PART 1 - Zoya aur Phoophi
Asad's Room:
Asad stormed out of the room after telling his Ammi to make a choice between him & Janab Rashid Ahmed Khan. Both Zoya & Dilshad were shell-shocked. Zoya could feel Asad's pain but she couldn't see Dilshad also in pain. She decides to talk to Asad & walks away. But suddenly she feels a grip on her wrist & she stops. She turns around to find tear-stricken Dilshad muttering, "Zoya..."
"Phoophi, app fikar mat kijiye. Mai baat karti hoon Mr. Khan se. Mai samjau..."
Dilshad cut her in between, "Nahi Zoya. Wo apni jagah bilkul sahi hai. Usne apni ammi ko toot te hua dekha aur uska darr apni jagah bilkul sahib hi hai. Wo mujhse bahot pyaar karta hai aur use darr hai ki Rashid mujhe phirse takleef denge. Par mai jaanti hu ab wo aisa nahi karenge. Maine dekha hai unki aankhon me. Wo apne poore parivaar ko ek saath, ek hi chhat ke niche dekhna chahte hai. Mai... "
Zoya says cutting Dilshad's words, "Phoophi, to phir aap samjayiye Mr. Khan ko. Unhe batayiye ki aapko yakeen hai unpar aur unse kahiye ki ek mauka de unhe. Mr. Khan aapki baat nahi taalenge."
"Nahi Zoya. Ye itna aasan nahi hai jitna dikhayi de raha hai. Asad kabhi bhi nai samjega. Kyunki wo apne abbu se bahot jyada pyaar karta tha. Aur jab Rashid hume chodkar chale gaye tab sabse jyada iska asar usi par hua. Asad ko kafi waqt lagega apne abbu ko apna ne me. Aur maine faisla le liya hai. Mai Rashid ke saath unke ghar rehne jaungi. Asad ko samajna hi hoga. Unhe meri jarurat hai."
Asad who was standing near the door was in tears hearing this. He never thought his ammi will chose Rashid over him. She will chose the man who only gave her pain over him. His son who loved her a lot. He couldn't bear her decision & walked away outside in the garden.
Here, Zoya was shocked to hear her decision, "Par Phoophi, Mr. Khan.?? Mr. Khan toot jayenge. Aap..."
Dilshad said with a determination in her voice, "Aisa nahi hoga Zoya. Tum ho uske pass. Mai jaanti hu tum Asad ka saath kabhi nai chodogi. Tum uski himmat banogi aur uska khayal bhi rakhogi. Shayad isi wajah se mai ye faisla le payi hu. Mai Asad aur Najma se bahot pyaar karti hu. Agar Rashid ne mujhe 6 mahine pehle saath chalne bola hota to shayad mai unhe kabhi haa nahi kehti. Par ab mere bachche khush hai. Najma ka nikah ho gaya aur wo apni zindagi me khush hai. Mujhe Asad ki sabse jyada chinta hua karti thi. Usne kabhi bhi pyaar me yakeen nahi kiya. Kyunki usne mujhe aur Rashid ko alag hote hue dekha tha. Use humesha se yahi darr tha ki wo Rashid jaisa ban jayega. Par tumhare pyaar ne mere Asad ko badal diya. Mere bachcho ke paas unka pyaar hai. Aur is se jyada khushi ki kya baat ho sakti hai mere liye. Ab to mai chain se marr bhi..."
"Phoophiii... Khabardar aisi baatein ki to... Mujhse bura koi nahi hoga. Aur aap fikar mat kijiye. Mai Mr. Khan ka pura khayal rakhungi."
Edited by angel2930 - 11 years ago
124