After a partly successful night, Archu and Manav go for sightseeing and enjoy the breathtaking visuals. Take a lot of snaps. It's around 2 pm now and Manav wants to go back to the hotel and do something meaningful.
Manav- Ji
Archana- phir Ji ji kyon manav?
Manav- Kya hai na archana who aadat nahin gayi. Shaadi ke 3 saal tak hum ek doosre se anjaan bane rahe. Kabhi kareeb aane ka mauka hi nahin mila. Yeh dooriyan abhi tak gayi nahin ..
Archana- ( sochti hai kal raat sab kuch karne ke baad aur khaak dooriyan hain) kya manav aap bhi na hamesha depressing baaten karte rehte hain. Ab hum sath hain na. ab aap se mujhe aur mujhe aapko koi judaa nahin kar sakta.
( dono senti ho jate hain. Manav ke kandhon pe Archu sar rakh ke aankhen band kar leti hai. Aur manav archana ko bahon mein bhar ke emotional ho jata hai. BT wale gaane bajane lagte hain Pavitra Rishta'.tere mere mann ka)
Manav- (sochta hai..aare haan main to room pe jake kuch karne keliye bolnewala tha) wasie Archana mera ek friend hai na ..ek ladki ki baat keh raha tha
Archana- hum dono mein ab kisi doosri ladki ki baat mat karo na
Manav- are suno to. Ladki ki nayi nayi shaadi hui thi. Usne apni friend ko chitthi likhi. Ki uska pati use 2 min chain re baithne nahin deta
Archana- (samajh gayi manav koi ghisa pita joke sunane wala hai. Aur jaan bujh ke chhedne lagi use) kaise
Manav- usne likha tha ki mera pati mujhe khane nahi deta baithne nahin deta..kitchen mein khana pakane nahin deta
Archana- kaise batao na?
Manav- ( Sharma jata hai kyon yeh ganda joke suna raha tha woh. Par khatam to karna padega use)
Haan aur chitthi mein aakhir mein ladki ne likha tha sorry for my shaky handwriting
Archana ' ( samajh jati hai joke aur bina hase manav ko chhedne lagti hai). Matlab chitthi likhte time bhi pareshan kar raha tha pati uski patni ko
Manav- haan 'tum samajh nahin rahi kya..uski handwriting shaky kyon ho gayi
Archana- Aap samjhaoge nahin kaise samjhu manav. Uski pitaai kar raha tha kya woh?
Manav- (phas jata hai aur samajh nahin pata ki archu uske maze le rahi hai) nahin pitaai nahin..shaky matlab shayad tum samjhi nahin..likhte samay bhi uske pati usko pareshan kar raha tha
Archana- (sochti hai kitna sharmila pati hai mera) pareshan to main ho gayi manav. Aap jab tak kahoge nahin kya kar raha tha uska pati jo uske haath kampne lage aur handwriting kharab ho gayi, main samjhungi kaise?
Manav- ( ab bechain hoke awaz unchi karke kehta tha) are tum samjho na
Archana- nahin aap ko samjhana padega
Manav- (closes his eyes and speaks out at one go) woh uske sath pyar kar raha tha
Archana- Pyar karne se bhala koi pareshan hota hai? Main keh deti hun mujhe to har pal aapka pyar chahiye. Kabhi dil se mujhe juda na karna.
Manav- pyar matlab 'samjha karo na
Archana- pyar karne ke sath haathon ka kampne ka relation hai yeh to samjhao.
Manav-(pasina pasina ho jata hai) woh uske sath jabardasti pyar kaar raha tha (mann mein soch leta hai archu ko kabhi joke nahin sunayega)
Archana- Pyar bhala kabhi jabardasti hota hai
Manav- tum ne filmein nahi dekhi kya? Usko pyar karna hi to kehte hain
Archana- haan kai saari filmein dekhi hain maine, par ek movie mujhe achhi lagi sab se
Manav- kaun si?
Archana- Bheja Fry
( Archana hasne lagti hai aur Manav samajh jata hai itni der se Archana uski class le rahi thi. Dono ek doosre ke gale lag jate hain aur hasne lagte hain. Par ab bhi Manav hotel jane ki khwaish zahir nahin kar pata aur Archana uska haath pakad k ek barfili pahadi ki taraf le jati hai)
(To be contd..if appreciated)