So maybe this is my last FF, to Priyu ji aapki farmaish par ye kahaani hamne Jabalpur ke oopar likhi h. To I know aap is forum par abhi nahi ho, magar jab bhi aap aaogi to this story is waiting for you.
19 July 1997 Shaam 4:45 Jabalpur
Carrom ka khel romanchak mod par hai aur blue Tshirt pehne ek lamba ladka baar baar ghadi dekhe jaa raha hai. Do ladke aur ek ladki. Teeno 11th class ke students hain.
Malhar: "Kallu, jaldi se apni chance chal na. Dekho, paanch baje jaa rahe hain."
Kallu, iski height par mat jaiye, dikhne me bhale hi ye class 7th ki student lage, lekin iske sayaanepan ke aage 112 saal ki daadi ko bhi inferiority complex ho jaye.
Kallu: Ticket hai na tumhare paas?
Malhar ne apne maathe par angootha firate huye poochha: Kahaan ki ticket? Aaj subah se tumhare paagalpan ke dauron ka quota poora nahin hua hai jo is samay fir daure parne lage tumhe?
Kallu: Nahin, mujhe laga paanch baje tumhari koi train hai jo chooti jaa rahi hai
Malhar ne fir apni gardan ghadi ki or ghumayi tabhi Kallu ne Rajat ko chup rehne ka ishara karte huye striker se nishaana lagaya aur gulaabi rang ki Rani goti jo ki carrom hole se bahut door thi, use apne haathon se uthaakar carrom hole mein rakh di.
Jaise hi Malhar ne Rani goti ko carrom hole mein dekha, vo chaunkte huye bola, "Ye kaise yahaan aayi? Ye to itni door thi. Tumne cheating kari hai na Kallu?"
Kallu ne kandhe uchkakar kaha, "Ab kisi ka saara dhyaan ghadi mein hi laga rahega to doosre to game poore concentration se khelenge hi na."
"Accha," Ab bas Malhar ke kaanon se dhuaan nikalna baaki reh gaya tha. Mohit ne kaale rang ki Raja vali goti uthayi aur Raani vale carrom hole me hi daal di, aur bola, "lo main jeet gaya game." Aur board par bachi saari gotiyaan vo carrom holes mein daalne laga.
Kallu kucch der to chup rahi, fir Malhar par cheekhi, "Apni ye badtameeziyaan to mere saamne kabhi dikhana mat." Kehkar vo carrom board par chadhkar Malhar ki taraf aayi aur use zor ka dhakka diya.
Mohit uthkar baitha aur bola, "Zyada hi haath nahin chalne lage hain tumhare, Kallu?" Kehkar usne Kallu ka haath peeche se mod diya.
"Rajat mujhe bachao..."
"Agar is nautanki ko tumne bachaya to meri tumhari dosti khatam, tumhe coffee bite ki kasam."
Rajat muskurakar bola, "Paanch baj gaye, Malhar. Jaldi jao varna Luna nikal jayegi."
Malhar bhaagta hua cchhat par gaya. Uske peeche Sonu. Fir Rajat.
"Yaar Luna ko dekhne ham dono aate hain, ye samajh mein aata hai, is Sonu ko Luna ko dekhkar kya milta hai?" Malhar ne Rajat se kaha.
"Main to roz yahi samajhne ki koshish karti hoon ki tum dono ko Luna mein kya dikhta hai? Theek thaak ho to dikhti hai. Kon si Aishwarya ya Sushmita ki tarah sundar hai vo? Usse kahin sundar to main hoon."
Malhar ne Kallu ki nakal utarte huye muh bigaadkar kaha, "Usse sundar to main hoon." Fir thoda gambheer hokar bola, "Pehli baat to Sanjana ko Luna chalaani aati hai. Aur to aur ek din maine use uski dost ke papa ki car chalate huye bhi dekha tha bilkul Dilli Bombay ki ladkiyon ki tarah. Aur tum to bina balancing wheels ke cycle bhi nahi chala sakti."
"Haan...haan...Apni Luna mein bithakar tumhe America le jayengi Sanjana madam," Kallu ne muh bichkakar kaha.
"Shh..." Malhar ne chup rehne ka ishara karte huye kaha. Aur nikli baingani rang ka naye fashion vala salwar suit pehenkar khule baalon ko lehraate huye Sanjana. Uski Luna ke shor se Mohit ke dil ki dhadkanein badhi ho na badhi hon, Kallu zaroor jal bhun rahi thi. Sanjana ki Luna jaise slow motion mein Kallu ki gali se nikal rahi thi aur Kallu ka man kar raha tha ki oopar se vo uski Luna par baalti bhar paani daal de. Sanjana koi buri ho aisa bhi nahin tha, Kallu se to vo hamesha acche se hi baat karti thi, sundar thi, padhne mein bhi hoshiyaar, ghar bahar sab kamon mein tez magar Kalluu ko vo footi aankh nahin suhaati thi. Luna darshan ka karyakram kitni der chala kisi ko pata nahin, magar Malhar ne chuppi todte huye apna galaa saaf kiya aur bola, "To Rajat aur Kalyani, kal Sunday hai aur Mummy Mama ke yahaan jaa rahi hain to..."
"To?" Rajat aur Kallu ne ek saath kaha. Kallu ko jab bhi Malhar uske asli naam se bulata tha, Kallu ko kucch ajeeb sa lagta tha.
"Maine video parlour se Video tape liya hai...Angrezi picture ka. To tum dono apna homework aaj hi poora kar lena, aur fir agla show mere ghar par subah theek gyaarah baje."