Dil dhoondhta hai phir wahi... - Page 7

Created

Last reply

Replies

117

Views

19.2k

Users

18

Frequent Posters

paljay thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 19 years ago
#61

"I am searching for "fursat ke raat din " in real life."

Kya kehe rahe ho Adiji Hume to Fursat hi Fursat hai
Office me baithe baithe IF pe hai 😛
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#62
Here is one of my favorites from 'Jeeva'

Roz Roz Aankhon Tale Ek Hi Sapna Chale
Raat Bhar Kaajal Jale, Aankh Mein Jis Tarah
Khwaab Ka Diya Jaale

Jabse Tumhari Naam Ki Misri Honth Lagayi Hai
Meetha Sa Gham Hai Aur Meethi Si Tanhaai Hai
Roz Roz Aankhon Tale ...

Chhotisi Dil Ki Uljhan Hai Yeh Suljhaa Do Tum
Jeena To Seekha Hai Marke, Marna Sikha Do Tum
Roz Roz Aankhon Tale...
paljay thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 19 years ago
#63
Another song from Kinara

naam gum jaayegaa, cheharaa ye badal jaayegaa
meree aawaaj hee pahachaan hai, gar yaad rahe

wakt ke sitam kam haseen nahee, aaj hain yahaa kal kahee nahee
wakt ke pare agar mil gaye kahee, meree aawaaj hee.. ..

jo gujar gayee, kal kee baat thee, umar to naheen yek raat thee
raat kaa siraa agar fir mile kahee, meree aawaaj hee.. ..

din dhale jahaa raat paas ho, jindagee kee lau unchee kar chalo
yaad aaye gar kabhee jee udaas ho, meree aawaaj hee.. ..


*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#64
Here is a gem from 'Thodi si bewafai'

aaj bichhade hain, kal ka dar bhi nahin
zindagi itani mukhtasar bhee nahin

zakhm dikhate nahin abhi lekin
thhande honge to dard nikalega
ayesh utaregaa waqt kaa jab bhi
chehara andar se zard nikalega

kahanewaalon kaa kuchh nahin jaata
sahane waale kamaal karate hain
kaun dhoondhe jawaab dardon ke
log to bas sawaal karate hain

kal jo aayega jaane kyaa hoga
beet jaaye jo kal nahin aate
wakt ki shaakh todane waalon
tooti shaakhon pe fal nahin aate

kachchi mitti hain, dil bhi insaan bhi
dekhane hi mein sakht lagataa hain
aansoo pochhe to aasuon ke nishaan
khushk hone mein waqt lagataa hain
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#65
Another gem from 'Thodi is bewafai':

hazaar raahe mud ke dekhi, kahi se koi sadaa na aayi
badi wafaa se nibhaayi tum ne, humaari thodi see bewafai

jahaa se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi wahi pade hai
hum apane pairon mein jaane kitane, bhanwar lapete huye khade hai

kahi kisi roz yoo bhi hotaa, humaari haalat tumhaari hoti
jo raat hum ne guzaari mar ke, wo raat tum ne guzaari hoti

tumhe ye zid thi ke hum bulaate, humei ye ummeed wo pukaare
hai naam hothhon pe ab bhi lekin aawaaz mein pad gayi daraare
paljay thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 19 years ago
#66
[Quote] Here is one of my favorites from 'Jeeva'

Roz Roz Aankhon Tale Ek Hi Sapna Chale
Raat Bhar Kaajal Jale, Aankh Mein Jis Tarah
Khwaab Ka Diya Jaale

Jabse Tumhari Naam Ki Misri Honth Lagayi Hai
Meetha Sa Gham Hai Aur Meethi Si Tanhaai Hai
Roz Roz Aankhon Tale ...

Chhotisi Dil Ki Uljhan Hai Yeh Suljhaa Do Tum
Jeena To Seekha Hai Marke, Marna Sikha Do Tum
Roz Roz Aankhon Tale...



I have never heard this one, it has very good lyrix
I will try to find out.

I like almost all "Thodi si bewafai" songs
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#67
'AaNdhi' remains his one of the best albums - to me... Here are some gems from the movie...

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi, shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi, zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi

Kaash aisa ho tere qadmo se, chun ke manzil chale aur kahi door kahi - 2
Tum gar saath ho, manzilo ki kami to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi

Jee mein aata hai, tere daaman mein, sar jhuka ke ham rote rahe, rote rahe - 2
Teri bhi aankho mein, aansuo ki nami to nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

Tum jo keh do to aaj ki raat, chaand doobega nahi, raat ko rok lo -2
Raat ki baat hai, aur zindagi baaki to nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#68
Is mod se jaate hain - (2)
Kuchh sust qadam raste kuchh tez qadam raahe - (2)
Patthar ki haveli ko shishe ke gharaundo mein
Tinko ke nasheman tak is mod se jaate hain
Aa…Is mod se jaate hain

Aandhi ki tarha ud kar ik raah guzarti hai - (2)
Sharmaati huwi koyi qadmo se utarti hai
In reshmi raaho mein ik raah to woh hogi
Tum tak jo pahonchti hai is mod se jaati hai
Is mod se jaate hain

Ik door se aati hai paas aake palat-ti hai - (2)
Ik raah akeli si ruktii hai na chalti hai
Ye soch ke baithhi hu ik raah to woh hogi
Tum tak jo pahonchti hai is mod se jaati hai
Is mod se jaate hain - (2)
Kuchh sust qadam raste kuchh tez qadam raahe
Patthar ki haveli ko shishe ke gharaundo mein
Tinko ke nasheman tak is mod se jaate hain
Aa…Is mod se jaate hain
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#69
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai - 2
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Jeene ki tumse wajeh mil gayi hai
Badi bewajeh zindagi jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai

Kaha se chale kaha ke liye ye khabar nahi thi magar
Koi bhi seera jaha jaa mila wahi tum miloge
Ke ham tak tumhaari duwa aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai

Din dooba nahi raat doobi nahi jaane kaisa hai safar
Khwaabo ke diye aankho mein liye wahi aa rahe the
Jaha se tumhaari sada aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
*Jaya* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#70

Originally posted by: paljay

[Quote] Here is one of my favorites from 'Jeeva'

Roz Roz Aankhon Tale Ek Hi Sapna Chale
Raat Bhar Kaajal Jale, Aankh Mein Jis Tarah
Khwaab Ka Diya Jaale

Jabse Tumhari Naam Ki Misri Honth Lagayi Hai
Meetha Sa Gham Hai Aur Meethi Si Tanhaai Hai
Roz Roz Aankhon Tale ...

Chhotisi Dil Ki Uljhan Hai Yeh Suljhaa Do Tum
Jeena To Seekha Hai Marke, Marna Sikha Do Tum
Roz Roz Aankhon Tale...



I have never heard this one, it has very good lyrix
I will try to find out.

I like almost all "Thodi si bewafai" songs

Oh you must listen to this song.. Great one from RD-Gulzar winning duo here... Sung by Asha'ji and Amit Kumar... One of the best of Amit Kumar, I must say 😉

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".