TRAUMA KAHA 🤧24. 9
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 25th Sep 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 25, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025: IND vs BD, Match 16, A1 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
All the activism/feminism is reserved for kachara FL?
ROOM SERVICE 25.9
Happy 200 MANNAT❤ ....MHKPK🥳
Suggest Name For Vicky Katrina Baby
🏏T20 Asia Cup 2025: PAK vs BD, Match 17, A2 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
Hawt Geetmaan Moments 🔥🔥💋💋
Deepika to reunite with Vin Diesel for XXX 4?
Movies of Sonam Kapoor's which I enjoyed
Important Questions
Sameer Wankhede takes Aryan Khan’s series TBOB to Court
Quiz for BB19 Members.
OTT vs. theatre: which one do you prefer?
pehlay toh mujhay apna naam bataothey will meet soonkyunki mujhay aisa lag raha hay ki manay agar or der ki toh tum sabh mujhay mar dalo gaydont worry she 'll b finethanks fr likin itluv yaa
Originally posted by: iluvmanar
hi navsnaveen means newso i'll call u nn (new naveen)r u fine with ur new name nncrazy logo kay liye crazy landtumsay bat kar kay accha lagaluv yaa
so sorryy...now intro part..this is Naveen...lekin iss forum mein sare pagals i mean all of the crazy guls...calls me NAVS...so u can call me naveen or navs...and ha..iss crazist forum mein tumhe dekhkar bohot khushi hui...luv u...
part 4a
dhulwadi
gujrat.
udhar shikhar kay ghar par uski antim vidai kay prabhand kiye jaa rahe thay aur khanak apnay ghar par dulhan ki tarah saji dhaji behti apni doli ka intzar kar rahi hay.raat beeti, subha beeti, dopehar bhi beeti; suraj ki pehli kiran kay dubtay hi , khanak , shikhar kay ghar pahuchi.usay waha dulhan kay roop may dekhkar sabhi heran pareshan ho jatay hay. gaon ki bari aurtay usay kosnay lagti hein.
shikhar ki bai: (sobbing) apnay ashubh kadam lekar yaha kya karnay ayi hay, chal jaa yahan say. yahan anay say pehlay hi tunay mera basa basaya ghar ujad diya, ab kya chahiye tujhay. (phoot phoot kay ronay lagi)
khanak bari hi masumiyat say shikhar kay aada say kehti hay.
khanak: aada bai ye kya keh rahi hein, apnay aaj tak dekha hay ki koi dulhan apnay sasural khud chal kay aayi ho, shayad mein duniya ki aisi pehli ladki hoon jisay khud apnay sasural aana paada, kyunki meri doli toh ayi nahi ab tak.
aada shikhar kahan hay. aap sabh meri doli lekar kab aaowgay.
tabhi jhallak sabh logo kay beech say uthkar khanak ko zor zor say thappar marnay lagti hay.
jhallak: hosh may aa khanak, tu ye kya paap kar rahi hay. hosh may(slapping her continuously)
khanak ko jab asliyat ka ehsaas hota hay toh woh wahin zameen par gir jati hay aur phoot phoot kar ronay lagti hay.
is gam kay badal ka neer na thamay ga aaj
ruk jo gayi zindagi , phir khushi bhi hay naraaj.
gaon ki aurtay ek ek kar uski sabhi suhag ki nishaniyo ko us say dur kar nay lagi, magar khanak kuch na boli. bas ek tuk apnay shikhar ki tasveer ko niharti rahi
aasuown ka kya hay , who toh behjayengay
magar ziddi hay gam , kabhi mit na payengay
cheen logay uskay shikhar ki nishaniyo ko
haath bhi na laga paogay uski pyar ki khaniyo ko
part 4b
3 months later
oikos
delhi
pankhu ko london gaye three months ho chukay hein.
shaan:(on phone) hey sexy! m missin u yaar, tu jaldi wapis aaja
pankhu: shaan pls talk to me with some respect (sobbing) m a married woman now.
shaan: comeon petals ! don't joke around with me(getting a lil hyper)
pankhu: no shaan mein mazzak nahi kar rahi(started crying)
shaan: (restless) pls pankhu calm down , what happened? tell me now. mein abhi a raha hoon tumharay pass, u just don't cry.
pankhu:ab koi phayda nahi hay shaan. meray dad nay meri shadi ek nri gujrati say karwa di hay(crying endlessly).
shaan: tu pagal hay kya? last week tak toh sab kuch theek tha. ye achanak kasay hua. (angry) aur tu mujhay ab bata rahi hay. pankhu may waha aa raha hoon.
pankhu: (sulking) koi fayda nahi shaan . ab kuch nahi hosakta, jab mein london aa rahi thi tab manay tujhsay kaha tha ki yr sabh mujhay kuch fishy lag raha hay, tu nahi mana, ab kya karega tu?
shaan: (nerves) pankhuri modi(fr the first time he had taken her full name), u r not a school going girl, when all this ws happening , where ws your smart mind on holiday? (rudely) talli thi kya?
pankhu: shut up shaan! my dad had an heart attack …………(swallows a lump inside her mouth) , mujhay unki baat man ni pari.
shaan: oh toh mr shrewd modi nay drama kiya aur ms smart modi unki baaton may aagayi. shaan gussay may phone call beech may hi kat deta hay.
teen mahinay bad
dhulwadi
gujrat.
shikhar ko guzray 3 mahinay ho chukay hein aur aaj bhi khanak ko dekh gaon walay ussay bura bhalla kehnay lagtay hein. itni chehakti aur mehakti hui khanak ab gumsum aur udas rehnay lagi thi. ek din shikhar kay aada khanak kay aada ko milay.
shikhar kay aada: aray praful bha, kaisay hay aap, mujhay aapsay kush baat karni hay.
praful: bhaa mein theek hoon, aap kaisay hein. haan, kahiye na.
shikhar kay aada: bha woh… ( hichkichatay huay) hamara shikhar toh chalagaya, magar apnay saath khanak k khanak bhi lejgya. mujsay chori ko is haal me nahin dekha jaata. pata nahi mera yeh kehna theek bhi hay ya nahi, lekin khanak yahan goan may rahi toh who apnay dukh say kabhi ubhar bhi payegi ya nahi.
praful bha: array bha yeh aap kya keh rahe ho. ab toh ye hi uska jeevan hay. is schai se who ab nahi bhag sakti.
shikhar kay aada: nahi praful bha, who abhi bahut choti hay, aur zindagi bahut lambi hay. us ladki ki zindagi ko aap is tarah say barbad mat honay do.
praful: bha, yeh aap kya keh rahe ho, mein kuch samja nahin.
shikhar kay aada: mera matlab hay ki aap usay gaon say kahin doar bhej do, chahay apni bari beti kay pass hi kyun nahi. agar woh yahi goan may rahin toh koi bhi usay chain say jeenay nahin dega, aur javan chori par toh vasay hi bahut gandi nazray teeki rehte hein. main bhi ek baap hoon (yeh kehtay hi ronay lagtay hein ).
praful: array bha, aap apnay aap ko sambhalo, shikar kay jaanay kay bad aapnay khanak ko apnay ghar na rehnay diya, apko aur bhabi ko uski zarurat hay.
shikhar kay aada: praful bha aap samjho, hum dono miya bivi ab bureh ho chukay hay, hamari zindagi ketnay din ki hay. usay toh abhi zindagi jeeni hay, may us say us ki zindagi ki khushia nahin cheen sakta. mein yeh paap nahin kar sakta. phir aap toh jaantay ho, shikhar ki maa (tears in his eyes) ajtak is sachai ko swikar kar pai, maa hai uski shayad kabhi kar bhi nahi payyegi. isliye mein nahin chahta ki khanak hamaray ghar aye, ab to uskay hasnay khelnay ke din hay, magar hamaray yaha ayegi toh skikar ki maa kay tano talay uska jeevan dab jayega.
praful: nahin bha, aap ka sochna galat hay, wow khanak k bhi toh bai hay.
shikhar kay aada: praful bha isliye toh mein chahta hoon ki maa beti ka rishta hamesha barkar rahay. gaon walay bhi uassay aaye din kostay rehtay hein. isiliye mein nahi chahta ki koi apna bhi usay kosay. bas meri maniye toh aap ussay jhallak kay pass shehar bhej dijiye.
praful: bha menay zarur pichlay janam may koi acchay kaam kiye hongay, jo meri bachi ko itnay acchay aada milay. mein baap hokar bhi uskay liye itna nahin sochta.(teary)
shikhar kay aada: nahin praful bha… , acchay kam toh humnay kiye hongay joh humay khanak jaisi bahu milly, magar shayad humaray shikhar ki kismat kharab thi, chalagaya hum sb ko chor kar. (kehtay hi phoot phoot kar ronay lagay).
7:00 p.m
khanak' s home
dhulwadi
khanak kay aada ghar aakar sabh ko unkay aur shikhar kay aada kay beech joh batay hui thi batata hain.
kaveri fai: bha, shikhar kay ada theek hi toh keh rahe hein, khanak abhi bahut choti hay, hamay uski zindagi barbad honay say rokni hay.
surbhi: jee, bilkul theek hay, aur roz jhallak ka phone bhi toh aata hay, who bhi yeh hi chahti hay.
kaveri: haa bha, tu aglay aftay hi khanak ko dilli chor aa.
kaveri bua, bhi bahut choti si umar may widhwa ho gye thi, us jamanay may logo ki soch itni khuli nahi thi. aaj joh khanak kay sath ho raha tha usay who samajh pa rahi thi. unki zindagi to tanhayio ki barish may dub gayi thi. par who chahrahi thi ki kam say kam khanak toh tairna seekhlay. zindagi may is dukh say bura koi dukh nahin, magar khanak ko dubara jeena seekhana kaveri bua kay liye to jaisay khud to ek naya jeevan denay jaisa tha. who khanak kay andar apnay aap ko dekhnay lagi thi, isliye uskay zariye khud ko zinda rakhna chahti thi.
"zindagi kaisi yeh pahili hai.jeeni toh tumhe khud hay, magar dor kisi aur nay sambhali hay ".
mystory
part 4a
dhulwadi
gujrat.
udhar shikhar kay ghar par uski antim vidai kay prabhand kiye jaa rahe thay aur khanak apnay ghar par dulhan ki tarah saji dhaji behti apni doli ka intzar kar rahi hay.raat beeti, subha beeti, dopehar bhi beeti; suraj ki pehli kiran kay dubtay hi , khanak , shikhar kay ghar pahuchi.usay waha dulhan kay roop may dekhkar sabhi heran pareshan ho jatay hay. gaon ki bari aurtay usay kosnay lagti hein.
shikhar ki bai: (sobbing) apnay ashubh kadam lekar yaha kya karnay ayi hay, chal jaa yahan say. yahan anay say pehlay hi tunay mera basa basaya ghar ujad diya, ab kya chahiye tujhay. (phoot phoot kay ronay lagi)
khanak bari hi masumiyat say shikhar kay aada say kehti hay.
khanak: aada bai ye kya keh rahi hein, apnay aaj tak dekha hay ki koi dulhan apnay sasural khud chal kay aayi ho, shayad mein duniya ki aisi pehli ladki hoon jisay khud apnay sasural aana paada, kyunki meri doli toh ayi nahi ab tak.
aada shikhar kahan hay. aap sabh meri doli lekar kab aaowgay.
tabhi jhallak sabh logo kay beech say uthkar khanak ko zor zor say thappar marnay lagti hay.
jhallak: hosh may aa khanak, tu ye kya paap kar rahi hay. hosh may(slapping her continuously)
khanak ko jab asliyat ka ehsaas hota hay toh woh wahin zameen par gir jati hay aur phoot phoot kar ronay lagti hay.
is gam kay badal ka neer na thamay ga aaj
ruk jo gayi zindagi , phir khushi bhi hay naraaj.
gaon ki aurtay ek ek kar uski sabhi suhag ki nishaniyo ko us say dur kar nay lagi, magar khanak kuch na boli. bas ek tuk apnay shikhar ki tasveer ko niharti rahi
aasuown ka kya hay , who toh behjayengay
magar ziddi hay gam , kabhi mit na payengay
cheen logay uskay shikhar ki nishaniyo ko
haath bhi na laga paogay uski pyar ki khaniyo ko
part 5
one week later in delhi
the lounge
new day mall
gurgaon
a-man: shaan u r a dude man, pls ye devdas wali shakal toh bana mat, loser lag raha hay.
jhallu: shut up a-man… teray saath aisa hua hota toh ?????? tab tu usay samajh pata.
a-man: oh come on jhallu ! tu toh aisay keh rahi hay jaisay hi really cared fr her.
shaan abh tak yeh tay nahi kar paya tha ki who kis bat par jada gussa hay; pankhu nay shadi kar li is par ya pehli bar kisi ladki nay usay ditch kiya is par.jo bhi hay , usay pehli bar sach may ek looser kay jaisa mehsoos ho raha hay.ink
shaan: guys i think i need a break. lets go some where.
jhallu: chal dekhtay hein.
khandelwal grp of industries
level 5
akshays cabin
gurgaon
knock on the door
akshay: come in
sunil enters
akshay: oh dad aap aiye na ( cheery )
sunil: ( furious ) akshay do u knw we have lost mehra sons tender.
akshay: ( shocked ) oh no dad, aisaa kaysay ho sakta hay. mr sharma nay toh kaha tha ki who jo figure quote kar rahey hein us say jada competitive figure koi nahi hosakti.
sunil: ( frustrated ) i don't knw akshay bt this the third time we have lost a deal bcoz of mr sharma. I can nt tolerate any more loss. ton nay kaha tha ki humay mr sharma ko ek aur chance dena chahiye , menay tumhari baat mani , aur abh dekho iska natija.
akshay: yaa dad bt he is an experianced person, i don't knw where is he going wrong.
sunil: akshay ( confidently ) let bygones b bygones. temporarely kissi naye banday ko hire karo, mein nahi chahta ki company abh koi aur deal khoye.
akshay: dad is silsilay may aap say ek baat karna chahta hoon ( whisper )
sunil: m all ears fr it, shoot !
akshay: dad aap shaan ko kyun nahi kehtay ki who akar humay business may help karay. uski MBA kis din kam ayegi. u knw whole day what he do, jst hangs around with his friends. I mean he is wasteing his bloody life. ( angry )
sunil: ( grinning ) akshay… ye tum keh rahe ho , tumnay hi bigarnay may usay sabsay jaada support kiya hay
akshay: haan dad mein janta hoon , bt now its high time. shaan ab 23 ka honay wala hay , apni zindagi abh nahi track par layega toh kab layega. aur phir shaan is heart broken also , abh business join karega toh usay sab kuch bhoolnay may asani hogi.
sunil: theek hay toh mein aaj raat shaan say is baray may baat karunga.
nizzamudin railway station
delhi.
khanak kay aada aur shikhar kay aada , dono hi khanak ko chornay uskay saath delhi aaye hein. khanak toh kher bahut mana nay kay baad hi delhi aanay kay liye tayar hui. who ye sochkar delhi aaye hay ki kuch din didi kay yahan ruk jayegi , phir wapis chali jayegi apnay shikhar kay ghar.
star appartments
ph
gurgaon
jhallak apni behan ko dekhtay hi usay galay say laga leti hay(teary).khanak ko dekhkar who khush toh hay , magar apni choti behan ka ye hal us say bardash nahi ho raha. lekin khanak ko is dukh say bahar nikalnay kay liye usay khud ko himmat deni hogi.
is say pehlay khanak apni didi kay ghar sirf 2 bar hi aaye hay. jatin aur jhallak kay parents ka ghar ek hi gaon may honay ki wajah say woh dono hamesha subsay milnay khud hi gaon chalay aatay thay. palki aur khyati toh har holidays apni nana-nani aur dada-dadi ghar zaroor rehnay aati thi.
jhallak: aaye na kaka ( shikhar kay aada) , bethiye. kesay hein aap.
shikhar kay aada: ( lil emberaced ) hum bilkul theek hein beta, aap sabh kesay hay. jamai sa aur betiya kahain hay?
jhallak: hum sab theek hay kaka. woh jatin toh apnay office gaye hein, aur betiya school, say bus anay hi wali hongi. aada ( to her father) aap dono aaj hi kyun wapis ja rahe ho , thoray din ruk jaye na.
praful: nahi jhallak beta, betiyon kay ghar aada nahi ruksaktay. aur phir wahan shikhar ki bai bhi toh akeli hein. humay aaj hi jana hoga.
woh dono kuch der aur ruk kar shaam 4 bajay ki train pakar kar wapis dhulwadi chalay jaantay hein.
raat 9 bajay khanak kay jijoo office say wapis aatay hein. khanak kay wahan dekh kar woh bahut kush hotay hein. khanak zada toh baat nahi kar rahi thi haan magar apni neice's kay saath who khush thi.
oikos
civil lines
delhi
sunil: shaan… beta kesay ho.
shaan: hey dad, m fine ( hugs him )
sunil: aur kya chal raha hay aajkal.
shaan: nothins happenin dad, soch raha hoon kay frnds kay saath kahin ghum aaon.
sunil: haan…… tumhay apni zindagi may change ki zarurat hay, ek kam kyun nahi kartay kal say office aajao.
shaan: ( shocked ) kya dad ? office kal say ? magar kyun ?
sunil: frnds kay saath toh tum roz hi hang out kartay ho, office bhi aakar dekhlo. shayad ye naya wala change tumhay zada pasand aaye.
sunils mobile rings.
sunil: hello ! hi pops, kesay hein aap. kab aa rahe hein. acha parso . haan yahan sab theek hay. haan shaan toh yahin hay meray paas, haan karata hoon.
he hands over his phone to shaan.
shaan: hey dude! kesay ho.okay ( husky) . m fine. haan pata chala ki aap parso aa rahen hein. haan haan kahin nahi jaunga ( smilin ) . see yaa, bi.
sunil: kya kaha pops nay.
shaan: woh keh rahe thay ki parso mere birhday hay, aur woh nahi chahtay ki mein kahin jaaoon. specialy meray birthday walay din woh wapis aa rahe hein so holidays cancel.
ek naya din
star appartments
ph
gurgaon.
jhallak nay aaj khanak kay saath time spend karnay kay liye school say chutti li hay. sabhi break fast kar rahe hein. jijoo ko office jana hay. rastay may khyati aur palki ko school bhi drop karna hay.
jatin: ( casualy) khanak mein chahta hoon ki tum phir say apni parai shuru karo. saal kay beech may college toh join karna thora mushkil hay, haan jab tak naya session nahi shuru hota tab tak tum koi cource kar lo. jo bhi tumhar man karay.
khanak: jijoo mein toh yahan sirf thoray hi wakt kay liye aayi hoon toh fir parai ka kya faida.
jatin: haan tabhi toh mein keh raha hoon ki koi cource karlo, usmay jada samay nahi lagega. kal subha mein tumhay kuch institutes lekar chalunga, theek hay. kal subha thora jaldi tayiyar hojana. have good day khanak.
( hugs jhallak).
khanak: aapka bhi din accha jaye jijoo, bi khyati ! bi palki !
khyati aur palki: bi mamma bi mausi. ( both together )
mystory
guys comment zaruri hay. till then njoy