PART 5
LONDON
Kranti k gaaon bhi gaya tha Rajveer,par woh mili nahi.Zameen khaa gayi usko yaa aasmaan nigal gaya..Raj samajh nahi paya..Raj ne bahut dhoondha usko..par Kranti ka kuchh pata nahi chala..aur fir Raj ko Delhi lautna pada..aur College bhi jana pada..aur College me Raj ki zimmedarian bhi badh gayi thi..ab Raj samajh raha hai..k usne GS ban kar kitni badi ghalati kar di..ab usko samajh me aa raha hai k,Kranti hi kaabil Candidate thi..Kranti ne kaha bhi tha..sirf aur sirf ego satisfy karne k lia yeh Election ladh kar..bahut badi bhool kar raha hai Raj..par Raj ne ignore kia...ab samajh me aa raha hai..k Kranti kitni sahi thi..bahut se maamle suljhane padte hain..
ab woh din nahi rahe ..jab Raj sirf Bike pe ghoom kar aur Cigarette ka dhuaan uda kar din kaat sake.GS bana hai,toh kaam bhi karna padta hai.Rajveer k saamne aur bhi ek target hai,pass hona.Ab k agar woh College me raha,toh uski haalat bigaad denge College k Principal aur Professors..aur ghar par Dad.aur jis insaan ki wajah se Raj College me tha.. jab wahi nahi rahi..toh Raj bhi yeha rook kar kyaa karega?
Graduation finally complete kar lia Rajveer ne.
socha ab Dad kuchh nahi kahenge..par Dad k demands ki list abhi Raj ko pata nahi chala hai..bahut kuchh hai us list me..Dad chaahte hain..k Raj MBA kare..business usiko dekhna hai..is baat ko lekar kaafi bahes ho gayi Baap-Bete k bich.Maa bechari dono ko samhaalte samhaalte thak gayi..
Dad--sivaaye awaragardi k ..tum kuchh nahi karte..
Raj--baaki aur karne ko kuchh chhoda hain?aapne aur mere Dadajee ne?
Dad--kyaa matlab?
Raj--itna sara paisa..kharach kaha karenge?aapko aur Daulat kyon chahie?
Dad--paisa agar kamana padta ..toh pata chalta ...yeh jo tum aish karte ho na..woh isi lia.. kyonki mere Baojee ne aur Maine apna khoon paseena ek kia hai..aur yeh Daulat..yeh jaidad haasil kia hai..yeh shaandar ghar..yeh jo life hai tumhari..humari hi mehnat ka nateeja hai..
Raj--aap chaahte kyaa hain?
Dad--Business Management k bare me jaano...Beta..tumhare Dadajee ne karobar shuru kia.. mujhe bhi haath batana pada..par main koi pressure nahi dena chaahta..tum waqt lo..par waqt ko kisi sahi wajah k peechhe kharach karo..kuchh naya sikho...
Raj--all right...
Dad--ek lauti aulad ho..koi Beti bhi nahi hai meri..jo damad aakar yeh sab samhaalega.. tumse hi saari ummeeden hain Raj..
Maa--uska mann jo chaahe..karne dijiyena..
Dad--haa..har koi apni manmaani kare...itne saalon se..tinka tinka jama kar k..jo kuchh banaya hai..sab mitti me mil jaaye..yehi chaahti ho?
Maa--aap shaant ho jaao..Raj..Beta..apne Baojee ki baat kyon nahi maan leta?padh le na.. do saal ki hi baat hai..jo kuchh hai..tujhe hi samhaalna hai..tu kyaa chaahta hai?kal ko tere bhi bachche honge..woh log kyaa sochenge ..apne Baap k bare me..?
Raj--Maa..tum bhi..?
Dad--Raj..Beta..meri sehat ab theek nahi rehti..kal ko kyaa ho jaaye..kisiko pata nahi...ab toh yehi prarthana karta hoon din raat..k jo kuchh banaya hai..woh meri ankhe bandh hone se pahle..khatam naa ho..
Maa--kaisi baat karte ho jee?
Dad--aur kyaa boloon?
Raj ne dekha..baat emotional blackmail ki taraf jaa rahi hai...
Raj--OK...main MBA karoonga...but..India me nahi..USA yaa UK me..
Raj ne socha tha ..yeh baat sun kar..Maa pareshaan ho jaayengi..aur Dad ko mana lengi... k Raj ko aur padhne ki kyaa zaroorat hai..par..Maa ne kuchh nahi kaha..sivaye iske.."jaisa tu chaahe.."
aur Dad toh bahut zyada khush hue...
Dad--Shabash Beta..main bhi yehi chaahta tha..k tu London jaakar padhai kare...
Raj k sar par haath...yeh toh ulta padh gaya sab kuchh..
********************************************************
1998,December..
Raj London chala gaya..Sanjay aya tha..see off karne..usse kuchh din pahle Nirmal bhi aai thi..milne..Kranti ki khabar dene..
*****************************************************
Manchester University k Campus me ghoomte ghoomte..Raj ko Hindu College Campus ki yaad aa jati thi..MBA toh kar lia usne..par India lautne ka mann nahi kia..socha..1 saal aur reh le London me..waapas jakar Dad ka kaam hi samhaalna hai..
Raj ne ek Investment Bank me naukri kar li..London me hi..Bank ki taraf se usko flat bhi mil gaya..jin baaton se Raj bhaagta tha..aaj wahi saari baatein Raj par puri tarha se haavi ho chuki hain..
Raj ab woh alhadh sa ladka nahi raha.
Rajveer Grewal is now a Man,woh coloured jackets,careless hair style..purani baatein ho chuki hain..ab ..Rajveer ko suit me hi dekhte hain Office k log..naak k niche moochhe bhi aa gayi hain..aur almost back brush hair style hai Raj ka.
sab mila kar ek Educated Professional ki tarha pesh ata hai Raj.
par dil k kisi kone me wahi Rajveer zinda hai...jisne kabhi Kranti se pyaar kia tha..shaayad abhi bhi karta hai..behad mohabbat karta hai Raj Kranti se..mohabbat ka rang jo aur surkh hota gaya ..waqt k saath saath.Kabhi kabhi..zindagi me kuchh aisa ho jata hai..jinse hum ladh nahi sakte..kismat kahe yaa kuchh aur..par..insaan bahut bebas ho jata hai.
"Nirmal
maine humesha kismat ko chunauti di hai,par ek had k baad,humare haath me kuchh nahi rehta..jo kismat me hota hai..humen sweekar karna padta hai.Par..kismat se main ladhoongi zaroor...agar Rajveer ko meri kismat ne mere lia chuna hai toh.Rajveer se rishta.. naa mujhe kal manzoor tha..naa aaj hai..aur naa kabhi hoga.Insaan kitna geer sakta hai.. Rajveer ko dekh kar pata chalta hai.Main yeha bahut khush hoon.Ek nayi zindagi jee rahi hoon.Yeha par Rajveer ka kala saya nahi hoga.Khush rehna aur Aunty ka khayaal rakhna.. aur Rajveer aur uske us loafer Dost Sanjay se bach kar rehna.
Kranti"
yehi likha tha Kranti ne apne khat me..
Nirmal ne woh khat Raj ko dikhaai bhi thi..Raj ko bahut bura laga tha..
par..pal bhar me bahut zyada gussa bhi aa gaya tha.
Itni badi badi baatein karnewali..itni zyada irrational?!!!Logo ne zara si baatein keh di..aur Raj se bina mile chali gayi?!!!agar Raj par itna gussa tha..toh Raj ko aamne saamne poochhti..ghalatfaimi door karne ka ek mauka tak nahi dia.
Raj ne bhi soch lia..jisko itna ghamand hai..uske peechhe nahi jaayega..agar usko aana hoga..toh aayegi..Raj ab tak uske peechhe jata tha..ab Kranti ko ana hoga..Raj ki zindagi me.
isi gusse k saath Raj Delhi se London toh aa gaya,par Kranti ki yaadon se nahi bhaag paya ..kabhi kabhi usko lagta tha..k sab kuchh chhod kar..bhaag k jaaye Kranti k paas..par kaha dhoondhega usko?Jo kho jata hai kahi..usko dhoondha jaa sakta hai..par Kranti khoyi nahi ..woh toh chhoopi hai..jaan boojh kar.
***********************************************
Rajveer Delhi se London aya hai,is baat ko,ek yaa do nahi,pure paanch saal ho gaye hain ..zindagi har pal apna rookh badal rahi hai..bahut tezi se..waqt kaise beet gaya..kuchh pata nahi chala.
Dad bula rahe hain usko..Delhi lautne ko keh rahe hain..Raj ne bhi kaha hai..Bank k saath uska contract hai..jo 3 maheene baad khatam ho jaayega..woh tab laut sakta hai,bahut kuchh badal chuka hai in paanch saalon me..World Trade Centre ko uda dia gaya hai.. Pentagon par humla ho chuka hai....Afganistan par humla bhi kar chuki hai George Bush aur Tony Blare ki team.
***********************************************
Year 2004..
Dholpur House k paas Special Duty Officer hain,ACP Sanjay Khanna.
aaj duty ka pressure kum hai..apne Office me baith kar..apne purane dost Rajveer ka khat padh rahe hain ACP saab.
"Dear Sanjay,
kudrat bhi ajeeb khel khelti hai..jo kaam main kabhi nahi karna chaahta tha..jo kaam mere Dad mujhse karvana chahte the..maine karne se inkaar kar dia..wahi kaam main ek UK based bank k lia kar raha hoon.Zindagi yeha tezi se badal jaati hai.Jo maine chaha tha ..nahi hua..but I am very happy for you.Jo tu chaahta tha..woh ban gaya tu..ACP Sanjay Khanna..good..Nirmal kaisi hai?Yaar..kab tak is tarha rahoge..ab toh Nirmal ki zindagi bhi settled ho chuki hai..tum dono shaadi kyon nahi karte?Pyaar aisa hi hona chahie..dotarfa..ek dil se doosre dil tak..dhadkan ki awaz jaha mehsoos ki jaati hai..apni toh kismat hi kharab hai..yaar..maine usse itna pyaar kia..par fir bhi woh mujhko bhool gayi?Aur usne..humesha mujhe ghalat samajh kar mujhe bhala bura kaha..par fir bhi main usko bhoola nahi saka.Aisa kyon hota hai?Aaj itna kuchh haasil kar lia hai..Delhi laut kar apne paiso se naya business shuru sakta hoon..par ek khaalipan reh gaya hai zindagi me..main kyaa karoon?
Aur zyada bore nahi karoonga..jawab ka intezar rahega.
Raj"
Sanjay hansa..Raj..you are still in love with Kranti..I pity you..
par jawab toh dena hai is khat ka..
Sanjay ne bhi Raj ko ek Card bheja.London me..
Sanjay ki shaadi ka Card.
*******SANJAY WEDS NIRMAL*******
Raj yeh Card dekh kar khush hua..Raj ne Sanjay k ghar pe phone kia..
Sanjay--kyaa baat hai..Card mil gaya?
Raj--I am very happy for you.
Sanjay--sara kaam tujhe hi dekhna hai..waha baithe jhakk mat maar..pehli flight pakad.. aur Delhi waapas aa..
Raj--hmm..finally Nirmal shaadi k lia maan gayi...
Sanjay--aise peechhe pada rahoonga..toh maanegi hi..woh sab chhod...tu India laut aa..
Raj--Sanjay..ek baat poochhna chaahta tha..
Sanjay--kyaa..?k Shaadi me Kranti aayegi k nahi?
Raj--haa..
Sanjay--teri jaankari k lia bata doon..Kranti abhi..Chandigarh me hai..aur ..shaadi me ..aa sakti hai..
Raj--sach?
Sanjay--haa..main is mamle me mazaak nahi karoonga..Kranti aayegi..tu bhi aa ..jaldi se..
Raj--Kranti ..ab bhi waisi hi hai?
Sanjay--jaisa tu chhod kar gaya tha..waisi hi hai..
Raj--maine usko nahi chhoda tha Sanjay..woh mujhse door gayi thi..
Sanjay--par tu bahut badal gaya hai Raj...
Raj--pahlewala Raj Kranti ko pasand nahi tha..shaayad is naye Raj ko woh accept kar le..
Sanjay--tu aa pahle..fir decide karna..
*********************************************
Paanch saal...ek lamba arsa..
Kranti se dobara milne ki khushi me Raj paagal hota jaa raha hai..yeh jo pal the judaai k.. ab bahut achhe lagne lage..lambi judaai k baad jab Raj Kranti se milega..pata nahi kyaa kar baithega..
Thames River k paas khada hai Rajveer..
ek Indian Tourist ki team bhi khadi thi..paas me..uske paas ek walkman tha..Rajveer uske paas gaya..
Raj--Main thodi der k lia yeh gana sun loon?bahut dino se Hindi songs nahi sune..
"ohh sure.."
Rajveer ne earphone lia apne kaan me..
"naa jaane kyon dil se ,yeh awaz aai..
milan se hai badh kar tumhari judaai..
in ankho k ansoon..naa ban paate moti..agar tum naa hote.. agar tum naa hote.."
Raj ne walkman waapas kar lia.."Thanks a lot" bol kar...
yehi gana mila tha..us ladke ko?!!??
Raj k zakhmo ko hara kar dia is gaane ne..
lambi judaai..chaar dino ka nahi,paanch saalon ka...aur ek ek pal..jaise ek ek sadee..aisa kyon hota hai..k jisko aap itni shiddat se chaaho.. woh itni berahemi se aapko apni zindagi se nikaal deti hai?aisa kyon hota hai k jo bechaini..jo tadap aap mehsoos karte ho..uska ek katra bhi woh naa mehsoos kare? bahut se aise sawaal hai..jinke jawab maangne hain Kranti se,tum chaaho yaa naa chaaho.. Kranti..main tumhari zindagi me tha..hoon..aur humesha rahoonga..jaha tak meri zindagi me tumhari jagah ki baat hai..toh jaan lo..meri zindagi hi tum ho..
Edited by yakkudimag - 16 years ago
256