"33..33...Roll No.-33...Rajveer Grewal...??"
koi jawab nahi...
"yeh ladka..is baar bhi isi year me rehna chaahta hai kya?jis year me pass out hona tha ..nahi hua..final year me hi hai..yeh kar kyaa raha hai aaj kal?aaj bhi nahi aya.."
"Sir..uska Class kahi aur..koi aur leti hai...aap continue kijiye.."
"35% attendence hai uski...final exam me baithne k lia usko atleast 70% attendence paane honge..par is ladke ko hosh hi nahi...Baap ki daulat ko is tarha lootana chaahta hai kya?"
"May I come in Sir?"
"kyaa baat hai..!!Sooraj kis disha se nikla hai aaj?Rajveer Grewal itni jaldi Class me..?"
"andar aaoon..yaa jaoon?"
"aaiye..tumko sharam nahi aati?apne Juniors k saath ek hi Class-room me baithte ho..tum chaahte kyaa ho?"
"that depends..jo main aapse chaahta hoon..woh koi aur mujhe de nahi sakta..aur..jo main.."
"thik hai,thik hai..andar aao..pura din masti k ilava kuchh toh tumko soojhta nahi.."
"thank you Sir.."
Rajveer aakar Sanjay k paas baitha..
Sanjay--kaha tha?
Rajveer--mandir gaya tha...
Sanjay--baad me batana..abhi lecture soon..
Rajveer--hmm..
"toh aaj hum baat karenge sach k bare me..sach kyaa hai?humesha jo dikhta hai..sach nahi hota..har kaano suni baat sach nahi hoti..har ankho dekhi baat sach nahi hoti..sach aur jhoot ..ek hi sikke k dono pehlu hain...jo dikhta hai,sirf ek dhokhe k ilava aur kuchh nahi..jo nahi dikhta..kabhi kabhi sach ho bhi sakta hai..insaani dimaag..insaan ka bartav..A person is not that he or she shows..A person is that what he or she hides.yeh jo puri srishti hai..isi sach aur jhoot k conflict me bati hui hain..is rahasya ko samajhna bahut kathin hai...insaan ki...."
Rajveer--yaar..yehi wajah hai..k main is khadoos k class me nahi ata..Karnti Kaur ka male version hai..lambi lambi chhodta hai..baap re..mujhse bardasht nahi hota..
Sanjay--Raj..tu mera senior tha..is saal pass ho jana mere baap..varna mere juniors ka bhi tu Class-mate banega..
Raj--main fail nahi hua tha..bas Exam me nahi baitha main..aur iski wajah bhi hai..main bimaar tha..
Sanjay--haa..bimaari ka naam mujhe pata hai..Kranti..ishque ka bukhaar chadha hai tujhe..
Class khatam hone k baad..Raj aur Sanjay baahar nikle..
Sanjay--tu jiske lia exam me nahi baitha..woh tujhko bhaao nahi deti ...
Raj--yaar..main final year me..woh first year me..uske saath dosti theek se nahi hui..aise me pass-out hokar chala jata..toh naa jaane kab usko mil pata..
Sanjay--jaise ab mil paa raha hai..!!
Raj--nahi..par ankho k saamne dekhta toh hoon..main sochta hoon..yeh saal bhi exam na doon..aur usike saath graduation complete karoon..
Sanjay--aisa ghazab mat karna..
Raj--tu graduation k baad kyaa karega?
Sanjay--soch raha hoon..IAS ya IPS k lia baithoon..
Raj--achha hai..
Sanjay--tu kyaa karega?
Raj--Kranti se shaadi..
Sanjay--arre..woh toh hai..par..kaam kaaj kuchh karne ka irada hai bhi yaa nahi?
Raj--Dad ne itna paisa jama kia hai..mujhe kaam karne ki kyaa zaroorat?
Sanjay--tujhe uncle bedakhal kar denge..agar tera attitude aisa raha toh..
Raj--koi baat nahi...main Kranti se shaadi kar k..gharjamai ban jaaoonga..Hoshiyarpur chala jaaoonga..kheti baadi karoonga..
Sanjay--you are a gone case Raj...
Raj--arre..Kranti k saath rehna hai..baki duniya se kyaa lena dena?
Sanjay--Kranti ne haa kaha kya?
Raj--kahegi yaar...maine toh soch bhi lia hai..ek chhota sa ghar..main..Kranti..aur..humare do teen bachche..Kranti mere lia Paneer Tikka bana rahi hai....bachche mere saath khel rahe hain.....yaar..kyaa din honge?fir bachche bade honge..unki shaadi hogi...
Sanjay--break maar..arre..Kranti..isi taraf aa rahi hai...par uske saath woh..haribhari kaun hai?
Raj--kyaa?
Sanjay--arre..udhar dekh..Kranti k saath..woh ladki...
Raj--mujhe ..haa..yeh toh Nirmal hai..Nirmal Verma..
Sanjay--tu jaanta hai?
Raj--Kranti jinke ghar rehti hai..usi Mrs. Verma ki beti hai..Nirmal Verma..Medical College me padhti hai...second year..
Sanjay--ohh..tu itna kuchh kaise jaanta hai?
Raj--arre..yeh Nirmal bahut achhi hai...maine jitne letters bheje..Kranti ko..Nirmal k haathon hi pahuchaaye..Nirmal jaanti hai mujhe...tujhe milna hai Nirmal se?
Sanjay--Intro dila..chal..
Nirmal aur Kranti Raj ki taraf aa rahe the...
Raj bhi aage badha..
Raj--Hey..Nirmal..kaisi ho?
Nirmal--achhi hoon...kyaa baat hai..aajkal aap mujhse milte hi nahi..
Raj--arre..baap re..main agar Dariagunj area me bhi kadam rakhoon..toh meri taange toodvane ki dhamki di hai kisine..I am so scared Nirmal..
Nirmal--kyaa baat hai..waah..achha..jo baat main bolne aai thi..parso..ghar me ek party hai..bas aise hi..Maa bol rahi thi..k bahut dino se koi gathering nahi hui..shaam ko aa jaaiyega..dinner kar k jaaiyega..
Raj ne Kranti ki taraf dekha..
Kranti ki shakal dekh kar Raj ko samajh me aa raha hai..Mrs. Verma ne hi bulaya hai ..Raj ko..Kranti ko zara bhi khushi nahi hai is baat ki..
Raj ne feel kia..Sanjay ne usko apne elbow se hit kia..
Raj--haa..Nirmal..yeh mera dost..Sanjay...
Nirmal--namaste..
Sanjay--namaste..
Nirmal ne kuchh der socha..usne Sanjay k saamne hi Raj ko invite kia hai..kuchh ajeeb hai..
Nirmal--Sanjay Babu..aap bhi aaiyega..parso..humare ghar..Rajveerjee k saath..
Sanjay ko laga woh fudak k Raj k goad me uth jaaye..par abhi control karna hai khud ko..
Sanjay--jee main,...
Raj(man hi man)--naatak bahut achha karta hai yeh Sanjay..mann me laddoo foot rahe hain ..aur chehra aise dikha raha hai..
Raj--Nirmal..Sanjay ko zaroori kaam hai..woh nahi aayega..par main aaunga zaroor..
Sanjay--nahi..Nirmaljee..main aaoonga..zaroor aaoonga..parso na?haa..parso mujhe koi kaam nahi hai...
Raj--waise..Nirmal..baat kyaa hai?aise hi party?
Nirmal--woh..jis schollership ko paane ki koshish kar rahi thi..woh mujhe mil gai hai..isi ki khushi me...aage ki padhai free..kuchh bhi kharach nahi hoga..isi lia..
Raj--Congrats..
Nirmal--thanks..par..aap aaiyega zaroor..ab main chali..
Raj--haa..
Nirmal--Kranti..tu mere saath ghar chalegi ..yaa..baad me?
Kranti--nahi..abhi jana hai...
Sanjay--Bye..Nirmal..jee..
Nirmal--Bye..
College se nikal kar..Nirmal aur Kranti auto me baithe...
Kranti--kyaa zaroorat thi ..usko bulane ki?
Nirmal--tujhse poochhkar bulana hai?Raj se meri achhi banti hai...maine usko bulaya.. aur..tu usse itni kyon chidhti hai?
Kranti--bahut hi ghatia insaan hai..
Nirmal--kaun sa paap kia usne..tu usko is tarha treat karti hai?
Kranti--tu padhai karna..Medical ki padhai aasaan nahi..tu us par dhyaan de..3 saal baad tujhe degree milegi,,.us par dhyaan de..aur woh..Raj ki poochh..Sanjay..saaf..openly..line maar raha tha..tujh par..aur tune usko bhi bula lia..
Nirmal--kaun? Sanjay?
Kranti--aahha ahaha..naam tak yaad hai..
Nirmal--abhi toh mili usse..yaar..tu Raj se itni chidhti kyon hai?He is a nice man..
Kranti--haa..hai ...toh?
Nirmal--tera kuchh nahi ho sakta..kaash..Raj itna seriously..mujh par line maarta..
Kranti--main Raj se baat karoongi..abhi muh bandh kar..bol bol k pareshaan kar dia...
Nirmal aur Sanjay baat kar rahe hain...Raj Mrs. Verma se bat kar raha hai...
Kranti parathe bana rahi hai..
khana ban chuka hai..par Kranti ko ek bahana chahie...is mehfil se door rahne ka..toh woh kitchen me khadi..parathe bana rahi hai..
Mrs.Verma--toh Raj..padhai khatam hone k baad kyaa karna hai?
Raj--pata nahi.
Mrs Gauri Verma--kyaa?pata nahi?aise kaise?
Raj--nahi..Dad ne soch kar rakha hoga kuchh...
Gauri--ek tum ho..ek Kranti..baap re..har baat ko itni seriously leti hai..aur uspar toh bhoot sawaar hai..Politics me jaaneka...
Raj--I know..
Gauri--achha suno..ek kaam ki baat bataoon..2 maheene baad..Kranti k Maa--Baojee aa rahe hain..tum milna chaahoge unse?
Raj--sach..?
Gauri--par..tumhari Maa toh Kranti se milne aanewali thi..Kranti ne kuchh bataya nahi uske bare me?
Raj--actually..Maa ko jana pada..Bhopal..Mausi ki tabiyat kharab thi..
Gauri--achha..Raj..Kranti toh GS k lia Election me khadi ho rahi hai..
Raj--haa..malum hai..
Gauri--tum madad nahi karoge?
Raj--meri madad toh legi nahi..
Gauri--pahle din se jo jhamela hua ..kaafi kuchh hua..
Raj--haa..
Gauri--yeh ladka..Sanjay..achha hai..
Raj--jee..
Gauri--iske Papa kyaa karte hain?
Raj--Doctor hain...Nursing home hai khud ka...
Gauri--achha..
Raj--ladka bahut achha hai...aur..Nirmal ko pasand karta hai..
Gauri--kyaa?
Raj--jee..isi lia toh laya hoon..saath me..aapko kaisa laga?Graduation k baad..shaayad IAS ya IPS banega..
Gauri--main kyaa bataoon?Nirmal k Papa toh rahe nahi ab..Nirmal Doctor ban jaaye pahle ..fir ..woh jisko pasand kare..main kyaa boloon?
Raj--haa..aap akeli toh faisla kar nahi sakti..
Kranti kitchen se baahar aai..
Kranti--raat k 9:30 baj gaye hain..khana hai...Nirmal..kyaa karoon?
Gauri--haa..Raj chalo..Sanjay..chalo beta..
Raj(man hi man)--Sanjay ki kismat achhi hai..pehli baar sasooral aya..aur ..waah...aur Kranti..iska kyaa hoga?
teerchhi nazar se Kranti ko dekh raha hai Raj..
Kranti uski taraf dekh bhi nahi rahi hai..
Sanjay Gauri se baat kar rah hai..Kranti Nirmal se baat kar rahi hai..
Raj irritated ho gaya...
Raj ghar pahucha..
"beta khana.."
Raj--khaa kar aaya hoon..
"kaha se?"
Raj--Kranti k ghar se..I mean jaha par Paying guest hai ..wahi se..
"kyaa kaha Kranti ne?"
Raj--kaash..woh kabhi ..kuchh kehti...
"mujhse milva kab raha hai?"
Raj--aap kab chal rahi hain..College..
"ghar par laa ekdin.."
Raj--koshish karta hoon...ab mujhe sona hai..Good Night...
Kranti bahut pareshaan hai...udti udti ek khabar aai hai uske kaano tak..
GS k Election me..uska ek contender hai..Rajveer Grewal..
College me Raj ka yeh last year hai..usse pahle..ek baar Raj GS banna chaahta hai..
Kranti k gusse k aag me..is khabar ne Ghee ka kaam kia...
jis bare me Raj ko koi idea nahi hai..koi interest nahi hai..yuh hi..this is irritating..
agle saal..Kranti ka bhi Final year hoga..padhai ka pressure..agar constructive kuchh karna nahi hai..toh..
Raj GS bana toh..College k awaragardhi badhegi..aur kuchh haasil nahi hoga..
apna shaukh pura karne k lia..GS jaise important post ka is tarha koi mazaak kaise udha sakta hai?
262