Sameer's Diary: Episode 76 (Bet revelation)
Aaj maine apni zindagi mein ek bahot ahem sabak seekha. Zindagi mein hum chahe kitni bhi koshish karle, kai baar hum apni zindagi control nahi kar sakte. Aaj maine soch liya tha ki main Naina ke saamne apni saari sachhai bayaan karunga. Uski aankhon mein aankhen daal kar uss se kahunga ki
"Naina, mujhse ek galti hui hai! Tumse badla lene ka junoon kuchh iss tarah sawaar tha ki bhul hi gaya ki iss sabka anjaam kitni gehri chot de jayega tumhe. Socha tha ki jis tarah tumne sabke saamne mujhe zaleel kiya, mujh pe chori ka ilzam lagaya, main bhi tumhe zaleel karunga aur tumhare Papa Rakesh Sir ki parvarish pe sawaal uthaunga. Issi ke chalte maine humari school ke kuchh ladkon se shart lagayi. Tumse I love you Sameer bulwake, tumhara dil todne ki shart. Lekin Naina, main yeh shart poori nahi kar paya aur main isse poori karna chahta bhi nahi hoon. Mujhe nahi pata tha ki yeh shart ka natak khelte khelte tum sach mein meri zindagi ka ek ahem hissa ban jaogi. Mujhe nahi pata tha tum meri sabse aziz dost banjaogi. Tumhare saath waqt bitake mujhe yeh ehsaas pehli baar hua ki koi hai jo iss bhari duniya mein meri bhi parwah karta hai. Koi hai jo mujhse saaf mann se, bina kisi chhal-kapat ke dosti rakhna chahti hai. Tumhara dil bahot bada aur khoobsurat hai Naina, isse todne ki galti main nahi kar sakta. Main jaanta hoon yeh sab sunne ke baad, tum shayad mujhse koi rishta na rakho, shayad mujhse zindagi bhar khafa raho. Main Sab sehne ke liye tayyar hoon, lekin tumhare dil todne ka bojh main nahi seh pata. Isiliye maine tay kiya chahe jo ho jaye, meri iss dost se main ab aur jhooth nahi bol sakta.
Par mujhe kahan pata tha ki Sach bolne ke liye jo himmat chahiye woh main abhi tak juta hi nahi paya tha. Jab bhi Naina mere saamne hoti, kai baar chaha ki usse sach batadu, lekin meri zubaan se sach nikla hi nahi. Har baar koi na koi baat mujhe sach kehne se rok leti thi. Shayad mujhe darr tha- Naina se nazrein milane ka darr, woh kya kahegi, kya karegi iss ka darr. Kya yeh sach jaanane ke baad, woh mujhse har rishta tod degi? Aur mere issi dar ki wajah se maine Naine ko sach batane mein der kardi. Aaj meri issi deri ki wajah se, Naina ko meri sachhai ka pata kisi aur se chal gaya. Jis baat ka mujhe sabse zyada darr tha, woh darr mere saamne aake khada reh gaya. Naina jo mujhse bahot pyaar karti hai, meri hadd se zyada parvaah karti hai, aaj mere saamne khadi mujh se savaal kar rahi thi, ki kya sach mein maine woh shart lagayi thi? Usne zubaani toh mujhse sirf ek savaal kiya lekin uski nazrein, jinme mujhe kal tak sirf apne liye pyaar dikhai deta tha, aaj un nazron mein kai savaal the mere liye. Aur main kisi court ke kathere mein khade gunehgaar ki tarah un savaalon ka Naina ko koi jawab na de saka.