Chapter 4
Usse 2 stitches lagey the. Doctor ne kaha tha ke zakhm bohat gehra hai aur khoon bohat beh gaya tha is liye usse araam ki bohat zaroorat hai. Aapi aur jiju usse bed se
uthne hi nahi dey rahe the. Pichle 4 ghanton se woh apne bed pe hi thi.
"yeh sab Asad bhaijaan ki wajah se hua hai. Bhaijaan.. nahi woh mere bhaijaan nahi hein. Woh ache nahi hein. Ajj meri yeh haalat sirf unn ki wajah se huyi hai. Mujhe
unni ki wajah se yeh karwi karwi medecines khani parr rahi hein."
Woh apni hi sochon mein ghum thi jab Zeenat Dilshaad aur Asad ko liye us ke room mein ayi.
-Dekho Zoya tumse milne kaun aya hai. Dilshaad phupo aur Asad.
Jahan woh Dilshaad ko dekh ke khush huyi thi wahin Asad ko dekh kar us ka moun bann gaya tha aur yeh baat Asad ne note ki thi.
-Kaisa hai mera beta.
Dilshaad ne us ke paas beith'te huye poocha to boli
-Theek hun phupi.
-Yeh app ke liye.
Apne liye chocolates ka box dekh kar woh bohat khush huyi thi.
"To isse chocolates bohat pasand hein" usse khush dekh kar Asad ne andaza lagaya. Pata nahi kiun woh us ki har harqat ko, us ke chehre ke utaar charhao ko, us ke
expressions...us ki puri zaat ko note karne laga tha.
-Wow phupi yeh mere liye! Thank you.
-Han yeh app ke liye lekin thank you app mujhe nahi Asad ko karo yeh chocolates woh app ke liye laya hai. Yeh sunte hi Zoya ka moun bann gaya aur us ne chocolates rakh di
-Nahi mujhe inne thank you nahi kehna yeh ache nahi hein
-Zoya! Aise nahi kehte. Bara hai Asad tumse aur tumhare bhai ki tarah hein.
Zeenat ko us ki yeh harqat pasand na ayi to usse tok dia
-Nahi api yeh mere bhai nahi ho sakte kiun ke inn ki wajah se mujhe chot lagi hein.
Inn saari baaton ke doraan Asad g chup beithey sirf aur sirf us ki narazgi se bari ankhon ko dekh rahe the.
-Choro Zeenat. Us ka gussa bi bajaa hai. Inn dono ko apne mamulaat khud hi solve karne do chalo hum dono bahir beithte hein.
Dilshaad ki baat pe Zeenat ne sar hilaya aur usse liye living room mein aa gayi.
Asad chair se uth kar us ke pass us ke bed pe beith gaya. Woh pehli baar usse itne kareeb se dekh raha tha. Us ki thori (chin) ke neechey right side pe patti bandi thi.
Us ka dil kia woh kuch aisa kare ke us ki chot theek ho jaye. Lekin na to woh koi jadoogar tha aur na hi doctor.
Woh usse kisi kanch ki gudiya ki tarah lagi. Us ki akhiyon mein usse apne liye sirf sur sirf shikwa dikha aur jo Asad Ahmed Khan apni maa ke ilawa kisi ko khatir mein nahi lata tha ajj pehli baar kisi ghair ki wajah se hurt hua tha. Han Zoya Farooqui ki baaton ne usse hurt kia tha. Pata nahi kiun woh chahta tha ke woh Zoya ki nazron mein acha bane. Woh us ki favorite list mein ho. Lekin woh bechara us waqt yeh nahi janta tha ke yeh khwaish usse bohat mehngi pare gi. Itni mehngi ke poori zindagi us ke saath hi rahe gi. Zoya ne usse apne paas beith'te dekha to moun pheir lia.
-I'm sry. mMjhe maaf kar do aur yeh chocolate accept kar lo.
Us ke kehne pe Zoya ne us ki taraf dekha to mehsoos kia ke woh sach mein sry hai. Lekin woh apni takleef ko nahi bhuli thi is liye boli
-Theek hai. Maine appko maaf kar dia.
Us ke yeh kehne ki deir thi ke Asad saheb ki to jaise eid ho gayi thi. Woh jaldi se us ki taraf haath barhaa ke bola
-Thank you!! Friends?!
-Aammm...frienship aur appse!!??? Abhi nahi main pehle dekhoon gi ke app meri dosti ke like hein bi yan nahi.
Us ki baat pe Asad ka moun phir se latak gaya. Tabhi bahir se Dilshaad ki awaaz ayi
-Asad beta chalo bohat deir ho gayi hai kal subah appko ko summer camp ke liyebi nikalna hai hai.
Dilshaad ki awaaz pe woh bahir ki taraf jaane laga lekin darwaaze ke pass ruk gaya aur mur ke usse bola
-Theek hai then i'll try my best to prove myself best for your friendship Gudiya.
"Gudiya!!"
Us ke akhri lafz parr woh usse dekhti reh gayi lekin woh apni baat mukammil kar ke ruka nahi bhaagh kar bahir chala gaya. Ajj tak usse kisi ne gudiya nahi kaha tha.
Zoya ne us ki sochon se peecha churana chaha aur sone ke liye leit gayi kiun ke usse darr tha kahin aapi phir se na woh karwi medecines ley kar aa jayen. Lekin usse
kya pata tha ke yeh to sirf shuruwaat thi aisi sochein ab har raat poori zindagi ke liye us ka peecha karen gi.
Hey guys
I was so exited when i started this ff bcuz first its my 1st ff and secondly it is based on my life thats y I had already written few more chapters but now I dont kno if I should post them or not bcuz with the number of likes or comment that I get for Ishq Junoon Deewangi I think no one is interested in reading this ff.
so plzz tell me I should continu or not???
46