yash se apni nazrein pher lethi hai… she sees angad & tells him] Mr. Angad kya aap humare saath chal rahe hai.. agar aap chal rahe hai tho chaliye humein dher ho rahii hai..
Angad:- haan chah jii main aapke saath chal raha hoon.. bas mujhe ek minute dijiye main mere aur yash ka bag lekar aatha hoon…
Chah;- theek hai.. aur delay matt kijiyega.. hum aapka bahar wait karr rahe hai…
Chah tent ke bahar jaa rahii hothi hai.. yash kii nazrein sirf aur sirf chah par hii tikki hui hothi hai… chah ko shayad yeh baat mehsoos hothi hai kii yash usse dekh raha hai.. chah turns back before leaving the tent, she looks at yash & then says:- Mr. Yash aapko koi hakh nahii banntha kii aap mujhe ya phir kissi aur ko irresponsible bole… aap shayad bhool gaye hai kii aapki irresponsibility aur carelessness kii wajah se aaj aap yahaan par ek patient kii taur par hai… yeh aapki apni laparwayi ka nateeja hai kii aaj aap yahaan hai.. shukar manayiye humara kii humne aapka ilaaj kiya… warna you really might have paid a huge price for being irresponsivle & careless.. tho isliye aap pehle kudh kya hai woh dekhiye.. aur phir doosron ko boliye… yeh kehkar chah wahaan se chali jaathi hai with the same stern expression… aur is baat se yash ko yeh baat tho patah chal hii jaathi hai kii chah has already heard what all he was talking to angad.. is baat se yash ka irritation aur bhi badh jaatha hai.. kyunke ab chah usse ghussa hai.. & yash does not want to get in chah's bad books… ab yash ko tho sach mein samaj mein nahii aa raha hotha hai kii woh kya kare..
Issi beech angad tells yash kii woh jaa raha hai.. aur angad yash ko usse rokhne ka bhi koi mauka hii nahii detha hai… isse pehle kii yash angad ko rokh sake, ya usse kuch bol sake, apna irritation zahir kar sake angad wahaan se chala jaatha hai… aur yahaan yash ko tho jaise samaj mein hii nahii aatha hai kii woh kya kare.. ek taraf woh yeh baat tho zaroor jaantha tha kii chah usse avoid karne kii koshish tho karr rahi hai… aur ab yash kii pareshaaniyaan bane ke liye ek aue musibat aa gayi thi aur woh yeh thi kii chah usse ghussa hai…
Yash starts talking to himself:- uffff.. yeh kya ho raha hai mere saath… God… sab kuch itna ajeeb kyun ho raha hai.. main kal jab se mujhe hosh aaya tha tabse main kyun itna ajeeb behave karr raha hoon.. ek tho mera woh dost angad.. main usse indirectly bol ne kii koshish karr raha tha kii main uske saath jaaunga kyunke mujhe chah ke saath rehna achcha lagtha hai… main uske saath yahaan se hotel thak ka walk enjoy karna chahtha tha… aur apne dil mein kya hai usse tatolna chahtha tha.. lekin yahaan tho woh angad bhi gaya.. aur upar se chah joh mujhe pehle avoid karr rahii thi ab woh mujh par ghussa hai… Ohh… man ab main kya karoon… I'am sure agar ab main chah se baat bhi karna chahoonga tho woh mujhe thappad maregi… mujhe mein thodi bhi akal nahii hai… yash tum bilkul useless ho.. kya zaroorat thi angad ke pass chah ke bare mein itni bakwaas karne kii.. ab woh tujhse ghussa hai… ek taraf main tho chah se dosti karna chahtha tha, uske kareeb jaana chahtha tha, apne dil mein utte ajeeb se restlessness ko durr karna chahtha tha.. uske kareeb jaake… lekin yahaan par tho sab kuch ulta hogaya… aur sab kuch sirf aur sirf meri wajah se hii ulta hogaya hai.. lekin waise mera joh yeh accident hua is mein ek cheez tho achchi hui… aur woh yeh kii main chah se mila.. ek aise ajnabee se mila jisse milkar mere dil kii dhadkane tez hogayi… ek aisa ehsaas mere dil mein jag utta hai joh aaj thak kabhi nahii tha… aur yeh ehsaas joh bhi hai achcha hai… mujhe yeh ehsaas achcha lagne laga hai… mujhe kabhi bhi is baat ka ehsaas nahii hua kii main kissi ajnabee se is qadar judh jaaunga kii woh bhi bas ek hii din mein… shayad kuch ajnaabee khaas hothe hai.. aur chah mere liye bohat khaas ban gayi hai.. yeh baat main jaantha hii nahii balki main mehsoos bhii karne laga hoon…. Tho bas mujhe chah ke loutne ke baad yeh koshish karni hogi kii main usse sorry bol sakun, usse baat kar sakun aur usse theek se pesh aa sakun.. aur main is baat kii poori koshish karoonga…. Mere liye ab yahii maksat hai kii main jab thak yahaan hoon atleast chah kii dosti ko haasil kar sakun….. maqin poori koshish karoonga kii chah kii taraf dosti ka haath bada sakoon… aur tab yeh chah par depend karega kii kya woh mujhse dosti karna chahegi ya phir nahi….. lekin ek baat tho hai main kabhi bhi chah par apni dosti thopoonga nahii… agar woh chahthi hai tab hii main aur woh dost banenge… warna shayad nahi… aur mujhe na jaane kyun aisa lag raha hai kii jab mere aur chah kii dosti ho jaayegi tab mere dil kii yeh bechaini durr ho jaayegi…. aur jahaan thak mujhe lagtha hai chah meri dosti ko accept kar hii legi… after all yash garewal ke charms se na tho aaj thak koi bach paayega aur na hii agge koi bach paayega… then yash ke mann mein ek thought aatha hai.. aur woh kehtha hai… yash tera charm sab par chal saktha hai lekin ab tu jiski baat karr raha hai woh chah hai… woh chah joh pehli woh ladki hai jisne mujhe attitude dikhaya.. jisne mujhe attitude dikhaya.. aaj thak tho meri zindagi mein ladkiyaan mere peeche bhaagthi thi aur main unhe avoid kartha tha.. lekin aaj pehli baar aisa hua hai kii koi ladki mujhe avoid karr rahii hai.. aur mera mann karr raha hai kii main uske peeche bhaagun.. mera dil mujhse yeh keh raha hai kii jab thak chah meri dosti ke liye haan na keh de main uska peecha na chodun… yeh mere saath kya ho raha hai.. kyun ho raha hai main nahii jaantha.. lekin main itna zaroor jaantha hoon kii joh ehsaas mere dil mein chah ke liye hai woh khaas hai.. chah kii emiyath meri zindagi mein khaas hai.. is baat ka patah mujhe tho ho chukka hai… bas mujhe ab chah se dosti karni hogi aur usse is baat ka ehsaas dilana hoga…. Aur main aisa karne kii poori koshish karoonga… lekin haan mujhe yeh kaam in do hafton mein karna hoga.. agar maine suddenly chah kii taraf apne attitude mein change dikhaya tho shayad angad ko shak ho jaayega.. aur aisi haalat mein chah bhi mujhe bhaav nahii degi.. tho issi liye mujhe joh karna hai soch samaj kar karna hoga… yash you have to plan each & evety step of your's qith great detail.. warna agar chah tujhse naraaz hogayi tho gaya tera chance chah se dosti karne ka…. Issi liye be careful… lekin iske liye sabse pehle mujhe aisa kuch karna hoga kii chah meri baat aur mujhe bhoole hii nahii… chah se dosti karne ke liye I have to leave a impact on her.. lekin yahaan par main chah kii baat karr raha hoon.. aur ab sawaal yeh uththa hai kii kaise impress karoon use.. agar maine kahiin bhi over action kiya tho chah mujhe chodegi nahii… I'am sure agar maine kuch bhii naatak kiya tho woh mujhe kachcha chaba jayegi… thodi si sadu hai… ghusse waali hai… lekin chah bohat achchi hai.. mujhe ek tarah kii udassi dikhthi hai uski aankhon mein.. mujhe aisa lagtha hai kii woh khush tho hothi hai lekin woh khushi kii khanak uske dil thak nahii pohanchthi, uski khushi kii chamak uske aankhon thak nahii pohanchthi… mujhe na jaane kyun aisa lagtha hai kii ek adhurapann hai chah mein joh woh harr kissi se chupana chahthi hai… yeh joh chah hamesha mere saamne aathi hai aur asli chah mein zameen aasmaan ka faeq hai… mujhe aisa lagtha hai kii chah apna asli chehra sabse chupana chahthi hai.. aur apne asli chehre ko chupane ke liye chah ne apne agge ek mukhota daal diya hai, jisse woh sirf bohat kum logon ko apne kareeb aane dethi hai… aur yeh expect karna kii woh mujh jaise ajnabee se dosti kare yeh tho mushkhil kii baat hogi… lekin phir bhii main chah se dosti karna tho chahtha hoon.. aur agar main chah se dosti kar letha hoon tho mera yeh waada hai kii chah ne joh apne chehra duniyaan se chupaya hai main us chehre ko sabke saamne le aaunga…. Main chah ko khulkar jeena sikhaoonga.. uske dil mein joh ghum hai usko main usse durr karne kii poori koshish karoonga…. Main chah ko khulkar jeena, hasna, rona sikhoonga… kyunke na jaane kyun mujhe aisa lagtha hai kii chah apni zindagi se utni khush nahii hai.. woh apna gham sabse chupana chahthi hai.. issi liye woh mujhse bhii durr aur katti- katti rehthi hai… shayad chah ko yeh darr hai kii koi uski aankhon mein dekhkar usse parak na le, uske dil ka haal na samaj le.. lekin ab jab mujhe is baat ka ehsaas ho raha hai main har woh koshish karoonga jisse chah kii zindagi khushiyon se bhar jaye… yash yeh sab baatein sochtha hai then he smiles to himself.. as if woh kudh se yeh waada karr raha ho kii chah ke joh bhi dukh hai, pareshani hai woh unhe usse durr karega… yash kudh se waada kartha hai kii woh chah ke liye ek achcha aur sachcha dost banega…
Chah ke khayalon mein yash ghum ho jaatha hai… aur usse patah bhi nahii chaltha kii waqt kaise guzar raha hai….. yash har woh tareeka aur tarkeeb soch raha hai jisse kii woh chah ke kareeb jaa sake… chah se dosti kar sake… yeh tho thi yash kii haalat…. Tho dusari taraf we see that chah, angad & kripa are walking….
Kripa bohat hii ghusse mein hothi hai & she asks chah:- chah kya zaroorat thi is insaan ko humare saath aane ko kehne kii.. yeh kudh nahii jaa saktha kya.. itna bada tho hogaya hai… lekin kya kudh nahii jaa saktha aur hotel mein check in nahii karr saktha.. yeh humare saath itna kyun chipak raha hai… chah tu jaanthi hai na mujhe yeh Mr. Angad bilkul pasand nahii.. mujhe yeh tho ek aankh bhi nahii bhatha… aur yahaan yeh humare peeche peeche chal raha hai… agar agge chal raha hotha tho main zaroor isse dhakka marrthi aur bhaag jaathi… dekho kitna dheere-dheere chal raha hai.. mujhe tho aisa lagtha hai kii kachua bhii isse tez chalega… iski wajah se aaj hum dono ko bhii dher hogi… aur woh doctor kapoor ko mouka mil jayega, bina baat ke humein daant ne ka… uffff I hate this so much.. [kripa yeh saari baatein chah se kehthi hai in a whisper… bohat hii dheemi si awaaz meintaaki angad ko kuch bhi sunayi na de.. ]
Angad joh kii un logon ke peeche chal raha hotha hai usse kripa kii baatein sunayi tho dethi hai… woh yeh bhi jaantha tha kii kripa is baat se khush nahii thi kii woh un logon ke saath aaya tha..
Angad kripa ko chidane ke liye kehtha hai:- waise Miss. Kripa kya keh rahii thi aap kii agar main agge chaltha tho aap mujhe dhakka marrke bhaag jaayengi… kyun kripa jii itni cruel hai aap yeh tho mujhe patah nahii tha.. maine tho suna tha kii doctors mein insaniyath bohat zyada hothi hai, lekin ab aapki baatein sunn kar main us baat par sochne ke liye majboor hogaya hoon aur is conclusion par pohancha hoon kii haan doctors mein insaniyath bohat hothi hai, lekin aap mein yaani Miss. Kripa Sharma mein yeh gunn bilkul bhi nahii hai….
Kripa:- will you please shut up Mr… mujhe tumse baat karne mein koi dilchaspi nahii hai.. tho tum bas chup raho..
Angad:- waise mujhe bhi aap se baat karne ka koi shouk tho nahii hai.. lekin aap chah jii se mere bare mein baat karr rahii thi, tho isliye main kudh ko rokh nahii paaya aur maine aapki baaton ka jawaab diya.. ab aap hi batayiye chah jii kya yeh ghalat baat hai..
Chah stares at angad with a look kii kya mujhse yeh sawaal poochna zaroori tha.. aur yahaan kripa was staring at chah, kripa kii aankhein maano jaise chah se keh rahii ho kii meri dost hokar tum mere khilaaf bologi…
Angad:- boliye na chah jii.. maine joh bhi kaha woh sahii hai na…
Chah:- actually…. Darasal… [chah is hesitating to say anything further… jab kripa usse cut karke kehthi hai..]
Kripa:- oyee.. Mr… chah meri dost hai.. aur woh bhi jaanthi hai kii main sahii hoon aur tum ghalat.. tho ab tum mujhe irritate matt karo… samjhe.. aur haan ek aur baat agar jitni tez tumhari zubaan chalthi hai na agar tum utni tez apne pairon ko chalaoge tho hum hotel jaldi pohanch sakthe hai… mujhe tho aisa lagtha hai kii tumse jaldi tho ek khachua chaltha hai…. Itne dheere chal rahe ho…. Goddddd…. I hope hotel jaldi aa jaye, taaki tumhe uske baad jhelna tho nahii padega..
Angad:- haan haan main bhi issi intezaar main hoon kii hotel jaldi aa jaye…. Uske baad mujhe bhi khushi hogi kyunki tumhara chehra tho nahii dekhna padega na mujhe… mujhe yeh baat patah nahii kii bechari chah jii tumko kaise bardhast karr rahii hai…. Aur kya kaha main khachue ki chaal chal raha hoon, hello madam main yahaan do bags utakar chal raha hoon… aur tumko kya maloom kii kitna mushkhil hotha hai.. ek bag utta kar dekho tho tumhe patah chalega…..
Angad ke is challenge se kripa ko ghussa aatha hai aur woh kehthi hai:- ismein kaunsi badi baat hai.. lao do mujhe main abhi ek bag utathi hoon….
Angad jaan bhoochkar kripa ko apni bag detha hai which is heavier than yash's bag… kripa picks the bag & starts walking with it.. ab chah ko uske saath chalne mein mushkhil ho rahii hothi hai… bas shayad paanch minute hii hua hai kripa ne woh bag liye hue, she then goes near angad…. And throws the bag near his leg…. Angad:- mera baggg… kya karr rahii ho neeche kyun pheka isse… mera bag hai yeh…. Tumhara nahii hai kii tum isse aise phek do.. ab utao isse…
Kripa:- nahii uttaongi.. kya kar loge.. yeh tumhara bag hai na kya rakha hai ismein.. pathar se bhare hai kya…. Itna bhari rakha hai.. tum hii utao isse.. tumhara bag hai…. Main kyun utaun… angad:- maine kaha na tumne phekha hai isse tho tum hii uttao…
Kripa:- nahi.. nahii kabhi nahii.. samjhe tum…
Kripa yeh kehkar agge chalne lagthi hai.. angad sighs & picks the bag again & starts walking…. Yahaan chah apna haath maathe par marr lethi hai kyunke uske samaj mein yeh baat nahii aa rahii thi kii in dono ka kya kare…
Kripa then keeps on talking to chah.. aur angad kudh se baat karr raha hotha hai:- yash sahii keh raha hai.. usse bhi mere saath aana chahiye tha…. Atleast itna bore tho nahii hotha main.. yahaan tho woh kripa ek bhi mouka nahii chod rahii hai mujhse ladne ka.. aur upar se yeh mera bag.. jaise us Miss. Kripa Sharma ne kaha kahiin maine apne bag mein sachchi mein patthar tho nahii pack kar liye… yeh bag itna heavy kyun hai… uffffff..
Kripa sees angad is talking to himself aur woh chah se kehthi hai:- chah tum jaanthi ho kuch logon kii yeh aadat hothi hai kii woh kudh se baat kare…. Tum jaanthi ho chah un logon ko kya kehthe hai… [chah nods her head in a no.. tho kripa says] arre chah itni simple si baat bhi nahii jaanthi tum, joh log kudh se baatein karthe hai unhe aam taur par pagal kehthe hai… aur chah agar tum unka ek example dekhna chahthi ho tho bas peeche mudhkar dekh lo tumhare saamne hii Mr. Angad khade hue honge… right example for the case I'am talking about…
Kripa kii yeh baat sunn kar angad ka mooh khula ka khula reh jaatha hai.. usse yeh samaj mein nahii aatha hai kii aakhir woh kaisa react kare.. angad puts both his bags down… and asks kripa:- tumne mujhe pagal kyun kaha…
Kripa:- kyun sahii baat kahii tho bura lag gaya… ohh.. so sorry… lekin fact tho fact hotha hai na us baat ko accept karne mein kaisi sharam..
Angad:- dekho now you are crossing your limits.. apni hadh mein rehkar baat karo.. main tumhari yeh bakwaas sunn ne ke liye nahii baita hoon.. aaj thak kissi ne bhii Angad Khanna se aise baat karne kii koshish nahii kii jaisa tum karr rahii ho…
Kripa:- woh kehtha hai na there is always a first time.. & this is your first time.. don't worry dheere-dheere tumhe is baat kii aadat ho jaayegi…
Angad:- you just shut up…
Kripa:- no I won't shut up… kya kar loge tum…
Angad:- dekho main aakhri baar keh raha hoon chup ho jao…
Kripa:- nahii hongi…. Samjhe tum…
Angad aur kripa ke beech argument aise hii chal rahii hothi ai aur beech mein chah pakh rahii hothi hai.. chah ko angad aur kripa par bohat zyada ghussa aa raha hotha hai… she sees the both of them & hopes kii woh dono hii chup ho jaayenge.. lekin aisa nahii hotha.. finally chah tang aa jaathi hai.. & she shouts at both of them..
Chah:- will the both you please shut up…
Chah kii waaz sunnkar angad aur kripa dono hii chup ho jaathe hai & they stare at chah….
Chah:- aap dono ko aakhir ho kya gaya hai.. tab se dekh rahii hoon harr chotti se chotti baat par ladh rahe ho, har chotti se chotti baat par ek dusare ko neecha dikhane kii koshish karr rahe hai.. kya koi mujhe batayega kii aakhir yeh kyun ho raha hai aur kya ho raha hai.. kyunke meri samaj mein tho kuch bhi nahii aa raha hai… aap dono tho chotte bachon se bhi gaye guzre ho.. chotte bachche bhi itna ladthe nahii honge jitna kii aap dono ek dusare se lad rahe ho.. agar aap dono ko ek dusare se problem hai tho woh problem aap dono apne thak hii seemit rakhiye.. mujhe kyun irritate karr rahe ho aap dono.. tab se dekh rahii hoon aap logon kii tut u main main tho khatam hone ka naam hii nahii le rahii hai.. ek hadh hothi hai ladne kii, ek hadh hothi hai bachpane kii… lekin aap dono tho saare hadh paar karthe jaa rahe ho…
Kripa:- lekin chah.. main tho…
Chah cuts kripa & says:- krips let me finish… shayad aap log hotel jaldi nahii pohanchna chahthe lekin mujhe jaana hai.. aur wapas duty par report bhi karna hai.. joh mujhe chaar ghante free mile hai woh main aapki ladayi ke chalthe nahii gawana chahthi hoon… & both of you get that in your brains… agar ab aap main se kissi ke mooh se koi awaaz nikli tho mujhse bura koi nahii hoga… aur agar aapko ladna hai tho aap log shouk se ladiye, yahiin ladthe-ladthe rahiye lekin haan main agge chal doongi.. main aap main se kissi ke liye bhi nahii rukoongi.. aur ek baat yaad rakhiye main hotel thak jaane ka rasta jaanthi hoon.. ufff… tab se lekar ab thak aapki ladayi ke wajah se mere kaan pakh chuke hai.. na hii I could relax walking down the place neither could I enjoy the view…
Kripa, angad both realize kii they were being very childish… baat baat par lad rahe the… both hung their heads down.. & dono hii chah se apne bartaav kii maafi maangthe hai.. and this time all the three of them start walking.. aur is baar ka walk was quite & peaceful kyunke angad, kripa ek dusare se ladd nahii rahe hothe hai…. They walk faster & reach the hotel in 10 minutes… wahaan jaakar chah, kripa go to collect their room keys from the reception & angad goes to enquire if they have vacant rooms in the hotel.. kripa collects her rooms keys, while chah collects her room keys.. the receptionist tells angad that they do have vacant rooms… angad takes two rooms.. one for him & one for yash…. Angad aur yash ke rooms are just opposite to kripa & chah's rooms… angad's room is right opposite to kripa.. & yash's room is right opposite to chah's… they reach their rooms… kripa walks into her room telling chah that she is very tired & she will sleep for sometime… angad & chah bid good-bye to each other.. are chah is about to enter her room… jab angad usse kehtha hai:- chah jii.. kya aap mere liye ek chotta sa favor karr sakthi hai….
Chah smiles and says:- kahiye… kya help chahiye aapko….
Angad:- chah jii woh actually shayad ab main thodi dher so jaaunga.. tho kya aap jab camp ko wapas jaa rahii ho tab mere dost ke liye khana le jaa sakthi hai.. usse keh dijiyega kii main sham thak aa jaaunga… kyunke ab mujhe nahii lagtha kii bed ko dekhkar main kudh ko rokh paaunga sone se…
Chah:- ok.. aap fikar matt kijiye.. main aapke dost ka lunch unke liye le jaaungi…
Angad:- thank you so much chah jii.. it is really very kind of you…
Chah:- koi baat nahii.. waise bhii main wapas duty join karne camp tho jaa hii rahii hoon.. farq bas itna hoga kii aapke dost ka lunch saath mein le jaaungi… byeee.. Mr. Angad.. see you later…
Angad chah ko bye kehtha hai aur apne kamre mein chala jaatha hai… and jaise angad ne kaha tha bed dekhkar usse raha nahii gaya… & he dozed off to sleep on the bed..
Yahaan in the other room kripa kii bhii yahii haalat hothi hai… lekin woh sone se pehle chah ko call karke batathi hai kii aaj woh uske saath camp nahii jaayegi.. as she is too tired… kripa chah se kehthi hai kii woh koi bhi bahana bana de doctor kapoor ke saamne.. chah agrees.. & even kripa drifts off too sleep… agar yahaan in her hotel room koi jaaga that ho woh thi chah.. joh chup chap bed par bait kar aaraam se apni novel padh rahi hothi hai.. chah was reading a romantic novel.. aur reh- rehkar usse aisa lagtha hai kii us romantic novel ke hero heroine yash aur woh hai… jaise hii chah ke mann mein yeh khayal aaya, she just closes her novel removes her spects [main batana bhool gayi chah wears reading glasses] goes & stands in the balcony of the hotel room… wahaan chah sits on the ease chair enjoying the cool breeze… & chah closes her eyes & relaxes sitting there… yeh tho hui humari heroine sahiba kii haalat… chaliye ab dekhthe hai kii back in the medical camp tent yash kii kya haalat hai…
Yash is working on his laptop aur reh-rehkar usse chah kii yaad aa rahii hothi hai…
Tabhi yash ke tent mein ek nurse aathi hai…
Yash smiles at her & says:- helloo…
The nurse smiles & says:- good afternoon…
Yash dekhtha hai kii nurse ke haathon mein ek injection hai.. us injection ko dekhthe hii yash ko darr lagtha hai.. aur woh nurse se poochtha hai:- nurse aap yeh sui kyun laaye ho…. [yash has a weird expression on his face.. plus a thoda darra hua expression on his face..]
The nurse very coolly says:- sir yeh pain killer injection hai.. isse lene se you will feel better…
Yash:- nurse dekhiye mujhe is injection kii koi zaroorat nahii hai… I'am feeling better.. mujhe koi dard nahii hai.. tho mujhe injection kii koi zaroorat nahii hai…
Nurse:- mujhe doctor ne kaha tha kii main aapko yeh injection doon.. yeh unka order hai sorry… main kuch nahii kar sakthi…
Yash:- dekhiye maine kaha na mujhe injection kii koi zaroorat nahii.. aap samaj kyun nahii rahii hai…
Nurse:- dekhiye yeh meri duty hai… aur aap mujhe meri duty karne se nahii rokh sakthe hai…
Yash ko samaj nahii aatha kii woh kya kare.. woh bas itna jaantha tha kii woh abhi injections nahii lagwayega….. tho yash ko suddenly ek idea strike hotha hai.. aur woh nurse se jhoot boltha hai….
Yash:- nurse actually abhi bas ek ghanta pehle hii aapki woh student trainee mujhe injection laga kar gayi thi…
Nurse is still doubtful so she says:- kaunsi student trainee…
Yash:- arre wohii aapki sabse honhaar student trainee chah jii.. unhone mujhe pain killer ka ijection lagaya tha…. Issi wajah se tho main keh raha hoon kii mujhe injection kii koi zaroorat nahii hai.. [yash yeh kehtha hai… with a innocent look on his face..]
Nurse believes yash's innocent face.. and says:- ohhh.. tho chah ne aapko injection laga diya tho phir tho koi baat nahii hai jii…. Aap bas rest karo…
The nurse leaves & yash breathes a sigh of relief aur woh sochtha hai:- Thank God… Bach Gaye.. lekin ab jab chah aayegi mujhe usse kehkar injection tho lagwana hii padega warna agar senior doctor ko patah chalega kii na nurse ne nah ii chah ne mujhe injection lagayi hai tho woh un dono par ghussa karenge…
Ab dekhthe hii dekhthe the next two hours pass.. yahaan chah decides to have her food with yash.. tho aaj she packs what she likes with a hope that yash likes it too… woh angad se tho poochna hii bhool gayii kii yash ko kya pasand hai.. tho bas chah is taking the parcel of the food which she likes.. chah kudh bhii nahii samajthi kii aakhir kyun she decides that she will have her food with yash… chah ko kabhi khana akele khana pasand nahii hotha hai.. & today she has no company, so she concludes that, issi wajah se uske dil mein yash ke saath khane ka khayal aaya hai… chah brushes off these thoughts from her mind.. then she collects her parcel.. & this time again she starts walking towards the medical camp area..
Yahaan yash joh kii kamre mein baite hue, aur angad ka intezaar karthe hue bore ho gaya tha.. he decides to go out of the tent & just stroll around… yash slowly taking small steps starts walking… he is feeling weak because ek tho uska accident hua tha, aur upar se usne kuch khaya bhii nahii tha theek se… but phir bhi yash continues to walk around… yash ka pain bhi increase ho raha hotha hai as he did not take the pain killer injection.. yash ignores all of tha & keeps enjoying his walk.. aise hii kuch pachees minute guzar jaathe hai.. tabhi achanak yash's legs don't take him any further, the beautiful view around him starts going round & round.. & finally yash looses his balance & falls on the ground unconscious.. yash ko jahaah fore-head par chot lagi hothi hai wahiin par yash ko dubara chot lag jaathi hai.. & blood starts flowing out.. tabhi achanak the senior doctor comes out & sees yash lying there unconscious…. He calls the helper guys, & others for help… they get some water aur yash ke chehre par they sprinkle the water… during this commotion even she reaches there.. aur yash ko aisi haalat mein dekhkar pareshaan ho jaathi hai woh samaj nahii paa rahii hothi hai kii yash ko yun achanak se kya hogaya… because jab woh chal kar aa rahii thi from a distance she could see yash walking around… & by the time he neared the camp usne yash ko behosh dekha…. As people there sprinkle water on yash's face.. yash apni aankhein kholtha hai.. & looks at everyone… aur un sab mein he even sees chah, jiska chehra woh dekhne k elite bechaine hue jaa raha hai.. yash sees kii chah is looking very pareshaan.. tho he gives chah a weak smile..
Tab Doctor Kapoor asks him:- how are you feeling Mr. Yash.. kya hogaya aapko…
Yash:- I'am fine doc.. woh shayad maine kal se kuch khaya nahii tha issi wajah se chakkar aa gaya hoga.. warna tho I'am fit as a fiddle..
Doctor Kapoor:- kya aap ne kal se kuch nahii khaya… aapki incharge trainee Miss. Mehra hai na…
Chah:- yes sir I was his incharge trainee…
Doctor kapoor:- Miss. Chah Mehra how could you be so careless… patient ke health se lekar uske food kii zimedaari aapki hai.. maine aap se yeh umeed nahii kii thi… this is absolutely incorgible… irresponsible behavior by you… I never expected this from you… agar aapki care mein patient ko kuch ho jaatha hai tho iske zimedaar koi bhi aapko nahii samjega, because you are just a trainee… sab mujhe zimedaar samjenge.. aur aapki wajah se mere career par ek black spot lag jaatha… yeh kya baat hui Miss. Mehra, agar aapko itna hii careless rehna tha tho aap kabhi medial jaisa profession lethi hii nahii.. what you have done is not correct…
Chah ko tho samaj nahii aa raha hotha kii woh aakhir kya kare.. kyunke is baat mein uski koi ghalthi nahii thi agar yash nahii khana chahtha ho.. jab kii chah uske liye ek proper healthy meal lekar aayi thi… chah ko is baat se aur bhi zyada bura lag raha tha kii uske senior doctor usse sabke saamne daant rahe hai.. aur woh kuch keh bhii nahii sakthi thi.. yahaan dusari taraf yash ko bohat bura lag raha hotha hai kyunke uske wajah se chah ko daant padd rahi hai… yash tries to intervene & he says:- excuse me doc… is mein chah jii kii koi ghalthi nahii hai.. darasal chah jii mere liya khana lekar tho aayi thi… lekin mujhe khane ka mann nahii hua, issi liye I did not eat….
Ab yash kii baat sunnne ke baad the doc knows kii woh bina wajah chah par chilla raha tha, par phir bhi he does not want to admit his mistake tho woh kehtha hai:- nahii Mr. Yash, ghalthi phir bhii Miss. Mehra kii hii hogi kyunke yeh unki zimedaari thi kii aap theek se kha le.. aur woh apni responsibility theek se nahii nibha paayi…
Chah just stands there with her head hung down… kyunke woh apne aasoo kissi ko dikhana nahii chahthi thi.. woh kissi ko yeh dikhana nahii chahthi thi kii woh kamzor hai.. lekin chah ke aasooyo yash ne dekh liye the.. aur chah ke aankhon se nikli hare k bhoond yash ko bohat takleef de rahe hothe hai.. lekin at that moment yash kuch nahii karr saktha tha.. kuch bhii nahii..
Then yash gets up… while others help him.. tab yash has that shooting pain.. and then doctor asks kii if yash was given his pain killer injection… the nurse jisse yash ne jhoot bola kii chah ne usse injection diya hai, woh keh dethi hai kii chah has given yash the injection.. tab the doctor asks chah.. tho chah replies kii usne kal raat diya tha… now the doc gets further angry.. as yash ko aaj bhi do dose of injection deni zaroori thi.. one around 12 or 1 in the afternoon & one in the night.. now again the doc takes his anger on chah, as she was his easy target.. aur woh kuch bhi wapas bolthi bhii nahii hai.. then the doctor warns her kii atleast now she should do her work properly… & he assigns yash's case to chah again & calls chah useless & walks away from there.. everyone disperses from there.. bas yash aur chah reh gaye hothe hai wahaan… chah turns the other way round to yash & she wipes away her tears… and then with a fake smile turns back to yash… & says:- tum apne tent main jao.. main aathi hoon bas paanch minute mein… tabhi achanak chah sees the cut on yash's fore-head…. She touches the cut immediately… & says:- Ohh.. My God… yeh kaise hogaya…. You should have been more careful right… chaliye aap mere saath main wound kii dressing change kar dethi hoon aur agar stitches karne hai tho woh bhi kar dethi hoon… yash then slowly holds onto chah's arm & walks towards his tent… yash was feeling very weak so he takes chah's support.. & chah knows this & that's why she does not mind yash's gesture.. they reach yash's tent.. chah's helps yash to lie on the bed..
Then chah opens the small bandage on yash's fore-head & examines the chot joh yash ko abhi girne kii wajah se lagii hai…. Yash holds chah's hand tightly because yash ko dard ho raha hotha hai… chah looks into yash's eyes when he holds her hand… she then sees the wound & says:- Mr. Yash… mujhe aapko stitches lagana hoga…. I think minimum of four stitches…
Yash makes a face which is like are you mad aur woh kehtha hai:- no waayyy… main stitches nahii lagwa raha hoon… aap bas us chot par bandage kar dijiye, I'am sure uske baad sab theek ho jaayega..
Isse pehle kii chah kuch bol sake angad enters the tent.. aur uski nazar bhii yash ke fresh wound on his fore-head par jaathi hai.. angad bhii pareshaan ho jaatha hai.. aur woh kehtha hai yash se:- kya yaar yash tujhe kya zaroorat thi tent se bahar jaane kii.. dekh ab tujhe chot lag gayi na… agar mujhe patah hotha kii tu aise karega tho main tujhe chod kar hii nahii jaatha.. yeh tho achcha hua kii ab jaldi aagaya..
Yash:- angad chill.. chotti sic hot hai.. itna panic matt kar.. aur dekho chah jii keh rahii hai kii mujhe stitches lagayengi.. samja na inhe kii yeh tho mamooli si chot hai.. mujhe kissi aur cheez se aur dard hua hai un choton ke dard se bhi zyada…
Angad:- dekh yash agar chah jii keh rahii hai tho sahii hii keh rahii hongi… please zidd matt kar…
Yash:- Angad main sach mein keh reh hoon kii main isse stitches nahii lagwaoonga..
Angad:- yash dekh tu zidd matt kar..
Yash:- common angad she is not even a doctor.. [yash yeh baat isliye nahii kehtha kyunke he thinks chah is incapable but he says this just to evade the stitches kii baat.. he thought agar woh
Aisa kahega tho chah usse stitches lagwa ne kii baat ko chod degi…]
Chah who is getting irritated by all this tells angad:- dekhiye aap zara apne dost ko samjhayiye… agar yeh nahii mane tho mujhe inhe anesthesia dena padega…
Yash:- main bhi dekhtha hoon kaise haath lagathi ho tum mujhko…
Chah:- dekhiye Mr. Yash aapki wajah se bina baat ke main pehle bhi daant kha chuki hoon.. aur ab main ek aur baar daant nahii khana chahthi hoon.. tho please… agar aap chahthe hai kii mujhe daant na pade apne senior doctor se tho stitches karwa lijiye… aur dekhiye main jaanthi hoon kii aap stitches ke liye is liye mana karr rahe hai kyunke aapko injection, needles se darr lagtha hai.. lekin I assure you kii jab main aapke stitches karoongi tho yeh dhyaan mein rakhoongi kii aapko thoda bhii dard na ho.. pleaseee…
Chah kii baaton se yash ka dil pigal jaatha hai.. he stares at chah wondering kii kis tarah chah uske mann ke darr ko itni aasaani se samaj gayi… & then he says:- theek hai… aap keh rahii hai tho theek hai.. lekin haan please dhyaan rakhiye kii zyada dard na ho.. kyunke agar dard hua tho main bachchon jaise cheekne lagoonga…. [yash says this in a very sweet & childish manner keeping a cute face… ]
Chah smiles at him & starts doing her work while yash keeps staring at chah…. Aur yahaan angad realizes kii woh apna mobile hotel mein hii chod ke aaya hai.. tho he tells yash & chah kii
he will return in a while.. & angad asks chah to stay with yash until he returns… angad leaves… yash aur chah akele hothe hai.. chah is doing her work.. every time yash winches in pain chah ko bhii dard hotha hai.. & yash can see his pain on chah's face… yash thinks to himself kii they will make very good friends.. if ever they become friends… and yash even in the pain smiles….

With this "Hogi Pyaar Kii Jeet- Part 15" ends.. I hope all of you liked it.. if anyone of you feel that it's draggy please do let me know.. & if you did not like it please feel free to tell me that too…

Preview For The Next Part:- Masti In Manali… shuruwaat ek naye dosti kii.. kya yeh dosti harr toofan mein qayam rahegi… bas yahii dekhna hai….

Ab yeh jaane ke liye kii kahani agge kaunsa modh legi.. yash aur chah kii zindagi mein unke dono kii dosti aur pyaar kii lehar aakhir kaise aathi hai.. un dono ke beech aisa kya hua kii aaj woh dono ek dusare se alag.. yeh aur kayi aur sawaalon ke jawaab jaanne ke liye padhthe rahiye aur wait kijiye "Hogi Pyaar Kii Jeet" ke next part ka…

Hope all of you liked the part.. I'll be eagerly waiting for your comments, suggestions.. & even if you have something to criticize please feel free to do so.. your comments help me improve as a writer..

I have written about 13,001 words.. hope all of you enjoyed reading it…. I'll surely try & post the next part soon.. & once again I'am sorry for the delay….. waiting for your comments damn eagerly…..

Love
Surya..😳
Edited by sun_423 - 15 years ago
spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
res

hey dear very nice part...............yash is really very very very ziddi and behaves like a kid.....................god how much he was arguing with angad to get discharged from the hospital...................just coz chah didnt come and check his condition and he got angry on kripa for no reason.............and angad and kripa they are like tom and jerry.................wothout arguing with each other their day never goes................and yash is missing chah and wants to be friends with her................chah is controlling her feelings and distractions coz of yash but she cant stop herself from thinking about him continously...............poor chah coz of yash who is scared of injections and doesnt want anyone else to inject him chah ko daantt padi...............the lst part was so sweet................chah feels yash's pain and seeing her expression yash smiles though its paining for him.....................cant wait how they get friends and how yash falls in love with her......cont soon dear.....................
Edited by spvd - 15 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: cute_samrah

COOL PART...................................



thanku so much..i'am glad you liked the part..😊
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 15 years ago
Nice part !
Thoda fast forward karo na story ko....i want them together soon!!
Luv,
Vandu
Sumi_162710 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
That was a nice one.....ye Yash ko needles se itna darr kyun lagta hai...hehe. Poor Chah got scolded....but I hate that senior doc....Yash k kehne k bawjud Chah ko danta....stupid kahin ka....huh!!! W8ing to c how Yash got her frndship. Pls continue soon.
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: ravikaran2009

awesome part..loved it..



thanku so much... i'am glad you liked the part...😊

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: zajedno · 2 months ago

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 5 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: heavenlybliss · 6 months ago

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: MidnightLibrary · 11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".