Assalam-U-Alaikum,
Ummeed hai ki aap Sanam, aur Saher Bakhair-E_aafiyat se hongi. Hum sab bhi yahan har ghum se azaad hain. Charon taraf sirf khushi aur muskurahaten hain. kabhi na khatam hone wali Mohabbatein hain , na koi aansoon hain, na koi pareshaani hai .Abbu aapko bahut yaad karte hain. Aur Tamatar aur Zoya bhi. Zoya apne Abbu aur Ammi ko bhi ussi tarah se sher sunati hai jaise ki Bhopal main sunaati thi. Uske Ammi Abbu bhi ek saath bahut khush hain. Zoya apni ammi ke god main aksar sar rakhkar soti hai Yahan har taraf sukoon aur Itminaan hai. Ammi ...Zoya ne meri adhoori zindagi ko mukammal kar diya hai. Mujhe is baat ki beinteha khushi hai ki main Zoya se ab kabhi bhi ek pal ke liye bhi Judaa nahin honga, hum dono hamesha hamesha ke liye ek ho gaye hain. Humne saath jeene aur marne ka waada kiya tha and us waade ko bakhoobi anjaam diya hai. Bahut Muskil imtehaan ke daur se guzar kar maine zoya ko paya hai, ab woh har pal, har lamha mere saath hai. Main waqai bahut khushnaseeb hoon ki mujhe aapke jaise ammi aur zoya jaise shareeq e hayaat aur akhirat mili hai. Yahan sirf pyaar aur pyaar hai. Bas Yahan ek hi kami hai Pizza nahin milta hai.Ammi, Zoya ki masoomiyat se Jannat aur bhi haseen ho gayi hai. Mujhe is baat se bahut mutmain hoon ki Sanam, Seher aur Haya ko aapki parwarish milegi. Unse kehna ki unke Ammi, Abbu, Dada, Nana,Nani ko unki bahut yaad aati hai. Woh roz yahan ooper se unko dher saara pyaar bhejte hain. Woh hamare saath nahin hain, lekin unki yadein hamare saath har pal rehti hain. Aap hamari bilkul bhi fikr mat karna. Kismet ka likha koi nahin mita sakta hai. Afsoos sirf is baat ka hai ki main aapke budhaape ka sahara nahin ban saka. Ho sake to mujhe maaf kar dena. Ammi hum sab aapke saath hain, kya hua jo aap hamain dekh nahin sakti hain... hum har khushi har ghum main aapke saath hain. Hum har kadam par aapke saath hain, hawaon main, fizaoon main aapke saath hain...Aap kabhi bhi apne aap ko akela mat samajhna... Sanam aur Seher se kehna ki unke Ammi Abbu unse bahut pyaar karte hain... and Aasmaan par rehte hain... woh tare ban gaye hain... jab bhi unhain humse baat karne ka dil kare to woh humse baat kar sakte hain... hamain unki har awaaz, har farmaish sunaiye degi, aur hum Allah miyan se dua karenge ki woh unpar apna rehmat ka sayaa hamesha bana kar rakhen. BaKhuda agar hamare haath main hota to hamara faisala muqtalif hota, lekin uske har raza hamain Qubool hai. Hum sab ek din aakhirat main saath honge .. hamesha hamesha ke liye aur phir Inshallah hamain koi juda nahin kar sakega.
I hope that you Sanam, Seher and Haya are doing well. We are also free of any mortal pain. There is happiness and laughter everywhere, eternal love is around us, there are no tears. Abbu remembers you a lot. Najma and Zoya also miss you a lot. Zoya entertains her Abbu and Ammi with her shayaris. Her parents are very happy together. Zoya very often sleeps in her mother's lap. There is peace and tranquility everywhere. Ammi, Zoya completed my life and hereafter. I am so happy that nothing will ever come between me and zoya now. We have become one forever. We had promised each other eternal happiness and we fulfilled that promise. Zoya became a part of my life and hereafter after a lot of trials and tribulations, now she is with me forever. I am really lucky that I have an ammi like you and an eternal partner like Zoya. Love is omnipresent here. She does not get pizza here. I am at peace here knowing fully well that Sanam, Seher and Haya will also get an awesome upbringing. We all miss them a lot. We send them love and wishes every day. They are not with us physically but they are always in our thoughts. Do not worry about us. We cannot fight destiny and in our case it was destined to be this way. My only regret is that I could not take care of you forever. Please forgive me. We are always with you; happiness, sadness, in the cool breeze. It does not matter that you can't see us. Never consider yourself alone. Please tell the kids that their parents have become stars, they can talk to us via stars. We can hear them, their wishes and we will pray to God that he should keep them under his providence always. Tell them that if we had any say in this matter our decisions would have been different. But we accept his decision. Inshallah, One day we all will be together forever. Until Later...
kahii.n zamiin to kahii.n aasamaan nahii.n milataa
No one ever gets the entire universe
Somewhere the earth and somewhere the sky is missing
jise bhii dekhiye vo apane aap me.n gum hai
zubaa.N milii hai magar hamazubaa.N nahii.n milataa
Whoever you see is lost in their own sorrow
They have thoughts to share but no companion to listen
bujhaa sakaa hai bhalaa kaun vaqt ke shole
ye aisii aag hai jisame dhuaa.N nahii.n milataa
Who is able to douse the embers of time
This is a fire that has no smoke
tere jahaa.N me.n aisaa nahii.n ki pyaar na ho
jahaa.N ummiid ho isakii vahaa.N nahii.n milataa
It's not like there's no love in your life (universe)
Where you hope for it you won't find it there
Aapka beta,