Khoobsurat sa jahaan
Veeran ho gaya
Chahakta sa samaa
Sunsaan ho gaya
Tanhaai ka ye aalam
tumhaare yaad dilaata hai
pal pal tumse judaai
mere dil ko dukhata hai
kya kya socha tha maine
ki hamaara sapno ka jahaan aisa hoga
maloom na tha mujhe ki
aabad nahi bas ek banjar aashyaan hoga
tumhaari yaadein bhi ab to
maut si lagne lagi hai
tumhaari wo chuppi aur nafrat bhari nigaahein
dil ko chubhne lagi hai
sochta hu ki kya tumhe meri aankhon me
apne liye beshumaar pyaar nazar nahi aata
lekin phir achaanak se yeh samajh aata hai
kahi mai bhi to uska pyaar dekh nahi paata
vishwaas nahi hota ki
hamaari chaahat ki umar itni kam hai
socha tha bas pyar hai
aur hum hai to phir kya gam hai
apni taqdeer par rone ka jee karta hai
par apna bharosa na tootne doonga
itni mehnat se banaaye apne aashiyaane
ko yu bewajah na lutne dunga
kash ye faasle khatam ho jaye hamesha ke liye
aur fir se wo khushnuma waqt hame samet le
bas tum ho aur mai hu aur
ham ek dusre ko pyaar ki chaadar me lapet le
I know this was lame
andaaz and rotten eggs are most welcome
2