It was my first ff and i was very happy with your response. Thank you guys for your appreciation. Plzz do comment and hit likes!
CHAPTER 2
Labo pe us ke kabhi bad-dua nahi hoti
Bas ik Maa hai jo kabhi khafa nahi hoti
-Kitni pyaari hai na yeh Anwar!
6 saal ki pursakoon neend soyi Zoya ko dekhte huye Zeenat apne husband Anwar se boli. Us ki sooni godh bhar gayi thi. Jab shadi ke 10 saal baad bi un ke ghar aulaad
na huyi to anwar ne aik bacha adopt karne ka teh kar lia tha kiun ke Zeenat ki halat din ba din aur kharaab ho rahi thi. Ab usse aulaad ki kami bohat mehsoos hoti thi
khas kar tab jab woh Dilshaad ko Asad aur Shireen ko Nikhat ke saath dekhti thi. Usne apni moun-boli behan Shireen se mashwara kia aur Zeenat ko ley kar India aa gaya
aur yahan aa kar us ki godh mein aik beti daal di. Zeenat ki to jaise duniya hi puri ho gayi thi. Bari bari masoom si ankhon wali Zoya ne us ke dil ko choo lia tha.
Halake Anwar ka aik chota bhai bi tha Farhaan Farooqui lekin us ki ammi Zeenat ko us ke pass bi nahi aane deti thi kiun ke woh bannjj thi. Aur ajj us ki godh mein us
ki apni beti thi. Jo sirf us ki thi.Us ki baat pe Anwar ne muskuraa ke sar hila dia aur apni biwi ka khushiyon se chamakta chehra dekhne laga.
-Zeenat is ki jo bi shopping karni hai issi hafte ke andar andar kar lena kiun ke next monday ko humari wapsi ki flight hai.
-G!
-------------------------------------------------
Zoya ke liye yeh aik nayi duniya thi. Waisi duniya jo woh apne khwabon mein dekhti thi. Aik bara sa ghar jis mein bohat khilone hon, khane ki bohat sari cheezein hon
aur sab se bar kar usse pyaar karne wale ammi-abhu hon. Usse ammi abhu to nahi miley lekin aapi aur jiju mill gaye the jo usse apni beti ki tarah hi pyaar karte the.
Us ki har zaroorat ka khayaal rakhte the. Zeenat ki bohat khwaish thi ke woh usse aur Anwar ko ammi-abhu keh kar pukare lekin aisa na ho saka.
-Aapi main Nikhat ke saath kheilne jayoon?
-Han chali jao lekin dheyaan se koi shararat nahi karni.
Zeenat ki yeh kehne ki deir thi ke woh aur Nikhat baagh kar bahir chali gayi.
-Zoya chalo Asad bhaijaan ke ghar chalte hein.
-Woh kaun hai Nikhat?
Usse Canada aye huye abhi 2 hi din huye the aur woh Shireen, Nikhat aur us ke abhu ke ilawa abhi tak kisi aur se nahi mili thi issi liye Asad ka naam sunte hi us ke
bare mein poochne lagi.
-Aray tum Asad bhaijaan ko nahi janti! Woh Dilshaad khala ke bete hein. Humare samne wala ghar unni ka to hai. Chalo main tumhe un se milwayoon.
6 saal ki Nikhat ne us ka haah thama aur Asad ke ghar ki taraf chal di.
-aslamu-alaikum Dhilshaad Khala.
Ghar mein dahil hote hi Nikhat ne salam kia to laptop pe kaam mein masroof Dilshaad ne mur ke dekha.
-Walaikum-salam nikhat beta.
Dilshaad ne usse saath lagaya aur us ke maathey pe bosa(kiss) dia.
-yeh gudia kaun hai?
Us ki nazar Zoya pe pari to poochne lagi.
-Yeh Zoya hai khala zeenat mumani ki beti.
-Arey han Shireen ne bataya tha. Sry beta kaam ki masrufiyat ki wajah se hum app se milne nahi aa sake.
Dilshaad ne usse bi saath lagaya aur us ke maathey pe bi bosa dia. Zoya ko Dilshaad bohat achi lagi. Najaane kiun usse Dilshaad ko dekh kar apni ammi ki yaad ayi thi.
Kuch deir Dilshaad se baatein karne ke baad Nikhat boli.
-Khala Asad bhaijaan kidher hein?
-Beta woh uper apne kamre mein hein.
-Hum un ke saath kheilne jayen?
-Han beta zaroor jao lekin dheyaan se aur Zoya ka khayaal rakhna.
-OK khala.
Nikhat usse saath liye siriyan charne lagi. Siriyon ke right side pe hi Asad ka kamra tha. Akhri do siriyon pe NIkhat ruk gayi aur usse boli.
-Zoya tum andar jao yeh Asad bhaijaan ka kamra hai mujhe pyaas lagi hai main pani pii ke ayi.
Yeh kehte hi woh wapis niche uatarne lagi. Zoya Asad ke kamre k agey jaa kar khari ho gayi. Usse samajh nahi aa rahi thi ke darwaza knock kare yan aise hi andar chali
jaye. issi soch mein us ne darwaza bajaya lekin andar se koi awaaz na ayi to us ne darwaza halke se khola aur boli
-Asad Bhaija...AAAHHH!!!!!!!!
Edited by Mansha_4ever - 12 years ago
46