PART 6
Next scene in rajveer,s room.
Jahan par raj tyayaar ho raha hai, aur sirf naina ke baare mein hi soche jaa raha hai, shuruat se lekar ab tak, undono ka yeh khubsoorat rishta kis-kis mod se hokar guzra hai, use apni aur naina ki pehli mulaqat baar-baar yaad aa rahi hoti hai, aur phir kis tarah se undono ke beech mein galat fehmi hoti hai, lekin phir dheere-dheere undono ka rishta ek mazboot vishwaas ki dorr se bandh jaata hai,aur raj ko toh is baat ki khabar tak nahin rehti hai, ki, kab, kahan, aur kaise naina uski zindagi ka ek atut hissa ban jaati hai, aur woh use dilon jaan se chahne lagta hai, lekin tab use yeh nahin pata rehta hai ki, uski yeh chahat adhuri reh jaayegi, phir undono ki zindagi mein ek aur toofan aata hai, jab un dono ke raaste alag ho jaate hain, aur unke beech mein phir se ek nafrat ki deewar khadi ho jaati hai, lekin kehte hain na, ki jahan par sachchai aur vishwaas hota hai, wahan nafrat aur galatfehmi ke liye koi jagah nahin hoti hai, isiliye toh in sab intehaano ko paar karke bhi raj aur naina ka rishta apni sachchai aur vishwaas ki kasauti par khara utarta hai.lekin aaj phir se un dono ka rishta ek aise mod par aakar ruka hua hai, jahan par do raaste hain,ek par who naina ke saath chal sakta hai, aur doosre par akele aur ab yeh raj ko hi taya karna hai ki woh kis raah par chalna chahat hai,yahi sab sochte-sochte raj apne room se bahar nikalta hai, aur jaise hi apne room ko lock karke, piche ki taraf turn karta hai ki use saamne corridoor se naina aati hui dikhayi deti hai, woh naina ko dekhta hi rehta hai.
(aur back ground mein raj aur naina ka LRL ka fav. Track chal raha hai)
Naina dheere-dheere rajveer ke paas aati hai, aur woh bahut hi zyaada khubsoorat lag rahi hai, raj toh bas ek ? tak naina ko hi dekhe jaa raha hai, aur uske chehre par halki si muskaan khili hui hai, uski nazrein sirf aur sirf naina ke upar hi tiki hui hain, kuch hi palon mein naina, rajveer ke ek dum paas pahunch jaati hai.
Ab raj aur naina ek doosre ke aamne saamne khade hain, aur raj use bas dekhe hi jaa raha hai, raj ko dekhkar aisa lag raha hai ki mano who naina se kuch kehna chahta hai, par keh nahin paa raha hai, aur woh apni nazrein niche jhukha leta hai.
Naina raj ke kaafi kareeb aa jaati hai, aur use hi dekhti rehti hai, magar raj ki nazrein abhi bhi jhukhi hi hui hain.
Kuch pal toh dono aise hi khade rehte hain, phir naina raj se kehti hai.
NAINA-toh chalein sir????..
RAJ-(apni nazrein uthakar naina ki taraf dekhta hai, aur phir kehta hai)-haan, chalo????.
Aur itna kehkar dono saath-saath kma se bahar nikalte hain.
RAJ-(thoda sa hichkichate hue)-naina????
NAINA-jii???..
RAJ-ek baat kahun????
NAINA-haan kahiye na????.
RAJ-aaj tum bahut khubsoorat lag rahi ho.
NAINA-(halke se muskuraate hue aur sharmaate hue)-thanky sir, waise aaj aap bhi bahut achche lag rahein hain.
RAJ-(halke se muskuraate hue)-really, thanx.
NAINA-(smile karte hue)-hmmmm.
RAJ-tumhe yaad hai naina, jab pichli baar hum dono point 1857, par aaye the tum kis tarah se mujhse baar-baar zidd karke keh rahi thi ki??????
NAINA-ki chahe jo bhi ho jaaye sir, main point 1857 par jaa ke hi rahungi, aur aap baar-baar bas mujhe wahan jaane se rok rahe the???...
RAJ-haan, magar kya tumne meri baat mani???????
NAINA-nahin, kyunki mujhe jaana tha????.
RAJ-tum sach mein bahut ziddi ho naina????..
NAINA-haan, main jo bhi thaan leti hoon, use karke hi rehti hoon.
RAJ-bilkul naveen par gayi ho, woh bhi ek baar jo mann mein thaan leta tha, toh use poora karke hi dum leta tha??????.
NAINA-aakhir bahan kiski hoon?????
RAJ-hmmmmm??????..
NAINA-waise sir ek sawaal poochon aapse?????.
RAJ-haan poocho na??????.
NAINA-aaj aapne mujhe mana kyun nahin kiya?????.
RAJ-(chaunk kar)-isliye kyunki???????
NAINA-kyunki??????..
RAJ-kyunki aaj main khud yahan par aana chahta tha?????.
Naina ek pal ke liye raj ko dekhti rehti hai, aur phir kehti hai???..
NAINA-iska matlab hai ki aaj mere saath-saath,aapki bhi khwahish poori ho jaayegi?????..aur kam se kam isi bahane aaj aap aakhiri baar mere saath?????..
Aur itna kehte-kehte naina ruk jaati hai?????.
Naina ki baat sunkar, raj uski taraf dekhne lagata hai???..
Aur phir kehta hai?????
RAJ-aham???.achcha naina, ek baat toh batao, ki mere jaane ke baad, tum mujhe bhul toh nahin jaogi na?????
NAINA-(seriously)-aapko kya lagta hai????.?
Raj naina ki baat sunkar, ek pal ke liye use dekhta rehta hai, aur naina bhi raj ko dekhti rehti hai, phir raj apni nazrein hata leta hai, magar naina abhi bhi sirf raj ko hi dekhi jaa rahi hai.
RAJ-kya baat hai naina,aise kya dekh rahi ho?
NAINA-kuch nahin bas aise hi???????
Achanak se chalte-chalte, naina ka pair ek pathar se takra jaata hai, aur woh girne hi waali hoti hai ki raj uska haath pakadta hai.
RAJ-samhal ke naina??????
NAINA-main thik hoon sir, aap pareshaan mat hoyiye, aur waise bhi ab mujhe akele hi khud ko samhaalna hoga, agar aap baar-baar yuhin meri madad karte rahenge, toh mujhe aapki aadat pad jaayegi?????
RAJ-pad jaayegi, toh padjaayegi, ismein itna sochne waali kaunsi baat hai naina?????
NAINA-aap shayad bhul rahein hain, ki aaj aap yahan se humesha ke liye jaa rahein hain??????..
Raj jo ki kuch palon ke liye yeh baat bhul gaya tha, naina ki baat sunkar, use achanak se yaad aa jaata hai, ki who jaane waala hai aaj.
RAJ-(seriously)-toh kya hua agar main bhul gaya hoon, tum hona, mujhe yaad dilane ke liye???????.
NAINA-sir chadayi aa gayi hai?????..
RAJ-ok, naina, toh ab samhal kar chadna ,pichli baar tum girte-girte bachi thi????????
NAINA-don?t worry sir, is baar aisa kuch bhi nahin hoga, main samhal kar hi chadungi, kyunki mujhe pata hai ki, ab mujhe akele hi chalna hai, zindagi bhar, pichli baar toh aapne mera haath tham liya tha, magar ab aisa kuch bhi nahin hoga???????
Naina ki baat sunkar raj use ek pal ke liye dekhta hi rehta hai.
RAJ-tum aisa kyun bol rahi ho naina, main hoon na tumhare saath, main kabhie bhi tumhe akela nahin chodunga, just trust me???????.
NAINA-(angryily)-really sir, can I trust u...........................?
Raj se naina ka is tarah ka bartaav aur bardaasht nahin hota hai, use ghutan si mehsus ho rahi hoti hai, ab tak toh usne kisi tarah se khud ko, samhaala hota hai, par ab usse aur bardaasht nahin hota hai, woh naina ko apni taraf zor se khinchta hai, ab raj aur naina ek doosre ke kaafi kareeb khade hain, itne kareeb ki dono ek doosre ki dhadkano ko mehsoos kar sakte hain, raj naina ki taraf ek tak dekhe jaa raha hai, aur naina bhi raj ko hi dekh rahi hai, dono ek doosre ki aankhon mein apna-apna aks dekh rahein hain, aur unke aas-paas ki fizaayon mein humein saaf-saaf unke dhadkte dilon ke aahat sunai de rahi hai, do dil jo sirf ek doosre ke liye hi dhadktein hain, unki nazrein un ke dil ka haal bayaan kar rahi hai, bhale hi lab kuch na kahe, magar aaj jab in fizaayon ko bhi inki chaahat ki khabar hai, kya woh ise kubool karenge, kya aaj in do aatmayon ka milan hoga, ya phir??????????.
END OF PART 6, PLZZZZZZZZZZZZZ DO COMMENT.
Edited by pritib0 - 17 years ago
268