Seyahat.....Sujal&Kashish.....Last Part.....12/16 - Page 7

Created

Last reply

Replies

143

Views

37.6k

Users

25

Likes

77

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#61

Part-7

Ab raat ko sab hotel me apne apne kamre me sone chale jate hai.........ab Subaah me Sujal.Kavya, Angad, Kripa aur Anjali neeche Kashish ka intzaar kar rahe hai..........

Kripa: yeh Kashish itna waqt kyun le rahi hai........

Anjali: pata nahi...........Sujal jao na jake dekho kahi woh kisi uljan me to nahi........

Sujal: main kaise uske kamre me jau.........woh bura man jayegi.......

Angad: lekin tu is muchad guard se to puch.......

Sujal: yeh sahi hai........tu chal mere saath............

Angad: Guard bhaisaab........yeh Kashish abhi tak neeche nahi aayi...........

Guard: pehli baat unka naam tamiz se lijiye..........dusri baat Rajkumarijee apni mann ki malikaa hai...........yaha pe woh hamare hisab se nahi hum unke tarike se chalte hai.......aur hume sirf Rajkumarijee ke sawal ka jawab dene ki aagya hai.........hum unse sawaal nahi kar sakte..........ab aap log bhi hamare saath Raj-Mahel chal rahe hai is liye kuch baatein aap log jan lijiye.........sab ke samne Rajkumarijee ka naam izzat se liya jaye..........aur agar kisi bhi Raj-gharane ke log aapse kuch puche to uska jawaab sirf haa ya naa me dena.......aur Raj_gharane ke mamle me apni dakhalgiri mat karna kyunki uska anjaam bahot bura ho sakta hai.........sirf yeh yaad rakhna ki aap log shahi mehman hai............

Woh log wapas aajate hai...........

Kavya: kuch pata chala........

Angad: sala..........dhamka raha hai ki koi nahi janta......muje lagta hai yeh log Kashish ko jante hi nahi.........sab dikhava lag raha hai.......

Kripa: muje bhi..........koi aaj bhi baba Akbar ke jamane ki tarah reh sakta hai..........Kashish padhi likhi hai phir bhi......

Anjali: tum abhi tak Rajput ke Raj-Gharane ko samaj nahi payi woh log apni kuch sharhade hoti hai jise woh paar nahi kar sakte aur Kashish unme se ek hai..........is liye uska saath dena hi hamara farz hai..........

Sujal: lekin woh abhi tak aayi kyun nahi......muje darr lag raha hai aur yeh log muje uske kamre tak nahi jane denge................main sach me use ek bar dekhna chahta hoo ki woh thik to hai.......

jab Sidiyon se payal ki aawaz aati hai...........jab sab log upper dekhte hai to dekhte hi reh jate hai.........Kashish bahot hi khubsurat saree me aur bahot se shahi gehne ke saath hoti hai............aur Kashish ke piche char guard uska saman leke aa rahe hote hai......jaise wake hi Kashish ne sabit kar diya ki woh sach ki rajkumari hai.......Sujal to jaise apne dil pe kabu hi na kar pa raha ho..........

Kashish: Namaste.........mafi mangte hai ki hamari waje se aapko dair ho gayi.....agar aap sab log taiyaar hai to hum Jodhpur ki aur prasthan kar sakte hai..........

Anjali: koi baat nahi......chale..........

Kashish: hum abhi aapse keh rahe hai ki aapko hamara saath dene ki koi zaroorat nahi.......

Sujal: kal tai ho gaya aur woh ab badal nahi sakta........

Kashish: thik hai lekin agar aapko koi bhi taklif ho to maherbani karke hume bata dena...........

Kavya: thik hai.......ab chale.......

***********************************************************************************

sab log bahar jate hai jaha pe do car gadi hoti hai.............pehli car me Angad, Kripa , Anjali aur Kavya beth jate hai.........ab sirf dusri car rehti hai jisme sirf Sujal aur Kashish bethte hai.................sare Guards bus se sara saman leke piche guard wali car me rakhte hai aur ek bar phir se unki SEYAHAT shuru hoti hai...........Kashish khidki ke bar dekh rahi thi....use dekh ke pata chal jata hai ki woh kitni pareshan ho rahi hoti hai kyunki Kashish pichle aadhe ghante se apni ungli se apne bal ko mod rahi hoti hai..........Sujal sab kuch dekh kar bhi kuch nahi kar sakta aur woh Kashish ko aise pareshan bhi nahi dekh sakta tha lekin jab tak woh log Jodhpur nahi pahonch jate kuch bhi tai karna bahot muskil hai.......

Kashish (to herself): Swayam bhaisa............pata nahi woh hamare bare me kya sochenge jab woh hume wapas dekhenge..........aur jab unhe pata lagega ki yeh panch hamare saath hai......pata nahi woh hamara kya haal karenge...........lekin unhe jo karna hai woh hamare saath kar sakte hai lekin inme in panch masoom ki kya khata.........woh to yaha sirf hamari madad karne aaye hai...............agar unhe kuch bhi ho gaya to hum apne aap ko kabhi maff nahi kar payenge............

Jab Kashish ki car dusri car ke pass se gujarti hai..........jaha pe Anjali Kavya ke kandhe pe sir rakhke soyi huyi hoti hai aur piche Angad aur Kripa ek dusre se pyaar se lad rahe hote hai.............

Kashish (to herself): kitne khush hai yeh log apni choti si duniya me.........hume to aise khush hone ka hakk bhi nahi...........bhagwan kare in logo ke saath kabhi koi bura na ho.....khaas karke Swayam bhaisa unhe kuch na kare........nahi muje Bhaisaa pe yakeen nahi.....aur hum .........hum kaise sab janne ke bad in sab ki zindagi ko khatre me dal sakte hai.........hum aisi bewafuki kaise kar sakte hai.......bhaisaa kisi bhi had ko parr kar sakte hai..........humse itni badi galti ho gayi ki humne jaan bujkar in sabko apne saath khatre me dhakel diya.............

Sujal: Kashish......

Kashish: haa..........aapne kuch kaha........

Sujal: kis soch me pad gayi.........

jab Kashish dekhti hai ki kitne pyaar se Sujal ne uske haath ko pakad ke use hosla de raha hota hai........

Kashish: kuch nahi..........

Sujal: ghabrao mat sab kuch thik ho jayega......main hoon naa tumhare saath...........

aaj pehli bar Kashish ko dil se ehsaas hota hai ki Sujal hai uske pass.......Sujal ke ek ek shabd pe use yakeen ho gaya tha.................Kashish kuch kehti nahi lekin Kashish ke chehre ki ek muskurahat sab kuch bayan kar deti hai...............Sujal aise hi khidki ke bahar Rajsthan ki hawa ko mehsoos karne laga tha........

Kashish (to herself): yakeen nahi hota ki koi itna achcha ho sakta hai..........koi kisi se itna pyaar kar sakta hai..........Sujal aap bahot achche hai aur hume aap pe pura yakeen hai..........kitna ajeeb lag raha hai aaj.......Babasa ke jane ke baad aaj hum pehli bar khud ke bare me soch rahe hai.........aur yeh Sujal ki waje se hai.......unka yakeen hai ki ek din sab kuch thik ho jayega jaisa hamesha babasa kehte hai..........aur hume unke yekeen pe yekeen hai............aaj hum mehfus samajte hai khud ko to sirf aapki waje se Sujal.......

Kashish sirf Sujal ko dekhti ja rahi hai jo bahar Rajsthan ki khubsurati me kahi khoya hua hota hai.................lekin phir wahi darr wapas uske dimaag me aa jata hai.........

Kashish (to hersefl): humne puri koshish ki unhe apne saath na lejane ki.......lekin yeh log nahi mane kyunki yeh lo sabse achche insaan hai...........mana woh hamare jaise shahi khandan se nahi lekin unka jo dil aur soch hai woh ganga ki tarah pavitra hai aur uspe hume fakr mehsus hota hai............Sujal ka to hum samaj sakte hai lekin woh log........koi kisi anjaan ke liye itna kuch kyun karega..........kyun ki woh log Sujal se bahot pyaar karte hai...........shayad humne is haveli me itne salo me kuch nahi dekha woh humne ek din me dekh liya..........shayad ise hi zindagi kehte hai..........zindagi ka asli matlab aaj jana ki kaise dusro ke liye jiya jata hai..................aaj tak kisi ne hume itna pyaar aur apnapan diya hai to sirf Babasa ne lekin aaj hamare pass panch aise log hai jo hume apna mante hai humse pyaar karte hai............aaj sirf in logo ki waje se hume dil aur jasbat jaise labzo pe yakeen ho gaya hai...........

Jab Kashish dur se apni haveli ko dekhti hai............aur uske chehre pe ek ajeeb si khushi aa jati hai kyunki yahi uska asli ghar hai aur uska hakk bhi banta hai..............

Kashish: Sujal...........

Sujal ke chehre pe ek ajeeb si khushi cha jati hai kyunki aaj pehli bar Kashish ne use uske naam se bulaya hota hai.......

Sujal: haa........

Kashish: woh samne dekho.........woh hai hamari raj-haveli..........

Sujal: wow.........bahot hi khubsurat haveli hai .........aur bahot badi bhi..........bahot ameer lagti ho......

Kashish: haa hum amir hai lekin sab purkho ka hai...........lekin aap sach me hamara saath dena chahte hai............

Sujal: haa.........yakeenan hum saath denge.......aur hum aainda se iske bare me baat nahi karenge..........

Kashish: thik hai............

***********************************************************************************

ab sab log Raj-haveli pahonch hi jate hai.....jaha pe bahot se shano shaukat se kisi ki taiyariyaan ho rahi hoti hai......sab taraf dhol aur shehnai baj rahe hai.........her taraf rangoli banayi ja rahi hai......pure raj-mahel ko diye se saza rahe hai......aur sare rajmehel ke darwaze pholoin se saje hai......sab jagah se pholon ki khusboo aa rahi hai...........

Guard (screams): Rajkumari Kashish Rajveer Singh Raj-Haveli ki aur prashtan la rahi haiiiiiii.................

sab log apni apni gadi ke bahar nikalte hai..........

Kavya: lagta hai aapke ghar lautne ki khushi me bahot si shahi taiyariyaan ki hai..........

Kashish: nahi yeh woh taiyariyaan nahi hai......hume kuch aur hi masla lagta hai....aur abhi Babasa ko chale gaye dus din nahi huye ki yeh log kisi shahi jashan ki taiyariyaan kar rahe hai..........

Sujal: woh to ab andar jake hi pata chalega........

Kashish; sahi kehte ho......iska jawab ab bhaisa hi denge...........

Kashish Raj-Haveli me apna pair rakhne hi wali thi ki.........

Vasu: Ruk jao Kashish.........

Vasu apne saath aarti ki thali leke aati hai aur piche kitni sare naukar phool leke khade hote hai........

Kashish jake Vasu ke pair chuti hai.....

Vasu: sada khush raho............

Kashish: Choti maasa.......yeh sab kya ho raha hai.......

Vasu: kuch nahi beti tum andar to aao.........pata hai hum kitna pareshan ho gaye the.........

Kashish: bahot achche se jante hai ki aap pareshan kyun ho rahe honge waise Bhaisa kahi nazar nahi aa rahe..........

Swayam: hum to apni didisa ka sahi swagat ki taiyariyaan kar rahe the.......

Swayam jake Kashish ke pair chuta hai kyunki rishtey me aaj bhi Kashish usse badi hai.............

Kashish: khub taiyariyaan ki hai aapne Bhaisa hamare wapas lautne ki lekin yeh rang aur sazawat kuch aur kehti hai........

Vasu: woh sab bad me pehle tum itne waqt ke bad ghar aayi ho pehle tumhari aarti kar doon..........

Vasu dikhave ke saath Kashish ki arti karti hai aur phir use tilak karti hai....sab log kashish pe phool barsate hai......aur Kashish ki nazar utartti hai..........

Kashish: ab aapka kaam ho gaya hai to koi hume sachchai batayega..........

Vasu: tumhare babasa ke jane ke bad is Rajy ko ek raj-warish ki zaroorat hai..........jo is rajy ko uske raja ki kami ko pura kar sake ........aur hum sabme milke socha hai ki Swayam se behtar kaun ho sakta hai........aur yeh to hamare khandan ki parampara hai ki ghar ke sabse bade bete ko raj-warish banaya jata hai.............isliye kal Swaym ka shahi Raj-tilak hone ja raha hai............

Kashish: thik hai jaisa aapne socha sahi ho socha hoga kyunki aap to is haveli ki choti hukumsa jo hai...........

Vasu: hum jante the ki tum bahot khush hogi lekin yeh log kaun hai......inhe hum nahi jante.........

Kashish: yeh hamare dost bhi hai aur haveli ke khas mehman...........yeh Anjali aur unke pati Kavya hai.........yeh Kripa aur unke pati Angad.........aur yeh..............yeh Sujal hai.........aur aaj se kuch dino ke liye yeh hamare saath isi haveli pe rahenge............

Kashish ko waise hi Raj-tilak ke nam se bahot gussa aa raha hota hai lekin phir bhi chehre pe ek joothi muskurahat hoti hai.......

Vasu: achcha hai.........aap hamari Kashish ke mehman hai to hamare bhi huye..........aaiye andar...........

Vasu un sab ki bhi aarti karke unko bhi tilak karke andar aane ko kehti hai.........unka swagat bhi phoolon se kiya jata hai....

Kashish: aap log ka saman aapke kamre me pahonch jayega.........inhe inka kamra dikha diya jaye.............

guards aake un sab ko unka kamra dikhata hai.................

sab log apne apne kamre me chale jate hai kyunki safar se bahot thak bhi gaye the aur kuch hi dair me raat honewali thi.......

***********************************************************************************

Kashish apne kamre me kuch soch rahi hoti hai jab koi unka darwaza khatkhatata hai...........Kashish jake darwaza kholti hai............

Kashish: aap sab log yaha............

Anjali: Kashish tum thik to ho.........jab se yaha aaye tab se tumse kuch baat nahi huyi............

Kashish: hum bilkul thik hai lekin aap sab to mehfus hai na...........

Kripa: haa hum sab bhi thik hai lekin yeh sab kya ho raha hai...........kuch socha bhi hai ki kal kya honewala hai.......

Kashish unhe bata rahi hoti hai........

chalo chal ke dusre kamre me dekhte hai..........

Vasu: yeh Kashish itni jaldi wapas aayegi yeh nahi socha tha.......agar ek din ke bad aati to tumhara Raj-Tilak ho jata...........

Swayam: pata nahi.........aur upper se woh panch log ko apne saath layi hai..........ek nayi musibat sir pe padi...........ab kal koi hungama na ho........

Vasu: hamare hote kuch nahi hoga......lekin hume kahi na kahi aisa lag raha hai ki woh log Kashish ki madad karne aaye hai...........kyunki kashish ka is tarah ghar wapas aana.............

Swayam: kuch bhi ho jaye lekin usne kuch kal gadbad ki to main unka kissa kal hi khatam kar dunga........

Vasu: jaldbazi me aake kuch galat mat karna.................kuch bhi karne se pehle hamara janna zaroori hai ki woh log aakhir kaun hai kyun aaye hai .........

Swayam: aap sahi hai lekin kaise jan payenge unki sachchai ko..........

Vasu: tum shayad bhul rahe ho lekin hum is raj-parivar ki choti maharani hai......

Swayam: hmmmmmmm

Vasu: hamare khass aadmi kis din kaam aayenge..........

Vasu sabhi ko un sabhi ke kamre pe nazar rakhne ko kehti hai...........thodi dair bad unke aadmi kehte hai ki woh pancho unke kamre me nahi balke Kashish ke kamre me hai............Vasu aur Swayam Kashish ke kamre ke bahar jake darwaze se unki baat sunne lagte hai............

Kashish: to kal ke Raj-tilak me........

jab Kashish ko lagta hai ki koi bahar hai.......

Kashish: shhhhhhhh..........

Kashish jake darwaza kholti hai........jaha pe vasu aur swayam khade hote hai...........

Kashish: choti maasa aur bhaisa aap............koi kaam tha hume bulva lete .........

Swayam: nahi to hum to yaha apne DIdisa ko khane pe bulane aaye the..........

Kashish: bhaisaa aapko apni didisa ki kitni fikar hai lekin aap yeh kaam kisi aur se bhi keh sakte the.........thik hai aap log chaliye hum log aate hai........

unlogo ke jane ke bad Kashish phir se darwaza bandh kar deti hai........

Sujal: sukar hai ki tumhe pata lag gaya..........

Kashish; in dono ki nas nas se wakef hai hum........itne salo me itna to jan hi paye hum.........aage se hume hoshiyar rehna hoga......

Sujal:woh to hai lekin tum kuch keh rahi thi........

Angad: kuch socha hai ki kal ka din kaise roka jaye..........

Kripa: din ko nahi rokte.....hume Raj-tilak ko rokana hai......

Kavya: ab tum dono yaha pe ladna bandh karo.......Kashish ko kuch bolne do..........

Kashish: nahi sab kuch humne soch liye hai ki kal kis tarah Raj-tilak ko roka jayega............aap log befikar rahiye kal ka raj-tilak hoga hi nahi ...........aap log chaliye hum abhi aate hai khane pe.........aap hamara neeche intzaar kariye........

sab log neeche chale jate hai.........lekin Vasu aur Swayam durr se in sab ko dekh rahe hote hai.........

Swayam: hamara andaza thik tha.........yeh sab Kashish ki madad karne aaye hai yaha...........

Vasu: aaye zaroor hai per apne maksad me kamyab nahi honge...........kuch bhi karlo Kashish.........yaha ka raj-warish to mera beta swayam hi banega.......aur tum kuch nahi kar paogi......ek bar kal ka Raj-tilak ho jaye phir main tumhe dekh lungi...............aur kal ke suraj dhalne ke bad tum bhi apni sahi jagah pahonch jaogi..............

***********************************************************************************

ab sabhi log khane ke liye dining table pe aate hai.............sab log Kashish ka intzaar karte hai.........jab Kashish aati hai aur sabse pehle apne babasa ki khursi ko chuti hai.......Kashish ki aankh bahr aati hai lekin use sirf Sujal hi dekhta hai..........vasu aur swayam dekhe usse pehle Kashish apne aanshu ponch deti hai.............

Kashish: shuru kare.........

sab log beth jate hai kripa aur anjali dekhte hi reh jate hai kyunki sare bartan chandi ke hote hai...........sare naukar khana paroshna shuru karte hai..........

Swayam: yeh kis tarah ka khana banaya hai.........

naukar: woh aaj sara khana Rajkumarijee ki pasand ka bana hai........woh aaj kitne dino bad ghar wapas aaye isi khushi me..........

Vasu: Swayam tumhe yaad nahi Kashish ko yahi sab achcha lagta hai..........humne aaj khud kehwake banaya hai..........

Kashish: sukhriya.........aap hamara kitna khayal rakhti hai........

Vasu: maa apni beti ka khayal nahi rakhegi to kaun rakhega..........

Kashish: hum to bhool hi gaye the ki hamari bhi ek aapki tarah pyaar karnewali Maasa hai..............

sab log khana khana shuru karte hai.......

Kashish: suniye.........aaj khana wake hi bahot achche se bana hai.....lagta hai aapne bahot sa pyaar dala hai..........

naukar; jee aapko pasand aaya wahi hai..........

Kripa: yeh halwa bahot hi badiya hai......aisa halwa to maine zindagi me nahi khaya...........

Vasu: kyunki yeh shahi tarike se banaya gaya hai jaise hamari Kashsih ko pasand hai.........

Anjali: kitna ajeeb hai na .........Sujal ka bhi sabse manpasand halwa hi hai..........

Swayam: lagta hai kafi pasand milti hai aap dono ki........kahi koi irada to nahi.....

Kashish: Bhaisa.........aap bhuliye mat yeh hamare mehman hai aur is tarah baat karna mere mehman ki beizzati hai.........aap mafi mange Sujal se........

Swayam: hum kisi se mafi nahi mang rahe.........

Kashish: yeh aapki didisa ka hukum hai..........

Vasu; Swayam........Kashish sahi hai........woh tumse badi hai........aur bado ka hukum sir aankhoin pe.........aur yeh galat tarika hai kisi se aise baat karneka.........mafi mango........

Swayam: humse galti ho gayi hume maff kar dijiye.........

Swayam yeh kehke waha se chala jata hai.......

Vasu: hum dekh ke aate hai.........

Sujal: tumhe Swayam se aise baat nahi karni chahiye thi...........

Kashish: koi hamare mehman ki beizzati kare hum yeh kabhi seh nahi payenge..........

Sujal: lekin tumne kuch jyada hi keh diya.......

Kashish: abhi humne kuch kaha hi nahi...........yeh to achcha hai ki aaj bhi hum unhe Bhaisa mante hai............warna unka to woh hasr hota ki...........khair aap logo ka khana ho gaya ho to aap apne kamre me jake aaram kar sakte hai........hum log subaah hi milenge ab Raj-Tilak ke avsar pe..........

yeh kehke Kashish chali jati hai................sab log bhi apne kamre me chale jate hai................



Hey guys........i just want to let u know that for this part the whole credits go to Pihu........she send it to me in english........i just translate in hindi and post it. ans gave it proper format...............so thanks pihu.........

Love

Kashish and Pihu


Edited by goodkashish - 16 years ago
-Aarti- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 16 years ago
#62

amazing part..............kashish to bohot ameer nikli sujal bhi us ke saath udhar ka raj kumar ban jayega

okz continue soon...
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 16 years ago
#63
lovely part......lol.....gud...swayam ko adat daal leni chahiye sujal se maafiyan mangne ki.......hahaha!!
heena_mehta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#64
wow kashish and pooh sweety kya mast part tha...........just awesome👏............chalo finally ye pata to chala ki kashish really feels sumthing for sujal................😳.....................aur ye kashish subhe kya karne wali hai.........khuch majr dar hoga .................jisse swayam ki band bajegayi.wowi😆.........................aur swayam ko mafi mangani pari kitna maja aaya hoga...........😆.wo hai isse layak...........aur ye vasu😡........pooh aap to ek dum perfect hoti ja rahi hain👏👏👏👏
ajnabi_sahil thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
#65

Wow its awsome yara ..superb....👏..bahut acha likha bahut hi bahtareen part tha dil khush ho gaya padh kar, aise hi likhte rahiye.............har baar ki tarah ek dam bemishal..I appreciate....lagta hai swyam ke bure din suru hogaye hain.........sun kar bahut acha laga ki Kashish bhi sujal ke liye feel karne lagi hai😉😉........yaara aap logon ki ff bahut he achi ja rhi hai I love it ...par kar dil khush ho jata hai.................................Raj tilak wale din ka intezaar hai aur yeh bhi intresting hoga ki Kashish ne kya socha hai Raj tilak rokne ke liye.............please keep up the good work and update soon.

Take care
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#66
amazing part
i really liked the part whenn swayam asks sujal for forgivness dat was really good
finally kashish is starting 2 get some feelings 4 sujal
i really like the way all five of them are helping kashish cant wait 2 read how they wiill stop the rajtilak
swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#67
OMG kashish rajkumari n all tht.....sounds gud..very interesting part..looking forward for the next part....plzz continue asap😊
mystified thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#68
wow vey nice part...it truly is written in a royal format...aisa lagta hai mein koi epic pad rahi hoon...waise i like the 'smart kashish' use sabkuch pata chal gaya ki swayam and vasu r outside😆
congo to both the writers...👏👏👏

cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#69
awesome part...............................kia shahi andaaz tha..............................sujal kitna pyaar kartha hai.............................con't soon
Friends..Lover thumbnail
Posted: 16 years ago
#70
can i join this ff.
really really most beautiful couple in this world.
i love u story. nice
plz do continue

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

2 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".