Here is the update. *PART:-1*
5:00p.m.....Thodi der pahle kafi barish ho rahi thi.Lekin ab barish ruka to naina bus stop k taraf chal padi. Ghar main shalini uska wait kar rahi thi. shalini uski aunty k beti hai.
Naina ko dekh kar Shalini boli- "mujhe laga pata nahin yeh barish kab rukegi, aur tu aayegi? "
Naina boli-"agar barish hoti bhi to bhi main wapas sahi time par aa jati. ab barish main bhigne ka chance hamesha thode hi milta hai".
Shalini- "nahin Naina ! barish main kabhi mat bhigna, aaga bimar pad gayi to?"
Naina smile kar k bolti hai - "to tu hai na! waise bhi bina bimar pade koi value bhi to nahin deta! Aur bimar padne par kitna attention milta hai, nahin?"
Shalini- "bas...bas... bahat hua teri lecture-bazi aab jake freash ho k aaja, main chai banati hoon." Naina freash hone chali gayi.
Ek time tha jab woh bhi Nandini k liye isi tarah se wait karti thi. nandini naina k badi bahen thi. Aur naina us se bahat pyar karti thi. lekin ek din woh naina ko chod kar hamesha k liye chali gayi. Itne dino baad bhi who naina ko bahat yaad aati hai.
Pyar kya hai , yeh janne se pahle usne nandini ko jana tha. Ghar main itne bhai bahen hone k baad bhi Nandini sab se jyada pyar Naina se karti thi.
Ek bar naina ne pucha bhi tha- "di! tu mujh se itna pyar kyoun karti hai?"
Nandini thodi der chup rahi, aur phir boli-"pyar ka koi matlab nahin hota. Hum kabhi kabhi kisi se bina baat kiye sirf uski face dekh kar irritate ho jate hain. Aur kabhi kisi se bina mile sirf uska naam sun kar use like karne lagte hain. Bol sakti hai 'kyoun'? Usi tarah se main bhi tujh se pyar karti hoon.......bahat pyar.....lekin 'kyoun' yeh nahin janti."
Lekin aaj naina k pas us 'kyoun' ka jawab hai.Nandini us se isliye itna pyar karti thi kyoun k woh use aakela chod kar ja sake.
B.com k bad nandini ne ek private firm main job kar li thi. Kyoun k who baba k help karna chahti thi. Lekin naye job main use kafi prob. hote the, aur upar se seniors ka attitude.
Ek din nandini ne naina ko amar k bare main bataya. Amar bhi uska senior tha. Magar woh hamesha nandini ki help kiya karta tha. Nandini Amar k hamesha tarif kiya karti thi.
Dhire dhire naina ko laga k uski Nandu didi badal rahi hai. Kyoun k use pyar jo ho gaya tha amar se. Naina bhi kayi bar mili thi amar se. Amar hamesha Naina ko tease karta rahta tha,aur jab Naina ruth jati, to manata bhi tha. Aise hi time chalta gaya.
Phir naina ne notice kiya k nandini aab upset rahne lagi thi.
hamesha chup chap rahti thi. Khana bhi thik se nahin khati thi. Use laga sayad office main koi prob. hogi.
Kuch dino baad.....................
27th december...........
Saam ko nandini kafi der se ghar aayi. Kisi se kuch nahin kaha, yahan tak k dinner bhi nahin kiya. Naina ne bahat request kiya, phir bhi usne dinner nahi kiya. Raat ko nandini ne naina se kaha-
"Tujhe pata hai amar shadi kar raha hai. Ek bahat hi amir aur khobsurat ladki se."
Naina hairan ho kar boli- "Lekin di! woh to tujh se pyar karte hain na! To phir..."
Nandini- "Amar ka kahna hai k woh mujh se pyar karta hai, to yeh jaroori nahin k woh shadi bhi mujh se kare.Uska kahna hai k woh shadi bhale hi kisi kare lekin mujh se rishta banaye rakhega.................... B******D."
Naina chaunk gayi. usne Nandini ko itne gusse main kabhi nahin dekha tha. Nandini k face par ek nafrat ka reaction tha.
Naina ne kaha- " don't worry di, teri bhi shadi Amar se jyada handsome aur acche insan se hogi."
Nandini Naina k baat sun kar smile kiya.Lekin Naina ne notice kiya k us smile main kafi dard tha.
Woh nandini ko hug kar k so gai.
Next day jab Naina uthi to Nandini bed par nahin thi,aur hall se maa k rone k awaaz aa rahi thi. Woh hall main gayi to dekha, k Nandini niche leti hui thi aur uski maa ro rahi thi.
Woh Alekh k pas gayi aur pucha- "di ko kya hua hai?"
Alekh uska twin bro. hai. Alekh k ankhon main aansoo the, magar who ro nahi raha tha. Usne Naina ko bataya k Nandini ne suiside kar li hai.
Naina behosh ho gayi thi. Bad main pata chala tha k Nandini pregnent thi. Sayad isiliye Nandini ne yeh kadam uthya tha.
Khanna uncle jo police main the, unki wajah se is baat ko daba dia gaya tha. Kyoun k ek middle class ladki k is tarah se suiside karne se uski family ko kafi humiliation jhelni padti hai.
us din k baad Naina ne yeh soch liya tha k woh kabhi kisi se pyar nahin karegi. Use lagne laga tha k har ladka selfish hota, aur sach main pyar ka matlab unke liye sirf us ladki ka jism hota hai. Isi liye woh apne office k logon k sath bhi jyada baat nahin karti thi.
Usne aashman k taraf dekh kar kaha- "Kyoun di! kyoun tune apni zindagi ek bekar insaan k liye barbad kar di? Ek aisa insan jo tere pyar k layak hi nahin tha".
END FOR TODAY. {END OF PART-1}
193