Part 26: birds sanctuary janey kay liye.. hamarey love birds ko chahiye ghar sey permission
Sameer (S) - Male Lead, Naina (N) Female Lead , Pandit ( PT) , Munna ( M), Swati ( ST), Preety ( P), Arjun bhaiya ( A), Rakesh sir ( R), Vishakha ( V) , Poonam Bhabhi ( PooB), Pooja didi ( PooD) Karthik ( K ), mama, mami, taiji ( TJ) , Ananad chachaji (AC), Shefali (SF) , Mundit ( Munna + Pandit) , SaMunDit ( Sameer + Munna + Pandit), Samiana ( Sameer + Naina ), Bela Chachi ( BC), SwaTiNa( Swati+Preeti + Naina), Kamya ( KM), Hema ( HM)
N Ka ghar exam key baad:
P: mummy vo exam khatama honey ki khushi mein college hum sabko ek din ki picnic pay leke jaa rahi hain... Nal Sarovar Bird Sancturary... maloom hain hum sab kai saal pehley wahan gaye the .. 2-3 ghantey ke raaste pe hain jo.. subh jaakey shaam ko wapis.. hum log dono chale jaaye?
Bela Chachi ( BC): bhagwan jhooth na bulaye.. haa mujhe yaad hain na.. Pooja ki shaadi kay pehley tere papa wahan leke gaye the.. bada maja aaya tha.. wahan kitney tarah kay vo kya kehte hain angreji mein.. birddds hain... vo laal rang wale , piley rang kay.. arey vo ek to niley rang ka bhi tha...
P: arey mummy aap to indradhanush kay saarey rang bolney lage.. haan vo hi jagah... aur usey birddd nahin birds kehte hai... to hum dono chaley jaaye?
N: haan chachiji.. hum dono chale jaye sirf din ki hi baat hain shaam/raat tak to wapis aa jayenge...
BC: hmmm baat to thik hain thehro mein P kay papa ko puch ke aati hoon. Arey suntey ho.. kahan ho aap..
Anand Chacha ( AC): main yahan hoon.. bolo Bela kya kaam hain?
BC: arey aap yahan hain.. bhagwan jhooth na bulayee vo mein kya keh rehi thi...vo aapko yaad hain hum log sab saath mein vo Nal Sarovar pakshi garden mein gaye the...
AC: Bela usey Bird Sanctuary kehte hai.. haan mujhe yaad hain.. kya hua usey...
BC: vo kya hain na.. bahout hi acchi jagah thi hain na.. ghar sey kitni paas aur hum bhi to subha jaakey shaam tak aa gaye the.. hain na?
AC: Bela yeh tumhey achanak wahan ki yaad kaisey aa gayi... tumhey jana hain wahan fir sey?
BC: bhagwan jhooth na bulaye.. nahin nahin mujhe nahin vo P aur N ko.. kallege sey ek din key trip pe udhar leke jaa rahe hain.. to mein kya soch rahi thi ki ek din ki hi baat hain to jaaney dete hain unko...thik keh rahi hoon main ...haina?
AC: hmmm to yeh baat hain.. waisey baat to tumhari thik hain aur unki exams bhi abhi abhi khatam huye hain to accha hi hain ki thoda ghum aaye...aur sahi kaha tumney sirf din din ki hi baat hain... thik hain main jaakey bhaisahab aur bhabhiji sey baat karkey aata hoon..
BC: arey main kya keh rahi thi.. vo dono to kal nadiyaad jaa rahein hain subh subh aur raat mein bahout hi der sey aaney walein hain.. haan unko batana to chahiye.. par bhagwan jhooth na bulayee.. agar nahin bhi kaha to unhey kaisey maloom hoga? Mera matlab hain hamein unhey batana chahiye par.. vo to waisey hain hi nahin kal to ...
AC: nahin main aisa nahin karoonga.. tum chinta mat karo main abhi unsey puch kay aata hoon .. mujhey pura vishawaash hain vo mana nahin karengey.. tum ruko main baat karkey aata hoon
BC: accha.. hmm thik hain.. main P aur N ko jaakey keh aati hoon.. ki aap maan gaye hain aur bhaisab bhabhiji sey baat karney gaye hain..
---------------------------------------------------------------------------------------------
P and N ka room:
N: yaar Preety mujhey thodi ghabrahat ho rahi hain.. kya gharwaley manengey?
P: mujhey lagta hain mummy sabko mana lengi...
Tabhi BC, AC wahan aa jaate hain..
BC: bhagwan jhooth na bulayee.. kya kahan tumney P main sabko mana loongi.. bhala aisa kyun karoongi main?? Mujhey koi kaaley kuttey ney kata hain jo tum dono key jhaansey mein wapis aaongi..
N and P are shocked... and sad that now they will not be able to go to the picnic..
AC: hanstey huey.. arey Bela.. dekho inkey chehrey... aisa lag raha hain abhi ro padengi...
BC vo bhi hasney lagti hain: mujhey to bada maza aa raha tha inka chehra dekh kay...aur jor sey hasti hain..
N aur P ko samjha hi nahin aata .. kya ho raha hain...
AC: arey tum dono kal naam likhvalo picnic kay liye.. sab maan gaye.. tumharey tauji ney bhi kahan .. sirf din ki hi baat hain to jaaney dete hai.. is liye tum dono ghum aao.. par bilkul shararat nahin samjhi... thik sey rehna ghumna firna..aur exams abhi khatam hui hain .. thoda fresh bhi ho lena...
N and P are extremly happy and they hug both AC and BC.. and they both leave...
P: yaar behna mujhey to yaakin nahin ho raha...
N: chalo aab to bahut maja aayega.. main jaake Sameer ( S ) ko phone kar deti hoon .. vo bhi baichain hoga.. kya hua sun neke liye..
P: waise behna.. ab to tere din bahout kum bache hain... yun permission leke jaaney ke liye... kyun. Bahout jald.. tumhey jijaji apney saath leke jaayenge.. fir to tumhey koi permission ki zarorrat nahin hogi.. vo to tumhey kahan kahan ghumaengey... hain na??
N yeh sunkey muskurati hain aur sharma jati hain: hmmm bas ab thodey mahiney aur...
P: haan haan tu to chut jaayegi .. jaan to meri atak jayegi yahan... in sabkey beech... yaar N teri shaadi kay baad to mein bilkul akeli ho jaoongi.. main tujhey nahin janey doongi.. keh kay N kay galey lipat jaati hain...
N bhi bhavuk ho jati hain: arey pagli yeh kahan sey kahan chali gayi tu.. yeh baat to khushi ki thi.. aur tu hain ki.. aur mein kaunsa Delhi London jaa rahi hoon.. yahin hoon Ahemdabad mein.. hum log to roj mil sakte hain... tu bilkul tension mat ley.. main kahin nahin jaa rahi tujhe chod kay.. filhaal to nahin...chal ab mujhe jaakey tere jijaji ko batana hain ki sab thik hain...
P: sun tu ruk yahan aaj main baat karti hoon unsey.. tu ruk
-------------------------------------------------------------------------------------------------
N S P phonecall:
S is worried kya hoga... Waisey to din ki hi baat hain to gharwaley maan hi jayengey par abhi tak Naina ( N ) ka phone kyun nahin aya...tabhi phone ki ghanti bajati hain..
S: N kya hua... Hello...
P ek dum sahem kay bolti hain: ummm Hello jijaji.. mein P bol rahi hoon...
S: P Hi kya hua tumhari awaz kyun aaisi sunai dey rahi hain? kya hua sab thik hain? N kahan hain? tumney kaisey phone kiya?
P: arey S aap mere Jijaji ho .. right? To fir main aapko phone nahin kar sakti? Yeh accha hain.. itney saal jab aap dono ko meri help chahiye thi to.. P yeh aur P vo.. aur ab dekho... Kutch aur mahiney bachey hain .. to P tumney kyun phone kiya??? Jaiye main aapsey bahout hi naraz hoon aur ab bilkul baat nahin karni mujhe.. aaj to mujhe aisa lag raha hain.. shaadi kay baad to N sey baat bhi karney kay liye taras jaoongi main... kyunki aap to usey akele chodenge hi nahin...ab to aap dekhiye.. main bilkul help nahin karney wali aap logon ko..
S: arey arey saliji..yeh kya keh diya aapney...aur thoda serious ho jata hain.. Preety.. aaj main tumhey ek baat kehta hoon jo umeed hain tum kabhi bhi nahin bhulogi.. aur mainey yahi baat MunDit ko bhi kahi thi ( flashback to Mundit coming to request S for fresher's party participation ).. Naina mere liye bahout khaas hain... aur meri zindagi mein uski jagah koi nahin le sakta.. aur shayad N kay liye bhi mera vajood sabsey upar hain.. par aaj mein tumsey wada karta hoon... jis tarah Mundit meri jaan hain.. waisey hi tum N ki jaan ho.. aur yeh baat hameinsha yaad rakhana.. abhi ya baad mein... tum apni behen ko kabhi bhi kisi waqt bhi mil sakti ho ya baat kar sakti ho.. aur us mein, main bhi beech mein nahin aaonga.. yeh aaj mera wada hain tumsey.. thik hain... abhi bhi naraz ho mujhsey?
N bhi kaan lagakey sun rahi hain aur S ki baatoin sey ek dum bhavuk ho jati hain aur rashk ( proud ) karti hain khud pey ki Sameer sirf uska hain.. aur P ki aur dekh rahi hain... jo chup chap ro rahi hain... aur vo jaakey usey galey laga leti hain..
P: Jijaji aaj to aapney is saali ka dil jeet liya yeh keh kay.. aaj sach kahoon,N kay jaaney kay din pass aa rahey hain to bahout hi jyada main machal gayi thi... par aapsey baat karkey mujhey yakeen hain ki aap N ka khyal humsey bhi jyada rakhogey.. aur mujhey bhi bhool nahin jaaogey...
N P ko wapis galey sey lagati hain aur phone le leti hain... P bhi N ko pyar sey galey lagakey aasoon ponchti hui wahan sey chali jaati hain...
N: hmmm
S: P ro rahi hain? mainey usey rula diya na? us sey maafi maang loon?
N yeh sunkey muskurati hain: umm nahin vo thik hain.. ro to rahi hain par khushi kay aasoon hain... Sameer aaj tumney jo usey kahan vo...
S: ek ek shabd sahi tha..aur yeh wada main puri zindagi nimbahoonga N.. main tumhari zindagi hoon aur tum meri ibaadat ho par iska yeh matlab nahin ki main tumhey tumaharey apno sey door kardoon...
N yeh soch kay muskurati hain : S tum sach mein ... mere hi ho na..aaj kud pay yaakin nahin ho raha..
S: main kabhi na kisi ka tha no kabhi banoonga.. kyunki main sirf aur sirf tumhara hoon...
N: I Love You Sameer..
S yeh sunkey acchi si smile deta hain...: I love you too Naina..meri Naina..
N: umm accha suno..
S: hmm sunao.. arey main to bhool hi gaya. Yeh tum dono beheno ney to sach mein mujhey paagal kar diya hain.. tum aa rahi ho na picnic pey? Sab maan gaye? N bolo na..
N: ummm haa Chachji aur chachiji ney sabko mana liya.. to hum dono hi aa rahi hain...khush? aur hasti hain..
S: khush?? Bahout khush... Yippiee.. sach exam ki wajah sey tum to jaisey mujhey bhool hi gayi thi... haan haan maloom hain.. mainey hi kaha tha tumhari padhai kay beech mein koi nahin aayega.. ( flashback to that phone call after returning back to Delhi)... paar thoda.. sa romance to ho sakta tha.. kher aab picnic chalo sarey dino ka hisaab loonga tumsey.. aur naughty wali smile deta hain...
N: accha.. ab exams kay time pey bhi tumhey romance sujhata hain to main kya kar sakti hoon... aur hansti hain..
S: hmm accha accha.. to kaal main tumhara naam likhava doonga thik hain... tum chinta mat karo...
N: arey S kyun kal P apna naam likhavayegi tab main bhi likhva doongi...
S: hmm haan vo to tum kar sakti ho.. par Naina.. main tumhara naam aapney naam kay saat likhvana chahta hoon.. shayad duniya ko nahin par college mein to sab ko keh sakta hoon tum meri ho... hmm keh sakta hoon .. hain na?
N yeh sunkey muskurati hain: hmm thik hain.. likhvadena..
S: sach mein ab to yeh intezaar karna mushkil hoga..yeh teen deen kaisey beetengey... kal college mein milkey puri gang kay saath acche sey picnic plan karte hain kya kehti ho?
N- S ka bday wala surprise picnic yaad karkey muskurati hain: haan tum to waisey bhi picnic planning mein expert ho...thik hain kal college mein milkey plan karte hain .. thik hain... chalo ab rakhati hoon... byee
S: I promise last time wali picnic jaisa kutch bhi nahin hoga.. thik hain.. chalo kal miltey hain.. byeee..
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Part 27: love birds chaley Birds sanctuary