Originally posted by: sweet_tania
Dekho ji ... Rashmi-arhaan ne iss colors walo ko bahot kuch diya hai .
1. Rashmi ne evicted Arhaan ko I love you whisper kiya .
2. Arhaan ne green signal milte he national television par propose kiya.
3. Personal life ko personal rakhne wali desai ne bhi national television par apna love confess kiya .
4. arhaan ne khud ko Rashmi ke layak prove karne ke liye audience ko bataya ki Rashmi bankrupt ho gai thi or Aj jo bhi hai arhaan ki wajah se hai .
5. Paras jaise badmash ne Rashmi ko bataya ki Tera hero tuje national television par bankrupt Bol raha tha , yeh sun kar Rashmi Devi ne turant paras badmash ko bataya mera pyar sach bol raha hai , main bankrupt ho gai thi .
6. Fir villain channelwalo ne rashmi ko bataya, Tera pyar ek bacche ka baap hai , yeh sun kar rashmi ne thoda rona-dhona kiya or uske baad dhokha bhul kar apne pyar ko gale laga liya .
7. Aj wohi pyar Kadam Kadam par uski dhaal ban kar uski raksha karta hai , uska interview leta hai , usko maximum sympathy mile aisi har koshish karta hai .
Jinho ne national television par apna pyar confess kiya, bankruptcy ka sach dono ne mil kar dunia ko bataya, apne personal expense par dunia ko itna masala dene ka decision liya unn logo k liye yeh interview to unke sath hue atyachar ki awaaz hai.