2. Arjun should never leave Maya alone like that, because after saying those few words, she might think that Arjun is not interested in her! Poor Maya! She looked devastated! Arjun yaar! Kia kartay ho? Apni baat toh sunaa di abh atleast uss bechari ko toh kahani sunn laitay! Likin nahi tumhain toh bas bhaagna tha Vandana k paas maafi maangnay k liye! Acha hai ehsaas hogaya likin atleast Maya ko bta k toh jaatay k kyun bhaag rahay ho wo bechari pta nahi kia kia soch k beth chuki hogi!
3. Maya should gain Vandana's trust, Maya tumnay saari Arjun ki kahani sunli abh tumhain Vandana ko kisi tarha impress karna hai keh wo tumse aisa impress hoon jain keh Saanjh aur jal k bhunn jaay😆Meray khyaal se Arjun jab bhaaga bhaaga jaay ga Vandana k paas toh kia pta wo yeh kahay keh main Maya ki baat sun raha tha toh mujhe ehsaas hoa keh maine aapkay saath kitna ghalat kiya hai, bas udher hi Vandana hairaan hojaay gi keh main Maya ko ghalat samaj rahi thi aur Saanjh toh aisa jallay gi na keh basss...Maza hi ajaay ga...
Maya main bta rahi hoon jo kaam Saanjh nahi kar saki wo tum kar sakti ho, tum Vandana aur Arjun ko kareeb la kar Arjun ka toh dil jeet hi lo gi saath saath Vandana ka bhi dil jeet lo gi...Dekhlainaaa😉 Idea acha hai Maya, azmaa lo, aur kar jaao sub set!😃
Lastly, Maya isn't that much of a psycho as I thought she would be, achi hai yaar, usmain itni himat hai keh wo apnay past se itnay darrnay k bawajood apnay pyaar ko bachanay k liye sub pehlay hi bta daina chaa rahi hai, likin Maya such zaroor btana, pleeease rukhna mattt...Arjun agar tumse pyaar karta hai toh wo tumhain dekhna khushi khushi accept karlay ga... Aur phir wo idiot Ashwin bhi kuch nahi kar paay ga kyunkay Arjun tumhari taaqat aur tumhari dhaal bunn kar humesha tumharay liye khara jo rahay ga
What say guys?😃
Share your thoughts too!😳