Samaina : os series (part 4 os updated on page 15) - Page 4

Created

Last reply

Replies

118

Views

19.3k

Users

24

Likes

259

Frequent Posters

munchkinland thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#31
Oho phr cliffhanger
bhut galat bat hain
Sameer ki poem bhut achi thi
uske dil ke dard ko ache se byaa kia
naina ka rishta bade ghar se
kaun hain
shelly_nair thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#32
Loved the poem part. Emotional update
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#33

Originally posted by: Rph09

The letter was very emotional. Loved the poem. Kahin sameer ka rishta to nahi aya!!

Thanks yr it really feels good when people appreciate our work. And specially the poem bcoz it takes so much efforts and hard work to write poem which suits the conditions perfectly. All the credit goes to my friend prabal jain 😊
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#34

Originally posted by: munchkinland

Oho phr cliffhanger

bhut galat bat hain
Sameer ki poem bhut achi thi
uske dil ke dard ko ache se byaa kia
naina ka rishta bade ghar se
kaun hain

Sorry jo me bar bar story bich me chod deta hoo, my friend prabal write all the poems of my stories and describe the whole life of sameer in it. And yes this is the os series which show the shayr side of sameer, keep supporting😊
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#35

Originally posted by: shelly_nair

Loved the poem part. Emotional update

I am glad you like it😊
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#36

Part : 2.3 The practical Naina

Thank you so much guys for your response on my story. It really feels great when people like your work. I decide the title of the story "the practical naina" give your views about that as well. And it will be a long one, enjoy your story.

Recap :
Rakesh : bhaisaab wo mujhe pata hai. Par sharad se shadi kyu karna jab hmari beti usse bi bade ghar me ja skti hai.
Everyone : kya matlb ?
Rakesh : are aap sab yakin nhi karenge ki meri naina ke lie ahemdabad ke kitne bade ghar se rishta aaya hai.
Everyone : kiske ghar se... ?

Rakesh : are aggarwal samaj ke sabse ameer aur pratishthit vaykti.
Tauji : ahemdabad me aggarwal samaj ke sabse bade vaykti to...
Rakesh : ha bhaisaab sahi samjhe aap.
Rameshwar aggarwal aur unka beta ashok aggarwal.
Taji : ohh bai rakesh babu tum hosh me to ho. Bhala rameshwar ji tumhe phone kyu karne lage aur wo bi is naina ke rishte ke liye.
Rakesh : kya matlb hai bhabhi ji aapka me kya jhut bol rha hoo, are unhone na sirf mujhse rishte ki baat ki ulta hmare ghar aane ki bi baat ki hai.
Tauji : are par rakesh rameshwar ji naina me liye rishta kyu mang rahe hai. Jabki wo to kisi bi lakh pati ghar se shadi kar skte hai.

Me batata hoo...

Suddenly a voice came from main gate. And everyone turns towards the gate to see who says this.
And there was standing a man. Everyone present at aggarwal house don't have any idea about that man except chachaji. Bcoz he is a friend of anand and a legal advisor of maheshwari industry

Anand : are gupta ji aap yha, aur wo bi is wakt.
Gupta : ha anand ji baat hi kuch aisy thi ki yaha aana pada, kya aapse thodi der baat ho skti hai.
Anand : kaisy baate kar rahe hai gupta ji, aaiye na aap hi ka ghar hai.

And with that gupta ji enters into the house and tells everyone about the latest news.

Narrator : Ahemdabad ke sbse bade udyogpati me se ek aur maheshwari industry ke eklote malik ka yu kahi chale jana koi choti baat nhi thi, kuch hi ghanto me ye khabar aag ki tarh fel gayi thi. Par sach puchiye to log sameer ke jane ke bare me nahi balki uske piche bachi punji ke bare me janna chahte the. Aur iske sath hi ye aag bi fail gayi thi ki sameer jate jate ye sb kuch kinhi teen karibi logo ke naam kar gaya hai. Is aag se aggarwal khandan bi nahi bach paya aur khastor pe ye janne ke baad ki un karibi logo me se ek unke hi parivar ki ladki thi.(end)

Aggarwal khandan ko puri baat batane ke baad gupta ji waha se chale jate hai. Apne piche kuch confuse ,kuch gusse aur kuch khush chehre chodkar.

Tauji(shouts) : NAINAAA...

Naina was too numb to answer any questions but she somehow manage came in the hall where everyone was present.

Tauji : ye kya sun rha hoo me, wo jaiprakash ji ka nati apna sab kuch tumhare naam kyu kar ke chala gya.
Taiji : ne wah aap ab tak nhi samjhe pralay ke papa, is kalmuhi ka chakkar chal rha hoga uske sath, bela main na kehti thi ki sambhal ke rakh in ladkiya ko. Le ab mil gayi aggarwal khandan ki izzat mitti me.
Rakesh : are bolti kyu nhi hai. Saanp sung gya hai kya.
Anand : naina beta batao kya sach hai, dekho daro nhi, jo kuch hai hme batao. Me hoo na tumhare sath.
Naina : ji... Ji.. cha chacha ji ye sach hai.

Preeti who was watching all this. Starts to think of something, so that she can save her sister from this problem.

Tauji : gupta ji bata rahe the ki kisi ladki ka chakkar tha. Naina agar ye sach hua na to yaad rakhna mujhse bura koi nhi hoga.
Taiji : sach bata wo ladki tu hi hai na, are bolti hai ya lagau ek kaan pe.
Preeti : nhi taiji naina wo ladki kaise ho skti hai, ap to janti ho na hmari naina bhut sidhi hai. Aise ulte sidhe kaam wo krne ki soch bi nhi skti.
Rakesh : o preeti ki bachi hame na chala. Agar aise hai to iske naam par sb kuch kyu kar ke gaya wo ameer zada.
Anand : naina beta mujhe tumpe pura vishwash hai. Par beta sameer tumhe hi kyu deke gya sb, ye to mjhe bi smjh nhi aaya.
Preeti : papa ye apko kisne kaha ki wo sb kuch naina ko hi deke gya hai. Aapne gupta ji baat nhi suni shayad.
Sameer ne sirf naina ko hi nhi balki munna aur pandit ke naam bi kiya hai.
Taiji : tujhe kya lagta hai tu aise bolegi aur hm man lenge, are wo munna pandit to hmesha uske sath rehte the par is maharani ko kyu diya.
Preeti : taiji sameer na bhut acha ladka tha. Dosto pe jaan chidakta tha. Aur naina munna pandit hm sb uske best friend the islie, aur wese bi aap to jante ho na ki uske aage piche koi nhi tha islie wo sb kuch apne dosto ke naam kar gya.

Ye sb sunne ke baad sbko thoda bhut yakin hone lagta hai, aur sab shant ho jate hai. Aur rakesh naina ko bachane aa jata hai bich me.

Rakesh : bas kariye bhabhiji. Mujhe meri beti pr pura vishwash hai.
Tauji : par rakesh samaj me kya kahenge hm ki kyu diya sameer ne hme ye sb kuch, biradari me to naak kat jayegi hamari.
Taiji : pralay ke papa , chodo na sab kuch
Pehle ye sochiye ki hum is paise ka kya karenge.
Rakesh : ek minute bhabhi ji. Hum se kya matlb hai aapka ye paisa meri beti ke naam hua hai. Aur me uska baap hoo to islie ye sara paisa mera hua joki arjun ki cricket coaching aur padhai me kaam aayega.
Tauji : rakesh tumse to kuch kehna hi bekar hai. Paisa mila nhi aur tumne sapne dekhna bi suru kar diya.
Rakesh : bhaisaab puri zindagi aap logo ne mjhe taane diye hai, ki me kam kamata hoo par aaj ke baad koi nhi kahega,

Narrator : kalyug me paisa hi bhagwan ka dusra naam ho jayega ye suna to tha par dekha us din. Aggarwal house ke kuch logo ko chodkar sab log lad rahe the paiso ke lie, apne hisse ke liye. Par kisi ko bi ye nhi janna tha ki ek 18 saal ka, bin baap ka bachcha kha hoga. Kaisa hoga, kis halat me hoga.
Duniya ka yhi dastoor bi hai shayad ki yha aadmi se jyada uske paiso ki kadar hoti hai.

Anand : dekhiye wo sb to thik hai. Par sach puchiye to mjhe sameer ki chinta hai. Wo ek bhut hi acha ladka hai. Pata nhi kis haal me hoga kaisa hoga.
Rakesh : are rehne do anand, sb pata hai mujhe kitna acha ladka hai wo, are ek no. Ka nalayak aur battamiz ladka tha wo.
Anand : bhaisaab shaitan to sbhi bachche hote hai. Par uska yuh achanak chale jana...
Rakesh : are anand tumhe nhi pata. Maine padhaya hai usko. Ek no. Ka ghamandi ladka tha wo. Bhut ghamand tha usko apne paiso ka.
Anand : par bhaisaab...(rakesh cut him between)
Rakesh : are aap sab is baat se andaza laga lijiye ki uski mummy tak usko apne sath nhi rakhti uski harkato ki wjh se. Aur sab logo ne suna nhi ki ladki ka chakkar tha are acha hi hua jo us ladki ne use chod diya. Aise battamiz aur matlabi ladke ke sath phans jati puri zindagi. Sach puchiye to wo hai hi iske layak...
Aur bas ab is baat pe koi bhes nhi hogi

Yun to naina kuch bol pane ki halat me nhi thi par uske papa ka kaha ek ek shabad use saaf saaf sunai de raha tha. Ek aur uske sameer ne uski khushi ke lie, uske faisle ka maan rakha tha. Par Jis parivar ke lie usne sameer aur uske pyar ko chod diya tha us parivar ko koi fark hi nhi padta ki naina ki khushi bi mayne rakhti hai ya nhi.

Tauji : par rakesh, par ye to socho ki hm rameshwar ji ko kya kahenge.
Rakesh : bhaisaab main to kehta hoo sharad se rishta tod dena chahie aur rameshwar ji se jod lena chahie.
Anand : sach puchiye bhaisaab to mujhe nhi lagta hai hme rishta todna ke bare me sochna chahie, kyunki aise mai sharad aur uske gharwale kya sochenge ki hme paise milte hi ghamand ho gya hai. Baki jaisa aap thik samjhe.
Tauji : rakesh mujhe bi lagta hai anand thik keh rha hai. Yu rishta todne se kya sandesh jayega hmare samaj me, ki hm log paiso ki lalchi hai.

Rakesh was not happy with decision but he accepted it half heartedly and then he moved towards naina.

Rakesh : tujhe maine hmesha apne pyar se door rkha hamesha tujhpe gussa kiya, maaf kar de beta mujhe.

Naina jisko kabhi apne papa ka pyar nhi mila tha aaj use apne papa ki ankho me wo pyar dikha tha uska dil tut chuka tha par dil ke ek kone me wo khush thi ki akhirkar wo apne papa aur apne parivar ki izzat bachane me kamyab ho gyi. Par iske liye use bhut badi kimat chukani padi.

Naina : nahi... Pa... papa aap aise mat kahiye...
Rakesh : aaj tune apne baap ka sir garv se utha diya. Bata karegi na ye shadi...
Naina : ji...
Taiji : par pralay ke papa ye jo daulat sameer chod ke gya hai uska kya hoga.
Rakesh : bhabhi ji uski chinta aap mat kijiye. Me soch lunga iska kya krna hai.

Later the sharad family also get's the knowledge about the money on naina's name. Aur ye pata chalte hi sharad ke gharwalo ko naina ke andar hazaro khubiya dikhne lagti hai. Whi log jinhone naina ko kam sundar kaha tha aaj wo naina unke liye sbse khubsurat ladki ban jati hai.
Sach hi kha hai kisi ne ki aadmi sundar ya badsurat nhi hota balki ameer ya garib hota hai...

Aur kuch dino ke baad naina ki shadi tay ho jati hai. Aur in sabse bekhabar naina ab bi sameer ke jaane ke gam ko nhi bhula payi thi. Din badin naina apne aap ko kho rahi thi. Jaise cancer apne marij ko dhire dhire kha jata hai thik usi tarh sameer ka naina se door chale jana bi use khatam kar rha tha dhire dhire...

Marrige day, aggarwal house
At Mandap

Pichli bar se kafi kuch badal chuka tha naina ki zindagi me,
Jaise uske lehange ka rang
Kalai ki chudiya...
uske hantho me sameer ki jagah sharad ka naam tha
Nahi badla tha to bas us chere ki udasi.
Uske dil ka dard...

Naina dhire dhire mandir ki sidiyo pe chadti hai. Naina then goes towards anand and look into his eyes with hope.

Naina : chachaji... Me...Me ye sha... shadi nhi karna chahti please mjhe bacha lijiye...
Anand : beta main tera gunhegar hoo. Chahkar bi me ye shadi nhi rukwa skta. Mai majboor hoo. nhi lad paya me tere lie.
Mai janta hoo maine wada kiya tha ki agar tu apne hak ke liye nhi lad payi to me tere lie ladunga aur tujhe tera hak dilwaunga. Par me kya karta parivar ke hantho majbur ho gya hoo me ho ske to mujhe maaf kar dena.

Aur fir wo apne papa ki aur dekhti hai jo sharad ki maa se baat kar rahe hote hai. Is ummid me ki shayad aaj jab uski zindagi ka sabse painful moment hai to shayad uske papa uska sath denge, par har bar ki tarh is bar bi wo naina ki aankho me chupe dard ko nhi dekh paye.

Narrator : Aur iske sath hi naina ki akhiri ummid bi tut gayi. Uske hak ke lie ladne wala koi nhi tha yha, ek tha jise usne khud apne aap se door kar diya tha aur dusre parivar ki wjh se majbur. Naina ye janti thi ki wo kabhi bi is rishte ko dil se sweekar nhi kar sakti thi. Fir bi is rishte me badhne ko taiyar ho jati hai kyunki aakhir me bhale hi uska pyar har gya ho. Sameer usse door chala gya ho. Par uska parivar khush tha. Wo ek lover ke tour pe fail ho gyi thi but shayd ek beti ki zimmedari nibha di thi usne. Bhale hi sameer ka pyar na hasil kiya ho usne par apne parivar aur apne papa ka pyar to hasil kar liya tha. Aaj uske papa khus nazar aa rahe the, aaj uske papa ne use apna liya tha...

Kitni ajeeb baat hai na, hum aaj bi ek aise samaj me rehte hai. Jaha hum ladkiyo ko padhane nhi dete par jab bi hm vidya mangte hai to hme saraswati maa hi yaad aati hai, jo ki khud ek mahila hai.
Hum devi se apni suraksha ki kamna karte hai par ek mahila ko kamzor samjhte hai.
Hum radha krishna ko pujte hai aur prem karne walo ko alag kar dete hai.
Kaisy hai ye duniya...
Kabhi khud sochiye aur vichar kijiye

Aur ankhirkhar naina ki shadi ho jati hai. Kehte hai ki shadi do logo ki hoti hai par yaha to bas ek hi person tha is shadi me kyunki dusra to bhut pehle apne aap ko kho chuka tha...

After 1 year

Narrator : naina apne married life me vyast ho jati hai. Halaki wo ye janti thi ki is shadi se wo kabhi khush nhi ho payegi par fir bi usne wo shadi kar li.
Kehte hai ki agar aapko kisi ko bhulana hai to aap apne aap ko busy rakho.
Aur shayad yahi kiya naina ne bi. She joined the maheshwari industry bcoz she was a major shareholder.
Wo roz apne pati ke sath office aati jati kaam karti, sb kuch ache se sambhalti hai sivaye apne aap ko sambhalne ke.

Sameer ne bhale hi kayi galtiya ki ho apni zindagi me par uska ek faisla bilkul sahi tha. Naina ko shareholder banane ka
Naina apni mehnat se maheshwari industries ko ek nayi uchaiyo tak pahucha deti hai.

Aur aise hi ek din jab naina apne pati ke sath car me office ja rahi hoti hai. Tabi koi uski car ke samne bhagta hua aa jata hai.

Sharad : are kon pagal hai ye jo car ke samne bhag raha hai agar lag jati to.
Naina : sharad ji aap wo sab chodo aur dekho kon hai aur kahi use lagi to nhi.
Sharad : thik hai. mai dekhta hoo

Continue...
Ohhk guys that's it for now. hope you enjoy the update.

Kyu yahi chod doo kya. Pata hai aap logo mujhko mar daloge agar abhi yha choda to islie thoda aur dekh lo

Sharad : are tum thik to ho na. Kahi lagi to nhi na
Person : nahi me thik hoo. Kya mai naina se baat kar skta hoo.
sharad : ha wo andar baithi hai.

Person comes to back seat of car.

Person : ek baat karni hai ?

Naina : are munna tu yha kaise, aur tu thik to hai na lagi to nhi na tujhe.
Munna : ha me thik hoo aur teri ye nautanki dekhne nhi aaya hoo me. Kyunki me tujhe kabhi maaf nhi kar skta. Ek tarf kisi ne apna sab kuch tujhe de diya aur tu itni ehsaan faramosh nikli ki tune wo sab bade hak se rakh liya. Tab kaha gya tha tera hak jab mera bhai sanyas lene ja rha tha.
Naina : I m sorry munna mai...(munna cut her in between)
Munna : mujhe tere ye jhute aansu nhi dekhne, agar tujhe itna hi bura lagta na tu to kabhi aage nhi badti aur na hi business join karti.
Huh me bi kise smjha rha hoo

Naina ki aankho se aansu behne lagte hai ki kaise uske ek faisle ne hm sb ki zindagi badal ke rakh di.

Munna : mai sirf itna batane aaya hoo ki...Jab tu apni zindagi me practical hoke aage bhad rahi thi na to me aur pandit lage the pagalo ki tarh ek kaam me.
Tu bhale hi hmare dost ko chod de aur life me aage badh jaye par mere aur pandit ke lie samay ab bi whi hai.
Kyunki hm ehsaan faramosh nhi hai.

Naina : kya kehna chahta hai munna saaf saaf bata.
Munna : sameer ka pata chal gaya hai.
Naina : KYA...kha hai wo ?
Munna( with heavy voice) : khud aakar dekh liyo...

Continue...

" THE DEATH OF SANYASI" is the next part title.
Tell me about what you thought about this title and what comes on your mind after you read the title.

Finally this part is over guys please like and gives your honest opinions and criticize me if you feel any scene inappropriate or incorrect
Have a nice day


Part 2.4 on page 7

Edited by Yudkbh - 6 years ago
Rph09 thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#37
Oh god 😭 Naina ne shadi kar li 😭 Practical naina is the right title! Feeling so bad for sameer. Sab kuch chod diya phir bhi kuch na mila. I'm not able to guess what will be the next chapter about!! May be sameer will come out from his sanyas.
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#38

Originally posted by: Rph09

Oh god 😭 Naina ne shadi kar li 😭 Practical naina is the right title! Feeling so bad for sameer. Sab kuch chod diya phir bhi kuch na mila. I'm not able to guess what will be the next chapter about!! May be sameer will come out from his sanyas.

Thanks yr atleast someone is reading my story. It is my first attempt so there are various mistakes and immaturity. I am gonna end this story very soon. As you know the next part is " the death of sanyasi. Keep supporting😊
AnjaanMishra thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#39
OMG , naina ki shaadi hogyi 😭
From titkt , death of ssnyasi , I think next part Mai Sameer Sanyas chor dega 😊
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#40

Originally posted by: AnjaanMishra

OMG , naina ki shaadi hogyi 😭

From titkt , death of ssnyasi , I think next part Mai Sameer Sanyas chor dega 😊

Thanks anjaan, and nice guess let's see what happens actually😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".