Shikha's first poem - her introduction poem kind of
(had a hard time finding this one because she doesn't mention the entire poem so tried to read whatever I could from the snapshot... please forgive the mistakes n let me know if u are able to get any correction)
Kyun raste par chalo toh koi ched deta hain
Kyun pati se kuch kaho toh who haath marod deta hain
Kyun ummedo ke badle tujhe milti hain bas nirasha
Kyun khushiyo se bhara ghar lagta hain ek jhooti asha
Khul ke hasu toh koi tok deta hain
Befikr jiu toh koi tok deta hain
Dekh phir wahi subah ayi
Jo uske liye hai kiran tere liye parchai
Kyun tode hai kabhi Sapne kabhi dil ko
Koshish toh kare duniya samajne ki ek aurat ko
Roj nahi ______________________
Bina puche kabhi do baat bata hi diya kar
Apne haath ki ek cup chai pila ke kabhi ___________
Main kaha kuch zyada mangti hu
Dekh kar muskura hi kiya kar
Kyun jhooti tassalli ki aasha rakhu
Sab thik ho jayega karke baat _____
Socha bahut par kuch na paya
Dekh phir nayi subah ayi
Jo uske liye hai kiran mere liye parchai
Kyun tode kabhi sapne kabhi dil ko
Koshish toh kare ae duniya samajneki ek aurat ko
the blanks are because I couldn't interpret the blanks the image was nor clear...