RK FF:SITAM..Part 18,Page 25,14/03/2010 - Page 2

Created

Last reply

Replies

197

Views

32k

Users

30

Likes

42

Frequent Posters

yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#11

Originally posted by: leomil

nice one keep on writing more

meli



THANKS A LOT😊




Dawn Idol thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#12
Never mind ....... Ananya .... go right ahead ....... let Raj suffer a little bit ......... and work hard at wooing Kranti ..... after all mehenat ka phal meetha hota hai 😆
ms-tabu thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#13
gr8 work, i look forward 2sum more stuff like this😛
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#14
PART 2
THE JULIET






darwaze par knock....Mrs. Verma ne darwaza khola...Kranti khadi thi...

Mrs. Verma, Mrs. Gauri Verma..Kranti inhike ghar me rehti hai..

Gauri--bahut thaki hui lag rahi ho..kyaa hua?

Kranti--bas aise hi...woh ghanchakkar peechhe pad gaya tha aaj bhi..sharafat ki zuban samajhta hi nahi..

Gauri--Raj ki baat kar rahi ho?

Kranti--Jee..aaj toh usne hadh paar kar di..


Gauri--kyaa kia usne?

Kranti--apni Maa se milvana chaahta hai mujhko...bol raha tha..k mujhse pyaar karta hai.. aur bhi bahut si bakwas baatein..

yeh kahte kahte Kranti apne kamre ki taraf chali jaa rahi hai..Gauri uske peechhe peechhe gai...


Gauri--aisa kaha usne?


Kranti--Jee..bol bol k pareshaan kar dia..usne..

Gauri--toh bura kyaa kia usne..yeh toh achhi baat hai Beti..woh tumse pyaar karta hai..apni Maa se milvana chaahta hai..aise saaf dil k log aaj kal nahi milte..


Kranti--Jee..pata hai..

Gauri--tumko woh zara bhi achha nahi lagta?

Kranti--dekhte hi dimaag jal jata hai mera...aur main Delhi aai hoon..padhai karne k lia.. kuchh banne k lia..mujhe in sab pachhdo me nahi padna..


Gauri--toh..padhai aur kaam k saath saath..shaadi bhi karni hai tumne,Raj achha ladka hai ..usko is tarha ignore mat karo..


Kranti--kyaa Mausi..aap bhi..

Gauri--maine jitna samjha hai..Raj k bare me..ladka haar maanne walon me se toh lagta nahi..

Kranti--yeh sab chhodiye..main College k GS k lia Election ladh rahi hoon..

Gauri--ohh..achha suno..aaj tumhara khat aya hai..Hoshiyarpur se...

Kranti--Chaijee ka hi hoga..

Gauri--haa..tum fresh ho jaao...main pakode bana rahi hoon..

Kranti--Jee..

***************************************

raat ko Kranti apne kamre me so rahi hai..neend nahi hai ankho me...kuchh soch rahi hai..

Hoshiyarpur se woh Delhi padhne aai hai..uska sapna hai Politics me apna Career banaayegi..


College ki GS banna ..uske lia..bahut zaroori hai...Political System ko baariki se samajh ne k lia..Politics me involved hona padta hai..


Delhi k Students me ek naam kaafi suna hai usne,jo Youth ko achhi tarha se Motivate aur Guide karte hain...Minister nahi hai..naa hi MLA yaa MP..but..inka sikka bahut chalta hai Political Lobbies me..

Kranti ne unka naam bhi suna hai..Hardev Dayal..hmm..yehi naam hai..Kingmaker kaha jata hai unko...har party k MPs aur MLAs k saath unka uthna baithna hai...

Kranti ko unse milna hai..zindagi ko nayi disha mil jaayegi...raaste aasaan ho jaayenge...




Gaon me Kranti ka ek Parivar hai...uske Baojee..uski Chaijee..aur Kranti..bas teen hi hain..

Chaudhry Kulvindar Singh aur Parmindar Kaur ki beti Kranti...jab Kranti paida hui thi..tab Gaon k ek Pandit ne yeh naam rakha tha..sab thode hairan hi hue the..thoda alag sa naam tha..

High School k baad..Chaijee ne socha..Kranti ki shaadi kara deni chahie..par Baojee ne kaha..aage padho..aur padho..

Kranti ko Delhi bhej dia unhone..



aur pahle din hi anhoni..Kranti ka saamnaa..Rajveer se...

Kranti uske Bike k saamne aa gai...

Kranti ek Cotton se bani Churidar me thi..Green Colour ki..

Raj tha ek Blue T-Shirt aur Black Jeans me...ankho me Sunglass..


Kranti--Sorry...Jee..

Raj ne Sunglass utara...Kranti ko dekha..sar se lekar paaon tak..

Raj--Fresher?

Kranti--Jee?

Raj--New Entry?

Kranti--Jee..First Year..Sociology..

Raj--cool..naam kyaa hai?


Kranti--Jee,Kranti Kaur..

Raj--KK..good..

Kranti--Jee?

Raj--aapka naam kisne rakha?


Kranti--Gaon k Mandir k Panditjee ne..

Raj--Gaon..kaun sa gaon?

Kranti--Hoshiyarpur..

Raj--Higher Secondary ..kaha se pass kia?

Kranti--Jee..Gaon k hi High School se..

Raj--hmmm..aapko is College me Entry kaise mili?

Kranti--Jee..number achhe mile the..

Raj--kitne?

Kranti--Jee..94%..

Raj--ohh..aapke Parents..kyaa karte hain aapke Father?

Kranti--Jee..humari zameen hai..kheti baadi hai..

Raj--ohh..

Kranti--Jee..ab main jaaoon?

Raj--yeh Jee bolne ki bimari hai aapko?

Kranti--Jee?


Raj--kyaa?

Kranti--Jee nahi..ab main jaaoon?

Raj--Jee jaaiye..

Kranti--Jee..shukriya..


Kranti Class ki taraf jaa rahi hai...

kuchh ladkion ne usko gher lia...


"Hey Fresher..!!"


Kranti--Jee..haa..

"aate hi..Raj ki nazron me aa gai?kyaa baat hai..!!"

Kranti--Raj ..kaun Raj?

"jisse tum abhi abhi baat kar rahi thi...Rajveer Grewal..College ka Hero..Hunk.."

Kranti--Jee..iske bare me mujhe kuchh nahi malum..mujhe toh unka naam bhi malum nahi tha..aaphi ne bataya..

"ooohhooo..so innocent..!!naam bhi nahi pata.."

Kranti--sach bol rahi hoon jee..mujhe nahi pata..

"thik hai,thik hai..abhi jaao..."



do din baad..College ki library me Raj se fir mulakat hui...

Raj apne dosto k saath ek table me baitha tha...magazine padh raha tha...

Kranti uske paas k hi table par baithi thi...

Kranti ne Raj ki taraf dekha..Raj Kranti ki taraf hi dekh raha tha..

dono ki nazre mili..Raj ne usko ishare se bulaya..

Kranti baithi hi rahi..

Raj uski taraf hi dekh raha hai...


Kranti ne kitabon ki taraf dhyaan dia..

1 ghante baad..Kranti library se nikal gai..

usko Canteen jana hai...



pichhe se koi awaz de raha hai..

"Hey..KK...Helloooooooooooooo.."

Kranti nahi rooki..


"HELLOOOOOOOOOOOOOOOOO..KK..Kraaaaaaaaaantiiiiiiiii..."


Kranti pichhe mudhi...Raj aa raha tha..wahi bula raha tha...

Kranti rook gai..


Raj--Hii..

Kranti-- Jee Namaste..

Raj--OK..Namaste..maine tumko bulaya..tum uth kar chali aai..kyon?


Kranti--Jee..mujhe jana tha..Canteen me..

Raj--Khane k lia?

Kranti--Jee,nahi..woh pyaas lagi hai..sharbat peene k lia..

Raj--chalo..main peelata hoon..yeha par bahut achhi Cold Coffee milti hai..

Kranti--Jee..nahi..aap kyon takleef karenge..main Canteen ka rasta jaanti hoon..

Raj--arre..main khaa nahi jaaunga tumko...

Kranti--Jee,mujhe pata hai..par aap mere se baat naa hi kare toh achha hoga..

Raj--kyon?

Kranti--Jee..baat yeh hai ..k ..mujhe hi sunate hain..log,aap mujhse baat naa kare toh achha hoga..

Raj--kisi ne kuchh kaha ?

Kranti--Jee..mujhe jana hai..

Kranti bhaag gai...


Raj(man hi man)--isko kyaa hua?..bhaag kyon gai?

uske baad se..subha yaa shaam..Kranti se Raj ki mulakat ho hi jaati hai..

Kranti bhaag jaati hai..

Ek din...College me admission lene k 6 maheene baad..

Kranti Class room me gai...


Black Board par usne dekha..bade bade fonts par likha hai.." I LOVE YOU KRANTI,TUMHARA RAJ"


Lecturer jab Class me aaye..unhone dekha..Black Board par..

Duster se pochhne lage..yeh koi nayi baat nahi hai..College k diwaron par..darwazon par.. aisa dekhne ko mil hi jata hai..

Kranti chup kar k baithi hai..


Lecturer--yeh achha hai...Shaher ki hawa lagi nahi..ishque ka bukhar chadh gaya..kyaa hoga inka..


Board me jo likha tha ..uske lia Kranti shaayad bura nahi maanti..par is baat ka bahut bura maan gai..


kuchh dino baad..

Kranti ko ek khat mila..

"Kranti,
jis din se tumko dekha hai..us din se tumhare siva aur koi sujhta nahi....pata nahi kaun sa nasha hai tumhari in gehri ankho me..jee karta hai..inhi ankho me dooba rahoo..tumhari muskurahat..jaise 1000 watt ki bulb..tumhara figure..36-24-36..bananewale ne bahut foorsat se banaya hai tumko..kyaa lagti ho..

tumhare Gulab Jamun jaise hontho ko dekh kar..humesha choomne ko dil karta hai..aise kas k..chumma lunga..


tumhara aur sirf tumhara
Raj"


yeh Khat dekh kar..Kranti ko bahut gussa aa gaya...

woh daur k Principal k paas gai...


Kranti--dekhiye Sir..kitni ghatiya baatein likhi gai hain...

Principal--kyaa hua?

Kranti rone lagi,"Sir,is tarha bahut dino se mujhe pareshaan kia jaa raha hai.."

Principal bahut odd position me hain..aisa khat...itni ghatia baatein..!!

Principal--Raj..yeh kaun hai?

Kranti--Rajveer Grewal..Final year ka student..

Principal Raj ko achhe se jaante the...Raj ..kar sakta hai aisa..khaas shareef nahi hai..

Raj ko bulaya gaya..aur uske peechhe uske 4 dost gaye...

Kranti ro rahi hai...


Raj ne kuchh der dekha Kranti ko..aur woh khat bhi dekha ...

Principal--aap maante hain..k yeh khat aapne likha hai?

Raj--jee..maine nahi kia aisa kuchh..par kisne kia hai..main pata kar sakta hoon..

Kranti--JHOOT..sarasar jhoot..College k pahle din se aap mera peechha kar rahe hain..usdin Black Board par bhi aap ne ulti sidhi baatein ...aap..bahut hi geere hue hain..

yeh kahte kahte..Principal aur sab k saamne..Kranti ne apne chappal utaar kar Raj ki taraf feka..

Raj ki kismat kharab..chappal uske gaal par hi aakar laga..

Raj--maine aisa nahi kia..par agar main saabit kar doon..k main nirdosh hoon..toh ..Kranti ko saza zaroor milni chahie..

Principal--OK..agreed...



agle din subha tak sachchai ka pata lag gaya...Exam Copies check kie gaye..yeh Raj ki hand writing nahi thi..ho sakta hai..kisine ghatia mazak kia ho..

Principal--dekho..ab isko yehi khatam karo..after all ..ladki hai..usko Publically insult karne se tum logo ki mardaangi nahi badhegi..bhool jaao..


Raj chup hi khada tha..par uske dosto ne kaha,"jee nahi..agar yeh kaam koi ladka karta ..tab toh nahi karte aap aisa..aur sab k saamne Raj ki itni beizzati hui..uska kuchh nahi?"

bahut bahes hui..Professor log aaye..bahut bada bawaal hua..

finally....


Principal--OK..saza hi dena hai..OK..toh usko decide karne do..Kranti ..is a nice girl..uska nature bahut achha hai..usko decide kar dijiye aap log..k usne khud k lia kyaa saza tai ki hai..is that OK with you ?

is baat par aur koi baat nahi uthti..Kranti khud apne lia saza choonegi...

dopaher ko Kranti gai Principal k Office...


Principal--I know..itna aasaan nahi hai..but..aapne bhi ghalati ki hai..

Kranti--Jee,main maanti hoon..par Raj mujhe shuru se pareshaan kar raha tha..

Principal--I understand my dear..but..now..


**********************************

2 ghante baad Kranti Principal k Office se nikal kar Library ki taraf jaa rahi thi..

Raj mila...uske dost peechhe khade the...


Raj--khat toh maine nahi likha..par haa..Black Board par..woh..baat..mera hi kaam tha..

Kranti--kyon kia aapne aisa?

Raj--just for fun..aise hi..lekin usse mamla yeha tak aayega..mujhe malum nahi tha..

Kranti--Jee..mujhe jana hai..


Principal se pata chala..Kranti ne apne lia yeh saza chuni hai..k woh 1 maheene tak College me bina chappal k chalegi..


Raj--nautanki me achhi hai..yeh ladki...


Raj k doston ne pure College me Posters lagva die..Kranti ko taunt karne k lia..




"JAANI..AAPKE NAAZUK PAIR ZAMEEN PAR MAT RAKHIYE..MAILE HO JAAYENGE.."



"PAAYAL..PAAYAL..TERE PAIRO KI YEH PAAYAL.."..

"K PAGA GHUNGROO BAANDHE..KRANTI NAACHI THI..AUR CHAPPAL KISINE CHURA LIA.."



kisine nahi socha tha k Kranti sach me nange pair College me chalna firna shuru karegi..

par agle din se Kranti ne sach me aisa karna shuru kia..College k premises par enter karte waqt..woh apne chappal utaar k ek bag me rakh leti thi..aur College k baahar nikalte hi chappal pahen leti thi..sara din..Class Room,Library,Canteen..bina chappal k..nange pair..


ab tak mamla..sab mazak tha..yaa tamasha..

par jab Kranti sach me aisa karne lagi..tab Raj ko hi bura lagne laga..aur Raj k dost bhi..zara darr gaye..

Kranti apne attitude k saath chalti thi...





Kranti College k baahar nikli..Raj Bike lekar khada tha..


Raj--Kranti..suno..

Kranti--Jee..

Raj--kal se College me chappal pahen kar hi ana..ek hafte se aisa..achha nahi lagta..tum chappal pahen kar hi ana..


Kranti--aapki baton se kuchh nahi hota..

Raj--nange pair chalne ki aadat nahi hai..pairon me kuchh choobh gaya..kuchh ulta sidha ho gaya toh..log mujhe hi dosh denge..aur victim main hoon..jab mujhe koi shikayat nahi hai.. toh logo se kyaa lena dena?


Kranti--Jee..koi kuchh nahi kahega..kyonki yeh mera faisla hai..aapko kuchh lena dena nahi hai isse..


aur do din baad..

Kranti chali aa rahi hai..College ki corridore se....

aur uske pairo k niche jalta hua cigarette aa gaya...kisine feka tha...

bahut jal raha tha..aur Kranti thik se chal nahi paa rahi thi..


College se baahar aa rahi thi..toh Raj aur uske dost mile..


"Hey..Raj..Jhansi ki Rani..Kranti Bai.."

Raj--shut up..

Kranti ko aise chalte hue dekh kar..

Raj--kyaa hua?

Kranti--Jee..kuchh nahi..

Kranti k saath jo ladki thi usine bataya.." Kranti ne anjaane me jalte hue cigarette par paaon rakh dia tha.."

Raj--ohh..achha..tum baitho bike par..main Doctor k paas le chalta hoon..

Kranti--Jee nahi..shukriya..aur is taraha mere raaste me aaye..toh mujhe kuchh sochna toh padega...



Kranti ne kyaa socha..yeh baat Raj ko do din baad pata chali..

Principal ne Raj ko warn kia.." Kranti Kaur ko pareshaan karna chhod dijiye..varna aapke against action lia jaayega.."



yeh sab baatein yaad karte karte..Kranti ko pata hi nahi chala..k kab woh gehri neend me doob gai..


Seebz thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 17 years ago
#15
Ananya.great job yaar.......👏...superb yaar
this is brilliant.yaar....u made her so strong....she is ready to take any challenge.....gud yaar.pleas cont soon.....
liquidfantasy thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 17 years ago
#16
hey nice fic...i like kranti's strong character...plz introduce sanjay n nirmal also...i love them too!!
leomil thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#17

WOW NICE KEEP UP WAITING FOR THE NEXT PART

MELI
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#18

Originally posted by: Seebz

Ananya.great job yaar.......👏...superb yaar

this is brilliant.yaar....u made her so strong....she is ready to take any challenge.....gud yaar.pleas cont soon.....



thanks a lot..thanks for loving my fic..keep reading..



yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#19

Originally posted by: liquidfantasy

hey nice fic...i like kranti's strong character...plz introduce sanjay n nirmal also...i love them too!!



I will bring them soon..promise..


yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#20

Originally posted by: leomil

WOW NICE KEEP UP WAITING FOR THE NEXT PART

MELI



keep reading..have fun..



Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1014 page no 26 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1014 page no 26

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

3 years ago

Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 971 page 155

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

9 months ago

PreRish FF ~ Purity Of Souls (ch 6 - page 5)

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".