CHAPTER - 23
[ Present ]
Suhaana went to the office without informing Akash and straight away went to meet Rahul in his cabin.On seeing her,Rahul said,"Listen Suhaana main tumhaari koi madat nehi kar sakta hu aur company ke fund se tumhe ek paisa nehi milega."Suhaana threw the purse on his table and then asked,"Tum Ananya bhabhi se US mein miley the?"Rahul was boggled at her question and then after a moment asked,"What??"Suhaana asked,"Simple sa sawaal hai kya tum US mein Ananya bhabhi se miley the?"Rahul asked,"Tum ye sab kyu puch rahi ho?"Suhaana,without any kind of drama told him everything.She then said,"Dekho Rahul tum bhaiya ke sabse achche dost ho aur unke baare mein tumhe sab kuch pata bhi hai.You know that he is in love with her without knowing ke vo unhiki biwi hai.Main apni bhabhi ko ghar laana chahti hu and so I just want to know everything aur vo bachchi kiski hai?Kya unhone waha dusri shaadi ki thi?"Rahul replied,"Hold on Suhaana!!Ananya hamesha sirf Akash se hi pyar karti aayi hai aur usise aaj bhi pyar karti hai par doctor ke warning ke vajah se vo chup hai.Vo bachchi,uska naam Paakhi hai,vo Akash ki beti hai.Jab Ananya ne ghar chora tha uske do mahine baad usko pata chala that she was pregnant aur ye baat usne kisiko nehi batayi.Uske baad Natasha aur Ananya ke bachpan ka dost Rohit Mafatlal ne Natasha se shaadi ki aur phir apna saara business usne US transfer kar liya aur tabhi se vo sab wahi reh rahe hai.Paakhi bhi wahi paida hui aur vo Akash se nafrat karti hai kyuki Ananya ki bua aur uske papa ne Akash ke khilaaf itna zeher ghola hai uske dimaag mein,ke vo apne baap ka naam tak sunna pasand nehi karti hai.Paakhi ke liye Rohit ki uska father and this is the situation there."Suhaana dashed on the chair and after sometime,she replied,"Sab kuch bohot complicated hai."Rahul agreed,"Right aur Paakhi ke vajah se aur bhi zyaada complicated ho gaya hai."Suhaana was so happy and said,"I just can't believe ke bhaiya ki ek beti hai,Iam sure she is just like him and very cute."Rahul smiled and replied,"Ya usey bhi mushroom se allergy hai and she too has dimples like Akash."Suhaana again became sad and then said,"Par Paakhi ko sach bataana chahiye na varna vo hamesha bhaiya ko misunderstand karti rahegi."Rahul replied,"But things are not so easy na,uske dilo dimaag mein Akash ke khilaaf zeher is kadar phel chuka hai,ke vo apni ma tak ko usse milne nehi deti hai aur usko hum kya bataayenge?Samajhne laayak na to uski umar hai aur abhi agar bataayenge bhi to vo is baat ko kabhi nehi maanegi.Iska bas ek hi ilaaj hai ke Paakhi needs to spend some time with her father that is the only thing which can do the magic."Suhaana said,"To achcha hai na bhaiya ko sach janna chahiye aur bhabhi aur Paakhi ko unka haq milna chahiye.Unki asli jagah hamaare ghar mein hai."Rahul agreed and said,"I know par sach Akash ko bataayega kaun?Koi ye risk nehi lega na."Suhaana nodded his head and then said,"Poor bhaiya!!Unke paas sab kuch hote huye bhi kuch nehi hai and bhabhi vo bhi bichaari apni beti ko lekar pareshaan hai."Rahul said,"You know the most interesting thing is,Akash bohot zyada apni beti ki mentality samajhne laga hai aur vo bhi uske saath zyaada time spend kiye bina hi.Vo kehta hai ke Paakhi apne papa se nafrat karti hai par kahi na kahi she loves him too,bhale hi Rohit matlab Ananya ke sister ka husband usse kitna bhi pyar kare,but phir bhi vo uska asli father to nehi hai and that thing is what compelling Paakhi to hate her father.Actually in her sub conscious mind,Ananya se bhi zyaada Paakhi apne dad ko apne paas chahti hai taaki vo bhi proudly keh sakey that she has her dad."Suhaana helplessly asked,"Kya hum kuch nehi kar sakte hai?"Rahul replied,"Hamaare haath mein kuch nehi hai,ab to koi magic hi ho sakta hai and I think vo already hone laga hai kyuki Akash ko shaayad dheere dheere sab kuch yaad aane laga hai."Suhaana was excited and asked,"Really???"He nodded his head.
Suhaana returned home and then went to Namrata and she was so excited that she hugged Namrata tightly and then Namrata asked,"Arey arey arey Suhaana kya hua?Itni excited kyu hai?"Suhaana broke the hug and then replied,"Arey daadi agar aap bhi sunogi na to aap bhi paagal ho jaaogi khushi ke mare.Aapko pata hai vo bachchi hai na uska naam Paakhi hai aur vo Akash bhaiya ki beti hai.Aapki parpoti hai vo aur meri bhatiji and you know uske gaalo mein bilkul bhaiya jaise dimples parte hai and usey bhi mushroom se allergy hai."Namrata was so happy hearing about her great grand daughter and said,"Haaye mere Akash ki beti bhi hai.Meri parpoti,meri ghar ki lakshmi.Ab to sahi mein mujhse raha nehi ja raha hai,dil to kar raha hai ke abhi aur isiwaqt dono ko yaha lekar aau."Suhaana took out her mobile and then said,"Pata hai daadi Rahul se main uski ek photo bhi lekar aayi hu.Ye dekho,hai na bilkul bhaiya jaisi."Namrata kissed the photo and then said,"Bilkul mere Akash par gayi hai."Suhaana said,"Par daadi ek problem hai."Saying she told Namrata everything Rahul told her about Paakhi.Namrata said,"Hey bhagwaan ye to bohot bura hua,isme mere Akash ki kya galti hai bhala?Galti to hamaari hai na.Par hume ye sab thik to karna hi parega."Suhaana said,"Par usse pehle bhaiya ko sab kuch janna parega na daadi."Namrata replied,"Yehi par aakar to mera dimaag khali ho jaata hai."Suhaana said,"Aapko pata hai daadi doctor ne kaha tha ke bahiya kuch bhi yaad dilaane ki koshish na ki jaaye par agar unko sab kuch khud ba khud pata chale tab to koi problem nehi hogi na."Namrata was confused and asked,"Kya matlab hai tera?"Suhaana made her sit on the bed and then replied,"Dekho daadi I think hume kuch aisa karna parega taaki bhaiya ko shaq ho ke unke past mein aisa kuch hai,aisa koi raaz hai jo hum log unse chupa rahe hai aur aap to jaanti hai na ke shaq naam ka keera jab kisike dimaag mein ghus jaata hai to vo insaan tabtak chain se nehi bethta hai jabtak usey uske saare sawaalo ka jawaab nehi mil jaata."Namrata asked,"Tu mujhe saaf saaf bataayegi please?"Suhaana replied,"Hum bhaiya ke saamne aise aise clues chorenge jo unke past se related ho aur vo majboor ho jaaye apne past ke baare mein janne ke liye aurjab vo humse janne ki koshish karenge to hum aise bartaav karenge jaise hum unse kuch chupa rahe hai isse unka shaq aur barega aur vo khud is matter ko investigate karenge.Isse doctor ki baat bhi reh jaayegi ke humne unhe kuch bhi yaad dilaane ki koshish nehi ki aur hamaara kaam bhi ho jaayega."Namrata's eyes glowed with happiness and said,"Agar ye sach mein mumkin hai to main zarur aisa karungi aakhir mujhe bhi to apni parpoti apne ghar mein chahiye.To yehi tey raha hum aisa hi karenge."They shook hands with each other and then they planned to meet Akash after he returns.
At night,after an hour of Akash's return,Namrata and Suhaana went to meet Akash.He asked,"Daadi Suhaana aap dono achaanak yaha?Kya baat hai?"Suhaana replied,"Vo bhaiya Viraj keh raha tha ke aapne jis brand ka wrist watch liya hai na vo usko bhi chahiye,to mujhe vo dekhne ke liye kaha hai aur daadi ko aapse kuch important baat karni hai."Akash replied,"Ha thik hai vo almaari mein hai nikaal kar dekh le."Namrata sat on the bed and said,"Akash vo Suhaana keh rahi thi ke tujhe US mein koi larki pasand aayi hai aur tu usse shaadi karna chahta par uski ek beti bhi hai aur uske pati ne usko chor diya."Akash said,"Ha daadi par vo mujhse pyar nehi karti hai and I can't force her na isliye maine decide kiya hai ke main usey bhul jaaunga aur Suhaana ne bhi mujhe yehi kaha."Namrata replied,"Arey ye to bewakuf hai isko kya pata hai?Vaise bhi pehla pyar koi nehi bhul sakta hai aur jab tune pasand kiya hai tabto vo laakho mein ek hi hogi na aur Suhaana ne mujhe teri painting dikhaayi thi vo sach mein bohot khubsurat hai.Vaise mujhe is rishtey se koi aitraaz nehi hai.Main naye khayaalato waali hu,arey us aadmi ki phuti kismat jo aisi larki ko chor kar chala gaya aur achcha hi hua na tujhe mil gayi."Akash asked,"Par daadi uske pati ne usko chora hai aapko sach mein society ki...??"Namrata replied,"Arey jab tere baap ki dusri shaadi main maan sakti hu to teri to ye pehli shaadi hai aur pyar thore sab kuch dkh bhaal kar hota hai aur rahi baat bachchi ki ek baar tum dono ki shaadi ho jaayegi to vo teri bachchi ho jaayegi na aur mujhe bhi parpoti mil jaayegi."Suhaana,by that time,put something in hid wardrobe and then closed it and said,"Ha bhaiya baad mein maine bhi socha aakhir us larki ke husband ne usko chora to isme us bichaari ki kya galti hai?Uski bhi to life hai na aur vo bachchi bhale hi vo apne baap ke sirname waale har aadmi se nafrat kare but Iam sure ek baar vo yaha aa jaayegi na aur hum sabka pyar milega na to she will also love everyone."Akash said,"Par daadi vo mujhse pyar nehi karti hai na."Namrata replied,"Arey beta pyar karte thore hi hai,vo to jaata hai.Tujhe bhi to ho gaya hai na aur dekh lena usko bhi ho jaayega.Aakhir mujhe bhi apne pote par pura bharosa hai.Tu koshish to kar ek baar.Thik hai?"Akash nodded his head and then Namrata and Suhaana left from there.Before they could leave,Akash asked Suhaana,"Vaise Suhaana tu Ananya ki painting dekh kar bhaagi kyu thi?"Suhaana's heart skipped a beat and then she stammered,"Uh...uh...vo...kuch nehi bhaiya bas aise hi...You know main thori shocked ho gayi thi."Akash didn't seem to convince and Suhaana and Namrata didn't wait for his reaction and fled away from there.After coming outside,Namrata asked,"Kaam ho gaya na?"Suhaana replied,"100%"After sometime,Akash went to take out his dress for shower and when he opened his wardrobe,something fall on his feet.Akash said,"Ye Suhaana bhi na sab kuch hila kar rakh deti hai."He bend to take the thing and it was a paper.He opened the paper and was shocked to find that it was a painting of Ananya and that too very old leaving Akash hell shocked.
CHAPTER - 24