"Heeelllooo Bengaluru...!! Aap sabka teh dil se swagath hai, aapki FM Radio Zindagi mai, aur aap ab sun rahe hai, aapke favourite RJ Manish ko. Shaam ka waqt hai, aur Bengaluru mai achanak se na jaane kyun, mausam apni rukh badal rahi hai... Yeh tandi hawein humain Bengluru ki barish ke garajane ka, madhur sandesha dete hi jaa rahi hai... Ab mausaum kuch aisa hi ho gaya hai ki, mano jaise koi lalbhagh ya coburn park main, ekh dusre ke bahaon main liptke, baitein rehne wale love birds ke liye tho, yeh ekhdum man chah whether hai... aur sirf lovers ke liye hi nahi...balki chote chote bachu ke liye paper boat banake bahane ke liye... aur khaane ke showkein logo ke liye...garam garam bajjiyan thalke, masala chai ke sath khane ke liye... Yahi tho waqt hai doston..!!
Aaj ke show mai, iss sunhere mausaum ke beecho beech hum kuch deewangi karenge... kuch deewangi sunenge... kyun ki aaj hamre sath studio mai ekh aise shaks honge kuch hi der mai, jinse milne ke liye aur bathein karne ke liye, hazaron log pagal ho jathe hai... agar aap unn hazaron mai se koi hai tho, bilkul yeh mauka gawayeinga nahi.. kyunki yahi zindagi hai... Inse milne se pehle.. aap sab ke liye meri, yaani RJ Manish ke aur se yeh gana..." bas ithna kehthe hi maine apne radio station mai Yaariyan film se Baarish' gaane ko play kiya...aur achanak se mere assistant ko signal kiya, "Sab ready? Wo aa gaye hai station mai?" aur usne thumbs up karke mujhe confirmation diya... maine bhi uss confirmation ko accept kiya aur fir, ghaane ke katam hote hi fir se apne mike pe bolna shuru kiya, "Welcome back doston... I am sure uss ghaane ko sunkar aap sab ka man bhi bechain ho gaya hai... aur kahi aur logon ke man isiliye bhi bechain hai aaj kyunki humare sath abhi iss waqt studio mai muahjudh hai, sabke dilon mai kalbali machane wale, apne bas ekh film se hi desh ke hazaron ladkiyon ke dil chathe banana wale, aur pure desh ke romeo bananwale, hum sabke chethe superstar, young diva, jinone apni pehli shurath kiya movie Romeo' se - Yuvraj Singh!"
Yeh pheli baar mai kissi superstar ko interview kar raha tha apne show mai aur isiliye uss din mai bhi bahuth hi excited tha...aur Yuvraj ka bhi yeh pehla interview tha... Uss din uss show start karne se pehle, na hi mujhe pata tha, aur na yuvraj ko pata tha ki yeh Interview uske ke liye kithni kaas hone wali thi... "So Yuvraj singh! Romeo of India... kaisa lag raha hai aaj apki pehli radio interview mai?" "Bahuth hi kaas! Actually pata nahi tum RJ log kaise manage kar lete ho, bina koi expression diye sirf apne awaz se hi sab convey kar lena..." usne kaha while he tried to make some funny expressions... and then continued, "Dekha abhi maine koi funny expressions kiya, lekin apne fans ko convey karoon tho kaise karron?" I could not control laughing... fir kya tha we had our lines open for the fans to try calling him and he could answer each one of the questions... aur beech beech mai kudh bhi uss se kahi swal karthe gaya, aur wo answer deta gaya! "Yuvraj! Aap ekh aise actor ho jisse hum keh sakthe hai ki self made ho...as in aapka koi celeb background nahi raha hai... tho aise mai, apko kya lagtha hai? Aapne yeh kamiyaabhi pane ke liye bahuth sacrifice kiye hai?"
Yeh swaal punchthe hai, pata nahi kyun Yuvraj ke chehre se achanak rang uttar gaya... Shayadh maine kuch galath poonch liya ho, lekin fir ussne kaise bhi karke, wo smile apne chere mai laake bola, "Well, sacrifice tho har kissi ko karna padtha hai, fir chahe with celeb background ho, ya fir without... Hum kabhi kabaar kissi cheez ko pane ke liye, kahi aur cheezoin ke sath hi sath, wo cheez bhi kho baithe hai... aur shayadh aise hi kissi cheez ko main bhi kho baitha ho!" Usne kaha.. aur mujhe ekh minute ke liye aisa laga ki jaise uske unn words mai bahuth kuch chupa tha... Kuch aisa zaroor koya tha usne apne life mai... Tabi ekh caller ka call aaya..jisse humne pick kiya aur kaha, "Hello... RJ Manish here... so bathiye... aap Yuvraj se kya bath karna chathe hai?" lekin.. uss taraf se sirf kamoshi hi sunayi diya... pata nahi mujhe tho laga ki koi random caller hoga, ya fir network mai koi disturbance ho... lekin tabi maine Yuvraj ke aankhon ekh ajab si curiosity dekhi..jaise ki wo kissi ka wait kar raha ho... jaise ki wo kissi ke kuch kehne ka intezaar kar raha ho...
Fir wo line katane ke baadh... maine fir se apne radio station mai khalbali' Ghana play kiya, kyunki na jaane kyun mujhe aisa laga ki Yuvraj uss call ke baadh bahuth hi bechain ho gaya tha... shayad kissi ne, kuch kahe bina hi bahuth kuch keh diya tha?
"So waise kaha jaaye tho, aap kahi ladkiyon ke dil ke romeo hai, fir kya main poonch saktha hoon ki Yuvraj singh ke dil ki julliet kaun hai?" yeh sawal bahuth hi casual sa tha, lekin achanak Yuvraj ka chera fir se bahuth hi fade ho gaya...pata nahi was it just the nervousness of being on his first radio interview or was there some long story hidden behind such change in expressions... whatever it was, it only made me more and more curious... Kuch silence ke baad usne kaha, "Hahaha (trying very hard to mock a laughter... Which i could very well say was fake) aisa kuch nahi hai... ab takh..!! Yeh Romeo ko shayad abhi koi Julliet mili hi nahi hai... hahahah" yeh kehthe hi..mujhe laga ki it wont really be right for me to continue talking on that topic... aur maine question hi badal diya... "so aapki favourite Ghana kaunsa hai?" aur fir se usne confidence mai kaha, "Lag Jaa Gale... Kyunki iss ghaane mai jo dard hai, jo chaah chupa hai... jo apne kissi ko milne ki chaah hai.. its fabulous.." tabi maine bahar glass pane ke bahar dekha ki, mera boss actually iss se kush nahi tha... he probably wanted me to dig more into the love life of the romeo.. after all isn't that what we be it print media, television media or radio media always want.. the making of the Page 3 gossip..!! Sometimes I dread being in this world.. but later think yahi tho zindagi hai..!!
Ignoring the glares from my boss from outside the studio.. I continued with a smile... "So aaj hum yaha aap sabke favourite radio zindagi mai... sunenge humare romeo ki favourite Ghana.. lag jaa gale.." and i played lag jaa gale... Once the song was over.. we received another call.. and it was again the same..with number with no answer from the other end... and Yuvraj's eyes were as though sensing someone behind that silence... This time we could hear the pattering of rain echoing through the silence..and in midst this the sharp breathing of a girl... Again the line was disconnected. Maine koshish kiya uss cheez ko bhulne ki... lekin na jaane kyun bhul hi nahi paya...Fir se ekh aur baar aise hi wahi number se call aya... Na jaane mujhe aise lagne laga ki Yuvraj aur uss phone karne wale insaan ka zaroor koi tagda formula hai...
Fir humne show bhi katham kiya, aur fir Yuvraj studio se chale bhi gaye. Mera uss rath ko achanak se kaam aa gaya tha, aur isiliye mujhe wahi studio mai hi rukhna pada...Tabi mai kaam hi kar raha tha ki, meri nazar aaj shaam ke show ke call list par padi... maine dekha ki ekh hi number se theen baar call aaye the...
Curiosity tho muj me bahuth thi, tho isiiye maine wo number dial kiya apne phone se, tho tabi kissi aadmi ne answer kiya aur kaha, "Haayllo!! Kaun bol raha hai?".. "Ji yeh kaha ka number hai? Aap kaun janab bath kar rahe hai?" maine pucha.
"Arey aap tho bade hi pagal kism ke insaan hai bhai! Ekh tho, kudh call karte hai, aur fir hum hi se poonchthe hai ki hum kaun hai? Pehle aap bataiye janab, ki aap ho kaun?" uss taraf se uss aadmi ne poocha.
"Ji wo darasal, aaj shaam ko takriban, 6 baje kea as paas iss number se teen call aaye the... janana tha ki wo kaun tha jisne call kiya?" maine poocnha
"Ab isme hum ka kar sakte hai? Yaha tho, din mai kahi log aake call karte hai... Ab kya har kissi ka naam aur pata janenge hum?" usne kaha aur humare kuch aur poochne se pehle hi usne apna phone katt diya. Mai nirash ho gaya aur, fir waha apne kaam mai fir se busy ho gaya, lekin yeh bath abhi mai mere dil mai adhura tha, yeh koi na koi adhuri dastan thi...
Agle din mai apne ghar mai baitha tha aur channel badal raha tha, ki achanak se meri nazar wahi pe tepoy pe rakhi hui newspaper par padi, jisme Yuvraj singh ki nayi tasveer padi thi, aur achanak se TV mai bajne laga wo Ghana "Lag Ja Gale ki phir...ye hasin rath ho na ho...Shayad phir is janam mai...mulakat ho na ho..lag ja gale se..."
Uss din wo sare bathein fir se mere dimag mai chakrane lagi... Mujhe pata nahi tha kyun, lekin aisa laga ki iss gaane ka aur Yuvraj Singh ka koi na koi rishtha zaroor tha, Aisa laga ki jaise yeh Ghana nahi...balki uske zindagi ka ekh aisa raaz ho, jo wo sab se chupa raha ho... iss ghane mai chupa hua dard uske zinadagi ke dard se kam nahi hai...Apne dimag ko shanth karne ke liye, maine socha ki mai evening walk mai chala jaunga... Waise tho weather bhi bahuth hi khoobsurat sat ha...
Wahi paas mai hi, mai chal raha thi ki, wahi park ke corner mai ekh paan wale ka dukaan tha, aur ussi dukaan mai rakha tha ekh phone... Wo paanwale ka awaz kuch jana pehchana sa lag raha tha, aur wahi pe naseedkh park bench pe baithi thi, ekh ladki jo gha rahi thi, wahi gana "Lag Ja Gale"
Uske awaz mai wahi dard chupa tha, jo shayad uss din Yuvraj ke aankhon mai dikha... Mai uss ladki se bath karna chatha tha, uss se poonchna chatha tha ki kya wahi thi jinse uss din Yuvraj se bath karne ke liye phone kiya tha... lekin mujhe samaj nahi aa raha tha, ki mai phuncho tho bhi kaise?
Mere uske pass jane se pehle hi wo ladki utt ke waha se chali gayi... aur mai uske paas jaane hi wala tha ki meri nazar uske chute hui dairy par padi... Ekh brown Dairy jisme lika tha "Suvreen Guggal"... Mai bas uske peeche jane hi wala tha, usse uski dairy lautane ke liye, ki tabi wo kissi auto rikshaw mai baith ke nikal gayi...
Uss rath ko fir maine soch liya ki, mai uss diary ko kholke tho dekhoon, ki aakir uss mai hai kya? Jaise hi maine open kiya, mujhe dikhayi diya, Suvreen aur Yuvraj ka picture jo shayad kuch salon pehle liya tha... Maine page turn kiya aur padne laga:
"Kyun Yuvraj? Kyun? Haan main manathi hoon ki maine kaha tha ki thum bade hi nikamme ho, kyun ki tumare paas koi naukri nahi... Lekin Yuvraj, maine wo sirf isiliye kaha tha, kyun ki main chathi thi ki thum bhi apni zindagi mai kuch bano... Mujhe aaj bhi yaad hai, ki uss rath ko tum ne sabke samne mujhe ghusse mai aake tum mujhe uss function se keench ke bahar le aaye the... Mujhe bahuth bura laga tha... haan kyun ki, mere sare ghar wale the waha pe yuvraj... waha pe tumare family wale the... Papa ne kaha tho tha ki wo meri shadi tumse hone nahi denge... kyun ki wo chathe the ki tum apni zindagi mai kuch karo... wo kaise apni ekh lauthi beti ka hath kisi berozgar insane ko dete? Kaise? Pata hai mujhe ki tumhe unki bathein acha nahi laga tha... pata hai ki tumari ego hurt hui thi... lekin yuvraj mera kya? Kya tumne kabhi socha ki mere andar kya guzar raha tha? Jab se mai choti bachi rahi hoon... tab se hum dono ki shaadi tho tayi hi ki gayi thi... Maine apni puri zinadgi tumhe hi apna ekh lautha dost manke aayi thi... aur agar aaj koi tumhe sabke samne tana maar raha tha, tho tumhe kya lagtha hai mai kush thi? Kyun Yuvraj? Tumhe mere aankhon ke andar ki aason kyun nahi dikhe? Kyun tumhe meri narazgi dikayi diya, lekin mere aason ki khaamsohiyan kyun nahi sunayi di? Haan manthi hoon maine kaha ki, jab tak tum apne zinadagi kuch hasil nahi kar lete, mai tumse milungi nahi... lekin iska mathlab yeh nahi tha Yuvraj ki tum hum sabko chod ke chale jao... kya tumne kabhi mere bare mai socha? Kya tumne kabhi apne mummy papa ke bare mai socha? Nahi Yuvraj... tumne sirf apne bare mai socha... humesha ki tarah.. tum sirf ekh mathlabi insaan banke rahe..."
Mujhe tab yuvraj ki bathein yaad aayi... "...Hum kabhi kabaar kissi cheez ko pane ke liye, kahi aur cheezoin ke sath hi sath, wo cheez bhi kho baithe hai... aur shayadh aise hi kissi cheez ko main bhi kho baitha ho"
Kya Yuvraj ne Suvreen ko hi koya tha? Agar wo Suvreen ke liye hi actor bana, tho fir wo uske paas lauth kyun nahi gaya? Maine todi aur page turn kiye, fir maine Yuvraj ke first advertisement ke poster ki paper cutting dekhi, jo suvreen ne bahuth hi sambal ke rakhi thi... Wo kissi deodorant ki advertisement thi.. aur mujhe nahi lagtha ki kissi ko advertisement dikhtha bhi... aur uske baad likha tha aur maine pada:
"Teen salon tak mai tera intezaar karti rahi Yuvraj.. socha ki aaj nahi tho kal tum aaoge... Mere Mummy papa ke sath sath..maine tumare mummy papa ki dekhbaal bhi kiya.. yaha tak ki choti ki shaadi karwayi.. jo asal mai meri nahi tumari zimedhari thi yuvraj... Haan dekha tha maine tumara advertisement... aur usse dekh ke choti aur mai tumse milne ke liye pagalon jaise dhundne lage.. aur fir pata chala ki tum kisi movie ke set mai ho... aur isiliye tumse milne waha pe bhi aaye... uncle ji ko leke... wahi the tum.. dikh rahe the humain... aur humne tumare aur aane ki koshish kiya, aur pata hai tumare security ne humare sath sath tumare kudh ke pita ko dhake maar ke waha se bahghaya... bhul gaye the hum ki, ab hum yuvraj se nahi.. balki super star yuvrajse milne ja rahe the... Aur issi wajah se meri shaadi kissi aur ke sath tay ki gayi.. kya karti main? Bahuth mana kiya maine... bahuth kaha maine ki main yuvraj ka wait karungi... lekin kissi ne nahi mana... Sab ke Kushi ke liye.. fir se yuvraj maine apni Kushi ko bhula ke shaadi ke liye haan keh diya... lekin shadi wale din pata chala ki wo ladka tho ekh fraud nikla... fir kya tha.. mujh se ladki se shadi karta bhi tho kaun? Humain waha se nikalna pada.. waha se dur.. aur hum aa gaye Bangalore..."
Mere aankhon mai aason bar aayi... aakhir yuvraj suvreen se milne kyun nahi gaya... haan mana ki abhi tho wo nahi jantha hoga ki wo yaha Bangalore mai hai... lekin uss se pehle tho milne ja saktha tha na wo? Fir kyun nahi gaya? Maine page turn kiya aur fir se padne laga:
"Wo Ghana yaad hai Yuvraj? Wahi gana jo uss din function mai, aakri baar humne dance kiya tha... haan wahi Ghana "Lag Ja Gale"... shayad hum dono ka na milna pehle se kahi likha tha... aur shayad isiliye aaj bhi wo ghane mai jo dard...uss dard ko jiya hai maine... Aaj bhi Yuvraj mere rom rom mai... humari wo dance ka ehsaas hai... aaj bhi wo white gown ko maine sambal ke rakha hai... aur har roz mai uss white gown ko bhar nikal ke gale se lagake soti hoon... kyun fir mulkath ho na ho... aa lag ja gale se..."
Maine time check kiya aur dekha ki, Yuvraj ka flight tho already Mumbai ke liye nikal gaya hoga... lekin tabi news channel mai breaking news aaya "Abhi Abhi..Bangalore se Mumbai jane wali flight delay hui hai, kyunki achanak se kissi ne alert bejja hai ki, uss flight mai Bomb hai.. Police abhi investigation shuru karne hi wali hai...Interesting tho yeh bath hai ki, uss flight mai superstar Yuvraj bhi travel karne wale the..."
Kisi ne sahi kaha hai.. ki jab kissi cheez ko puri shidath se pane ki khoshish karo, tho puri khayanath tumhe uss se milane ki shahzis mai lag jathi hai... dekho na... Suvreen ka pyaar aur intezzar ithna sacha tha ki, main aur yaha tak airport authorities bhi jaise jhut gaye the in dono ko milane mai... Maine tabi apni contacts se Yuvraj ke secretary ko call kiya aur usse uss chai ke dukaan ke paas aane ko kaha... wahi mai bhi uss park ke aas paas Suvreen ko dhunde mai lag gaya... tabi pata chala ki uska ghar wahi paas hi mai tha... mai usse convince karke waha bhulaya.. ki tabi waha pe Yuvraj bhi aa gaya.. Tabi Radio mai baja... "Lag Ja gale se...Fir Mulakath ho na ho..." barish hone lagi..aur yeh do premi ekh dusre ke gale se lagke.. rote rahe...
Fir bhi mere man mai bas ekh hi sawal mujhe bechain kar rahi thi... Aakir Yuvraj Suvreen se milne kyun nahi gaya? Tabi yuvraj ke assistant ke paas Yuvraj ke black dairy se gira ekh photo... Maine usse uataya... aur wo photo tha Suvreen ka.. dulhan ke jhode mai... Uske peeche lika tha.. "Suvi der ho gayi mere aane mai... pata hai ki tum ab apni nayi zinadagi ki shurath karne wale ho... Ekh nayi sirre se zindagi jeene wale ho... main iss beech mai nahi aana chatha suvi... Mai tumse bahuth dur jaa raha hoon... Tumhe pane ke khoshish mai... maine shayad tumhe hi ko baitha hoon..."
Mere chere pe ekh choti si smile aayi.. aur main ghun ghunane laga
Hum ko mili hai aaj
Ye ghadiya naseeb se
Je bhar ke dekh leejiye
Hamako kareeb se
Phir apke naseeb mein
Ye raat ho na ho
Phir is janaam mein
Mulakat ho na ho