Anghan ke taarey
Suraj ki kirnein
Barasti thi hum pe
Na tha koi gham
Na ranjishon ka alam
Wakif na the hum dukh se
Na aankhein thee nam
Woh din bhi aagaya
Baharein chali gayi
Sab kho chuke the hum
Muskurahat bhi kho gayi
Kehte hain ghar kisse
Na tha jaanta koi
Ghar ban gaya makaan
Mera aaghosh tha sunsaan
Aansoo bhi khushk ho gaye
Saansein bhi ruk si gayeen
Yeh qaid hai anghan mera
Qaidi yahan ke jugnoo mere
________________________________
Wrote this in the bus and didn't edit so forgiveness
shall be granted for any mistakes😆
If you are confused: this poem is written from a woman's
perspective who is imprisoned after her entire family
has been killed in the war
Don't forget to comment😳