Sachchai wapas la do
2
La sakate to wapas la do us sachchi sachchai ko
Bhrathchar ko kam kar do kuchh kam kar do mahagai ko
Ghapale par ghapala kam tak hogaa kab bhunkhe mare ge log
Kab tak abaroo lutati rahegee,kab rahegaa kuriya me shok
Din dupahare lute khajanaa band karo is dithai ko
Bhrathchar ko kam kar do kuchh kam kar do mahagai ko
Kab tak rari rar karege kab jaayegee anyay ki dor
Kab aayegaa nyay ka mousam kab nache ge aangan me mor
Aisa niyam banaa do rajan chhuye na log burai ko
Bhrathchar ko kam kar do kuchh kam kar do mahagai ko