mohabbat ke raaste part 6

shafaqsheikh thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
"lekin bhai! Aap khud hi to kahete hain ki ladkiyon ko kahin aana jana nahi chahiye balki ghar me hi rahna chahie shabnam ki tarah."manal ne bahut masumiyat se kahte hue shabnam per khasa zor diya o tha."aha''.wo to main dosron ke ghar ki baat karta tha apne ghar ki to nahi" asfar bhai gadbada gaye." wo maa jaan darasal shabnam ki tabiyat theek nahi rahti hai.ab us se zyada chala phira bhi nahi jata 'to mai kah tha ki agar kuch dino ke liye kiran mere sath chali jaye to mujhe zara asani ho jayegi.."asfar bhai ki zuban per akhir apna matlab aa hi gaya.."to billi thail se bahar aa hi gayi."manal ne nagawari se socha ."kaam waam koi khas nahi hai sara kaam maasi kar jati hai kapre laundry se dhul ke aa jate hain bas khana pakana hoga aap ko to pata hai main bazari khana nahi khata takleef ho jati hai kiran aaram se wahan koi course kar legi asfar bhai jaldi jaldi bol rahe the .sheeba bhi to aaj kal farigh hoti hai bhai! Use to waise bhi ahemdabaad bahut pasand hai aap use bulalen." manal jhat se boli sheeba shabnam ki bahen thi ."sheeba to bahut kaheti hai main hi nahi chahta. Wo lakh bahno jaisi hai bahen to nahi isliye main ne kiran ka kaha hai."wo har tarah apni baat manwa lena chahti thi."janti hoon main aapki is naam ki sharafat ko chand mahina pahele to sheeba pura mahina guzar ke ayi hai ab kaam ki baari ayi to who bhi daman bacha gayi maa soch kar rah gayi."rahegi to adat ho jayegi aur ye kaunsa sari umar ke liye ja rahi hai.main ise hargiz bor nahi hone dunga ye mera aap se wada hai. "unhone yaqeen dilane wale andaz me kaha to gulnaaz ne sawaliya nazron se shauhar ki taraf dekha jo is sari bahes me khamosh baithe the ."kiran se puch lo use koi mushkil nahi hogi wo apne bhai ki problem samajhti hai aur waise bhi kiran mujhse bahut pyaar karti hai shuru se hi kabhi meri baat per inkaar nahin kiya to ab kiun karegi . Kiun kiran?"wo shada tapkate lahje me kiran se bole "ji'..e''e''''''..😕"kiran mari mari awaaz me boli aur manal ka bas nahi chal raha tha ki uske munh uski zubaan kheench ke apni laga de aur asafar bhai ki sari galat fehmiyaan + khush fehmiyaan nikaal ke unke saamne rakh de ."ek to saari murauatt aur saare jahan ka lehaz paas ALLAH is me rakh diya hai ."manal ne daant pees ke apni behen ko dekha fir tez nazroon se asfar bhai ko dekha '..jo apni jeet per khase chehak rahe the'😊
mohabbat ke raaste part 7
Edited by shafaqsheikh - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

4

Views

952

Users

5

Likes

5

Frequent Posters

704537 thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
Awesome...loved it 👍🏼...thnx for d PM dear
...sana... thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Engager Level 2 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
#3
nice thanxx 4 the pm
ksgkaran thumbnail
Posted: 13 years ago
#4

😊Hey,nice post thNX for the pm🥳
iman27 thumbnail
Explorer Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#5
nice one..
thanks for the pm..

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".