Location : Mumbai
Writer of the year award function
Host : hello ladies and gentlemens, swagat hai aap sab ka is award function me. Aaj hum sab yaha ikkada hue hai, ye janane ki kiski kalam me hai wo takat jo duniya ko jhuka de.
Judge : So the award goes to...
Goes to...
NAINAAA...
Crowd (screams) : Naina... Naina...
Naina comes on the stage, receives the award and starts her speech
Naina : hello everyone sabse pehle aap sab logo ko mera bhut bhut shukriya, sach me aap sab logo ke pyar ke bina me ye nhi kar pati. Is sapne ko pura krne ke lie mene bhut mehnat ki hai, aur aaj ise pake mano mjhe meri zindagi ki sbse badi khushi mili hai.
Narrator : Aur iske sath hi naina ne wo haasil kiya jiska sapna usne bachpan se dekha tha, jiske lie na jane usne kitni mehant kitne sacrifice kiye the. Par aaj us award ko hath me leke mano usko uski mehnat ka fal mil gya ho.
" mehnat ka fal meetha hota hai "
Ye baat use us din jake samjh aayi. (End)
Sabhi log khade hokar uske lie khade hokar taaliya baja rahe the aur unme sbse aage tha uska support system yani ki "uska parivar" chacha ji, chachi ji, uska hanuman (preeti), arjun bhaiya, tauji, taiji, rakesh sir, swati even munna and pandit. Sabhi log naina ke lie khush the, ha ha taiji ko chodkar
Naina (inner voice) : Aaj mera sapna pura hua hai. Fir bi na jane kyu me khush nhi hoo, aisa lag raha hai jaise kuch adhura sa hai, kash me past me wapas jakar apni wo galti badal pati to sameer bi yaha hota mere pass hota. kash...(end)
Flashback
Naina and sameer are fighting
Naina : sameer maina keh diya na
Sameer : bas naina is bar nhi har baar tum aisa nhi kar skti ye rishta hmara hai to faisle bi hm dono milkar lenge tum akeli nhi.
Naina : sameer ye mera akhiri faisla hai.
Sameer(anger) : thik hai agar tumhari yahi ichcha hai to me jaa rha hoo.
Flashback end
Naina ka dhyan tutta hai jab bhut se reporters usko gher lete hai tarh tarh ke swal puchne ke lie.
Reporter1 : mam aapne itni kam umar me ye award hasil kiya hai. Kaisa lag rha hai aapko ?
Naina : mene kabhi nhi socha tha ki me ye award jeet paungi, to ye sb kisi sapne ke sach hone se kam nhi hai.
Reporter2 : aap hmesha kehti hai ki " end of a story is the beginning of a new story" to aane wale time me aapki konsi book launch hone wali hai ?
Naina : sach kahoo to ye book mere dil ke bhut pass hai. Yu smjh lijiye ki ye book meri zindagi ko describe karti hai. Islie ab iske baad me kya likhungi mjhe koi idea nhi hai.
Reporter3 : mam aap aaj jis mukam pe hai, uske lie aap kis ko credit dena chahengi ?
Naina : un sabhi logo ko jinhone mere kaam ko itna saraha hai, meri family ko.
Aksar log kehte hai ki " ek kamyab aadmi ke piche ek aurat ka hanth hota hai " par koi ye nhi batata ki " ek kamyab aurat ke piche bi ek admi ka hanth hota hai " jaise mere sath hua...
Mjhe mere tauji ne achi sikh di.
Mere papa mjhe is duniya me leke aye.
Mere chacha ji jinhone zindagi ke har mod pe mera sath diya aur mjhe sapne dekhne ki takat di.
Mere bhaiya jinhone mera khayal rakha.
Aur mere dost munna and pandit jinhone har mushkil wakt me mjhe hasaya.
Aur sam...(With that tears comes in her eyes)
Reporter : aur kon madam ?
Naina : wo.. mai wo...
Tabhi sabka dhyan entrance gate pe jata hai aur naina un swalo se bach jati hai.
Reporters us tarf bhagte hai aur photos lene lagte hai
But jaise hi naina ki nazar us person pe padti hai wo shock ho jati hai aur dhire dhire uske expression shock se confusion and confusion se gusse me convert ho jate hai.
Ji ha wo shaksh koi aur nhi balki sameer tha.
After some time
In a corner naina was standing with deep thoughts. When suddenly she feels someone presence
Narrator : shayad yhi khasiyat thi in dono ke rishte ki, chahe wo kitne bi door kyu na ho ek dusre ke, par ek dusre ke pass hone ke ehsas unhe hmesha ho jata tha. Aur hota bi kaise nhi "kyunki ye un dino ki baat hai jab love nhi ishq hua karta tha"
Naina : tumm... Yaha...?
Sameer : kyu me yha nhi aa skta kya.
Naina : sameer tum ache se jante ho mera matlb kya hai.
Sameer : ohh hello mjhe bi koi shok nhi hai Par tumhari jankari ke lie bata do is award function ke sponsors maheshwari industries hai.
Un dono ne abhi baat krna chalu hi ki thi ki door se rakesh sir ki nazar un dono pe pad jati hai. Aur wo tezi se un dono ki aur aate hai aur aakar kehte hai...
Naina : pa.. pappa.. wo sameer...
Rakesh : are damad ji
Sameer : ji namste.
Rakesh : par beta tum yaha kaise ? Tumhari to important meeting thi na US me ?
Complete Flashback
Sameer naina in there bedroom
Naina : sameer tumhari meeting bhut important hai aur tumhe waha jana hi hoga.
Sameer : nhi naina tumhare award function se jayada important mere lie kuch bi nhi hai.
Naina(in anger) : sameer baat ko smjho, pata nhi me jeetungi bi ya nhi uske lie tum itni badi deal kaise chod skte ho. Nhi tumhe waha jana hi hoga.
Sameer : naina mujhe pata hai ki tum hi jeetogi islie me US nhi ja rha me award function me jaunga.
Naina : sameer maina keh diya na
Sameer : bas naina is bar nhi har baar tum aisa nhi kar skti ye rishta hmara hai to faisle bi hm dono milkar lenge tum akeli nhi.
Naina : sameer ye mera akhiri faisla hai.
Sameer(anger) : thik hai agar tumhari yahi ichcha hai to me jaa rha hoo.
Flashback end
Sameer(looking at naina) : ji wo wha se jyada important kaam yha tha.
Rakesh : kya...?
Sameer : ji wo me is hmari company is event ki sponsor hai to islie mjhe aana pada.
Rakesh : acha beta thik hai par tum yha kyu khade aao na baki parivar se bi mil lo
Sameer : ji aap chaliye me abhi aaya
Rakesh sir leaves the couple alone
Sameer : to mrs maheshwari kaisa laga aapko mera ye surprise
Naina (fake anger ) : sameer tum na baat hi mat karo mujhse, maine kha tha ki wo meeting important hai wha jana.
Sameer : to ek baat tum bi jaan lo, mere lie tumse jayada important koi bi nhi hai yaha tak ki mai bi nhi.
Naina : par fir bi sameer wo deal to important thi na, yhi to sapna tha na nanaji ka ?
Sameer : tum uski tension mat lo, maine unse bolke meeting jaldi karwa li thi abhi flight se hi aa rha hoo sidha. Islie late ho gya. Sorry
Naina : me fir bi gussa hoo tumse
Sameer are par ab maine kya kiya
Naina : tumne mjhe bataya kyu nhi ki tum yaha aane wale ho pata hai main tumhe kitna miss kar rahi thi.
Sameer : acha par maine to tumhe bilkul bi miss nhi kiya
Naina : ha ha tum kyu karoge miss, miss to hme use krte hai jisse hm pyar krte hai tum mjhse ab kaha pyar karte ho
Aur ek me hoo khamkha hmari love story pe book bana dali
Naina's book name : yeh un dino ki baat hai
Sameer : ab man bi jao na please
Naina : nahi pehle mjhe yakin dialo ki tum ab bi mjhse utna hi pyar krte ho.
Sameer : yr ye tum ladkiyo ko har mahine me ye kyu janana hota hai ki hm tumse kitna pyar hai.
Naina : dekha yhi to me keh rahi thi ki tum badal gaye ho tumhe ab me achi nhi lagti tabhi to mere lie kuch special nhi kar sakte tum.
Sameer(now he is angry ) : tumhe na bas mjhme kamiya nikalana ata hai. Me khamkha US se bhag kar aaya tumse milne
With that sameer leaves the place in anger
Naina : dekha sachi me pyar nhi krta mjhse ab
With that naina sat in a corner with heavy heart and sad face, now she feels bad bcoz she behave rudely with sameer even when she know that sameer loves her a lot
Suddenly ek announcement hoti hai
Host : friends aaj ki sham ko khatam karte hai. Hmare sponsor ki speech se, so ladies and gentlemens please welcome mr. Sameer maheshwari
Sameer : hello everyone ye sach hai ki me is event ka sponsor hoo, par aaj me yha ek sponsor ki nhi ek husband ki haisiyat se kuch kehna chahta hoo.
Aap sab ne hmari kahani suni meri beautiful wife mrs naina maheshwari ki book se, par aaj me aapko hmari kahani apni ek poem se sunana chahunga .
" This one is for you naina"
All Lights now on the naina and sameer only
Note : guys this poem belongs to my friend prabal jain. And please don't read it in title track tune of show, read it in normal poem way.
Yeh un dino ki baat hai, jab ishq sacha hua karta tha.
Yeh un dino ki baat hai, jab ishq me padna acha hua karta tha.
Yeh un dino ki baat hai,Jab meri aankhe use dekha karti thi
Aur wo pagli apni padhai me duba karti thi.
Jab uske chehre ki hansi mere man ko lubhati thi.
Aur uski har takleef kaato ki tarh chub jati thi.
Uska har ek ishara mere hosh uda deta tha.
Uske prati mere pyar ki ummind aur jaga deta tha.
Yeh un dino ki baat hai,Yeh un dino ki baat hai
Yeh un dino ki baat hai, jab dil se dil mila karte the.
Yeh un dino ki baat hai, jab fool khila karte the.
jab mohhabat bepanah hoti thi.
Dil me pyar ki intehaa hoti thi.
Aankho me fanah hoti thi.
Aur har sajde me dua hoti thi.
Yeh un dino ki baat hai, yeh un dino ki baat hai.
jab uska pass aana hota tha.
Dhadkan ka tezz ho jana hota tha.
Yeh un dino ki baat hai,
jab uska yu sharmana hota tha.
Mera yu ghabrana hota tha.
Lafzo me haklana hota tha.
Uska dil me bas jana hota tha.
Yeh un dino ki baat hai, yeh un dino ki baat hai.
Yeh un dino ki baat hai, ki jis par fida tha me uski kya ada hoti thi.
Meri jaan se bi jayada wo mjhe pyari hoti thi.
Yeh un dino ki baat hai,
jab uske baalo ka lehrana hota tha.
Mera udti patang sa kat jana hota tha.
Logo ka uske prati wo nazrana hota tha.
Aur mera dil thoda jal jana hota tha.
Yeh un dino ki baat hai, yeh un dino ki baat hai.
Yeh un dino ki baat hai,
jab izhar ka din aana hota tha. Usse milne ka bahana hota tha.
Yeh un dino ki baat hai,
uska mjhse yu mil jana hota tha.
Mera yu sharmana hota tha.
Uska yu ghabrana hota tha.
Saanso ka tham jana hota tha.
Shabdo ka takrana hota tha.
Uska yu muskurana hota tha.
Aur fir dilo ka jud jana hota tha.
Yeh un dino ki baat hai, yeh un dino ki baat hai.
After listening this everyone was in surprise bcoz no one saw this side of sameer the businessman
Sameer : naina I m sorry. Kya ab bi naraz ho mjhse
Naina koi jawab nhi deti. Yeh dekhkar sameer udass ho jata hai aur stage se jane lagta hai.
Aur fir wo hota hai jiski kisi ne imagination bi nhi ki hogi. Shy aur reserve rehne wali naina sbke samne se bhagte hue stage tak jati hai aur sameer ko hug kar leti hai.
And every other person present there can feel the bond between the two couple. They witness true love... And the two beautiful souls found there home in each other arms.
The end