Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 58

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.4k

Users

54

Likes

415

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: goodkashish

hey suri...sabse pehle i am really really sorry....aur waje tum janti ho ki maine abhi tak comment kyun nahi ki...is bar pehli hi mafi mangti hoon ki choti comment likh rahi hoon lekin aage se badi wali likhungi thik hai....dono hi parts bahot hi achche the...👏..well hamesha ki tarah chah aur yash apni feelings ko leke confuss hi hote hai aur shayad aisa hona normal hai....aap kisi ko milte hai dil me ek ajeeb sa khayal aatta hai lekin phir us waqt hume pata nahi chalta ki yeh pyaar hai ki sirf ek kamzor lamha..agar pata chal jaye ki yeh pyaar hai to zindagi jannat hai 😉aur na chale to pyaar ke durr hone pe zindagi jahnum😭.....waise i always love kripa n angad...i think they fit best for these kind of roles....always doing arguments n fights..😆.😆..my only wish for this ff is that chah needs to realise that she is hurting herself not going to her love more on to ..she is hurting limitless to yash for not completing his love story.....i will wait for more n more until their confession.😳..ple post next part soon....waiting eagarly for it...thanks for pm...

love
kashish



kashu thanku so much... i know you were busy.... it's ok.. no probs.. i'am more than happy that you commented.... i'am glad that you liked both the parts of the fanfic... fikar not kashu in the next part you will see chemistry yash & chah... unki dosti, aur ek tarfa pyaar bhi dekhne milega.. & very soon in the 17th part we will have a marriage proposal.... & i'll surely try & continue soon..😊

nidha1983 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
Hi dear!
How R U
!
I Wish u r Gud
!
woah dear
its really mind-blowing superb updateso at last u updatedno AR plz continue it soon & thanks for the pm Luv u

"I miss your touch Ridzi (Shilpa),
The smile on you face and the sound of your voice so sweet,

I love as the day ends, to lie in each others arms,
To kiss you and to feel your heart beat.

I love to feel you in my arms as you sleep so peaceful and sweet,
The warmth of your body, the smell of your perfume,
And to feel your heart beat, t
o see you in the night,
In the light of the moon for you are so beautiful.

Your love, your warmth, your laughter,
Your touch fills my heart so full.

My one desire is to love you so much that
You never have doubt t
he love that,
I feel for you is so overpowering that at times I want to shout.

I want to shout out that I love you Ridzi and I adore you,
I want the world to hear me praise and love for you Ridzi.
I wish that I could lift you to the stars above,
I know that you were sent by God to me with love,
I adore you not only for only your beauty,
But for what you have shared with me; your love,

You are a beautiful person whose inner beauty is like,
That of an angle from above.

Together we have stood for each other,
I can only love you and never another.
Please know that I love you for all that you are
And all that you give,
I promise to love you,
Hold you, adore you and praise you for as long as I live.

I love you Ridhima (Shilpa)"






Nidha
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: nidha1983

Hi dear!
How R U
!
I Wish u r Gud
!
woah dear
its really mind-blowing superb updateso at last u updatedno AR plz continue it soon & thanks for the pm Luv u

"I miss your touch Ridzi (Shilpa),
The smile on you face and the sound of your voice so sweet,

I love as the day ends, to lie in each others arms,
To kiss you and to feel your heart beat.

I love to feel you in my arms as you sleep so peaceful and sweet,
The warmth of your body, the smell of your perfume,
And to feel your heart beat, t
o see you in the night,
In the light of the moon for you are so beautiful.

Your love, your warmth, your laughter,
Your touch fills my heart so full.

My one desire is to love you so much that
You never have doubt t
he love that,
I feel for you is so overpowering that at times I want to shout.

I want to shout out that I love you Ridzi and I adore you,
I want the world to hear me praise and love for you Ridzi.
I wish that I could lift you to the stars above,
I know that you were sent by God to me with love,
I adore you not only for only your beauty,
But for what you have shared with me; your love,

You are a beautiful person whose inner beauty is like,
That of an angle from above.

Together we have stood for each other,
I can only love you and never another.
Please know that I love you for all that you are
And all that you give,
I promise to love you,
Hold you, adore you and praise you for as long as I live.

I love you Ridhima (Shilpa)"






Nidha



thanku so much nidha... i'am glad you liked the part.... i'll surely try & continue soon..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
silent readers please leave a comment..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
guys if you can't comment then please at least like the post..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Next part coming up in 5 minutes..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Hello People…. How are you…. I hope all are doing good.. first of all I'am sorry that I'am continuing after a time gap of almost a month… actually the point was that I had my internals & externals the whole of November…. Abhi bas November 30th ko mera last paper tha but it got canceled because of a bandh in my city.. apart from that I could not post in the month of November because I had to submit my Management Thesis – 1 & present it in front of the committee…. The good news is that my thesis has been approved.. marks kitne mile hai woh tho main nahii jaanthi hoon, I just hope I get good marks in my thesis & my exams… keeping mt fingers crossed… I'am really very sorry… Guys I know many of you are finding this fanfic boring, draggy, I'am really sorry for that too… I promise all of you that in the 16th part the flashback ends & after the flashback begins a new life.. a leap of an year is about to come which will be followed by a marriage proposal.. but for all that to follow the 16th & the start of the 17th part is very vital… I hope I don't disappoint you guys further… thank you so much for the comments & it is a request to the silent readers please do write a single word comment or you can even like the post… & I hope all are receiving my pm's when I'am updating the fanfic, if anyone of you are not receiving it please do tell me so that I can add you to my buddy list… sorry once again for the delay… ab meri baatein bohat hogayi hai let us carry on with the fanfic… lekin aisa karne se pehle chaliye ek nazar daalthe hai recap par..

Recap:- Well in the last part we saw kii yash aur chah ke dil mein ek ajeeb si khasmakash chal rahii hothi hai…. Unke dil mein kya ho raha hai yeh baat tho woh kudh bhi nahii jaanthe… un dono ka haal aisa tha kii unka dhyaan kahiin hai aur dil kahiin aur…. We also saw kii yash chah ko ek nazar dekhne ke liye, besabar hua jaa raha hai.. lekin dusari taraf chah hai kii yash ko avoid karne par hii tuli hui hai… aur yeh baat yash ko bilkul pasand nahii aathi.. pasand bhii kaise aathi after all he has been waiting to see chah, aur ab woh nahii aayegi tho humare pyaare hero ka mood tho off hoga hii na… humne yeh bhi dheka kii yash aur kripa kii mulaqaat hui, jahaan yash ne apni irritation ka shikaar kripa ko banaya… angad tho chah kii tareef karthe nahii thak raha hai… then we also see kii chah comes back to her hotel along with angad, kripa, aur woh dono tho chup rehne ka naam hii nahii lethe.. they keep on fighting & chah scolds both of them… finally angad kii request par chah yash ke liye khana le jaathi hai & she decides to eat with yash, as she feels kii may be he would need company while eating… dusari taraf yash strolls out of his tent & all of a sudden feels weak & gets unconscious.. is wajah se chah ko daant padthi hai… yash tries to explain to the doc that it is his fault but the doc does not listen… aur aakhir mein humne dekha kii yash stitches lagane se inkaar karr raha hai because he fears injections… chah explains to him kii usse dard nahii hoga.. aur chah ke chune se yash ko wakayi mein dard nahii hotha.. chah ko yash ke dard se dard ho raha hotha hai aur yash wants to smile in his pain just for chah… ab chaliye agge badhthe hai aur dekhthe hai kii Hogi Pyaar Kii Jeet 16th part mein kya hoga…..

*****Hogi Pyaar Kii Jeet – Part 16*****


Chah dekhthi hai kii yash is smiling so she asks him:- aap muskura kyun rahe hai…
Yash apni khwabon kii duniyaan se bahar nikaltha hai aur kehtha hai:- nahii kuch nahii… main kaha muskura raha tha…
Chah:- nahii aap muskura rahe hai….
Yash:- nahiii main tho bas aise hii… koi baat nahii hai…
Chah:- ajeeb baat hai yahaan main aapko stitches laga rahii hoon aur aap muskura rahe hai.. jahaan thak maine dekha hai stitches lagathe waqt zyada tar logon ko dard hotha hai.. lekin aap tho iska ulta karr rahe ho jab ki aap jaise logon ko tho sabse zyada dard hotha hai..
Yash raises his eye-brow & asks:- hum jaise logon se kya matlab hai aapka…
Chah:- mera matlab hai kii jin logon ko yeh injections phobia hotha hai un logon ko injection se aur stitches se behad darr lagtha hai…. Aap thode alaf kisam ke insaan hai…
Yash:- aap ne sahii kaha main auron se alag hoon.. mujh jaisa shaks aapko dhoond ne se bhii nahii milega.. aur rahii baat mere muskurane kii tho aap hii ne tho kaha kii main aapko dekhun aur mujhe dard nahii hoga tho bas main wohii karr raha hoon.. aur sahii kaha tha aapne mujhe bilkul bhi dard nahii hua…
Chah is lost in yash's words usse samaj mein nahii aatha kii woh kya kahe… but still she composes herself & says:- yeh lijiye aapke stitches bhi ho gaye aur maine bandage bhi laga dii… main aapko ek skin ointment de doongi aap usse use kar lijiye bandage nikal ne ke baad….
Yash touches his fore-head jahaan usse chot lagi hai and he says:- hogaya.. itni jaldi ho gaya… mujhe tho patah hii nahii chala.. thank you doc…
Chah:- yeh tho mera kaam hai Mr. Yash aur waise shayad aap bhool gaye hai main koi doctor nahii bani ab thak… shayad agle chalkar banu ya phir na banu kisse patah… aur aapne hii tho kaha tha kii main koi student trainee se treatment nahii karwa raha hoon..
Yash chuckles & says:- us baat ko aap abhi thak bhooli nahii.. woh baat kehna meri ghalthi thi… main ab daawe ke saath keh saktha hoon kii agar koi aur doctor bhii meri treatment kartha tho woh bhi itni achchi tarah se nahii karr saktha tha.. aap jaanthe hai kyun…
Chah slowly asks:- kyun…
Yash:- kyunke aapke treatment ke saath aapne apna apnapann bhi milaya hai… aur is apnepann kii wajah se main jaldi theek ho jaaunga.. dekhna aap…
Chah:- aap itni baatein kyun karthe hai… mujhe tho lagtha hai kii aapko apni kuch baatein har aanewale kal ke liye bacha kar rakhna chahiye..
Yash:- main itni saari baatein isliye kartha hoon kyunke mujhe baatein karna achcha lagtha hai.. aur mere khayal se hum sabko aaj mein jeena chahiye… beeta hua kal guzar gaya hai, aane waala patah nahii kya dikhayega, humein tho yeh bhi patah nahii kii kal kya hoga.. tho issi liye sabse achcha idea hai aaj mein jeene ka..khulkar jeene ka… apni dil kii har baat kehne ka bina kuch soche aur bina kissi kii parwah kiye…
Chah:- aapki philosophy bohat hii interesting haan lekin haan ek baat hai zindagi mein kuch baatein aisi hothi hai jisse hum kabhi bhi chutkara nahii paa sakthe.. aur hum chahe bhi tho hum kabhi nahii kar sakthe.. kuch ateet ke paano par likha hua dard nasoor bannkar hamesha dil mein hii bastha hai.. [chah's voice has a lot of pain when telling this..]
Yash ko chah kii baaton se samaj aajaatha hai kii something has happened in her past jis wajah se woh apni aaj kii zindagi ko khulkar nahii jee rahii hai.. yash says:- dekhiye main jaantha hoon kii ateet ke kuch baatein kabhi humara peecha nahii chodthi, lekin humein ek baat samaj ni chahiye kii joh guzar gaya woh ateet tha, aur joh aayega woh aane waala kal hai aur in dono par humara ko bas nahii.. agar humara bas chaltha hai tho woh sirf aur sirf humare aaj par… aur humein us ateet ya phir aane waale kal ke liye humare aaj ko barbaad nahii karna chahiye… aur agar hum aaj khush rahenge tho humara kal bhi khushhaal hii hoga.. aur kal jab aaj ateet banega tho sab muskurayenge kyunke ateet mein woh khush hai.. aisa karne se koi dukh humein kabhi gher nahii sakthi.. hum hamesha muskurayenge aur jeet sirf humari hogi..
Chah:- aapke liye jeet aur haar bohat mayine rakhthi hai.. main jaanthi hoon kii joh baat aap mujhse keh rahe hai kuch hadh thak sahii hai lekin aap tab kya karenge jab aapka woh ateet nasoor bannkar hamesha aapke dil mein rahe.. hamesha, har waqt kaante kii tarah aapko chube.. tab tho mujhe muskurane kii koi wajah nazar hii nahii aathi hai… shayad mere dil mein joh ghum hai woh kuch aisa hii hai… jaise na main usse apne andar se nikal sakthi hoon nah ii us ghum ke saath agge badh sakthi hoon…
Yash:- lekin..
Isse pehle kii yash agge kuch bole chah cuts him & says:- chaliye ab aap chodiye in baaton ko main chalthi hoon…..
Yash knows kii chah topic ko divert karna chah rahii hai.. so he decides kii he too will help her with that.. & he says:- aap itni jaldi chali jaayengi.. [yash makes a sad face…]
Chah:- haan mujhe tho jaana hii hoga na agar main nahii gayi tho woh mere senior doc aaj mujhe chodenge nahii.. waise bhi main bina baat ke daant kha chuki hoon woh bhi aapki wajah se.. [chah mazaak mein kehthi hai..]
Yash:- I'am so sorry for that.. mujhe agar patah hotha kii mere aise bahar jaane se aapko daant padthi to main kabhi nahii jaatha… main yeh kabhi nahii chahoonga kii kabhi bhi aapko koi bhi kuch kahe aur woh bhi meri wajah se tho aaj ke baad kabhi aisi naubath hii nahii aayegi..
Chah:- koi baat nahii… waise sahii kaha aap ne aaj ke baad aisi naubath kabhi nahii aayegi kii koi aapki wajah se mujhe kuch kahe.. kyunke aaj tho aapka yahaan aakhri din hai na.. kal aap yahaan se chae jaayenge…
Yash:- haan main yahaan se chala tho jaaunga lekin kya yeh humare is mulaqat ka anth hai.. nahii mujhe tho nahii lagtha.. mere khayal se hare k mulaqat mein ek choti si kahani chupi hui hothi hai…. & I'am sure aapki aur humari bhi koi na koi kahani tho zaroor hogi…
Chah:- aapko lagtha hai kii aapki aur meri kahani hogi.. mujhe tho nahii lagtha.. ek kahani ke liye do shaks ka baar-baar milna zaroori hai, aur mujhe nahii lagtha kii kal ke baad aap aur hum kabhi bhi milenge.. khair chodiye.. apni apni soch kii baat hai…
Yash smiles & says:- haan chodiye aapki soch ko main ghalat nahii keh saktha hoon.. aur na hii meri soch ko jhutla saktha hoon.. tho dekhthe hai kii zindagi agge chalkar kya rang dikhayegi…
Chah:- ok… abhi mujhe jaana hai.. agar aapko kissi cheez kii zaroorat ho tho aap nurse ko awaaz de dijiyega woh yahaan aapke next tent mein hii hai….
Yash:- lekin aap jaa kyun rahii hai..
Isse pehle kii yash apni baat ko poori bhi kar paatha chah wahaan se chali gayi hothi hai.. aur yahaan yash murmurs to himself:- mujhe agar kuch chahiye tho woh hai tumhari company… aur tum ho kii mujhse durr bhaag rahii ho.. ab yeh angad kahaan reh gaya mujhe tho achchi khasi bhookh lag rahii hai.. kal raat se kuch khaya nahii.. phir yash kudh ko daanthe hue kehtha hai.. aur kar nautanki yash.. kal jab woh bechari chah tere liye healthy food le aayi thi tab tho tu bohat akad raha tha.. ab bhuktho.. ek tho bhook ke mare dimaak kharaab ho raha hai.. aur tho aur company bhii nahii hai mujhe.. ab baito akele yash… uffffff.. boring…
Yash sits there for about five minutes & then suddenly uski nazar tent ke opening ke pass jaathi hai tho he sees that chah is standing there with a smile on her face… yash thinks kii it is just his imagination aur chah wahaan nahii hai… yash turns the other way round & again looks back & even this time he sees chah there… yash squeezes his eyes & sees lekin uske aankhon ke saamne se chah kii image was not going away…
Chah is surprised kii aakhir yash karr kya raha hai… so she walks over to yash & says:- excuse me Mr. Yash aap kya karr rahe hai…
Yash:- tum sach mein yahaan ho..
Chah is surprised & she says:- whattt…
Yash realizes kii chah sach mein wahaan uske pass hai, so he fumbles a little bit & says:- sorry mera matlab tha kii aap phir se yahaan kaise…
Chah:- woh kya hai na mujhe lunch karni thi.. aur mujhse lunch akele nahii kiya jaatha tho main aapki company ke liye yahaan aagayi…
Yash:- ohhh achcha kiya aapne.. waise bhi main yahaan akele bore ho raha hoon.. [yash apne mann mein kehtha hai:- ab main isse kaise kahun kii mujhe bhii bhook lagi hai aur ye apna lunch mere saath share kare..]
Chah:- theek hai… main wahaan baithi hoon… chah goes there & sits.. she starts putting the food on the plate.. & she says:- Mr. Yash kya aap mere saath mera lunch share karna chahenge…
Yash:- nahii Chah jii aap apna lunch kijiye… main aise kaise aapje lunch se kha saktha hoon.. aap meri fikar matt kijiye main angad se keh doonga woh mere liye kuch la dega…
Chah:- okk..
Yash turns his face away.. yahaan chah smiles at yash & his attitude kyunke she is able to make it out from his face kii yash ko kitni bhookh lahi hai… she puts the food.. walks to yash.. & says:- Mr. Yash yeh lijiye aapka lunch… yash turns towards chag with surprise & says:- nahii chah jii it is ok.. main angad se keh doonga..
Chah:- Mr. Yash main yeh khana aapke liye hii laayi hoon.. woh Mr. Angad ne kaha tha kii main jab wapas camp aathe waqt aap ke liye bhi lunch le aaun.. issi liye maine apne saath saath aapka bhi lunch pack karwa liya…
Yash:- [he is surprised but he says] aap mere khana le aayi… thank you chah jii…. Yash takes the plate from yash's hand….
Yash:- chaliye chah jii ap bhi apna lunch plate mein daal lijiye.. phir hum shuru karthe hai..
Chah:- ok…
Chah then walks to the chair apne liye khana daalthi hai plate mein & she both yash & chah start to eat….
Lekin yash ko bilkul achcha nahii lagtha.. kyunke chah has bought a Chinese noodles with sauce… yash does not like Chinese food par phir bhi because chah has brought him the food he decides to eat it aur waise bhi usse bhook tho lagi thi…
Chah says:- waise Mr. Yash I hope aapko yeh khana pasand ho.. woh kya hai na darsal main Mr. Angad se poochna bhool gayi kii aapko kya achcha lagtha hai…. Issi liye mujhe joh achcha lagtha hai main woh aapke liye le aayi.. I hope aapko pasand tho hai na yeh Chinese food…
Yash looks at his food joh woh aadhe mann se kha raha tha.. then he looks at chah who is looking at him waiting for his reply… he says:- haan chah jii mujhe tho Chinese bohat pasand hai…
Yash mann mein soch tha hai:- yash tut ho gaya.. ek ladki ke liye tu woh khana kha raha hai joh tujhe bilkul pasand nahii.. lage rahe…
He comes out of his thoughts when he hears chah talking:- Thank God aapko yeh khana pasand hai.. actually main aapke liye Chinese food isliye le aayi kyunke it is less spicy… tho is wajah se aapki healt par bhi bura asar nahii padega.. kyunke ek patient ko zyada spicy khana suit nahii kartha..
Yash:- not a problem chah jii.. waise bhii I love Chinese food… yash chup-chaap kha raha hotha hai even if he does not like the food… dono hii aise hii chup ho jaathe hai.. to break this silence yash, chah se poochtha hai:- tho chah jii aap kya ro yahiin camp mein apna lunch lekar aathi hai aur yahaan par khathi hai..
Chah:- nahii actually roz tho main wahiin hotel mein hii kha lethi hoon.. aaj main yahaan thodi jaldi aa gayi hoon.. warna mera break time over hone mein abhi aur 45 minutes hai…
Yash:- ohhh.. aap jaldi aayi hai aaj… kya main jaan saktha hoon kii aaj aap yahaan jaldi kyun aayi hai..
Chah:- woh maine socha kii main aapko company doon lunch ke liye.. isi wajah se main aapka aur mera lunch pack karwa kar yahaan jaldi aa gayi..
Yash:- tho aap humare liye aaj yahaan jaldi aayi hai… tho kya main jaan saktha hoon kyun.. hum aapke hai kain.. [yash yeh baat badi hii flimy andaaz mein kehtha hai..]
Chah looks at him laughs & says:- mujhe lagtha hai kii aapko films bohat pasand hai..
Yash:- haan mujhe films dekhne bohat achche lagthe hai… lekin aapko yeh baat kaise patah chali…
Chah:- kyunke aap kabhi kabhi flimy dialogues bol lethe hai.. jaise kuch time pehle aap hum tum movie ka woh dialogue bol rahe the kii aapke aur mere beech koi na koi kahani zaroor hogi… aur abhi aap ne hum aapke hai kaun movie ke andaaz mein poocha kyun hum aapke hai kaun.. in baaton se mujhe samaj mein aagaya kii aap zaroor flimy kisam ke insaan hai..
Yash:- flimy hone mein koi kharabi hai kya… kya aapko movies pasand nahii..
Chah:- nahii flimy hone mein koi kharabi nahii hai.. woh tho bas ek andaaz hai zindagi ko jeene ka.. aur sab ko hii yeh adhikaar hotha hai kii woh waise jeeye jaisa woh chahthe hai.. aur phir agar hum hamesha society kii soch kar jeeyenge tho humein yeh society chaine se jeene nahii degi… tho humein waise hii jeena chahiye jaisa humara dil kehtha hai.. aur rahii baat kii kya mujhe movies pasand hai, mujhe movies utni achchi nahii lagthi… main apne free time meinapne family ke saath rehthi hoon ya phir novels padthi hoon.. I enjoy the most jab meri family, mere apne mere saath ho..
Yash:- aap kii baaton se tho mujhe aisa lag raha hai kii aap apne family aur apno ke behad kareeb hai..
Chah:- sahii kaha aap ne… bohat kum log hai is duniyaan mein joh mere apne hai… aur woh mere liye bohat khaas hai.. aur mere joh sabse zyada kareeb the unhe meri adar nahii thi.. tho ab joh mere apne hai, jinhone mujhe sambhala wohii meri duniyaan hai… aap apni family ke kareeb hai..
Yash:- haan main apni family ke kareeb hoon… lekin kabhi kabhi family mein kuch log aise bhi hothe hai joh humein achcha nahii lagthe.. mere ghar mein mere apno ke saath kuch log aise bhii hai jinse main nafrat kartha hoon.. lekin never mind un logon ke bare mein soch kar mujhe kuch bhi milne tho nahii waala hai… aur agar main un logon ke bare mein sochoonga tho mera hii mood off hoga.. so it is better we don't talk about them..
Chah:- jaisa aap chahe.. waise bhi mere break mein abhi aadha ghanta baaki hai tho mujhe jaldi khana hoga…
Yash:- dekhiye kehthe hai kii khana jaldi khane se theek se digest nahii hotha hai… aap tho doctor hai aapko tho yeh baat patah hogi na…
Chah:- main abhi doctor nahii bani hoon…
Yash:- haan mujhe patah hai lekin as a student trainee bhi aapko yeh baat tho patah hii hogi na…
Chah smiles & says:- haan mujhe patah hai.. lekin time ho raha hai na issi liye main keh rahii thi kii main jaldi khana khatam karke nikalthi hoon..
Yash:- dekhiye aap fikar matt kijiye agar aap dheere dheere bhi khayenge tab bhi I think aap aadha ghanta tho nahii lene waali hai na aapne khana khatam karne ke liye..
Chah;- hmm… baat tho aap kii sahii hai..
Yash:- tho bas abhi aap dheere dheere khayiye…
They are quite for two minutes.. yash se yeh baat bardhast nahii hothi aur woh kehtha hai:- tho chah jii aapko kya pasand hai..
Chah:- aap meri p;asand kyun jaan na chahthe hai Mr. Yash..
Yash:- kyun aapki pasand jaanne mein kya burayi hai…
Chah:- nahii Mr. Yash burayi tho koi nahii hai.. bas main aap se yeh jaanna chah rahii hoon kii aap meri pasand jaan kar kya karenge..
Yash:- kuch nahii karunga… bas aise hii jaan na chahtha hoon… agar aap batana nahii chahthi tho it is absolutely ok..
Chah:- Mr. Yash aapko yeh baat patah hai kii khana khate waqt baatein nahii kiya karthe… aur aap tho kuch hadh se zyada hii bol rahe hai..
Yash:- ohhhh.. is it so.. sorry.. main ab bilkul nahii bolunga.. [yash ab chup ho jaatha hai.. he just does not say anything.. but is baar chah se raha nahii jaatha.. tho woh baat shuru karthi hai.. aur yash se kehthi hai…]
Chah:- Mr. Yash kya aap sabki baat bas yun hii maan lethe hai.
Yash:- jiii.. main kuch samjha nahii..
chah:- nahii main isliye pooch rahii thi kyunke mere kehthe hii kii aap bohat bolthe hai aap foran chup ho gaye.. issi liye main aap se pooch rahii hoon kii kya aap sab kii hii baat itni jaldi se maan lethe hai..
Yash:- main sirf apno kii baat maantha hoon.. baaki koi bhi kuch kahe mujhe koi farq nahii padtha…
Chah is surprised & says:- main aapke apno mein kaise aagayi Mr. Yash..
Yash:- well chah jii joh log mujhe achche lagthe hai woh mere apne bann jaathe hai… main unhe dil se apna maantha hoon.. [yash yeh baat bohat hii seriously kehtha hai…]
Chah is baat par hasthi hai aur kehthi hai:- Mr. Yash ab yeh kaunse film ka dialogue hai main tho nahii jaanthi.. kyunke aap tho jaanthe hai na kii mujhe itne zyada movies dekhne kii aadat nahii hai… aur mujhe tho aisa lagtha hai kii aap ko bhi movies dekhna kum karna hoga… itna zyada asar ho raha hai aap par… chah keeps laughing saying this..
Yash kudh se kehtha hai:- yeh koi movie ka dialogue nahii tha, yeh baat tho mere dil se nikli hai.. aur jin logon ko main dil se pasand kartha hoon unke liye main kuch bhi kar saktha hoon.. aur tum un mein se ek hogayi ho.. yash yeh baat soch kar muskuratha hai.. he sees kii chah is laughing continuously…
Yash:- chah jii aap kii yeh muskurahat bohat achchi hai.. I think you have to smile & laugh often…
Chah:- agar muskurane kii wajah ho tho zaroor muskuraoongi.. lekin agar muskurane kii wajah zindagi aap se cheen le tab tho hum muskura bhi nahii sakthe.. anyway thanks for the compliment… chah then bends down her head to her plate & concentrates on her food.
Yash:- your welcome..
After five minutes chah finishes her lunch & then she says:- mera tho lunch ho gaya main chalthi hoon Mr. Yash.. you take care of yourself..
Yash:- chah jii abhi aapke break time finish hone mein pandrah minute baaki hai kya aap pandrah inute yahaan nahii rukh sakthi.. shayad tab thak angad bhii aa jaye aur main bore na hoon..
Chah looks at yash, uska dimaak kehtha hai kii woh yash se kahe kii no she has some other work.. par uska dil is baat kii razamandi nahii de raha hotha hai.. it was contradicting what her heart was saying.. chah soch rahii hothi hai kii aakhir woh kya jawaab de yash ko… tab yash phir se kehtha hai:- please chah jii bas pandrah minute kii hii tho baat hai.. I promise main aapko pandrah minute ke baad nahii rokoonga.. please…
Chah looks at yash, given in & says:- theek hai, lekin sirf tab thak jab thak mera break time khatam nahii ho jaatha…
Yash [smiles & says]:- thank you chah jii.. that would do…
Chah:- tho ab aap mujhe batayiye kii yeh pandrah minute main yahaan kya karun Mr. Yash..
Yash:- well aap yahaan baitkar mujhe baatein kar sakthi hai chah jii yeh pandrah minute..
Chah:- I think it is not a bad idea after all.. tho kahiye aapko kya baat karni hai..
Yash:- aapki woh friend kripa nahii dikhayi de rahii hai..
Chah:- haan woh hotel mein hai.. woh aaj yahaan aana nahii chahthi hai… issi liye aaj tho mujhe uska kaam bhi karna hoga…
Yash:- ohhh… kya aap chahthi hai kii main aap ki koi madat karun…
Chah:- aap meri madat karenge.. [chah laughs..]
Yash:- haan kyun.. kya main aapki madat nahii kar saktha jab kii aap ne mere liye itna sab kuch kiya hai..
Chah:- dekhiye Mr. Yash maine aap se kaha na kii maine bas apni duty hii kii hai.. aur kuch nahii.. aur aap meri madat kaise karenge… na aapko mere kaam ka patah hai.. aur na hii aapko koi doctor kaam aayega.. waise bhii aap kudh hii ek patient hai tho patient ka kaam hotha hai kii woh rest kare.. tho aap ke liye behtar yahii hoga kii aap yahiin par rahe aur rest kare.. waise thank you kii aapne apni help offer kii.. yahii bohat badi baat hai.. warna kayi log tho yeh bhii nahii karthe..
Yash:- dekhiye chah jii aap ne joh mere liye kaha uske saamne meri madat bohat choti si hogi.. lekin agar aap chahthi hai kii main yahiin par rahun aur rest karun.. tho aapka hukm sarr aakhon par…
Chah raises her eye-brow with an expression of what…..
Yash:- mera matlab hai your wish is my command…
Chah:- Mr. Yash aapki baatein na jalebi kii tarah gol-gol hai… aap kya keh rahe hai mujhe tho kuch samaj mein hii nahii aa raha hai..
Yash:- koi baat nahii chah jii.. kissi din fursat mein aapko main apni baatein samjhaoonga…
Chah:- mujhe nahii lagtha kii woh kissi din kabhi bhi aayega.. waise bhii kal dopehar thak aap ko yahaan se tho discharge mil hii jaayega.. phir na jaane kab humare raasthe ek dusare se takrayenge…
Yash:- sahii keh rahii hai aap… lekin agar kismat kudh thakrana chahe tab tho usse na aap rokh sakthi hai aur na hii main.. jin logon ko jahaan milna hotha hai woh kismat ka khel hotha hai.. aur us par humara koi bas nahii chaltha.. itna tho maanthi hai na aap..
Chah:- haan kismat mein main maanthi hoon…
Yash:- lekin haan chah jii main kismat ke saath saath ek aur cheez mein bhi yakeen rakhtha hoon aur woh yeh kii you can write your own destiny.. agar hum kissi cheez ko dil se paana chahe tho duniyaan kii koi takat humein usse durr nahii karr sakthi… bas agar kissi cheez kii zaroorat hai tho kudh par bharosa, dher saara atma vishwaas.. agar bharosa ho tho hum humari kismat ko bhi badal sakthe hai… bas zaroorat hai tho ek kadam bhadane kii.. ek nayi koshish karne kii joh sabko ek nayi disha mein le jaa sake..
Chah:- Mr. Yash aapki joh yeh philosophy hai na yeh bohat hii dilchasp hai.. aap hare k cheez ko apni nazar se dekhthe hai… achcha hai… lekin yeh aapka yakeen hai.. it is not the universal truth…
Yash:- chah jii main kaha keh raha hoon kii meri baat universal truth hai… agar main ek aisi ladki ka thinking change kar sakun joh duniyaan se aur kudh se ruthi hai.. agar main us ek ladki ke zehen mein apni baat samjha sakun, woh joh meri universe hai tho isse zyada mujhe kuch nahii chahiye..
Chah stares at yash… she kind off understands kii yash is intending at her.. par woh is baat pe chup rehna hii theek samajthi hai.
After few seconds chah says:- ok Mr. Yash abhi main chalthi hoon… byeee… take care..
Yash:- Chah jii kya aap mujhe yeh Mr. Yash bulana band karengi.. you know it seems very odd…. Aisa lagtha hai kii main koi 70 years ka person hoon aur aap mujhe Mr Mr keh rahii hai..
Chah:- dekhiye main ajnabee ko aise hii Mr kehthi hoon…
Yash:- lekin ab tho humare beech itni baat ho chuki hai na chah jii tho kya ab bhi hum ek dusare ke liye ajnabee hai.. itna baat karne ke baad tho koi bhi kissi ke liye ajnabee nahii keh laayega… kyun chah jii….
Chah:- well Mr. Yash ajnabee na sahii lekin hum dost bhi tho nahii.. issi liye I think it is better kii main aapko Mr. Yash hii bulaun… wohhii theek rahega…
Yash:- chaliye aapki baat bhi sahii hai hum ajnabee na sahii dost bhi tho nahii.. lekin ab bhi tho hum dost bann sakthe hai na chah jii.. kya khayal hai.. Manali mein dosti ho jaye chah jii..
Chah:- aapka offer achcha hai Mr. Yash lekin main kissi se bhi itni jaldi dosti nahii karthi hoon.. so thank you for the offer but no thank you….
Yash:- lekin chah jii aap meri dosti ka haath kyun sweekar nahii karr rahii hai…
Chah:- maine kaha na Mr. Yash main kissi se bhi itni aasani se dosti nahii karthi hoon… aur joh log mere apne hai mere liye wohii log kaafi hai.. mujhe aur kissi kii zaroorat nahii hai…
Yash:- lekin chah jii aapke is patient ko sach mein aapki dosti kii zaroorat hai.. kasam se…. agar aap meri dosti ka haath nahii thaamengi tho main wapas beemaar pad jaaunga.. soch lijiye chah jii…
Chah:- Mr. Yash mere khayal se sachchi dosti woh hothi hai joh bina kissi shart ke kii jaathi hai… aur aapse dosti karne ka na tho mera koi irada hai.. aur na hii main uske baar mein soch rahii hoon.. so better luck next time….
Yash:- lekin chah jii aap mujhse dosti kyun nahii karna chahthi.. mujh jaisa dost aapko kahiin nahi milega.. soch lijiye…
Chah:- dekhiye Mr. Yash maine aap se kaha na kii mujhe aap se dosti nahii karni… aur waise bhii aap se mile hue mujhe bas choubees ghante hue hai aur aap dosti kii baat karr rahe hai.. yeh kuch ajeeb nahii hai..
Yash:- nahii chah jii is mein mujhe tho kuch ajeeb nazar hii nahii aatha.. kehthe hai kii ek nazar mein pyaar ho jaatha hai… yahaan tho main aapko poore choubees ghanto ke baad dosti ke liye pooch raha hoon… tho aap hii batayiye ismein kya ajeeb hai..
Chah:- Mr. Yash aap bohat ziddi hai…
Yash:- kya kare bachpann se hii aisa hoon.. agar aap nahii chahthi kii main aisa rahun tho abhi kudh ko badal dunga.. aap bas ek baar kehkar tho dekhiye mujhse..
Chah:- [smiles & says] Mr. Yash aapki baatein meri samaj mein aane se rahii… tho aap yahaan rahiye main chalthi hoon..
Yash:- chah jii aap mujhse dosti tho kijiye main aapko meri baatein fursat mein samja doonga… [yash sees kii chah is walking to the tents opening.. so he says..] waise chah jii meri dosti ka offer tab thak rahega jab thak aap mere is offer ko accept nahii kar lethi…..
Chah turns back, smiles at yash & says:- main aapki baat ko yaad rakhoongi Mr. Yash..
Yash:- Mr. Yash nahii Chah jii sirf Yash….
Chah:- yash… waise yash mera naam bhi Chah hai.. Chah jii nahii… aur doston mein jii nahii kehthe… tho isliye agar humari dosti hothi hai tho aap yeh baat dhyaan mein rakhiyega kii mere naam se yeh Jii hata dijiye…… chah smiles looks at yash ones & then she walks out of the tent…
Yash:- humare beech mein dosti tho zaroor hogi chah jii.. oppsss.. I mean chah…. Kitna achcha naam hai… chah… yash tu na pagal ho raha hai.. aaj thak tujhe aisa koi bhi insaan pasand nahii aaya tho aaj kya ho gaya… hayeeeeee.. chahhhh…..

Yahaan outside chah feels special.. usse achcha lag raha hotha hai.. she starts doing her work, attending to all her patients with a smiling face…

Aise dekhthe hii dekhthe sham ka waqt ho jaatha hai…. Lekin abhi thak angad wapas camp nahii aaya hotha…. Chah yeh baat jaanthi hai, isi wajah se nurse ke haathon woh yash ke liye kuch magazines bhijwa dethi hai… chah is unable to go & meet yash because uske senior doctor ne usse zyada kaam de diya, because he was angry with her as she neglected a patient (yash).. yahaan yash was getting bored but he was happy that chah has sent him some magazines… magazine mein chah ne yash ke liye ek note bhi choda tha.. "Sorry Mr. Yash, Main jaanthi hoon kii aap bore ho rahe honge, but mai wahaan nahii aa sakthi, tho aap in magazines se hii apna kaam chala lijiye…. Chah Jii…:D yash yeh note dekhkar smile kartha hai.. & for a long time keeps staring at the note… & then reads the magazines…..

We can see that it is 7 in the evening… back in the hotel angad & kripa are sitting in the coffee lounge, they both are having coffee & chatting with each other…. Actually hua yun kii when angad left the camp to collect his mobile road par chalthe waqt he sprained his ankle aur he could not walk… tab hii kripa comes there who was going to the camp as she was getting bored.. seeing angad she decides to help him.. kripa then helps angad to walk.. she holds his hand… & then they both walk back to the hotel as the hotel was only a five minute walk from the place.. after reaching there kripa bandages his ankle….. and angad, kripa start talking jahaan angad tells kripa he is sorry.. & even kripa apologizes.. then they both start talking as if they were some long lost friends.. & both forget to keep a track of time… after some time when angad says he will walk to the camp, kripa says he should not walk so much & strain his legs.. when kripa tells him she will leave.. angad tells her he needs her company… & he does not let her go.. aur tab se dono angad aur kripa ek dusare se baatein karr rahe hothe hai… dono hii apne beech kii ladayiyon ko bilkul bhool gaya hothe hai.. & both of them were laughing yeh yaad karke kii kaise chah ne dopehar mein un dono ko daanta tha.. & they were like agar abhi chah unhe dekhegi tho woh pukka behosh ho jaayegi with shock kii yeh dono kaise dost bann gaye hai.. so now when they realized kii unhe bhook lagi hai they are sitting in the coffee lounge waiting for their snacks & having their coffee & chatting animatedly non stop… angad calls yash & also informs him that he will not be coming to the camp today as he has hurt his leg….. then angad, kripa as usual jitna lade the, abhi utna hii baat karr rahe the…. so yeh angad aur kripa kii baat hui.. dusari taraf yash tho akele bait-baitkar bore ho jaatha hai tho he just falls asleep… chah is doing her work.. usse uska senior doc ek minute bhi free nahii detha.. he keeps telling her from time to time that she is irresponsible & blah.. blahh… blahhh.. but chah does not mind, uske senior doc kii baaton ka chah par koi asar hii nahii hotha.. kyunke she has had a very good lunch time with yash.. & she just can't stop smiling… hum aisa keh sakthe hai kii she is smiling away to glory…

After working till 8.30, chah finishes all her work… she immediately goes to check on yash… tab woh yash ke tent mein jaathi hai tho she sees kii yash is sleeping peacefully… he is holding the magazine in one hand…. Chah goes near yash… yash ke haathon se chah magazine nikaal dethi hai.. yash stirs in his sleep…. Chah moves back, looks at yash once & walks out of the tent…
Later she orders food for her & yash… after the parcel arrives chah walks into yash's tent again leaves the parcel there with a note….. 'Mr. Yash yeh raha aapka dinner enjoy your dinner.. aur haan Mr. Yash isliye kyunke abhi humari dosti nahii hui hai'…. Chah Jiii.. :)

Chah goes to her tent & decides to rest for a while.. chah has her dinner.. lekin woh apna dinner poora khatam nahii karthi as she has no company.. & the fact was that she was missing yash's company….. then chah goes off to sleep early kyunke it had been a tiresome day for her… she had worked too much, out of her capacity..
Yash gets up at around 10 in the night & he is surprised kii woh kaise ab thak soya raha.. then he sees the parcel & a note kept beside his bed.. he reads the note smiles & says:- yeh ladki bhi na.. mujhe pagal bana rahii hai… aur phir yash is note ko bhii sambhal kar rakhtha hai, as he did with the first note..
Yash then takes his parcel, he is about to open it jab uske mann mein yeh khayal aatha hai kii she should check if chah is awake… he thinks kii agar chah jaagi hui hai tho he should ask her to give him company even though she must have had her dinner… yash slowly gets down & stays careful that he does not fall or trip anywhere.. he takes his shawl covers himself & walks out of the tent.. jab woh tent ke bahar jaatha hai tho he sees no one around… ab yash is confusion mein aa jaatha hai kii aakhir chah ka tent in saare tents mein se kaunsa waala hai.. luckily for yash tab hii wahaan ek nurse aathi hai getting out of a patients room.. yash usse rokhkar poochtha hai kii which is chah's tent.. the nurse at first is apprehensive to tell yash about chah's tent.. but phir yash tells her kii chah is the person who treated him & he needs some advice regarding health.. & he also justifies saying kii he won't be able to meet chah the next morning as he was leaving early… the nurse finally shows yash the tent where chah was staying.. yash thanks her & then goes towards chah's tent.. yash enters the tent slowly.. & what he sees make yash smile… he sees kii chah is sleeping.. yash goes close to her, he sees her & smiles & watches her sleeping.. yash ko maano aisa lagtha hai kii chah ek chotti bachchi kii tarah so rahii hai.. yash keeps staring at chah's face for sometime.. yash ka mann hii nahii kartha wahaan se jaane ke liye.. tab he realizes kii shayad chah is shivering…. Yash idhar udhar dekhtha hai to see if he can get a blanket, but he does not get one.. so finally yash takes his shawl & puts it on chah.. as soon as he puts it on chah, chah holds the shawl tightly & then smiles… & now she sleeps peacefully without feeling the cold…. Yash sees chah & he feels kii chah can fit the place in his life of that special someone.. he feels kii chah can complete him… the climate was cold but yash was not feeling it because he was busy looking & admiring chah… a girl whom he has fallen in love with, with in the twenty four hours he has met her.. this thought strikes yash.. & he realizes that chah is indeed very special for him.. & may be he has fallen for chah… yash then looks at chah once & walks out of her tent… before walking out yash leaves a note for chah… aur phir yash us thand ke mausam mein walks around the camp.. talks to the moon, air, stars.. expressing his happiness & telling them that he has never been so happy.. yash ko aise lagtha hai jaise the moon is smiling at him, the stars are getting brighter giving their consent & the air is whispering it's happiness in his ear… yash was very happy… aur yash yeh baat jaantha tha kii it is all because of chah… aur us pal mein yash kudh se yeh waada kartha hai kii woh chah ka dost bhi banega aur woh chah ka dil bhi jeetega aur chah ko hamesha ke liye apna banayega… yash wanted to shout his happiness to the world.. he wanted the whole world to know he was in love… lekin yash yeh baat jaantha tha kii before telling the world, usse yeh baat us shaqs se kehna chahiye who has started to mean the world for him now… & that is chah… yash decides kii woh har koshish karke chah ka dil zaroor jeetega….
After strolling outside for some more time yash walks back to his tent, with sweet dreams about him & chah….
The next day morning everything happens to be the same… the only difference was yash was very happy….. if somebosy saw yash they would feel as if he has got the wirld under his feet & he is smiling away to glory… yash waits for chah to come & check on him in the morning.. in chah's tent, chah gets up… & the first thing she is surprised to see is the shawl… she wonders kii yeh shawl kiska hai.. she thinks kii may be kripa might have come in the night aur woh apne saath shawl laayi hogi… aise hii chah soch rahii hothi hai, when she sees a note places near her pillow… she reads it out ' "Chah Jii, aap ko raat mein thand lagi thi issi liye main apna shawl yahaan chod gaya tha.. I hope you had a good sleep.. good morning… aur haan chah jii do baatein yaad rakhiyega pehli yeh kii bhale hii ek nayi subah kyun na ho gayi ho lekin mujhe ab bhi aap jaise dost kii zaroorat hai… aur dusari baat agar aap chahthi hai kii main chah jii se jii ko hata dun tho jaldi se aakar mera dosti bhara haath thaam lijiye"… Mr. Yash'….
Chah smiles…. she decides kii abhi kuch time meine mein she will go & return the shawl & also thank yash…. After a while Chah walks out of her tent & starts going towards yash's tent… when the nurse comes & tells her that she is needed urgently as there is a new case jahaan a five year old kid fell down from the stairs & he is hurt badly.. the nurse informs chah that the senior doctor wants to see her immediately… chah just runs back to her room throws the shawl there & runs back with the nurse to attend to the patient..
Yahaan yash is waiting for chah.. par she does not come… jab wahaan nurse aathi hai, yash enquires about chah.. the nurse tells him that chah is attending a new case with the senior doc… yash thinks may be chah wants to avoid him issi wajah se she has not come there… but on the other hand he feels kii shayad she is really busy with her work.. yash is in confusion… dekhthe hii dekhthe it is 1 in the afternoon.. chah is still busy with the new patient.. angad aa jaatha hai to take yash to the hotel… ab yash feels bad kii he could not meet chah.. by the time angad completes the formalities & asks the nurse about yash & his medicines the time is nearing 2… yahaan the new patient kid is saved & finally out of danger… chah & the senior doc come out of the tent.. aur woh senior doc gives chah the work to monitor the kid on a continuous basis.. chah has no option but to agree… chah yeh baat jaanthi hai kii yash was leaving today & she wanted to meet him once.. lekin woh tho ho hii nahii raha hotha hai.. the senior doc meets yash & angad & gives yash permission to leave the place.. yash walks out of the tent, abhi bhi uske mann mein yeh aas thi kii kaash chah kii ek jhalak usse dikh jaye… lekin aisa nahii hotha.. yash & angad reach the road & angad tells yash kii he has hired a bike for them so that they can move around the place & they need not take lift until their car is repaired… angad says he would drve atleast for that day…. Yash agrees.. & then angad asks him to sit on the bike, lekin yash tho baar-baar peeche mudh karr dekh raha hotha hai… shayad kismat uske saath thi chah comes out of the tent at that moment, she sees yash on the road… chah feels bad that she could not meet him…. Angad keeps nudging yash to sit, so yash sits on the bike but still keeps staring back at chah… chah waves bye to him… yash just looks at her & angad drives off the bike… chah just stares back the road.. & then walks back to the tent…
Tho bas aur kyat ha yash, angad reach the hotel… yahaan chah keeps working.. actually the doctor was penalizing chah for being irresponsible with yash.. he was not even allowing her to go to the hotel… finally in the night time chah decides to go back to the hotel… kripa had called the doc & told him that she was not well & she could not come… so uska kaam bhi doc ne chah ko de diya & chah kuch nahii karr paa rahii thi.. after reaching the hotel chah just gets freshen up & hits the bed, woh na kuch khathi hai aur na hii kuch peethi hai…. Bas woh din bhi guzar jaatha hai…

[Remember guys there are still 10 days to go in Manali]
Next day morning jab kripa goes to the camp usse yeh baat patah chalthi hai kii the camp is packing up.. kyunke the students need to go back to Delhi… & the higher authorities feel that yeh chaar din ka camp was enough for the students… tho kripa apna aur chah ke belonging lekar wapas jaathi hai.. she informs her senior doc that she & chah would not be accompanying them…
Kripa goes to chah's room as she had a spare key of chah's roon.. she sees kii chah so rahii hothi hai.. kripa just leaves chah's belongings there & let's chah to rest..
Yahaan during breakfast in the restaurant yash ko patah chaltha hai kii chah & kripa are staying in the same hotel.. aur chah ka karma is the opposite one to his… kripa is having breakfast with angad & yash… yash is shocked to know kii angad aur kripa kii dosti ho gayi hai.. yash now feels more confident kii woh chah kii dosti aur uska pyaar paa saktha hai.. lekin is baar yash yeh chahtha tha kii chah apni aur se dosti ka haath bhadaye, kyunke usse laga kii usne apni taraf se koshish karr dii hai.. aur ab chah kii baari hai.. yash din't want to enquire about chah as he din't want the other two to know what is running on his mind.. but luckily for him angad asked about chah.. & kripa told them she is sleeping..
It is somewhere late in the afternoon jab kripa aakar chah ko jagathi hai.. & then when chah sees all her belongings from the tent there, she asks kripa about it.. kripa tells her kii trainee program ka pack up ho gaya.. and then kripa convinces chah kii they stay there atleast for a week & roam around Manali & chutti manaye.. chah is reluctant par kripa usse mana lethi hai.. later in the afternoon when chah comes out of her room she sees yash in the corridor… she thinks kii yash aakar usse baat karega lekin yash aisa kuch nahii kartha.. he ignores chah completely… aur yash ke is baat se chah is kind off taken back.. usse samaj mein nahii aa raha hotha hai kii yeh yash ko kya hogaya hai… aise ussi din mein kayi baar hotha hai… whenever all the four meet yash chah ko undekha karr raha tha, maano jaise she was not there with them.. chah ko yeh baat bohat irritate karr rahii hothi hai.. and even yash was not enjoying doing this.. lekin woh chahtha tha kii chah is baar dosti ka haath agge bhadaye.. lekin yash ke dil mein yeh darr bhi tha kii kahiin woh joh karr raha hai uska asar ulta na ho jaye aur chah usse dosti kya uski shakal bhi na dekhe… tho then yash decides kii he has to talk to chah.. tho woh angad se kehtha hai kii they will go to the hotels disc in the evening.. yash also tells angad kii if he wants he can ask kripa to come along…. Yash yeh jaantha tha kii angad is offer ko mana nahii kartha kyunke he had already seen sparks of a new relationship flying between angad & kripa… jaise yash ne chaha waise hii hua, Angad yeh baat kripa ko batatha hai.. & kripa says she will bring chah along.. ab sham disc jaane ka waqt ho raha hotha hai.. kripa chah ko force karke disc jaane ke liye mana hii lethi hai… & then all the four start getting ready in their respective rooms to go to the disc.. they get ready and walk out of their rooms.. yash & angad walk out of their rooms wearing casuals , jeans & t-shirt.. While they are talking chah & kripa walk out… chah is wearing a black jeans with a white sleeveless top & kripa is wearing a evening gown… angad compliments kripa that she is looking good & then angad asks kripa to be his date for the evening, kripa agrees.. they both walk hand in hand leaving chah & yash behind… chah was shocked to see all this.. yash tells her that angad & kripa are now friends.. then yash just to irritate chah asks her
Yash:- Chah jii kya aapke pass koi aur kapde nahii the pehene ke liye…
Chah who is already at the height of her irritation first because of yash, then because kripa left her alone & now again with yash irritating her.. usko bohat ghussa aa raha hotha hai.. she looks at yash & says:- mere kapde, meri marzi main joh chahe pehnu.. you just stay out of it.. yeh kehkar chah walks off from there… yash smiles to himself… because woh jaantha tha kii bhale hii just to irritate chah usne uske kapdon par comment kiya hai lekin chah was looking very beautiful in her simple attire with a pair of earings… yash walks behind chah.. aur yeh baat chah ko aur irritate karthi hai.. finally when the both reach the hotels disc, the person there tells them it is couple entry… chah who is least interested to go inside the disc decides to turn back & walk around the hotel.. tab hii yash uske peeche aatha hai.. & he tells the person:- haan hum jaanthe hai kii it is a couple entry.. aur hum dono saath hai.. we are a couple… so now can we go in… the person allows them to go in.. yahaan chah ko ghussa aur bhi chad gaya hotha hai.. they walk inside.. aur chah ghusse mein yash se poochthi hai:- what nonsense was that Mr. Yash…
Yash:- well chah jii mujhe disc ke andar aana tha is liye maine humko couple bataya… and I know kii aap bhi aana chahthi thi yahaan.. aur agar aap aana bhi nahii chahthi thi tho not my problem… kyunke main aana chahtha tha aur maine apne liye raastha dhoond liya.. ab chaho tho aap ussi entrance ke door se bahar bhi jaa sakthi hai.. [yash yeh baatein bade hii shararthi andaaz mein kehtha hai..]
Chah stares at yash & then walks off from him.. yash smiles & says:- hmm.. soni de nakhre sone lagde… yash then walks off to where chah is sitting & having her cold drink.. yash decides kii kuch dher ke liye he will leave chah alone so he was just standing at a distance from him.. while all this was going on, there was commotion in the dance floor & the commotion was that a guy proposed to a girl.. & the girl has said yes… chah & yash are wondering kii yeh kaunsa couple hai.. tab hii they get a shock of their life knowing kii the couple are none other than angad & kripa.. yash is happy for them.. while chah is confused.. usse yeh baat samaj mein nahii aa rahii hothi hai kii how is this possible.. chah ko phir yash kii kahii hui baat yaad aa jaathi hai.. kii pyaar tho ek nazar mein bhi ho jaatha hai.. chah rubbishes these thoughts from her mind.. & thinks that it's only infactuation.. but she decides kii she won't talk about it to either angad or kripa, as uska yeh maan na hai kii all have a right to lead their lives on their terms & conditions.. then angad, kripa leave the disc to have sometime alone.. yahaan chah is sitting on her table & observing people dancing & getting lost in their partners.. chah is unable to understand kii ek insaan ke liye how can I forget the other people in the world.. chah feels that this is totally ridiculous… yash was sitting straight to chah in the next table.. he was just observing chah & her expressions.. chah is lost in her own world, kii she does not realize that yash is looking at her intently sitting in the next table..
Chah comes out of her thoughts when suddenly a group of four guys come to her.. & one of them tells her:- so the lady here is alone…
The second guy says:- you need company.. we are here…
Chah looks at them & says:- excuse me can you please leave me alone I don't need any company…
The third guy says:- but we surely want to give a beautiful lady like you company…. What say guys…
The fourth guy says:- absolutely.. may be you don't need our company but we surely want your company.. what say baby..
Chah just gets up from there & tries to walk off jab the first guy holds her hand.. & says:- where are you going baby.. common we need your company…
Yash yeh sab dekh raha hotha hai.. his blood is boiling seeing all this.. he walks over to chah's table… holds the first guys other hand very tightly, nearly squeezing it & says:- ladki ka haath chod..
The first guy feels the pain & immediately leaves chah's hand… chah kii aankhon mein nami hothi hai aur woh foran yash ke peeche jaake teher jaathi hai… and she slowly says:- yash…
Yash looks at her & says:- tum theek ho na chah…
Chah just nods her head..
Yash:- theek hai chah tum mere saath chalo hum yahaan se chalthe hai..
Yash holds chah's hand & they decide to walk off from there, when all the four guys block their way… & then the second guy says:- kaun hai bbe tu.. bhai hai iska, pati hai, aashiq hai ya phir iska da…
Isse pehle kii woh insaan kuch keh sake yash punches him hard on his mouth.. & blood starts coming fom his mouth… seeing this the other three guys try to attack yash, par yash hits all of them.. & he surely hits them hard.. after hitting them he warns all the four of them kii he should never ever see them in the vicinity where chah is there.. he also tells them kii chah is his friend.. the bouncers & the manager arrive at the scene & yash complains to them about these guys.. & the bouncers throw them out.. the manager apologizes for the inconvenience… after that yash sees kii chah ke haath has become red, so he takes her with him to her room to apply some cream on it…
Yash takes chah to her room.. & then asks her:- chah jii cream kahaan hai…
Chah looks at yash & says:- wahiin hoga mere bed ke side table par….
Then yash gets the cream & starts applying it.. chah says woh laga legi but yash insists aur woh cream lagatha hai..
After applying the cream yash gets up & says:- aap yahiin rahiye.. main bhi chaltha hoon.. it is late… good night…
Yash jaa raha hotha hai jab chah kehthi hai:- thank you..
Yash looks & chah & says:- thanks kyun..
Chah:- woh aap mere liye un logon se lade.. is liye.. thanks..
Yash:- dekhiye chah jii maine aap se kaha na kii main aapko apna dost maantha hoon.. aur waise bhi ek baar agar main kissi ko apna maan letha hoon tho uske liye kuch bhi karr guzar jaatha hoon..
Chah:- aap bohat achche hai Mr. Yash..
Yash:- thank you.. mera yeh maan na hai kii sab mein koi na koi achchayi hothi hai bas usse parak ne kii zaroorat hothi hai.. aaj aap ne mujhe parak liya.. bas… theek hai chaliye aap rest kijiye.. main chaltha hoon..
Yash again turns around to go out when chah says:- Friends…… [chah apna haath agge karthi hai…]
Yash hairaani se chah kii taraf dekhtha hai… & he smiles & says:- maine aap se kaha tha na kii mera dosti ka offer hamesha aapke liye open hai.. so I say friends… yash chah ke pass aakar usse haath milatha hai..
Chah:- thank you & sorry..
Yash:- dosti mein no thanku no sorry hotha hai…. Chah jii..
Chah smiles & says:- dosti mein chah jii bhi nahii hotha maine aap se kaha tha na kii jis din humari dosti hogi tab aap chah jii se jii hata dijiye.. tho aaj se aap mujhe bas chah bulaya kijiye..
Yash:- idea achcha hai.. lekin meri ek shart hai..
Chah:- shart.. kaisi shart..
Yash:- meri shart yeh hai kii aap mujhe Mr. Yash aur aap nahii kahengi.. aap mujhe yash kahengi.. aur mujhe tum kehkar refer karengi..
Chah:- mujhe manzoor hai lekin aap, I mean tumhe bhi mujhe tum keh kar address karna hoga.. bolo meri baat manzoor hai..
Yash:- neki aur pooch pooch.. done….
Yash & chah smile at each other.. chah asks yash to sit with her for sometime as she is not feeling sleepy.. yash obliges & sits with chah.. they start talking about various issues they even talk about the disc issue jahaan anjaane mein they both referred to them as yash & chah, without the chah jii & mr. yash.. they discuss about those four guys.. aur yash mazaak mein chah se poochtha hai kii she is a doctor trainee , so can she tell kii un chaar ladkon ke kitni haddiyaan tooti hongi.. chah has a total laugh over it.. & yash is happy seeing chah smile like that… yash ko is baat ka ehsaas tha kii there are certain things joh chah ke dil mein usko takleef de rahii hai, yash us takleef ko chah se durr karna chahtha tha.. yash & chah talk for a little more while then yash apne kamre mein chala jaatha hai.. both yash & chah have a very peaceful sleep that night…

Next day morning chah gets to know kii kripa has gone sight seeing with angad… kripa had left a message for chah in the reception.. ab chah was getting bored so she decides to talk to yash for sometime taaki usse kuch dher ke liye tho company mil jaye.. yash is very happy kii chah has come to meet him.. both of them ho together to have their breakfast, talking about varied issues.. yash chah ko kuch na kuch kehkar hasa raha tha… chah ko yeh lagtha hai kii woh itni khush kabhi nahii thi apne zindagi mein.. yash & chah have a nice breakfast.. then both are going to retire to their rooms jab yash asks chah if she wants to go around Manali & it's outskirts.. chah who thinks it is the best idea for her boredom agrees instantly.. now both yash & chah start walking around Manali…. Yash rents a bike & then he & chah starts looking around the place… chah feels uncomfortable sitting on the bike but yash makes her comfortable… yash & chah reach the place jahaan the camp tent was set, they walk around the place & yash keeps clicking pictures…
Chah sees yash & says:- yash tumhe tasveerein kheench na bohat pasand hai na…
Yash:- haan mujhe photography ka bohat shouk hai.. tumhe kaise patah chala chah….
Chah:- well simple si baat hai maine dekha hai kii yeh camera hamesha tumhare saath hotha hai… issi liye maine guess kiya.. wais eek baat batao tumhe tasveerein kheench na itna kyun pasand hai..
Yash:- hmm.. this is a interesting question.. let me see.. mujhe tasveerein kheench na isliye pasand hai kyunke mujhe chotti chotti baaton ko qaid karna bohat pasand hai.. aur main is camera ke zariye chotti se chotti baat ko qaid kar raha hoon.. kyunke mere khayal se joh beet jaatha hai woh lout karr nahii aatha, tho jab hum chahe in tasveeron ko dekhkar un palon ko phir se jee sakthe hai.. bhale hii woh pal wapas na aaye, lekin in tasveeron mein qaid unki yaadein tho hamesha wapas aa hii sakthi hai na.. kuch samjhi.. ya phir meri baatein bouncer kii tarah thi tumhare liye..
Chah:- haan main samjhi na..
Yash:- kya samjhi bolo tho zara…
Chah:- maine do baatein samjhi.. ek yeh kii tumhari baatein mere liye bouncer nahii balki googly thi.. aur woh kabhi mere samaj mein nahii aa sakthi aur dusari baat yeh kii lagtha hai tumne apne philosophy ke classes kuch zyada hii attend kar liye iss wajah se tum hamesha yeh philosophy jhaad the rehthe ho… chah laughs at yash.. & runs from there..
Yash understands the meaning of what chah said & he runs behind her:- arre rukh.. teri tho main.. main philosophy jhaad raha hoon..
Yash aur chah ke beech ka yeh catch me if you can ka khel bohat dher chaltha hai.. phir dono hii thakkar they sit down, phir unke beech baatein shuru hothi hai.. where chah asks about yash's family.. yash asks about chah's family.. then chah yash ko uske yahaan ghoom ne aane kii wajah poochthi hai.. tho yash tells her kii kissi aur kii ghalthi kii wajah se college ne usse suspend kar diya.. & so now he did not want to brood over it sitting at his home in Shimla tho woh bas chutti manane ke liye yahaan aagaya.. chah yash se kehthi hai kii what he did was right.. issi bahane usse chutti tho mile… yash adds in to her baatein & tells her that he is happy that he got suspended kyunke iss wajah se woh Manali aa paaya aue issi wajah se he could meet her.. yash & chah talk to each other, they get to kniw each other very well.. lekin iske bawajood yash does not tell chah about his father & swayam.. same way chah does not tell him about her parents… they thought kii it is better this way.. tho bas aur kya hona tha roz ka haal yahii tha… roz angad, kripa kahiin na kahiin chale jaathe because they wanted to spend maximum time with each other.. in a way they were also ignoring chah & yash.. but chah & yash did not mind this, because they had found company & a very good friend in each other.. ek din they used to take the bike.. tho dusare din they used to hire a bi-cycle, one day they went sight seeing.. tho one day they went window shopping.. yash all the while used to take many pics of chah.. aur kabhi kabhi they used to ask any other person to click a picture of them together.. life was beautiful for both of them.. chah had slowly started to come out of her shell & started to smile dil kholkar… & chah knew this fact that it is only because of yash.. one day yash & chah went roller blading tho one day they went skating.. they used to go out of the hotel after their breakfast & used to return in the night during dinner time, again they used to have their dinner together & then retire to their respective rooms.. it was as if angad & kripa did not have time for them.. but yash, chah did not bother.. yash & chah were happy spending maximum time with each other.. ek dusare ke saath waqt kab beet jaatha, din kab poora ho jaatha un dono ko hii is baat ka ehsaas nahii hotha…


Dekhthe hii dekhthe it was the 8th day of stay for Angad & Yash in Manali (first two days stay in the medical camp tent.. & 6 days in the hotel..)…. even today it was no different… angad & kripa had already left… and yahaan yash is waiting for chah in the restaurant as he always does.. yash dekhtha hai kii it is already 10.30 & chah has not yet shown up.. yash tries calling chah but chah does not pick up her mobile too… yash then decides to go & check up in chah's room.. but when he goes there he finds the room locked… yash ko samaj mein nahii aatha kii aakhir chah gayi kahaan.. yash then goes to the reception & asks them if they have see chah around.. in the reception they inform him that they had seen chah at around 8 in the morning walking out of the hotel… yash yeh baat jaankar aur pareshaan ho jaatha hai kii chah itni jaldi subaah mein kahaan chali gayi.. what worries yash more is that he feels kii shayad chah is not feeling good… ab yash issi pareshaani mein hotha hai.. when a hotel waiter sees yash talks to him & baaton baaton mein tells yash that he had seen chah going towards the medical camp tent area… yash thanks the waiter.. he breathes a sigh of relief because now atleast he knows kii chah kiss taraf gayi hai… yash takes his bike & speeds off to the camp area.. he is there in fifteen minutes.. he looks around & he does not spot chah.. just when he thinks that he should search for chah some where else he sees a person sitting at the edge of the valley.. yash suspects that woh chah hii hai.. & he runs to the edge of the valley.. & for yash's good luck it was indeed chah who was sitting there.. staring at the empty space..
Yash has a relief that he found chah.. but at the same time he was angry with her kyunke woh bina bole chali aayi & she was not picking her call too..
Yash ghusse mein chah se poochtha hai:- don't you have any brains chah… agar tumhe yahaan aana that ho mujhse kehthi hum dono aa jaathe.. ya agar tumhe yahaan akele aana that ho mujhse kehkar tho jaathi.. aur yeh kya pagalon kii tarah yahaan edge par kyun baiti ho.. kahiin gir jaaungi tho kya hoga…
Chah realizes yash's presense & she looks up at him.. yash dekhtha hai kii chah kii aankhon se aasoo nikal rahe hau… yash gets worried he comes on his knees near chah & says:- sorry chah main tumhe daant na nahii chahtha tha.. woh bas main pareshaan hogaya tha tumhare liye.. I was worried.. sorry chah.. I really did not mean to hurt you..
Lekin yahaan chah ke aasoo tho rukhne ka naam hii nahii le rahe hothe hai.. she keeps on crying.. aur yash keeps on telling sorry.. now finally yash usse apni kasam detha hai to stop her from crying.. chah stops.. & then yash says:- Thank God tum chup tho hui.. chah main nahii jaantha tha kii tum itni emotional ho.. sorry meri wajah se tumhari aankhon mein aasoo aaye.. sorry I hurt you.. but I was worried.. [yash makes a puppy face..]
Chah:- yash main isliye nahii ro rahii hoon kii tumne mujhe daanta.. mere rone kii wajah tho kuch aur hai….
Chah looks straight looking away from yash… yash is now all the more worried for chah.. he places his hand on chah's chin, turns chah's face towards himself.. & sees that chah ke chehre par phir se aasoo beh rahe hai.. chah kii aasoo kii wajah se yash ko dard ho raha tha.. he could not see chah in pain..
Yash:- chah mere kasam den eke bawajood bhi tum ro rahii ho..
Chah foran apne aasoo pohanch lethi hai.. & she says:- ab khush… nahii rothi ab main..
Yash:- chah main khush tab honga jab tum tumhare in aasooyon kii wajah apne dil se nikaal dogi…
Chah:- yash kuch baatein humare saath hamesha hothi hai.. kabhi woh peeche nahii chootthe.. chahe hum kitna bhi kyun na agge badh jaye lekin kuch baatein hamesha saath hothe hai..
Yash:- chah main nahii jaantha kii aisi kaunsi wajah hai joh tumhe zindagi khulkar jeene se rokhthi hai.. lekin haan chah maine suna hai kii dard baant ne se kum hotha hai.. agar tum chaho tho mujhse apna ghum baant sakthi ho..
Chah looks at him & does not say anything…
Yash:- chah agar tum mujhe apna maanthi ho tho please mujhe batao kii baat kya hai.. agar tum mujhe nahii batana chahthi thon a sahii lekin please is tarah yun ghut ghutkar tho matt jiyo.. main tumhe aise nahii dekh saktha.. [yash sits by chah at the edge of the valley..]
Chah:- [holds yash's hand in a tight grip & slowly starts saying] yash mere mamma papa nahii hai… main apne badi maa, bade papa, dadi, aur apne badi ma , bade papa ke bachchon ke saath rehthi hoon… tum jaanthe ho yash mere mummy papaa kyun nahii hai.. kyunke aaj se takreeban 19 saal pehle jab main paida hui thi tab mere ghar ke business mein nuksaan hua tha.. tab mere maa papa ke beech ke rishthe mein jhagde hone lag gaye… aur phir ek saal baad jab humare pass koi paisa nahii tha, meri maa ne mujhe aur mere papa ko chodkar kissi ameer aadmi se shaddi kar li thi.. woh apni ek saal kii bachchi ko chod gayi yash.. aur mere papa ko yeh dukh bardhast nahii hua aur unhone bhi mujhe chod diya.. unhone atma-hatya kar li…. Mere maa papa ne mujhe chod diya.. meri mumma aaj zinda hai ya nahii main yeh bhi nahii jaanthi hoon.. aur mere papa kii aaj barsi hai.. har saal is din main ghar se bahar rehthi hoon.. kyunke mujhe mere papa par ghussa hai.. agar unki biwi ne unki qadar nahii kii tho ismein meri kya ghalthi thi yash.. un dono ne pyaar kiya, shaddi kii.. lekin unke us rishthe kii saza mujhe kyun mili yash.. maine kya kiya….. unhone mere sarr se mere papa ka saaya kyun cheen liya.. main unse bohat ghussa hoon… ghussa hoon main.. tears flow rapidly from chah's eyes.. it shows chah's pain joh uske dil mein hamesha se tha… (chah rests her head on yash's shoulder and cries her heart out…
Yash feels chah's pain & he says:- chah main maantha hoon kii tumhare saath joh hua it was not fair.. lekin chah life is not fair to all, at all times.. kabhi kabhi kuch ho jaatha hai.. main jaantha hoon chah kii us hadse se agge badhna bohat mushkil hai… aur kabhi tho woh namumkin bhi lagega… lekin chah tumhe aaj main jeena chahiye.. ateet ke paanon se humein jab kuch nahii miltha tho it is better to let it go..
Chah looks at yash & says:- agar tumhari zindagi mein aisa koi hadsa hotha tho kya tum tab bhi aise hii kehthe…
Yash:- haan main aise hii kehtha.. aur chah main aisa karr bhii raha hoon.. tum jaanthi ho chah jab main chota than a mere baap ne ek extra marital affair kii aur unhone meri maa ko dhoka diya.. us dhoke kii nishani humare hii ghar mein rehthi hai.. mere baap kiinajayaz aulaad humare ghar mein rehtha hai.. mujhe mere baap se nafrat hai kyunke unhone hamesha mujhe neglect kiya.. mere baap ka ateet har waqt mere ghar mein mere aankhon ke saamne hotha hai.. lekin I have learnt to live with it.. that's all.. kyunke main jaantha hoon kii agar main dhukhi hoga tho mere saare ghar waale pareshaan honge.. tho is liye main un do logon ke liye joh mere liye koi mayine nahii rakhthe unke liye kyun apne aap ko ghum mein dhakhel dun.. issi liye maine muskurana seekh liya…. Main jaantha hoon chah kii kuch baatein hamesha tumhe takleef dethi hai, main yeh nahii keh raha hoon kii un baaton ko yaad matt karo.. bas itna keh raha hoon kii joh pal humein chot pohanchathe hai unhe aise matt yaad karo kii tum jeena hii chod do.. they are not worth it.. dekho chah, shayad tumhare papa tumhari mom se bohat pyaar karthe the isi wajah se woh tumhari maa ka dhoka bardhast nahii kar paaye… main jaantha hoon unhone joh kiya woh ghalat hai main yeh bhi jaantha hoon kii unke kiye kii sazaa tum pal pal bhugat rahii ho.. lekin chah chahe woh is duniyaan mein nahii lekin tumhara yeh ghum, yeh dukh, yeh dard unhe har pal takleef de raha hoga.. tum nahii chahthi na chah kii tumhari maa kii tarah tum bhi apne papa ko takleef pohanchao…
Chah moves her head in a no direction…
Yash:- tho phir chalo apne aasoo pohanch lo… yash wipes chah's tears… chah keeps sitting there leaning her head on yash's shoulder.. after some time they start walking around the place.. chah slowly begins to smile, talk to yash.. & yash to divert her mind keeps doing all things.. making monkey faces… etc etc…..

Song In The Background:-

Tum ladki ho main ladka hoon…
Tum aayi to sach kehta hoon…
Aaya mausam dosti ka..
Ki aaya mausam dosti ka…
Main ladki hoon tum ladke ho…
Yoon lagta hai jab milte ho…
Aaya mausam dosti ka…
Ki aaya mausam dosti ka…
lalala... lala…
lalala... lala….
Jaane kyon lagta hai meri tumhari pehle se pehchaan hai….
Jaane kyon lagta hai meri tumhari pehle se pehchaan hai….
Tum maan itna jo de rahe ho mujhpe ye ehsaan hai…
Ehsaanon ki baatein chhodo…
Aao humse naata jodo…
Aaya mausam dosti ka…
Ki aaya mausam dosti ka…
lalala... lala..
lalala... lala…
Rishta nahin hai dono ko phir bhi baandhe koi dor hai..
Rishta nahin hai dono ko phir bhi baandhe koi dor hai…
Is dosti ko kya naam dein hum ye baat kuchh aur hai…
Deewanapan keh sakte ho…
Dil ki dhadkan keh sakte ho…
Aaya mausam dosti ka…
Ki aaya mausam dosti ka….

We see yash & chah enjoying their time with each other.. all the way through the song the flashback scenes of yash chah their dosti are shown….
Chah has a good day.. & finally the day ends….


It is the beginning of the 9th day.. the next day evening all were leaving back…. Aaj ka din was a little different from what would have been yash aur chah kii roz kii subaah.. today yash was missing chah usse har jagah dhoondthi hai.. lekin koi nahii jaantha kii aakhir yash kahaan hai… in between when she calls yash, yash picks up her call & tells her that he is busy right now he will talk to her later.. yash yeh kehkar phone cut kar detha hai.. aur chah ko yahaan samaj mein nahii aatha kii aakhir yash ko kya hogaya hai.. chah fails to understand kii yash itna busy kahaan hogaya… lekin phir bhi chah tries to keep herself busy in her room.. she watches television, reads her novel.. & then goes to sleep for sometime.. aise hii shaam ka waqt aa jaatha hai.. tab hii chah ke room ke door par koi bell bajatha hai.. chah gets up… & she opens the door.. wahaan usse koi nahii miltha bas ek gift wrappedparcel miltha hai… chah takes it & wonders kii yeh kya hai.. chah sees yash's card on it.. which says: 'is parcel mein joh bhi hai.. usse pehenkar green valley pohanch jao… aur haan zyada kuch sochne kii zaroorat nahii hai.. agar mujhse milna hai tho tumhe yahiin aana hoga… aur haan agar tum mujhe phone bhi karogi tho main pick nahii karne waala.. yash.;)'
Chah sighs & says:- yeh yash bhi na kuch na kuch karthe hii rehtha hai.. just then her cell phone beeps & she sees that is a message from yash.. yash had written "sorry who note mein batana bhool gaya kii aadhe ghante mein taiyaar ho jaye.. tumhare liye gaadi neeche wait karr rahii hogi…
Chah:- ufffff.. yeh yash karr kya raha hai.. mere tho kuch samaj mein hii nahii aa raha hai.. anyway chah decides to get ready…
After half an hour chah gets ready… she is wearing what yash had sent for her….


She just puts on her earings…. & tab uske cell mein phir message aatha hai.. it is yash's message 'you are late common hurry up'…
Chah just sighs not able to understand what exactly yash is doing… & she leaves.. when she goes down she sees a Limo waiting for her.. first chah is surprised if really yash has sent her a limo but the driver gives assurance & she also gets a note from the driver which is from yash.. 'don't think so much cah.. it is for you..'
Chah sits in the car… after about twenty minutes they reach the Green Valley.. Green valley is a open air restaurant which is surely booked on all the days… chah walks in slowly she sees kii wahaan chaaron aur koi bhi nahii hai… as she starts walking in she sees heart ballons.. aur jagah jagah usse notes milthe hai kii where she should go… chah goes further inside she sees that the light is lit up all over… she finally reaches a place where it is full of ballons & she is in the center..
Now chah is wondering kii yeh kya hai, kyun hai.. & she does not see yash anywhere.. chah tries to call yash..
Chah:- yashhh… yasshhhhh.. kahaan ho tum….
Hearing no response chah decides kii she will check for yash elsewhere in the place.. she turns the other way to go.. when she hears yash's voice from behind… chah turns back.. yash is there standing in front of her in a tux…. He smiles at chah & says:- mujhe dhoond rahii thi kya chah…
yash is wearing this:


Chah looks at yash.. & does not know what to say.. she just says in a low tone:- haan…
Yash:- main tho yahiin hoon chah… kahaan dhoondogi mujhe… aur agar tum mujhe dhoond na chahthi ho tho tum mujhe aasani se dhoond sakthi ho.. jaanthi ho kahaan.. tumhare andar.. tumhare dil mein mujhe dhoond logi tho main tumhe hamesha ke liye wahii qaid miloonga…
Chah:- yash yeh tum kaisi baatein karr rahe ho.. mujhe kuch bhi samaj mein nahii aa raha hai.. please yash tum joh kehna hai theek se saaf saaf kaho… [chah knows what yash is intending at par chah us baat ko maan na nahii chahthi..]
Yash smiles & says:- theek hai chah aaj main jalebi kii tarah baatein nahii karunga.. aaj main directly point par aaunga.. tumhe waise bhii directly kahii hui baatein hii achchi lagthi hai na… chah:- yash tumhe joh kehna hai jaldi kaho… warna main yahaan se jaa rahii hoon..
Yash:- theek hai chah jaisa tum chaho…
Saying this yash goes down on his knees & says:- chah jis din se maine tumhe dekha hai us din se mere dil mein bas ek hii khayal tha kii tum mere liye bani ho.. jis din se tumhe jaane mere dil ko yeh baat samaj aa gayi thi kii tum mere liye bani ho aur main tumhare liye bana ho… chah main aaj dil se tumse aaj yeh keh raha hoon kii main tumse pyaar kartha hoon.. main tumse marrthe dum thak pyaar karunga… main tumse yeh nahii kehtha chah kii main tumhe harr mushkil se bachaoonga, lekin main tumse yeh kehtha hoon kii main tumhare har mushkil mein tumhare saath khada rahoonga.. main tumse yeh nahii kehtha chah kii main kabhi tumhare aankhon se kabhi aasoo nahii behne doonga, lekin main tumse yeh kehtha hoon kii agar tumhari aankhon se aasoo bahenge tho dard mere seene mein utega.. main tumse waada kartha hoon chah kii main har waqt, har pal, hamesha tumhara saath doonga.. main zindagi bhar tumhare harr kadam mein,.tumhare harr faisle mein tum mujhe apne saath paaogi.. main hamesha tumhare saath doonga chah.. I really love you.. I will love you akways.. my promises for you are forever & ever… chah will you do me the honour & accept my proposal.. & be my partner in happiness, sorrow, sickness, riches, poor & forever… will you be mind forever… tell me chah will you be mine forever..
Yash takes a ring from his pocket & woh apna haath agge kartha hai… yeh saari baatein sunnthe hii chah moves back a lot… yash is waiting for her reply & he is surprised at chah's reaction…
Chah says:- yash agar yeh mazaak hai tho yeh bohat hii ghatiya mazaak hai.. & it is high time you stop this..
Yash:- chah main mazaak nahii karr raha hoon.. I'am serious.. I really love you.. & I promise you I will love you till eternity & even after that.. my love for you is forever & ever.. until my last breath & even after that…
Chah:- yash dekho tum jaanthe ho main..
Yash cuts her & says:- yes or no chah.. you are scaring me now….
Chah:- no never.. kabhi nahii yash… tum aisi baatein mujhse kaise keh sakthe ho.. how can you tell me you love me.. you are my best friend yash.. maine kabhi nahii socha kii tum mere saath aisa kuch karoge.. yash tum jaanthe ho… phir bhi.. tum..
Yash gets up from his knees holds chah by her shoulders & says:- kya jaantha hoon main chah.. haan.. kya jaantha hoon main..
Chah:- [she shouts] yash tum jaanthe the mere ateet ke bare mein.. tum jaanthe the kii main pyaar jise shabd se koso durr hoon.. tum jaanthe the kii main kabhi kissi se pyaar nahii karna chahthi hoon.. tum jaanthe the kii mere dil mein tumhare liye aise koi bhii feelings nahii thi.. phir bhi tum mere saath aisa karoge maine kabhi socha nahii tha.. tum mere saath aisa kaise kar sakthe ho yash.. how could you..
Yash ke aankhon se aasoo behne lagthe hai aur woh kehtha hai:- chah tumhare ateet mein joh hus us mein mera tho koi kasoor nahii tha na.. tho tum kyunaaj mujhe pyaar karne kii sazaa de rahi ho… chah maine mehsoos kiya hai, main jaantha hoon kii tum bhi mujhse pyaar karthi ho.. lekin tum meri baat ko jhutla rahii ho.. tum kudh se bhaag rahii ho chah..
Chah:- fine.. agar main kudh se bhaag rahii hoon tho theek hai.. yeh meri zindagi hai main joh chahe karun.. this is the way I want my life to be.. & I don't want anyone else in my else… mujhe tumhare pyaar kii koi zaroorat nahii…
Yash:- chah lekin mere pyaar ka kya chah.. tum kyun mujhe pyaar karne kii sazaa de rahi ho… maine tumse pyaar kiya hai chah.. sachcha pyaar…
Chah:- maine tho kabhi tumse nahii bola na kii aao yash mujhse pyaar karo.. agar tum mujhse pyaar karthe ho then it is your problem.. & not my problem..
Yash:- chah tum itni kator kaise ho sakthi ho.. tum mere dil ko chot poncho rahii ho..
Chah:- yash kya tumhein aaj hii patah chala mere dil pathar ka bana hai.. aur tum joh chahe soch sakthe ho.. chahe tum yeh socho kii mujhe tumhari qadar nahii.. ya chahe tum yeh socho kii main bohat hii kator dil kii insaan ko.. think whatever you want.. but the fact remains I don't love you.. I don't love anyone… & main is zindagi mein kabhi kissi se pyaar nahii karungi. Suna tumne.. I will not love anyone in my life..
Yash chah ko chodtha hai.. & he says:- chah please tum ek baar apne dil se poocho… I know you love me..
Chah shouts in frustration:- no I don't love you… you get that I don't.. I don't…. I don't… and main tumse yahii kehna chahoongi kii just let us leave this matter here… yash you will always be my best friend.. but I don't love you.. let's remain friends always.. ab tumhe sochna hai yash kya tum meri dosti chahthe ho ya nahii..
Yash:- chah main tumse bohat pyaar kartha hoon.. and apne pyaar ko bhool kar mere liye just to be your best friend is impossible… main chahtha tha kii humari dosti ko ek aur majboot dhage se band doon… is pyaar ke bandhan mein band doon.. lekin tum agar aisa nahii chahthi tho tumhari dosti bhi nahii chahiye.. main us din tumhari dosti wapas paaunga jis din sahii maayino mein, main tumhare dil ko mere aur pyaar ke liye dhadakna sikha doonga.. warna main zindagi mein yun akela hii rahoonga..
Chah:- mera pyaar tumhe kabhi nahii milega yash.. because I don't love you.. aur agar tum meri dosti nahii chahthe ho tho mujhe zindagi bhar yeh afsos rahega kii maine apne sabse pyaare dost ko hamesha ke liye kho diya… aur yash tumhare dil mein joh mere liye jazbaat hai mujhe lagtha hai woh bas infactuation hai.. dekhna bohat jald tum is baat ko bhool bhi jaaoge kii tum chah naam kii kisi ladki se mile the…
chah moves forward to yash.. she kisses him on his cheeks & says:- good-bye yash.. humari kahani yahiin khatam hui.. take care.. chah kii aankhon mein name hothi hai… she leaves yash & walks out of the place even without glancing back at yash…
Yahaan yash goes down on his knees & says:- pyaar tho tumhe bhi hai chah.. lekin tum commitment se darrthi ho.. main jaantha hoon chah.. main mehsoos kiya hai is baat ko… chah main tumse waada kartha hoon kii main tumhare dil ko dhadakna sikhaoonga.. main tumhare dil mein mere pyaar bhar doonga.. aaj nahii tho kal tum meri hogi chah… aaj nahii tho kal mera pyaar jeet hii jaayega… aur main apne aakhri dum thak humare pyaar ke liye ladtha rahoonga chah.. yeh mere waada hai… tum meri hogi.. sirf meri.. yash closes his palm jahaan woh ring hothi hai which he has brought for chah..
Yahaan chah reaches her hotel room.. & there she cries her heart out.. woh kehthi hai:- sorry yash.. pyaar mere liye nahii bani hai.. I can never be lucky in love.. main nahii chahthi kii meri baddkismati tumhare pass aaye.. I can't love you yash.. agar main yeh chahthi bhii hoon tab bhi main tumse kabhi pyaar nahii kar paaungi.. I don't deserve your love.. I don't deserve anybody's love…
Chah keeps crying, she lies down on the bed.. & sees a pic of her's & yash & looks at yash's face touches it & says:- sorry yash… I can't help it..
This was the longest night for both yash & chah kyunke dono ke liye mushkil ho raha hotha hai to cope up with the happenings… agli subaah hothi hai.. chah soon packs her bags & decides to leave the place.. while she is leaving angad, kripa come to meet her aur woh dono chah ko bohat baatein sunbathe hai because she broke yash's heart.. kripa even though being chah's friends does not understand chah.. aur woh angad kii side lekar chah ko baatein bol rahii hothi hai… chah does not say anything.. aur woh bas un dono ko dekhthi hai… & she says:- agar ab aap dono kii baatein ho chuki ho tho kya main jaa sakthi hoon.. before angad, kripa kuch keh sake chah tells them she is leaving aur woh wahaan se chali jaathi hai…
Chah walks down towards the bus stop there she sees yash, who is going towards the hotel.. they both look at each other.. lekin koi kuch nahii kehtha.. chah kii bus aa jaathi hai.. she boards her bus back to Delhi.. yash usse dekhthe rehtha hai.. the bus starts chah ek baar mudhkar yash ko dekhthi hai… yash is staring at her.. the bus speed picks up.. & yash dekhthe rehtha hai & the bus disappears from vision.. ek taraf chah bus mein ro rahii hothi hai.. dusari taraf yash kii aankhein num hothi hai..
Yash decides to go back immediately.. angad says he will leave kripa in Delhi & then come to Shimla.. yash foran apni gaadi nikaal kar starts driving back to Shimla…

Song In The Background:- [For Both Of Them]

"aisa koi zindagi se wadaa to nahi tha…
tere bina jeene ka iraada to nahi tha….
tere liye raaton mein chandni ugaai thi..
kyaariyon mein khushboo ki roshni lagayi thi..
jaane kaha tuuti hai dor mere khwaab ki….
khwaab se jaagen ghe socha to nahi tha...socha to nahi tha..
aisa koi zindagi se wadaa to nahi tha…
tere bina jeene ka iraada to nahi tha….
shamiyaane shaamon ke roz hi sajaye the…
kitni umeedon ke mehmaan bulaye the…
aake darwaaze se laut gaye ho…
yuun na koi aayega socha to nahi tha...socha to nahi tha….
aisa koi zindagi se wadaa to nahi tha…
tere bina jeene ka iraada to nahi tha.."

Both yash & chah are thinking about each other.. the screen is divided into two equal half's & we can see yash & chah's face filled with sorrow, a lot of pain & tears in their eyes….

Flashback Ends…


So guys with the flashback also the 16th part of "Hogi Pyaar Kii Jeet" ends.. I hope all of you like it… I hope I justified the flashback properly.. & because I wanted to finish the flashback in this part I have written more than 15,185 words.. nearing 15,100 words… hope all of you enjoy reading it…

Preview For The Next Part:- little bit in the present….A leap…A marriage proposal…

Ab yeh jaane ke liye kii kahani agge kaunsa modh legi.. yash aur chah kii zindagi mein agge kya hotha hai.. kya kabhi un dono ke beech kii yeh dooriyaan nazdeekiyaan mein badlengi… kya inki zindagi aage chalkar khush-haal hogi.. swayam kya karega… sab logon kii zindagi mein kya koi naya modh aane waala hai… yeh.. aur etc etc… kayi aur sawaalon ke liye wait kijiye "Hogi Pyaar Kii Jeet" ke next part ka…

Hope all of you liked the part.. I'll be eagerly waiting for your comments, suggestions.. & even if you have something to criticize please feel free to do so.. your comments help me improve as a writer..

I'll surely try & post the next part soon.. & once again I'am sorry for the delay….. waiting for your comments damn eagerly…..

Love
Surya..😊
Edited by sun_423 - 15 years ago
adventure_gurl thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
awesome job, liked how they took care of each other and then got dressed up so nicely!
spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago

res

hey dear finally u updated................was waiting for so long for the next part.....................congrats for ur thesis getting approved and good luck for the marks....................and hope u will post the next soon..................in ten days yash realised hes in love with chah and their dosti was very nice and they also shared about their family too..............twas very surprising angad and kripa became friends without eating the others head off and also angad proposed kripa and she accepted....................they were fast......................and these 2 couldnt stand each other for a second before but after their stay in hotel they later on spent all their time with only each other..............agad came with yash to enjoy manali but he didnt spend any of the time with yash but with kripa and yash with chah.......................felt bad for yash when chah didnt accept his proposal...................and chah is also hurting herself...................now u scaring me with the leap and a marriage proposal............hope its yash and chah marriage...................cant wait to know whats gonna happen in the next part.........................now that the flashback is over u better post the next part soon dear............dont take too long gap.......................cont soon dear...................
Edited by spvd - 15 years ago
monikaseth thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
awesome , mind blowing part & congrats for good marks dear.

I am glad yash ki batti jal gaye ,,, aww angad kripa become friends & he propose her & she accepted woowowo great good going .
Thank you for pm .

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: zajedno · 2 months ago

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 5 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: heavenlybliss · 6 months ago

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: MidnightLibrary · 11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".