Part-1
sham ke panch baje hai Rajpipla me.........Lakshmi Garodia Nivas me bethi apne ateeth ke bare me soch rahi hai......
Lakshmi (apne aap se): kyun hua yeh mere saath.........jisse pyaar kiya usine sabse bada dhoka diya..........heu Bhagwan kya kasoor tha mera pehle mujse Satyakam chin liya aur ab Karan bhi.....aakhir main maine kaun sa gunaah kiya hai ki meri zindagi me pyaar hi nahi.......aaj jab sab logo ko apne pati ke saath dekhti hoon to dil me ek choti si khawaish lagti hai Karan ke saath ......lekin Karan ka naam sunte hi muje uske diye huye dard aur aanshu yaad aate hai........meri kuch samaj me nahi aata ki main kya abhi bhi usse pyaar karti hoon ya nahi.......kaise faisla hoga.......
Tringgggggg............Tringgggggggggg...................... .....
Lakshmi: hello.......
Person: tum Lakshmi Mathur bol rahi ho.........
Lakshmi: jee haa........kahiye kya kaam hai........
Person: jake apne Pati Karan ki lash Rajpipla Highway se le aana.......woh wahi hoga........humne unhe mar diya hai....
Lakshmi: aisa nahi ho sakta........tum jooth bol rahe ho........aur tum ho kaun aisa kehne wale.......
Person: agar tumhe hamari baatein joothi lag rahi ho to Highway pe jake dekho.........ha....ha.......ha.........
Person phone kat deta hai.......
Lakshmi: hello.........hello.........tum kuch bolte kyun nahi.........
Lakshmi phone rakh deti hai......
Lakshmi: aisa nahi ho sakta............Karan muje chodke nahi ja sakta........
************************************************************ ************************************************************ *****************************
Lakshmi bhagti huyi ghar se bahar rikshaw dhundhne lagti hai.....lekin ek bhi rikshaw dikhai nahi deti.......Lakshmi haighway ki aur daudne lagti hai.......Lakshmi jab dur se dekhti hai ki Karan khoon se latbath neeche road pe hai........woh daud ke karan ke pass beth jati hai aur Karan ka sir apne god me leti hai.........
Lakshmi (crying): Karan........utho........aankhein kholo..........tum muje chod ke nahi ja sakte......karan apni aankhein kholo........tumhe meri kasam.......muje mere gunaah ki itni badi saza mat do Karan.......karan tumhe mere pyaar ka wasta.........utho.......karan........kyunki main tumhare bigar nahi reh sakti........kyunki main aaj bhi tumse pyaar karti hoon........I love You karan.....
Karan (opens one eye): I love you too Lakshmi..........
Lakshmi (shocked and walked away): Karan ..........tum ne aisa..........to tumne mere saath itna gatiya majak kiya.........jante ho mere pe kya bit rahi thi us waqt.......tumhe mera zara sa bhi khayal nahi aaya.......
Karan (stands): I am sorry Lakshmi........lekin tumhe mere pyaar ka ehsaas karane ke alawa mere pass aur koi chara hi nahi tha........sab kuch to maine aasma liya........tabhi hum sab ne milke yeh plan kiya ki tumhe kaise ehsaas dilaye ki tum bhi mujse pyaar karti ho......
Lakshmi: hum sab ne milke matlab..........aur yeh khoon aur yeh sab......
Jab ped ke piche se Sarswati, Gauri, Durga aur Dev aate hai........
Gauri: jaisa Kajri ko phana ke liye humne Dev ki madad li thi waise aaj......
Dev: aap bhool rahi hai ki main ek kalakar hoon........aur ghar ke logo ko to main mana nahi kar sakta aur yeh to bade hi nek kam tha ki aap dono ko milana..........thodi si to acting ki hai humne.........
Sarswati: Lakshmi........ab yeh kaisi zid hai......chod do gussa aur Karan ke pass chali jao........dekho apne aap ko kaisi ban gayi ho tum......tum bhool rahi ho ki Karan hi wahi insaan hai jisne tumhe jina shikaya, muskurana shikhaya aur sabse zaroori pyaar karna..........
Lakshmi: aur dukh aur dard me bhi jina aur muskurate shikaya..
Lakshmi yeh kehke jane lagti hai............
Karan: Ruko Lakshmi..............
Lakshmi: nahi karan muje kuch nahi sunna....main ja rahi hoon..........
************************************************************ ************************************************************ *****************************
meri soni, meri tamanna
(Karan Lakshmi ka haath pakadta hai)Jhoot nahin hai mera pyaar
(Karan lakshmi ke samne apne dhutno pe beth jata hai)Deewane se ho gayi galti Jaane do yaar
(Karan Lakshmi ka haath apne haath me leta hai)I love youI love you
(Karan Lakshmi ke haath ko kiss karta hai)Lakshmi Gusse me aakar apna haath khichke chali jati hai. lekin Karan uska haath khichke use apni bhoin me leta hai
Aake meri aankhon mein tum dekho
(Lakshmi Karan se apni nazre churake kahi aur dekh rahi hai jab Karan use apni aankh me dekhne ko majbur karta hai)Inn mein har ek ada tumhari hai
(karan Lakshmi ke baal ko sehlane lagta hai)Kehne ko yeh dil hai mera lekin
(Karan lakshmi ka haath leke use apne dil pe rakhta hai)Dhadkan mein sadaa tumhari hai
(Karan Lakshmi ke gale lagta hai)Tumse hai chain mera Tumse hai mera karaar
(lakshmi Karan ko daka marke waha se chali jati hai)I love you I love you
(Karan usle piche piche chalne lagta hai)Tadap ke yun bahut na tadapao
(Karan Lakshmi ki sari ka pallu pakad leta hai aur Lakshmi guuse me piche mudti hai)Accha baba chalo hum hi haare
(Karan ek haath se apna kan pakadta hai)Tumne agar dil se mujhe chaaha
(Lakshmi apni sari khichke wapas chali jane lagti hai)Tum bhi to ho sanam mujhe pyaare
(karan wahi pe zameen pe beth jata hai)Mere kareeb aao zara soon bhi lo Dil ki pukaar
(Lakshmi thodi durr jake ruk jati hai)I love you I love you
(karan ki aankh se aanshu behne lagte hai)Mere sona, meri tamanna
(Lakshmi aake Karan ke khandhe pe apna haath rakhti hai)Jhoot nahin hai mera pyaar
(Karan sirf lakhmi ko dekhta hi rehta hai jisne apne dono kan ko pakad ke rakha tha)Deewani se ho gayi galti Jaane do yaar
(karan zameen se uthta hai aur Lakshmi Karan ke aanshu ko pochti hai)I love you I love you
(Lakshmi Karan ke sine lag jati hai)I love you I love you
(Karan Lakshmi ko kas ke pakad leta hai)************************************************************ ************************************************************ *****************************
Yeh sab dekh ke sab log tali bajate hai...........tali ki aawaz se yeh log haqeeqat me aate hai.........
Durga: Lakshmi........ab to tum khush hona..........ab to tum apna sasural nahi chodke aaogi na......
Karan: iski jimedari me leta hoon..........ab main ise kabhi apne aap se alag nahi hone dunga..........
Sarswati: Karan tum bhi aaj ek baat samaj lo.........kabhi ek galatfemi rishtey ko kamzor bana deti hai........vishwas, saath, maan aur pyaar .......yeh chaar shaadi ke atoot rishtey ko mazbut karti hai..........agar isme ek bhi kamzor ho to yeh rista kache dhage ki tarah ban jata hai.......ek pawan ki halki si leher bhi tod deta hai........aaj se ek dusre pe vishwas karna sikho..........
Lakshmi: iski jimedari me leti hoon.......karan dubara aisi galti kabhi nahi karega........aur bhool ke bhi isne aisa kiya na to main ise jaan se mar dungi.....kitna rulaya hai isne muje.......
Karan: apni galti pe main jyada roya hoon.......
Lakshmi: nahi main..........maine sabse jyada tumhe miss kiya......
Karan: nahi maine kiya..........her roz to tumhe milne ke liye tumhare ghar aata tha........
Lakshmi: nahi maine........kyunki maine bhi to tumhara intzar kiya tha........
Karan: maine.....
Lakshmi: maine........
Dev: chup.........abhi ek zagde to khatam kiya nahi ki dusra shuru ho gaya.............
Sarswati: is zagde me bhi tum dono ka pyaar dikahi deta hai........bhagwan kare tum log aise hi khush raho ek dusre ki saath raho.........aaj se tum log ek nayi zindagi shuru kar rahe ho.........aur kisi bhi nayi rah pe chalne se pehle Bhagwan ka aashirwad hona bahot hi zaroori hai........tum log mandir hoke aao.......hum log ghar ja rahe hai.........
Lakshmi: thik hai......
************************************************************ ************************************************************ *****************************
Karan aur Lakshmi mandir pahunchte hai.........
Karan: Lakshmi...........main tumhe kuch dena chahta hoon.....
Karan apni jeb se Mangalsutra nikalta hai........
Karan: us wat tumne mujse yeh rista tod diya tha.........aur galti bhi meri thi..........shayad main hi is ristey ko kabhi samaj nahi paya..........lekin aaj dil se puchta hoon........kya tum mera saath dogi.........kya tum muje isi tarah pyaar karogi..........kya tum meri patni banna chahogi.......
Lakshmi: haa Karan........main apni aakhri saans tak tumhara saath dungi...........main tumhe apne se bhi jyada pyaar karungi........jab apni patni banana chahte ho to khud hi pehnado........
Karan Lakshmi ko Mangalsutra pehnata hai aur Lakshmi Mandir se sindoor lati hai.......
Lakshmi: maine us waqt tumhare naam ka sindoor mita diya tha kyunki woh sindoor ek dhoka tha....maine tumse mere pati hone ke sare hakk chin liye the........lekin aaj main is sidoor ko ek patni ke nate apni mang me bhar dena chahti ho......yeh sindoor se muje ek nayi pehchaan mili hai .........ha karan.........aaj apne haatoin se meri maang is sindoor se sawar do.......
Karan Lakshmi ki mang bhar deta hai.........dono bhagwan ke samne prarthna kar rahe the......
Karan: Hey bhagwan..........aaj mere pass sab kuch hai.........mera pyaar meri lakshmi mere saath hai..........aap se kuch mangna chahta hoon to yahi ki zindagi ki aakhri waqt tak isi tarah hum dono ke beech pyaar bana rahe.........muje Lakshmi ki khushi ke alawa aur kuch nahi chahiye......
Lakshmi:Hey bhagwan..........aaj main phir se suhagan ho gayi........mere sindoor ki raksha karna........muje zindagi se aur kuch nahi chaiye........aap Karan jo bhi mange use de dena kyunki meri khushi Karan ki khushi se hai........
Karan aur Lakshmi dono mandir ke bahar bete huye hote hai...........
Karan: tumne kya manga.......
Lakshmi: agale saat janmo tak main tumhari dulhan banu........aur tumne......
Karan: yahi ki agale saat janmi tak hum dono aise hi ekdusre se pyaar karte rahe.........
Lakshmi: itna pyaar karte ho.....
Karan: yeh to kuch bhi nahi..........apni jaan se bhi jayda pyaar karta hoon..........tumhare liye main haste haste apni jaan.......
Jab Lakshmi apna haath uske hoth pe rakh deti hai........
Lakshmi: zindagi abhi shuru huyi hai aur tum abhi se..........Karan......abhi to hume is zindagi ko jina hai saath milke haste khelte.......agar tum hi muje chod ke chale jaoge to main kaise zinda rahungi..........kyunki main tumse bahot pyaar karti hoon.......
Karan: main bhi tumse bahot pyaar karta hoon...........I love you.........
Lakshmi: I love you too........
Lakshmi aur Karan ek dusre ke gale lagte hai aur aise hi suraj dhal jata hai in dono ke pyaar ka suraj sirf abhi nikla tha.................