Seyahat.....Sujal&Kashish.....Last Part.....12/16 - Page 8

Created

Last reply

Replies

143

Views

37.6k

Users

25

Likes

77

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#71

Originally posted by: Friends..Lover

can i join this ff.
really really most beautiful couple in this world.
i love u story. nice
plz do continue

of course u can join this ff...........it is very nice to see u............thanks for loving this story
love
pihu&kashish
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
#72
kashish dear pihu dear..the story is progressing too well.. i'am completely lovely it.. the raj-gharana..the customs , everything is just too good.. very damn well written... absolutely beautiful.. the way you write na it leaves a lot of impact on me... i seriously like , actually love reading this fanfic of your's... sujal , angad , kripa, kavya , anjali itne achche hai... kashish joh kii un sab se abhi kuch waqt pehle hii mili hai, who is more or less just like a ajnabee to them woh log phir bhi kashish kii madat karne ke liye uske saath chal diye.. woh log iske bawajood kii kashish ka unse koi bhii rishtha nahii phir bhii woh kashish se ek anjaan rishtha nibha rahe hai... waise dekha jaye tho main sujal kii baat ko samaj sakthi hoon.. woh tho kashish ko apna dil de baita hai.. he has fallen in love with kashish..tho sujal is surely justified in what he is doing... sahii kehthe hai pyaar ke agge kissi ka zor nahii chaltha..aur yahaan sujal apne pyaar kii khatir koi bhii khatra utane ke liye taiyaar hai..ohhh...i love it... lekin angad,kripa,kavya, anjali, apni dosti nibha rahe hai.. very nice...waise kashish ka angad-kripa,kavya-anjali ko saath mein dekhkar usse ehsaas hona kii uski zindagi mein rishton kii,pyaar kii kami hai.. is baat par main kashish se kehna chahoongi kii kashish fikar not, sujal hai na.. sujal tumhari zindagi mein itna pyaar bhar dega, kii tum kabhi akeli hii nahii rahogi..hamesha sujal tumhara saath rahega..tumhara humsafar bankar,tumhara saaya bankar... tho swayam and vasu want to finish off kashish..unki tho main..un dono par mujhe itna ghussa aa raha hai kii i want to finish off those two.. waise now that kashish has the support of angad-kripa, kavya-anjali aur sabse important sujal ka saath,i'am sure everything will be perfect... kashish apne har mushkhil se bahar aayegi... the story is progressing very well dear...keep up the good work going.... i'am enjoying sujal,kashish's Seyahat very damn much....👏 please next part jaldi se post karna..me waiting for the next part very damn eagerly....😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
ajnabi_sahil thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
#73
Hi Kashish
Hi Pihu
plz plz continue soooooooooooooooon ab au intezaar nahi hota
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#74

Part-8

Aaj ke din Kashish aur uske farz ke beech kaun si nayi jung chidnewali hai yeh koi nahi janta sirf Kashish hi janti hai ki aaj use kaise bhi karke apne khandan ki parmpara aur apne purkho ki amanat ko galat haath me jane se rokna hai............puri raat Kashish apne kamre me yahi sochti rahi jab Suraj ki pehli roshni uske kamre se hoke andar aati hai.........Kashish nazar uthake ghadi me dekhti hai to subaah ke che baje huye hote hai............Kashish apne kamre me apne personal maids ko bulati hai.........

Maid: jee hamare liye koi hukum ho to.........

Kashish: suno yeh sari aur gehne jake Anjali aur Kripa ko de aaiye.........aur unhe kehna ki humne kaha hai ki aaj ki rasam me unhe yahi saree pehen ke aana hoga.........kyunki yahi parmpara hai rajput ki .....aurat ko kesri rang pehna padta hai Raj-Tilak me aane ke liye..........agar woh log hamari baat man lete hai to hume khushi hogi........aur sare mehmano se keh dijiye ki subaah ke aath baje Rasam shuru honewali hai..........aur tum log yeh kaam karke wapas hamare pass aaoge hume aur bhi kuch kaam hai...........

Maid: jee aap ka hukum sir aankhoin pe.......

yeh kehke maids waha se chali jati hai............Kashish apni almari me se jake apne maa ki sari nikalti hai..............jispe pure sone ke tar ka asli kaam hota hai aur woh apne maa ka sabse shahi haar nikalti hai..........

Maids jake sabhi ko unka kaam samjake aati hai............woh wapas aake Kashish ko bahot hi khub sajate hai..........aisa lag raha hai jaise janant se koi apsara neeche zameen pe apne kadam rakhne ja rahi hai............ab subaah ke sade saat baje hai jab pure Raj-Mahel me sehnai aur dhol ki aawaz sunai deti hai..........dheere dheere karke sare rishtedar aur bahot hi kuch khaas mehman...........khandan ke Dharm-Guru bhi ab tak aa gaye hote hai............

Guard: Raj-Tilak ka waqt ho raha haiiiiii..............Rajkumar Swayam Rajveer Singh ko Dharm-Guru Shahi Raj-Tilak ke liye bula rahe haiiiii..........

Vasu Swayam ko leke aati hai...........Angad, Kripa, Sujal, Anjali aur Kavya sab log pareshan ho rahe hote hai kyunki abhi tak Kashish kahi dikhai nahi de rahi hoti..................Dharm-Guru Swayam ke mathe pe Tilak karne ja rahe hote hai ki........

Kashish: Yeh Raj-Tilak nahi ho sakta..........

sabhi log Kashish ki aur dekhte hai jo ki aaj puri tarah se uski maa ki parchai lag rahi hoti hai...........Sujal to bus Kashish ko dekhte hi ja raha hota hai.................

kashish: kyunki iske liye sabhi ki manjuri hona bahot zaroori hai lekin humne abhi apni rai nahi di..........

Dharm-Guru; is tarah Raj gharane ke mamlo me dakhal nahi dete..........yeh baat aapko achchi tarah se pata hona chahiye.........

Kashish: mafi chahte hai hum aapse...........hume maff kar dijiye ki humne aapke kaam me dakhal karne ki gustaki ki.........lekin abhi bhi hum is Raj-Tilak ke liye raji nahi hai........

Vasu: Kashish.........yeh kya ho gaya hai tumhe........kal tak to tum manjur thi ab ek raat me apne faisle badalne ki koi waje.........

Kashish: waje hai Choti Maasa..........waje hai............Rajput ki Parmpara yeh kehti hai ki Singh khandan ka asli waris ghar ke sabse badi aalaud ko kiya jata hai aur iske nate yeh hakk to hamara hua.........hum aaj ke Singh khandan me Bhaisa se bade hai to bhaisa hamari jagah kaise le sakte hai...........hum apna hakk kisi ko nahi de sakte................

Vasu: mat bhulo tum ek ladki ho...........aur aaj tak ke hamare Singh Khandan me kabhi koi waris Ladki nahi huyi.......

Kashish: Galat hai aap.........hum aaj 21 mi sadi me ji rahe hai.........aur aap Ladki aur Ladke jaise choti soch me yakeen karte hai...........

Vasu: hum aaj 21 mi sadi me ho ki 50 mi.........lekin jo parampara hai use koi nahi badal sakta.............

Kashish: parmapara ko badalne ka waqt aa gaya hai........kisne kaha ki jo galti humne apne gujre huye kal me ki woh aaj bhi kare..........zindagi aur hamare raj ke parmpara me parivartan lane ka waqt aa gaya hai Choti maasa..........aur uski shuruaat hum karenge..........

Vasu: aisa na kabhi hua hai aur na kabhi hoga.............

Kashish: yaad kijiye aap ke apne Maayke me aapke Bhaisa ka waris unki ek lauti Beti huyi thi........tab waqt sahi tha aur ab galat............

Vasu: kyunki woh ek hi aulad thi mere Bhaisa ki..........

Kashish: aaj bhi is Singh Khandan me sabse badi me hoon aur aap bhool rahe hai ki Maharaja ki Dusri maharani ke aalad ko koi hakk nahi banta warish ka..........warish banne ka hakk sirf Badi maharani ki aalaud ka hota hai jo hum hai..........

Dharm-Guru: Rajkumari Kashish bilkul thik keh rahi hai........shayad humne jaldbazi me galat fisla le liya.........aaj Raj-Gharane ke logo se bahot badi galti hone ja rahi thi jo humne Rajkumari Kashish se unka hakk chinna chaha..........aur isi galti ki hum sab aapke mafi mangte hai............aur in galti ko sundharne ke liye hum ghosit karte hai ki Singh Khandan ka asli warish Rajkumari Kashish ko banaya jaye...........

Vasu: aap log ek baat bhul rahe hai ki meri bhaisa ki beti raj warish bani thi lekin Raj-tilak unke pati ka hua tha........

Kashish: kyunki yeh unka faisla tha ki unki jagah unke pati ko di jaye............

Vasu: thik hai hume koi aitraz nahi tumhara raj warish banne me.........lekin hamari ek shart hai..........

Kashish: shart kaisi shart..........

Vasu: hum tumhe 11 din dete hai shaadi ke liye.........agar 11 din ke andar tumhari shaadi nahi hoti to 12 din Swayam ka Raj-tilak hoga............

Kashish: thik hai hume aapki shart manzur hai.........hum aaj aap sab ke samne keh rahe hai ki aaj se 11 din bad isi waqt isi jagah pe Dharm-Guru hamari Shaadi karayenge...........

Sujal ke jaise pairo tale se zameen khisak jati hai.............ki uski Kashish aise kaise keh sakti hai lekin Sujal kuch kahe usse pehle Kashish apne kamre me chali jati hai aur sab log apne apne kamre me chale jate hai............................

********************************************************************************

Vasu aur Swayam apne kamre me hote hai..........

Swayam: aap ke hote huye woh aapko itna kuch suna gayi aur aap ne kuch nahi kiya......aap hi to kal keh rahe the ki aap Maharani hai ........aap sab kuch kar sakte hai........aap sirf beth ke uski haa me haa keh sakte hai..........ab 11 din me woh shaadi karke kisi ko apna pati banake layegi.........aur hamare haath me kuch nahi aayega........

Vasu: abhi mat bhulo ki hum tumhare Maasa hai.......aur rahi bad Kashish ki shaadi ki to uski shaadi wahi hogi jaha hum chahenge.....

Swayam: lekin woh hamari baat kaise manegi............

Vasu: hamari nahi lekin woh apne Babasa ki baat kabhi nahi tal sakti.........

Swayam: main kuch samja nahi.........

Vasu: tumhara dost Udaipur ka Raj-Vansh Sidhdharth Singh Rathor........

Swayam: Sidhdharth.........

Vasu: woh wahi karega jo tum kahoge........agar Kashish ki shaadi Sidhdharth se ho gayi to shaadi ke bad woh khud tumhe Raj-Warish bana dega........

Swayam: Lekin Kashish manjur hogi.......

Vasu: hum unhe yakeen dilayenge ki Kashish aur Sidhdharth ka rishta bachpan me Babasa ne tai kar diya tha.........aur ab waqt aa gaya hai Babasa ke vachchan ka nibhane ka........

Swayam: aur agar woh nahi mani to.......

Vasu: use manna hoga...........ab tum jake Sidhdharth ko sab samja do aur use kaho ki shaam hone se pehle woh yaha pe aa jaye.......aur aane se pehle unse kaho ki haveli bahar use hamara ek aadmi milega jo use ek khat dega.......

Swayam: khat.....

Vasu: haa..........abhi tumhe jake tumhare Babasa ke akshar ki tarah ek khat banana hai jisse yeh sabit ho ki Kashish ki shaadi tumhare babasa ne tai ki thi.........

Swayam: thik hai jaisa aap chahe.............

Swayam Sidhdharth ko sabkuch samja deta hai aur woh raji bhi ho jata hai aur woh Jodhpur aane ke liye nikal jata hai..........

Vasu: Sidhdharth ne kya kaha........

Swayam: woh sham ke che baje tak pahonch jayega..............lekin is bar hamara yeh maksad kamyab nahi hua to main us Kashish ki jaan le lunga............

Vasu: josh me aake apna hosh mat khone dena...........jaisa hum keh rahe hai waisa hi hone do...samje tum..........

Swayam: jee maasa................

********************************************************************************

ab Kashish bahot sochti hai apne kamre me ki aakhir woh kya kare........Kashish apne Babasa aur Maasa ki tasvir ke samne jati hai.........

Kashish: aap log hume kyun akele chod ke chale gaye...........aaj hum kitne besahara ban gaye hai...........aaj hum khud nahi tai kar pate ki hum kya kare........kispe bharosha kare.........kyunki yaha to apne hi dhoka de rahe hai........lekin Babasa aap ghabaraiye mat hamare hote huye hamare purkho ki is haveli aur hamari shaan shaukat ko kuch nahi hoga........haa hume darr hai ki hum kise shaadi karenge.........lekin humne jo faisla liya hai usme aasha karte hai ki aap dono ka aashirwad ho...........agar aaj hamara faisla galat ho to hume maff kar dena lekin hum majbur hai..........aaj hume aapki sabse jyada zaroorat hai lekin aap hamare saath nahi........lekin humne ab insaan parkhna sikh liya hai..........aur hum jante hai ki jise humne apne jeevansaathi ke roop me chuna hai woh humse beimtihaan mohabbat karte hai...........aur aaj unhone hamare dil me bhi ek khas jagah bana li hai........haa hum yeh to nahi kehte ki hum unse pyaar karte hai lekin yakeen sabse jyada karte hai.........humne faisla kar liya hai ab aage ka faisla unke haath me hai..........Babasa.......Maasa hume aashirwad de ki jaisa hum chahte hai waisa hi ho...........

Kashish apne aanshu poch ke neeche aati hai jaha pe Sujal, Angad, Kavya, Anjali aur Kripa bethe huye hote hai..........

Kripa: yeh kya faisla kiya tumne........kabhi apni zindagi ke bare me tumne socha hai........11 din me shaadi koi mazak hai..........

Anjali: shaadi jaisa faisla itni jaldbazi me nahi karte...........uske bare me sochna padta hai kyunki yeh tumhari puri zindagi ka sawaal hai.........

Kashish: aap log sahi hai lekin hume bhi bolne ka ek moka to milna chahiye..........aaj humne jo kiya woh ek bar aap log sab apne aap ko hamari jagah pe rakh ke deke tab shayad aapko ehsaah hoga ki yeh faisla karna kitna muskil hai............lekin hum yaha pe kuch kehne aaye hai..........humne apna jeevansathi chun liya hai..............

Kavya: aur woh kaun hai......

Kashish: Sujal..........ek bar aapne humse kaha tha ki kya hum aapse shaadi karna chahte hai...........aaj hum aapse puch rahe hai ki kya aap humse shaadi karenge..........

Sujal: haa.......

Kashish: nahi abhi hamari baatein puri nahi huyi...................aapko sab jaane ka hakk hai......hamari zindagi haveli ki in char deewaro ke beech shuru huyi aur inhi charo deewar ke beech khatam ho jayegi..........hum shayad aap ko woh khushi nahi de sakte jise aapne apne khawab me dekha...........hume bahot se bandhan hai jo hum tod nahi sakte..............aur humse shaadi karne ka matlab aapko bhi yeh sare bandhan manne honge............hamare jaisi ladki se shaadi karna bahot muskil hai lekin ek baat ka hum aapko yakeen lila sakte hai ki puri zindagi hum sir aapke ban ke rahenge..........hamara sara pyaar aur vishwas aapke liye hoga...........hum aapse puri wafa karenge...............lekin hum apni Rajput ki parmpara aur Babasa ke sapne ko nahi chod sakte......ab faisla aap ko karna hai...........humne apni marzi jahir kar di hai..........aapke pass 11 din hai sochne ke liye.....

Sujal: itna sabkuch to ek hi pal me tumne keh diya............11 din bahot kam hai yeh faisla karne ke liye kyun ki yeh meri zindagi ka sawaal hai.............meri khushiyaan ka sawaal hai.............lekin meri zindagi aru khushi to tum ho..........main kabhi tumhare kaam me dakhal nahi dunga...........tum jaisi ho mere liye sirf meri Kashish ho.........aur main tumse Shaadi.........

Jab Darwaze pe Sidhdharth dakhal hota hai aur sab use dekhte hai.............

Kashish: jee aap............bina izazat ke andar..........

Sidhdharth: apni honewali biwi se milne me hume kisi ki izazat ki zaroorat nahi........

Kashish: aapki mangetar.........

jab upper se Vasu aur Swayam aate hai............

Vasu: aao Sidhdharth beta.............Kashish......inse milo yeh hai Rajkumar Sidhdharth Singh Rathor Udaipur se..........tumhara mangetar.............

sab ke pairo ke tale se zameen khisak jati hai........Sujal aur Kashish ek dusre ko dekhte rehte hai aur dono ki aankhein big jati hai...........

Kashish: jaha tak hum jante hai hamari kisi se sagai nahi huyi.............

Vasu: tumhare babasa ne tumhari aur Sidhdharth ki sagai bachpan me hi tai kar di thi.........ab waqt aa gaya hai apne Babasa ka Sidhdharth ke Babasa se diye vachan ko pura karne ka...............

Kashish: hum nahi mante........babasa hamare saath kabhi aisa nahi kar sakte.....agar unhone hamara rishta kisi se tai kiya hota to woh hume zaroor batate................

Sidhdharth: agar hum jooth bol rahe hai aisa tumhe lagta hai to ise padh lo.......yeh khat tumhare Babasa ne hamare Babasa ko likha tha..........

Kashish woh khat ko padhti hai aur use lagta hai ki yeh khat wake hi uske babasa ne likha hai..........Kashish ki aankhoin se lagatar aanshu behne lagte hai.............Kashish bina kuch kaha woh khat apne saath leke roti huyi dheere dheere sidiyaan chad ke apne kamre me chali jati hai...........Sujal ka dil jaise so maut mar raha ho kashish ko aise dekh ke...............

Sidhdharth: Kashish aise........

Vasu: iska matlab Kashish ko yeh shaadi manzur hai.........aap safar se thak gaye honge aap jake aaram kare........chaliye hum aapko aapke kamre me la jate hai............

********************************************************************************

Sujal, Anjali, Kavya, Kripa aur Angad Kashish ke kamre me aate hai jo Bhagwan ke pass neche bethi ro rahi hoti hai............

Kashish: kyun...........kyun kiya aapne hamare saath.............kyun........aap jante the ki hum babasa ke faisle ke khilaf nahi ja sakte to kyun aapne hamare dil me Sujal ke pyaar ki aash jagayi.......kyun kiya aapne hamare saath................kyunki aapse hamari khushiyaan dekhi nahi jati.........aapne humse hamare maasa aur babasa ko chin liye lekin humne kuch nahi kaha lekin aaj hamare jine ki aakhri waje ko bhi..............kyun aapne hume aisi ghar me janam diya............kyun hum auro ki tarah nahi reh sakte.........kyun aapne hume dusro se alag banaya..................hum kaise Sidhdharth se shaadi kar sakte hai jab hum unse pyaar nahi karte............hum unke saath kaise bewafai kar sakte hai jinhe hamare babasa ne pasand liya..........lekin phir hum apne dil se kaise wafa karenge..........koi to hoga jo hamari madad karega..................koi to...........

jab Sujal Kashish ke khandhe pe haath rakhta hai................Kashish jaldi se apne aanshu poch deti hai...........

Kashish: aap log yaha.......

Kripa: tum ro rahi thi........

Kashish: kya kare hum to kisi ke samne ro bhi nahi sakte................yahi hai ek jiske samne hum tut sakte hai...........lekin Sujal humse Sidhdharth se shaadi nahi hogi.........hum mar jayenge jite jii.......hum aapse alag hona nahi chahte..............

Sujal: kuch nahi hoga tumhe........main hoon naa tumhare saath.......kuch nahi hoga........tumhari shaadi wahi hogi jaha tum chahogi aur main tumse shaadi karne ko taiyaar hoon...........ek khat se kya hota hai.........agar aaj tumhare Babasa hote to woh bhi sabse jyada apni beti ki khushi dekhte aur tumhari khushi mujse hai...........Sidhdharth se main baat karunga aur woh hamari baat zaroor samaj jayega........

Kashish: nahi ab aur kuch nahi ho sakta...........woh ek kagaz ka tukda hi sab kuch hai ........abhi bhi aap nahi samaj paye...........agar humne aapse shaadi bhi ki to woh mayne nahi rakhi jayegi aur hume is singh khandan se bedakhal kar denge..............hume bahot darr lag raha hai..........

Sujal: meri aur dekho.........aur batao mere pe yakeen karti ho.........

Kashish: khud se jyada..........

Sujal: to ab jaisa main kehta hoon waisa hi karo thik hai.............tum jake apni maa se kahogi ki tumhe Sidhdharth se shaadi karne me koi aitraz nahi........

Kashish: lekin............

Sujal: lekin vekin kuch nahi.............maine kaha na jaisa main keh raha hoon waisa ...........sab thik ho jayega.........

Kashish: thik hai.........

Angad: Kashish tum daro mat...........humne aise kitne sidhdharth ki band bajayi hai........use tum humpe chod do.......bahot hi jald woh khud tumhari zindagi se chala jayega,..........

Anjali: ab tum rona bandh karo kyunki tum roti huyi bilkul achchi nahi lagti.........

Kripa: aur tum is tarah kamzor pad gayi to un logo ko jeetne ka moka mil jayega...............

Sujal: ab tum yaha pe Anjali aur Kripa ke saath betho...........hum log zara bahar Sidhdharth ke bare me puch tach karke aate hai..........

Sujal, Kavya aur Angad teeno jodhpur seher me jate hai............

ajnabi_sahil thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
#75
Kashish dear ........the part was super good really nice part written very well... I enjoyed it 👏 ..................hope sujal aur uski family ne kuch bahut he acha socha hoga jisse sidharth ki band baj jaye...acha khasa milan hone wala tha SK ka yeh beech mein Vasu aur Sawam kahan se stupid Sidharth ko lekar aagye..Sujal plz pahle sidharth ki band bajao phir Vasu aur Sawyam ko aisa sabak sikhao ki jindgi bhar yaad rakhe.......the scence for Rajtilak very nice...👏👏
I can hardly wait for next part..plz plz update soon.
take care
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#76
wow lovely part ab jaldise sidhart ka band bajao
-Aarti- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 16 years ago
#77
wowww!!! kashish very nice part.................. 11 din mein shaadii kashish sujal ki hi hogi..........bas sidhart beech mein naaaye to acha hai.............
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#78
amazing part
cant wait 2 no what sujal and the others have planned 2 do 2 siddhart
cant wait 4 sujal and kashishs shaadi hope it does happen in 11 days.
i liked the way u potrayed kashish standing up 4 her right and not letting the raj tilak happen.
heena_mehta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#79
wow kashish bahut pyara part tha😳...................jahan ek taraf sk ki shaadi ke baat ho rahi thi.wahin ye siddharat ja kahan se aayegaye😡.main na vasu, swayam aur is sidharat teeno ko na😡.........kitne gande hain..............i m sure sujal aur sab milkar in teeno ka band bajayengaye😆.....n scenes b/w sk were so cute n lovely😳.plz continue soon
swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#80
Fantastic part................... Liked the confident Kashish............. Very eager to knw wht Sujal, Angad n Kavya have planned.............Plzz continue asap...........

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

2 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".