Seyahat.....Sujal&Kashish.....Last Part.....12/16 - Page 15

Created

Last reply

Replies

147

Views

36846

Users

26

Likes

77

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
Posted: 15 years ago
 
 

Last Part

ab dekhte hi dekhte do mahine guzar jate hai.........aur ab sab subaah subaah apne saman ke saath SAK mansion ke bahar khade hote hai...........

Angad: yeh Sujal bhi kaha reh gaya.........dair ho rahi hai.........aur gadi ki chabiyaan bhi nahi mil rahi ............

Kavya; Kashish......tumhe to kuch bata ke gaya hoga......

Kashish: sach me hume kuch nahi pata...........subaah subaah taiyaar hoke chale gaye........

Anjali: ab yeh kaun si taiyariyaan karne gaya hoga........

Jab Sujal phir se wahi bus ke saath aata hai.....

Kashish: ab yeh kya hai.........

Sujal: kya hai ka kya matlab .....wahi bus hai jaha pe main pehli bar tumse mila.......aur hume kabhi apni Seyahat puri karne ka moka mila hi nahi.......to aaj hum sab phir se milke ek saath apni Ladakk ki Seyahat puri karenge..............

Kripa: Sujal ........tumhe paka lagta hai ki hume tumhare saath chalna chahiye...............

Angad: uska upay hai mere pass.......abhi aaya.......
Sujal: sun to kaha ja raha hai............

lekin Angad chala gaya hota hai............

Kavya: ab yeh do ghante tak nahi aayega.............

jab Angad daudta hua bedsheet leke aata hai..........

Kripa: tum ise lene andar gaye the........

Angad: haa to.........maine kya socha hai.........agar Sujal aur Kashish ko lage ki use privacy ki zaroorat hai........hum ise apni beech parda kar denge................taki parde ke piche jo karna hai woh yeh dono kar sakte hai..............i mean tum chaho to zagda bhi kar sakte ho hamari tarah..........

Kripa: sab hamari tarah nahi hote.............

Anjali: ab abhi mat shuru hona....chalo dair ho rahi hai.........

sab log apna apna saman rakh ke bus me beth te hai..............

**********************************************************************************

an sabse aage Kavya aur Anjali hai...........middle me Angad aur Kripa.......aur last seat pe Kashish aur Sujal..................

Kashish: to yeh tha aapka aajka surprize......

Sujal: nahi yeh to nahi tha........haa yeh to sirf shuruaat hai.............

Kashish: yeh sabkuch kis liye.......

Sujal: kyunki main chahta hoon ki jo seyahat ne hume milaya woh waise hi puri ho jaise socha tha...........

Kashish: aur hum aur aap woh seyahat puri kar lete to hum kaise milte...........

Sujal: woh to hai......lekin ab to batao tum ladakk kyun ja rahi thi.......

Kashish: pata nahi.......

Sujal: pata nahi ka kya matlab,,,,,,,,

Kashish: hume to yeh bhi pata nahi tha ki yeh bus ladakk ja rahi thi.........

Sujal: to tum aise kaise.........

Kashish: jab koi insaan apne hi ghar se bhagta hai to woh yeh nahi dekhta ki woh kaha ja raha hai............

Sujal: ek baat to batao........tumhe akele ladki hoke bhagte huye darr nahi laga..........

Kashish: laga tha bahot........jab hum Jodhpur se Mumbai aaye tab hume bahot darr laga tha.....lekin jab hum aapse mile to hume kabhi darr nahi laga.......us raat hum pehli bar ek hafte ke baad thik se soye the kyunki aapne hume kaha ki aap hai hamara khayal rakhne ke liye.............

Sujal: aur agar main na milta to kya karti.........

Kashish: aaj bhi usi tarah khud ki zindagi se bhag rahe hote aapko dhundhne ke liye.......kyunki jisko milna likha hota hai woh to mil hi jate hai........aaj nahi to kal............

Sujal: to tumhara kehne ka matlab hai ki tum mere jaisa pagal ka intzaar karti........

Kashish: haa kyunki hamare jaise pagal se koi pagal hi pyaar kar sakta hai...........

Sujal: to tum apne pati ko pagal keh rahi ho..........

Kashish: abhi aapne to khud kaha aur ab aap hume..............jaiye hum aapse baat nahi karte.........

Sujal: kashish isme naraz honewali kaun si baat hai..............

Kashish: humne kaha na hume aapse koi baat nahi karni........aap ko bahot maza aata hai hume satane me...........jaiye nahi karni hume koi baat aapse...........

Sujal: ab yeh bachpana hai..........

Kashish: yeh koi bachpana nahi.............hum aapse naraz hai matlab naraz hai....................

Sujal: achcha baba ab kan pakde........ab to maff kar do......ple...........i am sorry.........

Kashish: kitni bar humne aapse kaha hai ki pyaar me mafi ki jaha nahi hoti............

Sujal: aur maine bhi kitni bar kaha hai ki tum mujse naraz nahi reh sakti..............

Kashish: aap se kisi ne kaha hai ki aapse koi chahe tab bhi naraz nahi reh sakta............

Sujal: aur tumse na chahte huyi bhi bahot pyaar aata hai.........

Kashish: janti hoon........

Sujal: I love you......

Kashish: I love you too..............

Kashish took Sujal's hand and holds his hand tight to her and went to sleep in his arms............Sujal couldnt resist her eyes from seeing his angel sleeping in his arms...............that he had dreamed first time when he saw kashish first.....it was his dream to be in this place with Kashish in his arms...........it was dream come true for both of them......soon after an hour he also fall in sleep.............

**********************************************************************************

aakhir kar Sujal aur Kashish ki seyahat ki mazil aa hi jati hai..........sab log bahot khush hote hai aaj jo pura parivar jo ek saath khushiyaan bat raha tha......sab log pura din ghum phir ke thak gaye hote hai..........sab log apne apne hotel ke kamre me ja chuke hote hai.............Sujal change karke bahar aata hai to Kashish aise hi bed pe bethi hoti hai........

Sujal: Kashish........

Kashish: hmmmm........

Sujal: kya baat hai...........aaj sone ka irada nahi........

Kashish: nahi woh.......haa aaj nahi sone ka irada hai...........

Sujal: kya......per kyun.........

Kashish: kyunki darr lagta hai ki kahi humne aankh bandh ki aur yeh sirf ek sapna nikla to..........agar yeh sapna hai to hume bas aise hi dekhte rehne dijiye......hum nahi chahte ki hamari ek palak zapkne pe humara yeh khubsurat sa khwab tut jaye..............

Sujal: aisa kuch nahi hoga.......main hoon na.......main kabhi tumhare sapne ko tutne nahi dunga.........

Kashish: lekin hume neend nahi aayegi........aap so jaiye........

Sujal: shaadi ho gayi lekin........abhi bhi ziddi ki ziddi hi rahi..................

Kashish: kuch kaha....

Sujal: nahi to........chalo main madad karta hoon sone me...........

Kashish: tab to hume bahot achche se neend aayegi............

Sujal: yaha aao mere pass.............

Sujal Kashish ke pass bethta hai..........aur Kashish ko apni baahoin me leta hai.....aur dheer dheere uske bal ko sehlane lagta hai............
Sujal: Kashish ab aankhein to bandh karo......khuli aankhoin se soigi........

Kashish: is haseen pal ko hume dekhte hi jana chahte hai.......ek pal ke liye bhi aapke chehre se nazar nahi kahi aur lagana chahte..........pata hai aapko........jab bhi hum aapki in aankhoin me dekhte hai to pata nahi khud ko rok hi nahi pate.........

Sujal: Kashish naam tumhara hai............tumhari aur to muje aana chahiye.........jo main aa hi jata hoon........lekin sach to yeh hai ki ab hum ek hai........aur ab hume koi alag nahi kar sakta.............waise Kashish tum aaj subaah jaldbazi me kuch bhul nahi gayi........

Kashish: kya keh rahe hai aap............humne aapka aur hamara sara saman to pack kar diya tha...........aur humne khud dekha tha.....sab ghar pe bhi thik tha...........bataiyena ki hum kya bhul gaye hai warna hume neend nahi aayegi..........

Sujal: bata doon.........

Kashish: bataiye na.......

Sujal: sach me bata doon........

Kashish: thik hai hum jake Anjali se hi puchke aate hai........

Sujal: uske pass bhi iska koi jawaab nahi hoga........

Kashish: ab ap saaf saaf kahenge ki kya baat hai..........

Sujal: aaj tum meri morning kiss nahi bhul gayi.........aur abhi to tumne meri good night kiss bhi nahi di........

Kashish: oh woh..........thik hai kal de denge..........abhi so jaye.........

Sujal: aur tumhe kisne kaha ki main tumhe sone dunga........ab to main apni kiss leke hi rahunga.........

Kashish: ab aap humse zabardasti karenge..............

Sujal: tumhe kya lagta hai.......

Kashish: yahi ki aap her waqt apni manmani puri karke hi rehte hai...........lekin is bar hum nahi denewale............

Sujal: aur tumhe kisne kaha ki main aisa hone dunga.........

Kashish: Sujal aap aisa kuch nahi karenge...........

Sujal: aur tumhe kisne kaha main aisa kuch nahi karunga..........

Kashish: Sujal......nahi....Sujal.......

Sujal: too late.........

Sujal holds her hands so tight and looks into her eyes and she was again spell bound by Sujal.......She doesnt move but just slowly close her eyes and get ready herself to get more love from her love.......as soon as sujal puts his lips on hers......it turned out to be a very romantic passionate kiss............they were lost in their own world of love and romance when sujal moved his hand to turn off the light...............

**********************************************************************************

aaj us din ko aath saal ho gaye hai...........aaj jo zindagi Sujal aur Kashish apne parivar ke saath jee rahe hai usse pata chalta hai ki woh dono kitne khush hai............aaj sab log phir se Daima se milne Jodhpur aaye hai lekin aaj ek bahot hi badi khaas waje bhi hai......chaliye dekhte hai ki Sujal aur Kashish ke kamre me kya ho raha hai............

Sujal: Kashish dekho na meri ghadi nahi mil rahi.........

Kashish: uffo........Sujal aap bhi na kahi pe bhi kuch bhi rakh dete hai.....yeh hamara kamra thode hi hai ki hume pata ho ki aapne kaha rakhi hai........aur main aapka khayal rakhu ki Ayan ka ...............pata nahi woh bhi na subaah subaah kaha chala gaya...........woh na bilkul aappe hi gaya hai....har waqt hume pareshan karta hai..........pata hai aaj kal khane ke mamlo me hume uske piche daudna padta hai..........per yeh ladka hai ki kisi ki sunta hi nahi...........ab jaiyena Sujal use dhundh ke laiye hume abhi use taiyaar bhi karna hai...........

Sujal: Kashish...........clam down........kitna kuch bol gayi..........aur ab kya kare beta baap pe nahi jayega to...........ab tum meri ghadi dhundho main us badmaash ko dhundh ke lata hoon............

Kashish pure kamre me ghadi dhundh rahi hoti hai jab Sujal Ayan ko leke aata hai............lekin Kashish ka gussa dekh ke woh Sujal ke piche chup jata hai...........

Kashish: Ayan.......tumhe kya lagta hai ki tum Papa ke piche chup gaye to hume kuch pata nahi chalega.............ab bahar niklo.......

jab Sujal ki piche se saat saal ka chota sa cute sa bacha apne kan pakad ke bahar aata hai..............

Ayan: I am sorry Mama.........

Kashish: yeh achchi baat hai.......tum aur tumhare Papa........dono achchi tarah se jante hai ki mama aise aasani se maff kar deti hai..............lekin ek bar aap dono ghar pahoncho.........dono ki sekayat hogi Anjali se...........

Sujal: ab maine kya kiya............

Kashish: aapki sekayat hogi kyunki aap hi Ayan ko bigad rahe hai............

Ayan: papa......ple kuch kariyena..........Anjalichachi dategi..........ple papa........

Sujal: thik hai .....kuch karta hoon.........lekin last time.......

Kashish: yeh kya khus khus kar rahe hai aap dono........

Sujal: mama.......i mean Kashish...........woh kya hai na is bar jane dete hai........ab chuti pe aaya hai to thodi shaitani to karega.......aur phir aakhir kar yeh uske Nana Nani ka ghar hai...........

Kashish: bigadiye aur ise.........thik hai hamari baat ka kya..........hume lagta hai aap dono ko hamari koi kadar hi nahi.............

Ayan+Sujal: we are sorry.........we love you...........and we need you................

thats makes kashish to smile and she hugs Ayan and Sujal........jab Daima aati hai........jo yeh nazara dekh ke aankhoin me aanshu aa jate hai.............

Daima: Kashish.........sab neeche intzaar kar rahe hai...........tum Ayan ko taiyaar karke le aana..........

Kashish: jee daima.............

ab Kashish Ayan ko taiyaar karke neeche lati hai.........jaha pe sab log hote hai................

**********************************************************************************

Daima: aaj aap sab jante hai ki hum yaha pe kyun aaye hai............aaj yeh parivar apni ek pethi aage ja raha hai.............aaj hum wapas sab kuch Rajkumari Kashish ke bete Ayan Sujal Garewal ko wapas de rahe hai...............aao Kashish.........

Kashish: aaj aap sab yaha aaye hume bahot khushi huyi.....hum Kuldevta aur gurujee ko namaskar karte hai..........aaj hum sabse bada sukhriya hamare Parivar ka karte hai jo her muskil ghadi me hamare saath tha.......jinhone kabhi humse kuch nahi kaha lekin hume itni khushi di hai ki hum bata nahi sakte............aaj isi parivar ki waje se hume Kavya aur Angad jaise do bhai mile hai ..........Anjali aur Kripa jaise do saheli.............aur itne pyare bacho se hamare ghar bhara hai ki her waqt khushi ki kilkari se ghar zum uthata hai........lekin hum yeh kaise bhul sakte hai ki yeh sab kuch hume sirf ek insaan ki waje se mila hai.......haa hume yeh sab kuch hamare pati Sujal ne diya hai aur jiske liye hum hamesha sukharguzar rahenge..............aaj hamare ghar me khushiyaan hai to sirf aap sab ki waje se............aaj hum khush hai to ek dusre ka haath thame huye.........aur hum chahte hai ki jis tarah hum log apne sukh dukh batte hai waise hi hamare bache bhi aage ki zindagi me sari khushi aur dard bate............

Gurujee: aaiye Rajtilak ki vidhi shuru karte hai........

Kavya: chalo Ayan beta......puja me betho.......

Kashish: ek minute Kavya.....Ayan puja me akela nahi bethega.........iske saath Shivam aur Rudra bhi bethenge.............

Anjali: yeh kya keh rahi ho tum.........

Kashish: kyun Anjali.......Shivam sirf tumhara hi beta hai.............kya woh hamara nahi............

Anjali: lekin Kashish itna bada faisla........

Kripa: haa Kashish ek bar phir se soch lo.........

Kashish: Kripa kya aap Ayan ko apna beta nahi manti............manti hai na to aapne kaise soch liye ki hum Rudra ko piche chod denge..........nahi aisa kabhi nahi hoga.......jis tarah Sujal, Angad aur Kavya ko koi alag nahi kar sakta waise bhi Ayan, Shivam aur Rudra ko bhi koi alag nahi kar sakta.........hamara ek beta nahi teen bete hai..........aur hum apne teeno beto ko sab kuch ek jaisa hi dena chahte hai.........aur yeh hamara aakhri faisla hai............

Kashish khud jake Ayan, Shivam aur Rudra ko puja me bithati hai aur teeno ka rajtilak hota hai..........

Sujal: Kashish...........aaj tumne jo kiya woh koi aur nahi kar sakta........

Kashish: humne kuch nahi kiya.........aur jo kiya hai woh hamara farz tha..........

Sujal: tum ek bahot hi achchi beti ho.......ek achchi patni ho.........ek achchi maa ho........lekin sabse badi baat tum sabse achchi insaan ho.........jise main bahot pyaar karta hoon............

Kashish: humne jo kiya woh hamare aur hamare parivar ke liye kiya............aur hum bhi aap se bahot pyaar karte hai..............hum abhi aate hai.........

Sujal: kaha ja rahi ho..........

Kashish: aap chaliye hamare saath.........

Sujal aur Kashish dono milke Kashish ke babasa ke kamre me aate hai..........

Kashish: Babasa...........aaj aap dekh hi rahe honge ki hum kitne khush hai.........aur aap ko to pata hai na yeh khushi kiski waje se hai...........kash aaj aap yaha hote to aapko bhi kitni khushi hoti Sujal se milke........aur pata hai babasa aaj aapka naata saat saal ka ho gaya hai..........aur apne vaade ko maine nibha diya hai.............aaj humne apni parmpara nibha di...........aaj hum is khandan ko teen kuldeepak de rahe hai.........aur hume yekeen hai ki aap hamare faisle se bahot khush hai.........aap yaha nahi lekin phir bhi aisa lagta hai ki aap yahi kahi hai hamare saath........hume aisa lagta hai ki aap hume dekh rahe hai ki aapki beti kitni khush hai apne parivar ke liye.........achcha ab hum chalte hai neeche Ayan hume bula raha hai.............

yeh kehke Kashish neeche chali jati hai aur Sujal bhi waha pe diya jala ke neeche chala jata hai aur isi tarah yeh kahani bhi chalti rehti hai.................

 

Sumi_162710 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Gr8 ending. I really luved the luv btwn Sujal n Kashish. Kashish is so gud that she considers Rudra n Shivam to be her own sons. This family luv is awesome. Ur FF is wonderful. I'm sad that its ended but am happier that it has been a gr8 ending. Thnx 4 this fantastic FF.πŸ‘πŸ‘πŸ‘ HOPE TO READ MORE FROM U SOON.
Sumi_162710 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
gr8 ending. The luv scenes btwn Sujal n Kashish was amazing. I m glad that Kashish considers Rudra n Shivam to be her own sons. The family luv is wonderful I' sad that its ended but m happier that its been a gr8 ending. THNX 4 this fantastic FF. HOPE TO READ MORE FROM U SOON.
swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Beautiful ending.. luved it... Sujal bringing back the same bus was really cute.... the bonding between all of them is jus amazing... Hey Kashish thanx a lot for the wonderful FF...............
jyothi_cool thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
wow awsome part wish u did not have to end this fic cont soon
cute_samrah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 15 years ago
awesome ending............................kia part......................sujal kashish ka bets tu buhat he shaarti tha..........................love ur fic....................
Iqbal Neha1 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago
amazing ending kashish
i really liked the way u showed how sujal bourght the same bus that they started their seyahat from.The way u potrayed the love between sujal and kashish was really awesome.
the way ayan and sujal were teasing kashish was really cute.I really liked the way u showed how much kashish loved her new family and therefore treated shivam and rudra as her own sons.I really enjoyed reading this story because it was really different and the way u potrayed kashish as a princess was amazing.
πŸ‘
Edited by Iqbal Neha1 - 15 years ago
crystal fantasy thumbnail
Posted: 14 years ago
HI!Kashish bohot hi different aur bohot hi acchi story thi. I simply loved it.