JANA THA HUMSE DOOR.....IMMORTAL GHAZALS - Page 7

Created

Last reply

Replies

193

Views

20.2k

Users

17

Likes

2

Frequent Posters

Guardian Angel thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 18 years ago
#61

Originally posted by: Barnali

Salil from the same film theres another very beautiful Ghazal. Unko yeh shikayat... just luv this one.


Unko Yeh Shikayat

un ko ye shikaayat hai ke ham kuchh nahin kehete
kuchh nahin kehete
apani to ye aadat hai ke ham kuchh nahin kehete
kuchh nahin kehete
Un ko ye shikaayat....

majboor bahot kartaa hai, ye dil to zubaan ko
ye dil to zubaan ko
ye dil to zubaan ko
kuchh aisee hi halat hai ke, ham kuchh nahin kehete
kuchh nahin kehete
Un ko ye shikaayat....

kehene ko bahot kuchh tha, agar kehene pe aate
agar kehene pe aate
agar kehene pe aate
duniyaa ki inaayat hai ke, ham kuchh nahin kehete
kuchh nahin kehete
Un ko ye shikaayat...

kuchh kehene pe toofaan uThaa leti hai ye duniyaa
uThaa leti hai ye duniyaa
ab is pe qayaamat hai ke, ham kuchh nahin kehete
kuchh nahin kehete
Un ko ye shikaayat...


I have heard this one..... it is absolutely beautiful.😳

*salil* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#62

Nice one from Talat Aziz -- film: Umraao Jaan, composed by Khaiyyam

zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai hamen
ye zamin chand se behatar nazar aati hai hamen

surkh phulon se mahak uthati hain dil ki rahen
din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen

yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se
raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen

har mulaqat ka anjaam judai kyun hai
ab to har vaqt yahi baat satati hai hamen

Sunitha.V thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#63
Couple more I remembered from Taj Mahal

jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain
kaise naadaan hain, sholon ko havaa dete hain

humse deevaane kahin tarke vafaa karte hain
jaan jaaye ke rahe baat nibhaa dete hain

aap daulat ke taraazoo mein dilon ko taulen
hum mohabbat se mohabbat kaa silaa dete hain

takht kyaa cheez hai aur laal-o-javaahar kyaa hai
ishq vaale to Khudaai bhi luTaa dete hain

humne dil de bhi diyaa ehd-e-vafaa le bhi liyaa
aap ab shauq se deden jo sazaa dete hain
Edited by Sunitha.V - 18 years ago
Sunitha.V thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#64
paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi
varnaa hamko nahin, inko bhi shikaayat hogi

aap jo phool bichhaayen unhen hum Thukraayen
hamko Dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi

dil ki bechain umangon pe karam farmaao
itnaa ruk ruk ke chaloge to qayaamat hogi

sharm roke hai idhar, shauq udhar khinche hai
kyaa Khabar thi kabhi is dil ki ye haalat hogi

sharm gairon se huaa karti hai apnoN se nahin
sharm hum se bhi karoge to museebat hogi
Edited by Sunitha.V - 18 years ago
Sunitha.V thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#65
I'm trying to remember a ghazal in Kishore da's voice...can't think of any.
vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#66

Originally posted by: Sunitha.V

Couple more I remembered from Taj Mahal

jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain
kaise naadaan hain, sholon ko havaa dete hain

humse deevaane kahin tarke vafaa karte hain
jaan jaaye ke rahe baat nibhaa dete hain

aap daulat ke taraazoo mein dilon ko taulen
hum mohabbat se mohabbat kaa silaa dete hain

takht kyaa cheez hai aur laal-o-javaahar kyaa hai
ishq vaale to Khudaai bhi luTaa dete hain

humne dil de bhi diyaa ehd-e-vafaa le bhi liyaa
aap ab shauq se deden jo sazaa dete hain

Thanx Sunitha....

vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#67

???? ????? ?? ?????? ??? ??? ?? ?????
??? ??? ???? ?? ???? ???? ??? ?? ??????

????? ?? ????? ??? ?? ???? ?? ????
?? ???? ????-???? ??? ?? ???? ??????

???? ?? ??? ???? ?? ????? ???? ????-????
?? ???? ???? ??? ???? ????? ??????

????? ??? ????? ?? ??? ???? ?? ?? ???? '?????'
???? ?? ?? ??? ????? ??? ??????? ??????

vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#68

Lyrics: Arun Makhmoor
Singer: Raj Kumar Rizvi

?? ???? ?? ?? ??? ??, ???? ????? ?? ?????????
??? ?? ?? ?? ??? ??, ???? ????? ?? ?????????

????????&#23 68; ??? ?? ?? ?? ??? ?? ?? ???
??? ?? ?? ?? ?? ??? ?? ???? ????? ?? ?????????

????? ?? ?????? ?? ???? ????????&#23 68; ?? ??? ??
?? ?? ????? ?? ??? ?? ???? ????? ?? ?????????

??????? ???? ?? ?????? ?? ?? ??????? ?? ???
??????? ???? ?? ??? ?? ???? ????? ?? ?????????

???????? '??????' ???? ?? ???? ?????? ??? ??
??? ?? ?? ?? ?? ??? ?? ???? ????? ?? ?????????

vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#69
1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

[ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]

2. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]

3. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]

4. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

5. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

6. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

7. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]

8. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

9. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

[ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]

10. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

[ farebee = a fraud/cheat ]

11. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

[ hijr = separation ]

12. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

13. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]

14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]
vinnie-thepooh thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#70

kyooN hameiN maut ke paiGHaam diye jaate haiN
ye saza kam hai ke jiye jaate haiN



nasha donoN meiN hai saaqee mujhe GHam de ya sharaab
mai bhee pee jaatee hai aaNsu bhee piye jaate haiN

ek tu hai ke hamaaree naheeN tujhko parva
ek ham haiN ke tera naam liye jaate haiN

zindagee apnee kashaakash meiN guzartee hai Shamim
jee naheeN chaahata jeene ko, jiye jaate haiN

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".