Mohabbatein
Part 8 - Let Bygones be Bygones
xxx
Kasauli - Farooqui Mansion:
Zoya groaned and turned over as a pillow came flying and hit her in the face.
Zeenat- DUPAIHAR hone ko aa rahee hai Zoya, UTH JAO! Kaunsi ladki dupaihar ke baara baje tak soi pari rehti hai (Zoya raised her head from the bed where she was currently sprawled upside down with her head buried in a pillow) Zoya uthke apna samaan sametna shuru karo. Packing kab karogi tum? 10 dinon mein shaadi aur moving aur tum soi pari ho. Allah iss ladki ka kya hoga?
Ayaan-(whistled loudly as he breezed into the room) Exactly Aapi kya HOGA Iss ladki ka. Kyunki baaki ladkiyan jo 12 baje se pehle uthti hain woh to dunya bachane mein lag jaati haina aur dunya ka bachna na bachna Zoya ke sone ya uthne pe depend karta hai (Zeenat narrowed her eyes at him as he fell onto the bed beside Zoya)
Zeenat- Aur kisiki dunya bache na bache meri bikhar jayegi agar yeh madam na uthin toh.
Ayaan- Par kyun Aapi? Aapko shopping ke liye jaana hai to main le chal raha hoon na lena kya hai aapko? 5 shaadi ke jore? Aapki hone wali saas ne yehi instructions diye the na credit card ke saath? Functions ke outfit unke showroom se lene hain aur unhe hamari taraf se apke aur Zoya ke ilaava kuch nahin chahiye. Jab woh sab sambhaal rahee hain to AAP kyun pareshan hain?
Zoya- (mumbled sleepily) samjha karo na Ayaan. Raat ko 2 baje saiyan ji ghar chorke gaye hai .unki boring si baaton ka hangover nahin utra hai.
Ayaan-(wolf whistled) Oh ho! Jeeju ke saath pehli date. KAISI rahee (Zeenat just blushed prettily and turned her attention back to Zoya's suitcases where she was busy folding some clothes that were strewn about and zipping them up)
Zoya- (mumbled) Thank god I didn't bother unpacking.
Ayaan- Seriously Aapi? Aap aajke din bhi iss churail ko pamper kar rahee ho jabke kamazkam aajke din to aapko khudko pamper karna chahiye. Honestly Aapi aap hone wali dulhan kam aur kaam karne waali bai zyaada lagti ho. Aapko dekhne ladke waale aa rahe hain aur aap..
Zeenat- ZOYA GET UP!!
Zoya-(whined) Aapi Aapko aaj romantic gaane gaane chahiye aur aap aaj bhi 'Zoya' 'Zoya' ki rat lagaye huye ho. Jeeju iska ghalat matlab nikal sakte hain.
Ayaan- Exactly aapko gaana chahiye (Jumped off the bed startling zeenat as zoya finally opened one of her eyes watching them) Gali mein aaj chand nikla..(He began twirling her round and round and she giggled uncontrollably..as Zoya watched her lovingly. An overwhelming feeling settling over her stomach as she saw her laugh so genuinely and so carefree after so long)
Zoya- (jumped out of bed) Ya Phir (began dancing around zeenat) Laya baraat bhi laya..taare bhi saath mein laya..ghungat uthane aaya woh..mera piya ghar aaya Oh Ramji (Ayaan joining her) Mera Piya Ghar Aaya oh ramji..
Zeenat-(laughed) tum dono ka kuch nahin ho sakta (she laughed as Zoya fell onto the bed dizzily, grabbing a half eaten box of Pringles from her night stand and begin filling her unwashed mouth with some 'breakfast')
Zeenat- Zoya you have 5 minutes. Get up and wash your face, get dressed, have some (ripped the box of Pringles out of her hands as she stared back at Zeenat with round confused eyes but zeenat remained undeterred grimacing as the crums from Zoya's overstuffed mouth began falling on the ground) breakfast and then meet me in my room. Woh log kissi bhi wakt aate honge, we need to be ready uske baad shopping jaana ha. Kya pata humme kal hi shaadi ke liye unke farmhouse pe jaana par jaye so pack your stuff do you hear me? (Zoya just nodded a little lost and a little confused barely grasping what Zeenat had said. As zeenat left the room Zoya grabbed her iPad and fell back onto the bed only to jerk back up horrified screaming in fear as Zeenats livid face screaming 'Zoya' and ripping the ipad out of her hands was back in her face and Zoya rushed to the bathroom muttering to herself)
Zoya- Bewa Aapi was much more sane. Dulhan Aapi is freaky! (slapped her head) OwwQ (rubbing it again) Kisne bola tha yeh shaadi waali musibat mein parne ko.
Meanwhile in another room down the hall:
Aahil- WHAT! Ammi aapne mera rishta paka kar diya aur mujhse poocha tak nahin?? KISSE?? KYUN? KAB? Kaise?
Haseena- Le, yeh bhala kaisi baat hui? Ek na ek din to mujhe karna hi tha. Pehle tere bhai ka bhi to kiya haina (Aahil rolled his eyes as Arsalan stared at him like sure let her dream) Tujhe kya lagta hai maine yeh faisla tum pe chorna tha. Naa ji naa. Tu apni pasand ki kar pata toh yakeenan yeh jo 18 saal pehle Faizan miyan hamare gale musibat le aye the unhi ke jaisi dhoond leta. Na koi khandaan ka pata na khoon ka. Pata nahin kaise maan baap ki betiyan hongi, kiska ganda khoon hamare gale daal gaya woh..
Aahil- Ammi.
Haseena- Sahee keh rahee hoon main. Tujhe tere bharose chor diya toh yeh toh apni koi teesri behen nikal leingi kahin se aur usse bhi yahan muft ki rotiyan khane bhej deingi. Arre bauhat achi tarha se jaanti hoon main aise logon ko..maine jab keh diya ke meri dono bahuein meri pasand ki hongi to bas meri pasand ki hongi aur mujhe yeh (threw a half smile in sapnas direction) pasand hai.
Aahil- Par..
Sapna- Aahil, don't worry beta. Trust me jo ladki tumhari Ammi ne chuni hai woh ek heera hai heera beta. A true angel. Uss jaisi ladki tumhe poore India mein to kya dunya mein nanin milegi. Woh mere chote bhai ki beti hai and just like me she too is a princess (and she smiled wide as Aahil rolled his eyes as if yes he should marry her because her princess title is what would make her interesting, them compatible and make this marriage work?)
Aahil- What's her education?
Haseena- (uninterested) Haan parhi lekhi hai.
Aahil- KITNA?
Sapna- Beta, she was studying medicine..2nd year but unfortunately she suffered a near fatal car crash. Allah ka lakh lakh shukar hai uski jaan bach gayee..par..
Aahil- Par?
Sapna- Uski ek taang (shook her head) the nerves are damaged. Kaafi saalon, kaafi mehnat aur himmat surgeries ke baad woh weelchair se to uth gayee par uski taang ab bhi haraab hai. Kaafi der ke liye woh toh zindagi se umeed hi chor baithi thi. Ussi dauran usne college aur parhai bhi chor di aur waise bhi usko har minute kissi ke sahare ki zaroorat parti..woh kaun deta? Nurse ya helper rakh dete to woh embarrassment kaun sehta society mein? (Arsalan and Aahil stared at her incredulously while Haseena nodded in agreement) and to this day she hasn't gone back. Par uska woh passion aaj bhi utna hi hai. She's volunteering at the hospital these days and who knows maybe one day she can go back and fix it all and maybe you can help her (she smiled and Aahil finally smiled in return feeling much better about the bomb his mother had dropped this morning. He felt a strange pull towards the girl now. He felt sad for her, respect and admiration. He wanted to know her. Maybe it wouldn't be too bad and maybe he could spin this in his own favour and he eagerly looked up at his mom)
Aahil- Fine, main chaloonga. Par meri ek shart hai.
Haseena-(smiled) Nayee garee chahiye daadi se?
Aahil-(smiled back) nahin, woh aapko chahiye. Ammi dekhiye, daadi ne aaj keh diya ke Aapi ka jab rishta aayega to unke ilaava wahan koi maujood nahin hoga, ke koi wahan aa nahin sakta baith nahin sakta aur hum sab chup rahe, kuch nahin bole..Aapi ki khatir. Par Ammi, agar maine yeh rishte ke liye haan kiya toh shaadi pe chahe KUCH ho jaye hum zaroor jayenge. Tab main na daadi ki sunoonga aur naa aapki..
Haseena-(rolled her eyes) tujhe jaana hai to jaa. Main toh nahin jaa rahee aisi fazool shaadi mein. Pata nahin kya ghol ke pilaya hai uss churail ne iss ghar ko mere masoom ladkon ko ke uske aage peeche dolte rehte hain mere shehzaade (rolled her eyes as she turned towards him again) par phir meri bhi ek shart hai aaj rishta dekhte hi hum pakka kardeinge aur sagai ki tareekh bhi pakki karke ayenge. SAMJHE. (Aahil and Arsalan looked at their mother with their jaw dropping at her insane decisions)
xxx
Haveli:
Haseena eyed the 5 of them suspiciously as they took turns nudging each other awake as soon as one of them was about to doze off.
Haseena- (fake laughed) bache lagta hai Kasauli ko kaafi enjoy kar rahe hain. Lagta hai raat bhar so nahin paye..kyun bacho? (The parent's all gave them stern looks and immediately they straightened up looking so alert and serious one would think someone had died) ab sach to yeh hai ke yeh aapka Delhi thori hai, yahan kaunsi night life hai enjoy karne waali raat ke 10 bajje ke baad yahan kaunsi jaga khuli rehti hai..
Azlan- Haseena aunty woh aap logon ke bhanje hi haina. I mean phupi ke bete kya naam hai..haan Ayaan..jo yahan ka eklota nightclub chalata hai? Aur, woh to khulta hi koi 10 bajje hai..toh I'm sure aap log humme zyaada bata saktein honge yahan ki nightlife ke baare mein..
Aahil- I thought you went to college here? I mean back in the days the only thing that would come up when speaking about entertainment in Kasauli is your name. Then how do you not know about Kasauli's nightlife? As far as I know you petitioned for night time entertainment here.
Maya- Waise mumbai mein to kaafi enjoy karte hoge aap Aahil beta. I mean wahan ki life in general not just night life yahan se zyaada advanced hai phir aap Kasauli kyun waapis aana chahte ho? I'm sure someone as young as you would really enjoy living there. Toh phir yahan kyun. Don't get me wrong main sirf iss liye jaana chahtin hoon kyunki main hi jaanti hoon ke in sabko kaise force kiya maine waapis aane ko
Aahil- (smiled) Same reason you guys moved back for aunty. Kasauli..is home. Dunya kitni bhi advanced ho jaye, jo sukoon yahan rakha hai woh dunya ke kissi shehr mein nahin hai. Yahan ki hawa mein kuch jaado hai. I..I can't live away from Kasauli no matter how hard I try and also meri family yahan hai. Mumbai is great and all but I get very lonely there. Yahan Ammi Abbu, daadi, mere bhai meri behen (Haseena glared at him and sapna stared at them nervously)
Naina- Aapki behen bhi hai jeeju? Sapna phupi to sirf aapke bhaiyon ki baat karti hain. Ayaan..and Arsalan..and I think theres 2 more but behnein..kitni behnein hain aapki?
Aahil- Uh, meri..I mean hamari (avoided eye contact with Haseena) ek hi behen hai..she's beautiful..(smiled) we all lo-
Haseena- Par woh hamare saath nahin rehti (an awkward silence fell over the room) mera..mera matlab hai ke woh New york mein rehti hai..wahan parti hai.
Ghaffur- Akeli?
Sapna- Aap log bhi kya baatein lekar baithge hain. Naina Kajol jao na Anaya ko le ao rasmein aage barhate hain.
Maya- Haan beta, jao jaldi le ao.
xxx
Farooqui Mansion:
Asif came bounding down the steps of the house and nearly lost his balance as he noticed Zoya sitting on the steps by herself. He stared at her confused and silently went and joined her poking her side and making her jump in response to which he laughed heartily.
Zoya- Not cool bhai.
Asif- I wouldn't believe that coming from someone who believes sitting by themself out here on the steps is cool.
Zoya- (smiled as bright as she could) Main toh weather enjoy kar rahee thee. Dekho na kitna pyaara din hai aur upar se packing kar karke mera dimaagh haraab ho raha tha..so..(shrugged)
Asif- (stared at her silently for a while hoping she'd get the clue and tell him the truth but Zoya avoided eye contact with him. Eventually he sighed and and slapped her head) Zoya..
Zoya-(glared at him annoyingly and slapped his head in return) Bhai..
Asif-(put an arm around her hugging her close) do you remember, when I failed math in the 8th grade..aur Ammi ne meri kaisi halat ki thi..
Zoya-(laughed grinning wide and nodding her head excitedly to his annoyance) It was such a fun day. I still remember it and laugh sometimes. Woh kya dialogue tha unka 'Haye rabba meinu chuklai..aisi ulaad mujhe hi kyun milni thi..kahin mun dekhane laik nahin chora. AB KYA HOGA RABBA' (she burst out laughing again)
Asif- Exactly,tumhe yeh sab iss liye pata hai kyunki tum hamesha ki tarha darwaze ke bahar kaan laga kar sun rahee thee (narrowed his eyes at her) because your a brat like that
Zoya- PLEASE BHAIYA. Agar main kaan laga kar na sun rahee hoti to chachi ke thapron se aap ko kaun bachata? Woh main hi thi jisne cockroach se darne ka bahana karke poore ghar ko jagaya aur aap ko bachaya
Asif-(laughed as he smiled fondly at the memory) exactly. You demanded I take you out for ice cream and only then would you stop your crocodile tears and Faizan chachu began screaming at me to take you.
Zoya- (her smile dimmed a bit as he reminded her of Faizan) par aap aaj yeh sab. OMG AAP PHIR MATH MEIN FAIL HO GAYE (Asif rolled his eyes)
Asif- I graduated from college 5 years ago Zoya.
Zoya- Oh right, toh phir kya point?
Asif- The point is Zoya Farooqui that you haven't been able to stop yourself from eavesdropping on others, mingling in others affairs and forcefully getting involved in problems that don't concern you since you were 5. And today you expect me to believe that andar Aapi ka rishta aaya hai aur tum yahan baithke weather enjoy kar rahee ho? (Raised an eyebrow) I suck at math Zoya not common sense. Now come on and tell me the real reason why you're not going in there. Daadi ne hum sabko manna kiya hai..tumhe nahin.
Zoya-(laughed bitterly) Issiliye nahin jaa rahee..
Asif- Matlab?
Zoya- Matlab aap log daadi ko jo marzi kahein unki mere baarein mein baatein jitni karwin hain..utni sach bhi hain. Woh hi jaanti hain ke mere kadam kitne manhoos hain (Asif stared at her incredulously) main andhar baithti to shayad baat apne aap bighad jaati aur yeh shaadi na ho paati..
Asif- (grabbed his head in both his hands) My god. Ayaan was right you really are stupid. Tell me, New Yokrk mein tum par bhi rahee thee ya Aapi ke saath jhak mar rahee thee aur saara wakt Ayaan ki tarha parties aur daroo mein hi (stared at her angrily) kyunki tumne abhi jo kaha hai usse kahin se nahin lag raha ke tum thori bauhat bhi parhi likhi ho. Zoya TUM aisi baatein kar rahee ho, TUM aisa sochti ho toh tum mein aur un mein fark kya baaki hai?
Zoya- Itna ghalat bhi nahin kehte hain woh? Aap khud hi socho iss ghar mein, Aapi jeeju ki life mein KITNA kuch ghalat hua hai..agar main na hoti toh
Asif- Agar tum na hoti to? Zoya, do you even hear yourself? Agar tum na hoti toh yeh conversation bhi na ho rahee hoti. Aapi aur jeeju ki sabse bari khushi pata kya thi, TUM. You completed them Zoya. The love they both shared for you is what brought them so close that they married at the age of 18. You completed their family Zoya, you completed them. Maine aaj tak unn dono jaisa happy couple nahin dekha despite everything that happened in their life and you know why? Because of you. You made them happy. You make us happy. You made this home SO much better ever since you wobbled in and fell on your fat behind (Zoya laughed) Zoya unn donon ke saath jo hua woh toh ho ke hi rehta. With or without you unlo kismat mein likha tha. But you made it worthwhile. They stayed together and fought through the challenges not just for themselves but for you as well. You were their strength. Ab tum khud hi yaad karo jab Aapi ka pehla miscarriage hua tha woh kitni depressed thin, kitni buri halat thi unki aur unki wajah se chachu ki. Sab ko lag raha tha ke unki shaadi shayad na bache but they fought through it for you. Shayad agar tum unki zindagi mein na hoti toh they would have fallen apart then. Phir ab socho Aapi ka. Chachu ke baad woh tumhare sahare, tumhare liye zinda rahin Zoya. Tum jaanti ho chachu ki maut unke liye KITNI mushkil thin. Hum sab jaante hain ke agar tum unki zimedari na hotin toh woh shayad uss shock se kabhi recover na kar patin. Aur ab zoya? Ab unki dobara shaadi ho rahee hai toh bhi tumhari wajah se. Woh saari umar daadi ke darr se yahan bewa ki zindagi guzar letin Zoya par kabhi apni dilki sunke dobara shaadi na kartin if it wasn't for you convincing her. (Shook his head) your one of the most positive upbeat people I know Zoya..toh phir TUM aisa kaise? (sighed) I'm actually disappointed (Zoya bit her lip as she turned to look at him. She hated having her brothers mad at her)
Zoya- Sorry bhai. I guess woh bas daadi aur chachi ki baatein itni buri lagin ke..ke mujhe bhi doubt hone laga. Main bhi insaan hoon, self doubt and insecurities are a real thing bhaiand I guess itna emotional drama chal raha tha pichle kuch din ke main bhi..I guess I just, I don't even know what I was thinking..I'm sorry bhai. I didn't mean to offend you..
Asif- Ya you damn right better be sorry. Otherwise Mumbai se joote marne aa jaonga yahan taake tumhare choti se akal thikane aye..Samjhi.
Zoya-(smiled as she hugged him) I'll miss you bhai.
Asif-(smiled sadly as he hugged her back) I'll miss you too pari.
xxx
Continued in next post...
xo - DailyDaisy!
124