IZHAAR-a short new ff on (RN):IMP:NOTE:ON:29. - Page 16

Created

Last reply

Replies

215

Views

34.8k

Users

25

Likes

20

Frequent Posters

Riya_16 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Hello!!Priti!! 😊
Hope u are fine dear.😛
Ab update ke bare mein kya batau...outstanding...👏
tooo goooood.😃
The update was really emotional once again.😭
I am at loss of words...😭😊
Waiting to see what happens on pt 1857😉
continue soon.
take care.
love
Riya.
362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: dazzling_glory

fantastic update.....full of emotions.....

Are yaar yeh dono zaroor milenge.....agar point 1857 par nahi milenge to kahan milenge......

The way in which you have written about their emotions....is tooo good...superb....

waiting for the next part....

HII SWEETY THANX A LOT FOR UR LOVELY COMMENTS SWEETY, I AM GLAD, U LIKED THE UD THANX DEAR.YES UR RIGHT. WITH LOTS OF LOVE, PRITI.
362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: vvdn

Hiiiii Priti,
do u know that u given us such a wonderfull update !!!
i just don't whant to comment on it becouse it is just FANTABULOUS.👏
while reading it i fell like crying😭 the pain in both of them r so visible, Naina's behaviar, just Tooooooooooooooooooo Gooooood
i wish they confess thier feelings, i can't see them in pain more.
plzzzzz update soon.
ur a superb writer.....

HII NAMITA THANKY SO-SO MUCH DEAR, THAT U LIKED MY UD SO MUCH, I AM REALLY VERY TOUCHED DEAR, U THINK SO SWEETY, THAT I AM A GOOD WRITER, THEN I MUST BE........THANX ONCE AGAIN DEAR. WITH LOTS OF LOVE, PRITI.
362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: Deepanwita

HIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII............... PRITI, HOPE UR ROCKING DEAR............. KYA KAHUN MUJHE KUCH SAMAJH MEIN NAHIN AA RAHA HAI....... BAS EK HI SHABD HAI MERE PAAS.................. SUBAANAALLAH................................ RULA-RULA KAR MERA BURA HAAL KAR DIYA TUMNE................... KAASH KI REAL LRL MEIN BHI AISA HO PAATA...............................

U R AN EXCELLENT WRITER.......................................
I LOVE U JAAN....................................
THIS IS FOR U 🤗
👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏 👏
WITH LOVE,
DEEP.

HIIIIIIIIIII DEEP MY CUTIE, HOPE UR FINE DEAR, AND YES I MA ALSO FINE SWEETY,MERI ITNI TAREEF KARNE KE LIYE SHUKRIYA DEAR, I AM REALLY TOUCHED, AND LOVE U TOO JAAN.

WITH LOTS OF LOVE,

PRITI.

362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: riyaa_1985

Hello!!Priti!! 😊

Hope u are fine dear.😛
Ab update ke bare mein kya batau...outstanding...👏
tooo goooood.😃
The update was really emotional once again.😭
I am at loss of words...😭😊
Waiting to see what happens on pt 1857😉
continue soon.
take care.
love
Riya.

HII RIYA DEAR , YES I AM FINE SWEETY, AND HOPE THE SAME FOR U TOO, ITNI SAARI TAAREEFIEN KARNE KE LIYE THANX DEAR, I AM REALLY TOUCHED, YES DEAR WAIT AND WATCH..............TAKE CARE U TOO......... WITH LOTS OF LOVE, PRITI.
Vartika07 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Hello Preeti mam,

How r u?😊😊

Raj aur Naina mujhe do impossible log lag rahe hain jo pata nahi kyoun itne jyda confused hain.😡

Ek Naina hain jo Raj ko baar baar ehsaas dila rahi hai par Raj ko bus ek kaam aata hai Naina ko chauk k dekhna.😲

Pata nahi log itna chaukte kyoun hai?😆

Abhi ne bhi samjhaya par phir bhi koi asar nahi hai.😛

Let's see what will be the next.

update soon.

Edited by Mahak Sinha - 16 years ago
Shaina_b thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
Too good!!!!Awesome!!!!
Raj apne aur Naina ke baare mein soch raha hai!!!!😊 😊 😊 😊Sach kaha ke unka rista har kasauti pe khada utra hai!!!!😊 😊 😊 😊
Raj ko hi faisla karna hai ke usse Naina ke saath chalna hai yaa akele!!!!😊 😊 😊Toh woh Naina ko chhod ke kyun jana chahta hai!!!!😡 😡 😡 😡
Naina aati hai aur she is looking beautiful!!!!😊 😊 😊 😊Raj toh usse dekhe hi jaa raha hai!!!!😊 😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳 😳
Yeh Raj Naina ko dekhne ke alawa aur kuch nahi kar sakta kya??😒 😒 😒 😒 😒
Raj ne usse compliment kiya!!!!😛 😛 😛 😛Haaiii!!!!😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳 ☺️ ☺️ ☺️ ☺️
Raj kehta hai ke Naina bahut ziddi hai aur Navin ki tarah hai jo baat thaan leti hai karke hi chhodti hai!!!!😊 😊 😊 😊Haan so toh hai!!!! 😊 😊 😊 😊
Well I hope Naina ne Raj ko paane ki thaan li hai aur usse paake hi chhodegi!!!😉 😉 😉 😉 😉 😊 😊 😊 😊 😊
Raj kehta hai ke aaj woh khud waha jana chahta tha!!!😛 😛 😛 😛Par kyun??😕 😕 😕
Naina kehti hai ish bahane aaj akhri baar uske saath!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭She is so sad!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭
Raj Naina se puchta hai ke uske jaane ke baad kya Naina usse bhul jayegi!!!😔 😔 😔 😔 😔Raj bhi naa!!!!😒 😒 😒 😒 😒 😒
No wonder Naina uski taraf dekh rahi thi aur Raj ne nazar hata li!!! Usse nazrein kaise milata!!!!😔 😔 😔 😔
Naina girne waali hoti hai aur Raj usse sambhal leta hai!!!😛 😛 😛 😛 😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳Haaiiii!!!!!😊 😊 😳 😳 😳 ☺️ ☺️ ☺️ ☺️
Naina ne yaad dila diya Raj ko ke woh jaa raha hai!!!😔 😔 😔 😔Raj ko abhi ehsaas nahi hai Naina ki baaton ki gehrai ka!!!!😒 😒 😒 😒 😒
Bechari Naina!!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭Keh rahi hai ke ab usse zindagi bhar usse akele hi chalna hoga!!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭
Raj ko Naina yeh bartaav ab bardaast nahi hota!!!😊 😊 😊Toh aisa kar kyun rahe ho??😒 😒 😒 😒
Raj ne Naina ko apni taraf keeche!!!😛 😛 😛 😛 😊 😊 😊 😊Aur ab dono ek dusre ko hi dekh rahe hai!!!!😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳Haaiiii!!!!😳 😳 😳 😳 😳 ☺️ ☺️ ☺️ ☺️
Ab I hope dono apne pyaar ka izhaar kar de!!!!😊 😊 😊 😊
362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: Mahak Sinha

Hello Preeti mam,

How r u?😊😊

Raj aur Naina mujhe do impossible log lag rahe hain jo pata nahi kyoun itne jyda confused hain.😡

Ek Naina hain jo Raj ko baar baar ehsaas dila rahi hai par Raj ko bus ek kaam aata hai Naina ko chauk k dekhna.😲

Pata nahi log itna chaukte kyoun hai?😆

Abhi ne bhi samjhaya par phir bhi koi asar nahi hai.😛

Let's see what will be the next.

update soon.

HII VARTIKA DEAR I AM ABSOLUTELY FINE SWEETY, ANS THANX A LOT FOR UR WONDERFUL COMMENTS DEAR, I AM REALLY GLAD, YES UR ABSOLUTELY RIGHT, THAT RAJ AND NAINA ARE BOTH IMPOSSIBLE PERSONS, PAR RAJ KI APNI EK MAJBOORI HAI, LEKIN LET'S HOPE KI NEXT PART MEIN SAB KUCH THIK HO JAAYE............. WITH LOTS OF LOVE, PRITI.
362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: Shaina_b

Too good!!!!Awesome!!!!

THANX A LOT DEAR, I AM GLAD.
Raj apne aur Naina ke baare mein soch raha hai!!!!😊 😊 😊 😊Sach kaha ke unka rista har kasauti pe khada utra hai!!!!😊 😊 😊 😊ABSOLUTELY RIGHT SWEETY.
Raj ko hi faisla karna hai ke usse Naina ke saath chalna hai yaa akele!!!!😊 😊 😊Toh woh Naina ko chhod ke kyun jana chahta hai!!!!😡 😡 😡 😡 USKI MAJBOORI HAI DEAR......
Naina aati hai aur she is looking beautiful!!!!😊 😊 😊 😊Raj toh usse dekhe hi jaa raha hai!!!!😊 😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳 😳HAAN AB USE NAHIN DEKHEGA, TOH KISE DEKHEGA, KYUN............
Yeh Raj Naina ko dekhne ke alawa aur kuch nahi kar sakta kya??😒 😒 😒 😒 😒KAR TOH SAKTA HAI SWEETY, PAR PEHLE IZHAAR TOH KARE.......
Raj ne usse compliment kiya!!!!😛 😛 😛 😛Haaiii!!!!😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳 ☺️ ☺️ ☺️ ☺️HAAN.............
Raj kehta hai ke Naina bahut ziddi hai aur Navin ki tarah hai jo baat thaan leti hai karke hi chhodti hai!!!!😊 😊 😊 😊Haan so toh hai!!!! 😊 😊 😊 😊 AKHIR BAHAN KISKI HAI......
Well I hope Naina ne Raj ko paane ki thaan li hai aur usse paake hi chhodegi!!!😉 😉 😉 😉 😉 😊 😊 😊 😊 😊YA, ME TOO HOPE THE SAME SWEETY........
Raj kehta hai ke aaj woh khud waha jana chahta tha!!!😛 😛 😛 😛Par kyun??😕 😕 😕KYA PATA PHIR YEH MAUKA USE DOBARA MILE, YA NA MILE.....
Naina kehti hai ish bahane aaj akhri baar uske saath!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭She is so sad!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭SO TOH HOGI HI NA.............IT'S OBVIOUS.........
Raj Naina se puchta hai ke uske jaane ke baad kya Naina usse bhul jayegi!!!😔 😔 😔 😔 😔Raj bhi naa!!!!😒 😒 😒 😒 😒 😒SAHI KAHA TUMNE............
No wonder Naina uski taraf dekh rahi thi aur Raj ne nazar hata li!!! Usse nazrein kaise milata!!!!😔 😔 😔 😔HAAN SO TOH HAI............
Naina girne waali hoti hai aur Raj usse sambhal leta hai!!!😛 😛 😛 😛 😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳Haaiiii!!!!!😊 😊 😳 😳 😳 ☺️ ☺️ ☺️ ☺️AB WOH NAHIN SAMHAALE GA, TOH AUR KAUN SAMHAALE GA........
Naina ne yaad dila diya Raj ko ke woh jaa raha hai!!!😔 😔 😔 😔Raj ko abhi ehsaas nahi hai Naina ki baaton ki gehrai ka!!!!😒 😒 😒 😒 😒PAR JALD HI HO JAAYEGA.
Bechari Naina!!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭Keh rahi hai ke ab usse zindagi bhar usse akele hi chalna hoga!!!!😭 😭 😭 😭 😭 😭 😭HAAN, SHE IS REALLY FEELING SAD YAAR.....
Raj ko Naina yeh bartaav ab bardaast nahi hota!!!😊 😊 😊Toh aisa kar kyun rahe ho??😒 😒 😒 😒AUR NAHIN TOH KYA............
Raj ne Naina ko apni taraf keeche!!!😛 😛 😛 😛 😊 😊 😊 😊Aur ab dono ek dusre ko hi dekh rahe hai!!!!😊 😊 😊 😳 😳 😳 😳 😳Haaiiii!!!!😳 😳 😳 😳 😳 ☺️ ☺️ ☺️ ☺️HAAN.....
Ab I hope dono apne pyaar ka izhaar kar de!!!!😊 😊 😊 😊ME TOO HOPE THE SAME SWEETY.............

WITH LOTS OF LOVE, PRITI.
362035 thumbnail
Posted: 16 years ago

(FINALLY IZHAAR)

Raj aur naina abhi bhi ek doosre ke kaafi kareeb khaden hain, aur ek doosre ki aankhon mein khoye hue hain, thandi hawa ke jhonkhe, pedo ki anginat pattiyon ko zameen par yun gira rahin hain, mano jaise ki yeh pattiyan sada ke liye apna astitva kho chuki hon, phir bhi hawa ka ek jhonkha kuch ko thoda sa uda deta hai, bilkul isi tarah se raj aur naina dono ek doosre ki aankhon mein is kadar khoye hue hain, jaise ki maano, yeh janmon ki pyaas ho, aur jise dono ankhon hi ankhon mein bhuja lena chahte hon, aaj aisa lag raha hai, ki jaise sab kuch tham sa gaya hai, poori kayanaat do dilon ki milan ki gavah banne ko tyaar khadi hain, unhe bhi khabar hai, ki is pak mohabbat ko apni manzil zaroor mil kar rahegi, par kehte hain na, ki mohabbat ke is khubsoorat aur beshkimti, jazbaat ko mehsus karne ke saath-saath, use kubul bhi karna padta hai, tabhie toh do pyaar karne waalon ko unki manzil naseeb hoti hai, mohabbat ke is bahumulya, jiska ki koi mol nahin hai poori kaayanaat mein, jise khud khuda ki nemat kaha jaat hai, naseeb waalon ki hi milti hai, bas ab yeh un do logo par nirbhar karta hai, ki woh is nemat ko kubul karte ya phir nahin, mohabbat toh khud khuda ki hi parchaayi hai, bas yeh hum par hai ki, hum us parchayi ka humsaya bante hain ya phir nahin,aur yeh bhi un chand khushkismat insaano ke naseeb mein hi hota hai,jo ki khuda ki di hui is pak jazbe ki dil se ibaadat karte hain, aur ise dil se apnaate hain, mohabbat unhi logo par meharbaan hoti hai, jo ki khuda ke is pak jazbaat ki sachche dil se kadr karte hain, aur unke ruh, aur rom-rom mein, khuda ki yeh parchayi yaani ki mohabbat basi hui rehti hai, aur raj aur naina ki sachchi monabbat bhi us mukaam tak pahunch chuki hai, bas ab inhein apni is pak mohabbat ko, is dil se jude hue, atut vishwaas ke rishte ko uske sahi aur mukammal mukaam tak pahunchana hai, jiska saara daromdaar in dono par hi hai, aaj ya toh inki mohabbat rang laayegi, ya phir kayamat aayegi.........raj aur naina ki palkon mein unke dil ka dard saaf-saaf nazar aa raha hai..........

RAJ-(apne mann mein)-apni chahat ke dam par, apni saanson ko tham kar baithein hain,tere daaman par koi aanch na aaye, isi liye hum angaron par lete hain..........

NAINA-(apne mann mein)-jab mere dil ka dard, teri aankhon mein nazar aata hai, tab meri palkon mein bhi tera dard sama jaata hai, is dard ka rishta bhi ajeeb hai, hoton se nahin, magar nazron se sab kuch keh jaata hai..........

Is tarah se raj aur naina bina kuch kahe bhi, ek doosre se sab kuch keh jaate hain, kyunki har baat ko, aur jazbaat ko shabdon mein dhaalne ki zaroorat nahin padti hai, kabhie-kabhie do dilon ka rishta, is kadar majboot dorr se bandha hua rehta hai, ki dil ke jazbaaton ko zahir karne ke liye lafzon ki zaroorat nahin padti hai, nazrein hi sabkuch bayaan kar deti hai, aur aaj raj aur naina ke dil ka haal unki nazrein saaf-saaf bayaan kar rahi hai, bas izhaar karne ki der hai..........

Achanak se thandi hawa ka ek jhonkha, dono ki palkon ko niche jhukha deta hai, aur raj aur naina ek doosre se alag ho jaate hain, magar aaj toh in hawaon ko bhi ijaazat nahin hai ki woh in pyar karne waalon ke darmiyan aayein, aur yeh toh inhe bhi pata hai, par phir bhi aaj yeh hawayen woh sab kuch karengi, jo in do dilon ko, in do aatmayon ko humesha ke liye ek kar degi, bhale hi raj aur naina ek doosre se alag hue, magar abhi tak dono ek doosre ki chuan ko mehsus kar rahein hain, ek doosre ki saanson ko, ek doosre ki dil ki dhadkano ko???ab bas ek baar apne dil ke jazbaaton ko zahir karne ki der bhar hai, woh sachche jazbaat jo yeh dono is waqt ek doosre ke liye mehsus kar rahein hain, kyunki abhi bhi dono ek doosre ko hi dekh rahein hain, yeh halki se doorie bhi, inki mohabbat ko zara sa bhi kam nahin kar saki hain, balki yeh doorie toh inhe aur bhi kareeb hone ka ehsaas kara rahin hain??..ab bas lafzon ki zaroorat bhar hai..........

RAJ-(halke se)-naina..........main..........main tumse.......bahut..........

Itna kehte-kehte raj chup ho jaata hai..........

Uske dil ka dard uski aankhon mein saaf-saaf nazar aa raha hai, magar phir bhi usne na jaane kyun, apne jazbaaton ko dabakar rakha hua hai, woh kyun nahin keh paa raha hai naina se, ki kitna aur kis kadar chahata hai woh naina ko, uska dil jaanata hai ki , woh naina ke bagair ek pal bhi nahin jii sakta hai, magar phir bhi woh khud ko aur naina ko bhi sazaa de raha hai, kyun? Aakhir kyun?

NAINA-(apne mann mein)-main jaanti hoon sir ki aap mujhse kya kehna chahte hain...aap bhale hi apne lab na kholein, magar aapki nazrein mujhe sabkuch bayaan kar rahi, aapne kyun apne jazbaaton ko tham kar rakha hua hai, aakhir kyun?bas ek baar apne dil ki baat keh ke toh dekhiye......sab kuch thik ho jaayega...........zindagi aur bhi khubsoorat ho jaayegi..........

RAJ-chalein naina............

NAINA-aap bas mujhse yahi kehna chahte the...........

RAJ-(apne jazbaaton ko chupate hue)-haan..........

NAINA-(seriously)-thik hai, chaliye..........

RAJ-lekin tum saari pehan kar chadayi kaise karogi?

NAINA(seriously)-woh meri prob. Hai........aapko fikar karne ki koi zaroorat nahin hai.

RAJ-(chaunk kar naina ki taraf dekhta hai)-naina, tum mere saath aisa kyun kar rahi ho? Aur mujhe tumhari fikar kyun nahin hogi?tumne aisa socha bhi kaise ki mujhe tumhari koi fikar nahin hai......

NAINA-(seriously)-kyunki agar aapko meri zara si bhi parwah hoti, toh aap mere saath aisa kabhie nahin karte ...........

RAJ(zor se chillakar)--aakhir maine aisa kia kya hai?

NAINA-(seriously)-yeh sawaal aap khud se hi kyun nahin poochte hain sir?

RAJ-(irritate hokar, aur gusse se)-bas naina................

Aur itna kehkar raj naina ka haath pakad kar use apni taraf turn karta hai...........

Raj aur naina ki nazrein ek doosre se takraati hain, raj ki nazron mein jahan ek junoon sawaar hai, wahin doosri taraf naina ki nazron mein bhi aag dhadak rahi hai, un dono ko dekhkar aisa lag raha hai mano jaise ki aaj unke in jazbaaton ke toofan ko behne se koi nahin rok sakta hai, ek aisa toofan, jo dono ko bikhara dene ke liye majboor kar dega, kyunki unki nazron mein sabse bhadkar jo basa hua hai, woh hai ek doosre ke liye beintehaan mohabbat, unki nazrein ek doosre ke liye chahat, aur kashish saaf-saaf mehsus kar rahin hain, aur shayad ab unke is gehre jazbaat ko behne se koi bhi nahin rok sakta hai, yahan tak ki woh khud bhi nahin...........

NAINA-(with tears in her eyes)-main aapse...........

RAJ-(uski nazron mein naina ke prati tadap saaf nazar aa rahi hai, aaj uski palkon mein bhi uske dil ka dard bekaabu hokar utar aaya hai, ab tak usne apne jazbaaton ko badi hi mushkil se samhaal kar rakha hua tha, lekin aaj uske jazbaat aur uska pyaar, us ke dilon-dimag par poori tarah se haawi ho chuka hai,aur ab is toofan ko aane se koi nahin rok sakta hai, khud khuda bhi nahin, aaj poori kayanaat do pyaar karne waalon ke Milan ki sachchi gavah banegi)

Raj naina ka chehra apne haathon mein lekar, uski palkon ko apne hoton se choomkar jhukne par majboor kar deta hai, naina bhi jaise is beshkimti pal ko jee bhar ke jii lena chahati hai, woh apni palkein bandh karke is pyaar bhare ehsaas ko, apne andar tak sama lena chahti hai, kya pata phir yeh pal dobara aaye na aaye, naina ko dekhkar aisa lag raha hai mano ki raj ke is pyaar bhare ehsas ne uski khubsoorti ko aur bhi zyaada nikhaar diya hai, uske chehre ki chamak yaka-yak, aur bhi bhad gayi hai, aur uske poore chehre par ek halki se gulaabi rang ki lali, chaa gayi hai, raj bhi use bade hi pyaar se nihaare hi jaa raha hai, use dekhkar aisa laga raha hai, mano,aaj woh apna saara pyaar bas naina par hi nyochaavar kar de, kyunki use bhi is baat ki khabar nahin hai ki, phir yeh khubsoorat aur haseen lamha use naseeb hoga ya phir nahin...naina ke liye toh yeh kisi khubsoorat khwab ki tarah tha, jise woh poori tarah se apni palkon mein bhar lena chahti thi, aur uske dil ke yeh jazbaat uski palkon se aansoon ke roop mein bahar nikal rahein hain, lekin isse pehle ki uski nam palkein apni oas jaise boondon ko zameen ki satah tak pahunchati raj unhe apne labon se tham leta hai, aur apne pyaar ka yeh khubsoorat aur naram ehsaas naina ko aur bhi pighla raha tha, uske dil ki dhadkanein aur bhi tez ho rahi thi,bas ab apne pyaar ki bahon mein tut kar bikharne bhar ki der thi........raj bhi is khubsoorat ehsaas ko mehsus kar raha tha, naina ke chehre par ek aise chamak bikhiri hui thi, jaise ki mano oas ki halki-halki boondein,aur raj ke lab unhe choomkar apne andar tak sama lena chahte the, aisa lag raha tha mano jaise ki aaj barson ke lambe intezaar ke baad do premiyon ka Milan ho raha ho.......bas ab raj ke labon ko naina ke surkh hoton se takraane ki der bhar thi, naina ki palkein abhi bhi jhukhi hui thi, aur use is khubsoorat aur beshkimti pal ki khabar bhi ho rahi thi, kyunki woh raj ki saanson ki khushboo ko apni saanson mein mehsus kar rahi thi,use aisa lag raha tha mano ki jaise woh raj ke pyaar ko apne ruh ke andar tak sama le..........aur woh beshkimti pal bhi aa gaya.........jab naina ke surkh labon ka rajveer ke hoton se Milan hone hi waala tha ki.........achanak se raj kuch sochkar naina se door ho jaata hai.

RAJ-(apne mann mein)-nahin.......aisa nahin ho sakta hai.....yeh main kya karne jaa raha tha.......maine aisa socha bhi kaise........woh bhi naina ke saath......nafrat ho rahi hai mujhe khud se........main kaise.........?

NAINA-(dheere se apni palkein kholti hai, aur raj ki taraf dekhti hai, uski palkein abhi tak nam hi hain, uske lab kuch kehna toh chahate hain, magar chahkar bhi keh nahin paate hain, lekin uski nazrein sabkuch bayaan kar rahi thi,uski tadap, uski bechaini.......)

doosri taraf raj apni palkein jhukaye hue khada hai, uske dilon-dimag mein bhi toofaan chal raha hai, use samajh mein nahin aa raha hai ki aaj uske jazbaat bekaabu kaise ho gaye, jab ki aaj tak usne inhe samhaal kar rakha hua tha, aakhir kaise.......use kuch bhi samajh mein nahin aa raha hai....woh khud ko ek bahut badi kashmaksah mein ghira hua paa raha hai.........achanak se raj apni palkein uthata hai, aur uski nazrein naina ki nazron se takraati hain, aur pata nahin kyun aaj use naina ki nazron mein khud ke liye beintehaan mohabbat ke sivaya aur kuch bhi nazar nahin aa raha hai, aur woh chahakar bhi is ehsaas ko nazarandaaz nahin kar sakta hai, magar phir bhi woh khud ko samhaalte hue naina ke paas aata hai, aur use kehta hai..........

RAJ-(hichkichate hue)-chalein naina..............

NAINA-(jo ki ek-tak bas raj ko hi dekhe jaa rahi hai, use bina kuch kahe, uske piche-piche chalnein lagti hai)..............

Ab raj aur naina dono pahadi par chadayi kar rahein hain........

RAJ-naina samhal kar chadna, yahan par paon phisalne ka darr bana rehta hai...............

Magar naina raj ki baaton ka koi jawaab nahin deti hai........achanak se chadte-chadte naina ka paon phisalne lagta hai ki, raj uska haath tham leta hai, aur dono ki nazrein phir se takraati hain, phir raj naina ka haath pakadkar use upar chadne mein madad karta hai.............

Aur kuch hi der mein dono upar point 1857, par pahunch jaate hain............magar raj ne abhi tak naina ka haath nahin choda hai, balki uski pakad aur bhi zyaada mazboot ho gayi hai, aur naina ko bhi raj ka uske prati yeh lagaav bahut achcha lag raha hai.......woh bhale hi apne labon se is baat ko zahir nahin kar rahi hai, magar uski nazrein sabkuch keh jaa rahin hain.....................

Aaj pata nahin kyun par is jagah ki khubsoorti aur bhi zyaada bhad gayi hai, shayad yeh in do premiyon ki kadmon ki aahat hi hai, jisne ki is jagah ki khubsoorti mein aur bhi char-chaand laga diye hain, yahan tak ki aaj is jagah ki fizaayon aur hawaon mein bhi ek alag si hi khumaari chayi hui hai, yeh bhi in do sachche premiyon ke pyaar ke rang mein rang jaan chahte hain, aur chandni bhi apni alag aur behad khubsoorat, naram aur gulaabi rangat ki chata ko is poore jagah par bikher rahi hai, jisse ki is jagah mein aur bhi zyaada kashish bhar gayi hai........aur is kashish ko raj aur naina bhi bakhubi mehsus kar rahein hain......kyunki unki nazron mein bhi ek alag sa nasha aur ek alag si khumari chayi hui hai, jo ki unke chehre ki rangat ko aur bhi zyaada khilne par majboor kar rahin hain.......saath chalet-chalte achanak se raj aur naina ke haath ek doodre se takraate hain, aur unhe wahi khubsoorat ehsaas hota hai, jo ki kuch der pehle hi dono ne mehsus kiya tha, aur na jaane kabse mehsus kar rahein hain, magar phir bhi dono ne aaj take k doosre ke liye apne dil mein dabe hue jazbaaton ko zahir nahin kiya hai, dono ke hi lab ek doosre se apne pyaar ka izhaar karna chahte hain, magar phir bhi na jaane kyun......unhone is jazbaat ko apne dil ke andar daba kar rakha hua hai.....na hi raj naina se kuch keh raha hai, aur nahin naina.....bas ek ajeeb si khamoshi in dono ke beech mein chayi hui hai, jo ki dono hi mehsus kar rahein hain.....dono ki nazrein ek doosre se milti hai, magar phir juda hoke apni alag disha mein ghul jaati hai,chalet-chalte dono us wishing pillar ke paas pahunchte hain, kuch der tak toh dono us pillar ko ek tak niharte hi rehte hain, phir ek saath apne ghutno ke bal niche jhukkar baithte hain, aur apni-apni palkein mund lete hain....thandi hawa ka jhokha naina ki zulfon aur uske aanchal ko hawa mein lehra raha hai, aur upar se gulaabi rang ki saari mein uski rangat aur bhi zyaada khil rahi hai, chandni ki mand-mand roshni mein woh aur bhi zyaada nikhar uthi hai, par shayad use bhi zyaada yeh raj ke pyaar ka asar hai.....jo ki uske chehre par saaf-saaf nazar aa raha hai......kyunki uske chehre ki chamak aur bhi zyaada bhad gayi hai.......masoomiyat aur nazakat se bhari hui naina behad khubsoorat lag rahi hai........raj ke chehre par ek alag si hi chamak bikhiri hui hai.........ek aisi khushi uske chehre par dastak de rahi hai mano............ki use is pal ka kitne hi janmon se intezaar tha..........dono ke hi lab khamosh hai......magar unke dil se bas ek hi awaaz nikal rahi hai........jo ki dua ke roop mein saj kar............unki zindagi ko humesha ke liye roshan kar degi.....ek aisi roshni.......jo raj aur naina dono ke hi zindagi se andhere ko poori tarah se mitakar ek nayi kiran ke saath savera lekar aayegi......aur iski shuruat toh ho chuki hai........kyunki chaand bhi apni roshni se dono ke dilon ko roshan kar raha hai...........aur is pak roshni mein nahakar dono ki jo ek doosre ke prati beintehaan chahat aur mohabbat hai zaroor rang laayegi.........raj aur naina ki palkein abhi tak band hi hai..........aur dono ke dil se bas ek hi awaaz nikalti hai......................

RAJ-naina........................

NAINA-raj.......................

Aur unke dil se nikle hue yeh naam poori fizaayon mein goonj uthte hain.......unke lab toh khamosh abhi bhi khamosh hain par...........kehte hain na ki sachche pyaar karne waalon ki dil ki awaaz toh khud khuda tak pahunchti hai.......aur raj aur naina ke dil se nikli hui yeh awaaz......saari hawaon mein ghul kar, unke dil tak pahunchti hai, raj aur naina apni palkein kholkar ek doosre ki taraf dekhte hain..........aakhir dono ke hi naam ek doosre ke mann mein jo goonj rahein hain..........itna khubsoorat aur pak rishta jisne raj aur naina ko ek doosre ke saath bina kuch kahe aur sune hi ek atut bandhan mein jod kar rakha hua hai........aaj unki nazron se mukammal ho raha hai......raj aur naina dono ki hi palkein nam hai..........aur yeh nami ek doosre ke liye hi hai, jo pyaar in dono ke dilon mein hai ek doosre ke prati, woh aaj nami banker inki palkon se chalak raha hai...........raj ki nazron mein naina ke liye jo beintehaan mohabbat hai, woh saaf-saaf nazar aa rahi hai,aur naina ki aankhon mein toh rajveer ke liye jo sachchi chahat hai, use toh khud raj bhi nahin jhutla sakta hai.......kuch der tak dono ek doosre ko dekhte rehte hain, phir achanak se rajveer ke kaano mein naveen ki awaaz gunjti hai, aur raj doosri taraf turn karta hai,toh use apne bagal mein naveen baitha hua nazar aata hai...................

RAJ-naveen.................

NAV-(halke se muskuraate hue)-kaise ho raj?

RAJ-(with tears in his eyes)-main......main thik hoon naveen.........tum.............tum, kaise ho?

NAV-tumhe kya lagta hai raj, ki main kaisa ho sakta hoon.......jab ki woh do insaan jinse ki main sabse zyaada pyaar karta hoon, jo ki mere dil ke sabse kareeb hain..........khush nahin hain..........aur is duniya ki chand jhuti rasmon aur rivazon ke khatir apne sachche pyaar ki kurbaani de rahein hain................

RAJ-naveen................?

NAV-kuch kehne ki zaroorat nahin hai raj...........tumhari nazrein mujhe sab kuch bayaan kar rahi hai..........bas ab tum bhi naina se apne dil ki baat keh do..............jao raj........aur jaakar naina se apne pyaar ka izhaar kar do......tum kyun is jhuthi aur banavati duniya ke liye......apni sachchi chahat ko kurbaan kar rahe ho raj.........aisa mat karo................aur yakeen mano dost ki tum dono ki is sachchi mohabbat ko ek rishtey ka roop lete hue dekhkar mujhse zyaada khushi aur kisi ko nahin hogi.........kyunki main yeh achchi tarah se jaanta hoon ki naina ke liye tumse achcha jeevan saathi aur koi ho hi nahin sakta.........aur tumhare liye naina.........tum dono ton bas ek doosre ke liye hi bane ho............aur jab do log dil se juda hote hain..........toh unhe koi bhi juda nahin kar sakta hai........jao aur apni chahat ko ek mukammal rishtey ka naam do.............................

RAJ-(with tears in his eyes)-haan................naveen.....................

Aur itna kehkar naveen ka aks gayab ho jaata hai...................

Raj sabse pehle apne aansoon ponchta hai, aur phir naina ki taraf turn karta hai................magar naina uske bagal mein nahin rehti hai.........woh fauran uthkar khada ho jaata hai........aur uski nazrein naina ko har taraf talaash kar rahin hain................achanak se woh dekhta hai ki, naina khaayi ki taraf bhadi jaa rahi hai...............raj naina ki taraf daudkar jaata hai..........aur jaakar uska haath pakad leta hai.......................

RAJ-naina......................

Magar naina raj ka haath gusse se jhatak deti hai................aur aage bhad jaati hai..................

RAJ-naina, ruko, ek baar meri baat toh suno, aur tum kahan jaa rahi ho, aage bahut gehri khaayi hai...............ruko naina..............

Lekin naina bas aage hi bhadti rehti hai, uspe toh jaise ek junoon sa sawaar rehta hai, use kisi bhi baat ka hosh nahin rehta hai...........

RAJ-ruko naina....................aage bahut khatra hai...........................

NAINA-(gusse se)-mujhe khatro se darr nahin lagta hai sir, aur aapko meri fikar karne ki koi zaroorat nahin hai........aur waise bhi agar mujhe kuch bhi ho jaaye, toh aapko kya farak padta hai..........aap toh jaana chahte hain na yahan se, toh shauk se jaayiye...........phir main jiyun, ya, marun isse aapko kya..........aapko toh bas yahan se jaane se matlab hai, hai na..............toh jayiye aap, chale jayiye.................mujhe bhi chodkar chale jayiye......................

Aur itna kehte-kehte naina ki aankh bhar aati hai...................

RAJ-tumne aisa socha bhi kaise, ki mujhe tumhari parvah nahin hai.........................meri baat toh sun lo.......................

NAINA-ab sunne koh kuch baaki nahin raha........................

RAJ-naina.............main..........main, tumse ek pal bhi door nahin reh sakta.........main............. tumhe kisi bhi wajah se khona nahin chahata.............main........ main,tumse bahut pyaar karta hoon.

Aur itna sunte hi maan naina ke kadam ruk jaate hain, aur woh rajveer ki taraf mudti hai, aur apna haath rajveer ki taraf bhadakar use kehti hai.....................

NAINA-toh phir vaada kijiye, ki aap mujhe kabhie bhi chodkar nahin jaayenge..........................

Raj apna haath naina ki hatheli ke upar rakhkar usse kehta hai......

RAJ-markar bhi nahin....................

Phir dono do pal ke liye ek doosre ko dekhte rehte hain............(aur back ground mein RN ka LRL ka fav. Track chal raha hai)

Magar achanak se naina ka paon pahadi se phisalne lagta hai, ki rajveer uska haath tham leta hai, aur use dheere-dheere apni taraf khinchta hai................ab rajveer aur naina ek doosre aamne-saamne aur behad kareeb khade hain,naina ki palkon se aansoon ka ek boond chalak uthta hai, toh raj use apni hatheli se ponchta hai, naina apni palkein mund leti hai, aur uske dil se ek aah se nikalti hai, chand ki nili-nili roshni jo ki kaali-kaali ghataon se chan kar aa rahi hai, ne raj aur naina ko apne aanchal mein poori tarah se dhak liya hai, thandi hawa ka jhonkha naina ki zulfon ko uske chehre par bikher raha hai, aur uska aanchal wahan ki fizaayon mein lehra raha hai, raj ki nazron mein naina ke liye aaj beshumaar pyaar umad kar aaya hai, woh naina ko behad pyaar bhari nazron se nihar raha hai, uske chehre par ek ajeeb sa sukoon nazar aa raha hai, aur use dekhkar aisa lag raha hai mano, ki jaise woh aaj apna saara pyaar naina par nyochaavar kar de, is khubsoorat pal ko woh poori tarah se apni palkon mein bhar lena chahta hai, naina ke is khubsoorta aur masoom chehre ko, raj apne dil mein utar lena chahta hai............achanak se bahut zor se bijli ki ghagadahat ki awaaz hoti hai, aur naina saham kar, rajveer se lipat jaati hai..........aur raj bhi use apne mazboot bajuyon, mein bhar leta hai,na jaane is khubsoorat aur beshkimti pal ka intezaar dono ko kabse tha............

NAINA-bahut pyaar karti hoon, main aapse, bahut pyaar................

RAJ-mujhe pata hai naina, bas ab aur kuch mat kaho, mujhe is pal ko aaj jii bhar ke jii lene do...............................

Achanak se kuch boonde raj aur naina ke chehre par padti hain, aur dono apni palkein kholte hain, toh kaali-kaali ghataon se halki-halki baarish ki boonde, un dono ko apne gile aanchal mein bhigo deti hain......................

RAJ-(shararat bhare andaz mein)-lagta hai ki aaj toh mausam bhi hum par meharbaan hai.................................

Raj ki baat sunkar naina sharmaakar use door jaane lagti hai,lekin raj naina ka haath pakadkar,use apni taraf khinch leta hai, aur use usi shararati andaz mein kehta hai.........................

RAJ-aaj toh sharmon-haya, ko khuda-hafis keh do, aaj toh humari Milan ki ghadi hai, meri toh bas yahi dua hai ki,ab yeh sharm aur haya, khuda ke liye bhi dobara laut ke na aaye........................

NAINA-(sharmaate aur ghabraate hue)-raj.................................

RAJ-aaj main tumhe apne pyaar se sajaana chahta hoon naina, ijaazat hai...................................

NAINA-(sharmaate hue)-haan???yeh meri dili khwaish, hai raj ki aaj main khud ko tumhari nazron se savarte hue dekhun.....................

Rajveer naina ke chehre ko apne haathon mein leta hai, aur uske mathe ko choomkar, apne pyaar se sajaata hai, raj ke is pyaar se naina ka chehra khil uthta hai, bilkul waise hi jaise, ki subah ki pehli kiran se gulaab ki pankhudiyan khil uthti hain, baarish ki boonde, naina ke chehre par yun chamak bikher rahin hain, jaise ki mano subah ki pehli-pehli oas ki boonde, dharti par bikherti hain, raj naina ke chehre se baarish ki, boondon ko choomkar apne andar sama leta hai, aur naina ka chehra sharam ke maare aur bhi zyaada gulaabi ho jaata hai, uski saansein pal-pal bhad rahi hoti hain, aur uski dil ki dhadkanein tham si jaati hain, kyunki ab woh ghadi nazdeek aa rahi hoti hai, jab dono ka pyaar nazron se hokar, unke ruh mein utarne waala hota hai, naina ke surkh lab, baarish ki thandi-thandi boondon ke kaaran, utne nahin kaanp rahein hote hain, jitney ki raj ke labon se Milan ke kaaran, raj naina ke jitney aur kareeb aa raha hota hai, naina ki saansein utni hi zyaada thahar jaati hain, aur woh pal bhi aa jaata hai, jab raj ke bhige lab, naina ke surkh hoton se takraate hain, naina ki dil ki dhadkanein ruk si jaati hain, aur aas-paas sab kuch thahar sa jaata hai, saara mahoal tham sa jaata hai, aur saari fizaayein raj aur naina ke pyaar ke rang mein rang jaati hain, doosri taraf saari duniya se bekhabar raj aur naina, poori tarah se ek doosre ke pyaar mein doob chuke hain, dono ka astitva ek doosre mein poori tarah se sama chuka hai...........................

Aur in khubsoorat palon ko main, apni likhi hui in chand panktiyon se sajaakar, samet rahin hoon, aasha karti hoon ki aap sabko pasand aayega...........................................

"tere pyaar ki gehraayi, is kadar mujhmein samayi, tu roshni banker, meri nazron mein utar aayi, ab in nazron ko, main kab tak chupayun, khuda se bas yahi dua hai, ki jab bhi in palkon ko uthayun, in nazron mein bas tujhe hi paayun"

Yahi thi rajveer aur naina ki kahani meri nazron se, aur yeh is kahani ka ant nahin balki haseen shuruat hai...................

END OF IZHAAR, PLZZZZZZZZZZZZZ DO COMMENT.AUR PLZZZ AAP SAB YEH BHI ZAROOR BATAYIYEGA KI AAP SABKO MERA YEH SHORT FF ON RN KAISA LAGA, AS A WHOLE.....................WITH LOVE, PRITI.

Edited by pritib0 - 16 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: zajedno

2 months ago

new morning, new day.

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: MidnightLibrary

11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter) Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: zajedno

8 months ago

HAPPY NEW YEAR HAPPY NEW YEAR

happyy. New Year 2025

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".