JANA THA HUMSE DOOR.....IMMORTAL GHAZALS - Page 8

Created

Last reply

Replies

193

Views

20.2k

Users

17

Likes

2

Frequent Posters

vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#71

zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saaNs bhi tere liye rakh choDi hai
tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chaoonga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karooN
maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahoonga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

Sunitha.V thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#72
You r welcome Vinnie..actually I'm enjoying remembering them just as much 😊

Another one I like a lot from Aitbaar.

kisee nazar ko teraa, intzaar aaj bhee hain
kahaa ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhee hain

wo waadiyaa, wo fizaayen ke hum mile the jahaan
meree wafaa kaa wahee par majaar aaj bhee hain

na jaane dekh ke kyoo un ko ye huaa ehasaas
ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhee hain

wo pyaar jis ke liye humane chhod dee duniyaan
wafaa kee raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhee hain

yakeen naheen hain magar aaj bhee ye lagataa hain
meree talaash mein shaayad bahaar aaj bhee hain
Edited by Sunitha.V - 18 years ago
vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#73

rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye

din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye

aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye

pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye

Sunitha.V thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#74
Salil bhaiyya..aapka thread to 10 pages tak pahunch gaya 👏 . When I started thinking I didn't know there would be so many ghazals in films 😊
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#75

Originally posted by: Sunitha.V

You r welcome Vinnie..actually I'm enjoying remembering them just as much 😊

Another one I like a lot from Aitbaar.

kisee nazar ko teraa, intzaar aaj bhee hain
kahaa ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhee hain

wo waadiyaa, wo fizaayen ke hum mile the jahaan
meree wafaa kaa wahee par majaar aaj bhee hain

na jaane dekh ke kyoo un ko ye huaa ehasaas
ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhee hain

wo pyaar jis ke liye humane chhod dee duniyaan
wafaa kee raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhee hain

yakeen naheen hain magar aaj bhee ye lagataa hain
meree talaash mein shaayad bahaar aaj bhee hain

This is an awesome ghazal Sunitha 😳... I just loved the movie too 👏

Sunitha.V thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#76

Originally posted by: jayc1234

This is an awesome ghazal Sunitha 😳... I just loved the movie too 👏

Thanks Jaya...Yes the movie was very gripping. Although inspired from the Hitchcock classic, Aitbaar was just as good I thought. All the actors did so well.

*salil* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#77

Originally posted by: Sunitha.V

Thanks Jaya...Yes the movie was very gripping. Although inspired from the Hitchcock classic, Aitbaar was just as good I thought. All the actors did so well.

I agree. I too liked this movie. Very few Hindi movies are as intense and as gripping. Reminded me of some Hollywood trillers. Other I remember is Vidhu Vinod Chopra's Khamosh... equally imtense and gripping

*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#78

Originally posted by: Sunitha.V

Salil bhaiyya..aapka thread to 10 pages tak pahunch gaya 👏 . When I started thinking I didn't know there would be so many ghazals in films 😊

I agree Sunitha - we are talking about ghazals in movies here, and so many lovely somgs have been remembered...😊 Here is another beautiful ghazal from Bazaar...😳

Can someone tell me the meaning of 'makadu' here?

phir chhidi raat, baat phoolon ki
raat hai ya baaraat phoolon ki

phool ke hain phool ke gajre
shaam phoolon ki, raat phoolon ki

aapka saath-saath phoolon ka
aapki baat baat phoolon ki

phool khilte rahenge duniya mein
roz niklegi baat phoolon ki

nazrein milti hain jaam milte hain
mil rahi hai hayaat phoolon ki

ye mahakati hui gazal makadu
jaise sahara mein raat phoolon ki

Pensive thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 18 years ago
#79

This is a wonderful song Jaya👏...one of my favourite too

Pensive thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 18 years ago
#80
Here is another one by Begam Akhtar

ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaanaa Khud hai zamaane se ham nahii.n

befaayadaa alam nahii.n bekaar Gam nahii.n
taufiiq de Khudaa to ye nemat bhii kam nahii.n

merii zubaa.N pe shikavaa-e-ahal-e-sitam nahii.n
mujh ko jagaa diyaa yahii ehasaan kam nahii.n

yaa rab! hujuum-e-dard ko de aur vusate.n
daaman to kyaa abhii merii aa.Nkhe.n bhii nam nahii.n

zaahid kuchh aur ho na ho maiKhaane me.n magar
kyaa kam ye hai ki shikavaa-e-dair-o-haram nahii.n

marg-e-Jigar pe kyo.n terii aa.Nkhe.n hai.n ashk-rez
ik saanihaa sahii magar itanii aham nahii.n

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".