Is it? Well then its a big compliment for me! Thank you so much,Hena! I'm glad you liked the update!Originally posted by: henamani
ur version is better than the watered down sangeet :)
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 24 Aug 2025 - Season Premier
First glimpse of Dua Padukone! Pics and video inside
CID episode 71 - 23rd August
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 24 Aug 2025 EDT
ARMAN KI JOGAN 24.8
Rathores are here- Gen 5
Restrain order
What’s next for Hrithik Roshan after a hat-trick of flops?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 25 Aug 2025 EDT
Abhira: Life main problems ho chalega lekin Armaan na ho..
Just Casual EMA
Navri’s Love
Yeh Rishta kya Kehlata hai
Agastya's Ikkis to clash with Junaid's Ek din(Nov 7,2025)
Deepika vs Katrina wars…World War 3 👀
Danger Song Copied From Pak Show
No hype this year
ANSHUMAN GONE 25.8
18 years of Heyy Babyy
KSBKBT FF: The broken ties Part1 : Gunjan threatens Bhoomi Pg1
Is it? Well then its a big compliment for me! Thank you so much,Hena! I'm glad you liked the update!Originally posted by: henamani
ur version is better than the watered down sangeet :)
Thanks for the likes & comments! Over to..
Part 114
*The next morning,5:30 a.m.*
Arnav wakes up to the sight of Khushi sprawled on the bed in front of him.
Her arms were wrapped around Arnav's pillow and her head was also resting on it.
Her totally crushed saree told Arnav that the Taekwondo queen must've been in action the previous night!
He smiled as he got off the recliner.
After stretching his arms and flexing his shoulders,he walked up to the bed and quietly slipped in beside Khushi.
Arnav(calls softly): Khushi?
Khushi: umm?
Arnav(tucks her hair behind her ear): Good mornin!
Khushi(sighs): hmmm...
She kisses the pillow and wishes him in a sleepy voice.
Arnav: Main wahaan nahi yahaan hoon!
Khushi: Kya?
Arnav: Aankhein toh kholo,phir pataa chalega!
It takes a minute or so for Khushi to get a grip of the situation.
Khushi(elated): Aap uth gaye?!
She throws the pillow aside & shifts closer to him.
Arnav smiles when she throws her arms around him.
Arnav(kisses her hair): I'm really sorry! Mujhe pataa hi nahi chalaa ki main kab so gayaa!
Khushi: Aap thake huye the na,isiliye. Achchche se soye na? Kahin,beechh raat me,jag toh nahi gaye?
Arnav: Nope!
Khushi: Chaliye,achchhi baat hai! Ab aap saare din,chusti aur sphoorti k saath kaam kar paayenge!
She breaks the hug before pecking his lips.
Arnav: Main toh theek se soya but tumhari aankhein dekhkar lag raha hai ki tum kuch zyaada nahi so paayi.
Khushi(sad face): Kaise so paatein? Aap jo nahi the humare bagal me!
Arnav: Kitni der tak jag rahi thi?
Khushi: Pataa nahi.(cups his cheek) Humein bas itna pataa hai ki hum bistar k kinaare baithkar aapko taktaki lagaakar dekhte rahe,tab tak jab tak humari palkein bhaari nahi hui! Jab humein aisaa lagaa ki humse aur nahi baithaa jaayega tab hum jaakar so gaye. Waise,hum aapse maafi maangna chahte hain! Humari wajah se aapka surprise kharaab ho gayaa!
Arnav: Its okay! Iss me tumhari koi galti nahi hai. In fact,mujhe buaji aur sab se maafi maangni chahiye. Main aise hi oopar aa gaya,bina kisi se mile.
Khushi: Aapko pataa hai? Sabko aapk chune huye tohfe behad pasand aayein! Buaji toh yeh bhi keh rahi thi ki woh aapko phone kar k dhanyavaad kahengi!
Arnav: Aur tumhari favorite ko tumhara chuna tohfa pasand aaya ya nahi?
Khushi: Aaya na! Sirf Lakshmiji hi nahi,naniji bhi tohfa dekhkar khush ho gayi!
Arnav: Great! Agar mujhe office me time mila toh main waheen se buaji ko call kar dunga. But still,jab main ghar aaunga tab tum mujhe remind kar dena.
Khushi: Hum aapko dopeher me hi yaad karvaa denge,kyunki.. aapko toh.. ghar laut-te,laut-te der ho jaayegi na?
Arnav nods.
Khushi: Kya lagtaa hai aapko,kitne baje tak aap waapis aa paayenge?
Arnav: I cant say anythin for sure but.. agar kaam jaldi khatm ho gayaa toh 10 baje tak. Aur.. agar nahi toh 12 ya 1 bhi baj jaayenge. Isiliye,please, tum sab k saath dinner kar lena.
Khushi: Aaj toh waapis aane k baad aapka pehla din hai. Toh.. aaj aap thodi jaldi nahi aa saktein kya? Matlab.. 8 baje tak?
Arnav: Khushi,main school jata bachchha thode hi na hoon jise vacation k baad k pehle din school me half holiday milega!
Khushi: Humne kab kaha ki aap bachchhe hain? Hum toh bas yeh keh rahe the ki.. agar aap 8 baje tak aa jaate toh hum sab k saath khana kha paate.
Arnav: Kal toh humne sab k saath hi khana khaya na? Aaj.. I don think it'll be possible.
A disappointed Khushi goes back to hugging him while burying her face in his chest.
Arnav: Hey?
Khushi: hmm?
Arnav: Kal Sunday hai,right?
Khushi: Ha hai,toh?
Arnav: Toh hum kal family k saath dinner kar lenge,okay?
Khushi: Kal hum Chandni Chowk jaane wale hain.
Arnav: I know par woh toh hum din me jaayenge na?
Khushi: Haan,par jab hum Chandni Chowk jaakar aate hain toh hum ghar par kuch nahi khaate! Humare pet me paani tak ki jagah nahi hoti hai,khaana toh bhool hi jaiyye!
Arnav: Itna zyaada street food khana..
Khushi breaks the hug,ready to defend her favorite hangout.
Khushi(interrupts): Hum kisi aisi-waisi gali k khaana ki baat nahi kar rahe hain! Ek se badhkar ek lazeez pakwaan bante hain wahaan par! Chandni Chowk ka khana khaane k liye log door-door se aate hain! Aapne toh..
Arnav(interrupts): Okay,okay! Relax! Humne.. kal toh sab k saath khaya hi tha na? And.. I'll make it a point to have atleast 1 meal everyday with the family.
Khushi: Par aaj toh woh bhi nahi hoga,kyunki humein mandir jaane k liye jaldi nikalna hoga.
Arnav: Right! I guess ab mujhe nikalnaa chahiye..
Khushi(holds his shoulder): Kahaan jaa rahe hain aap?
Arnav: Relax baby! Main joggin k liye ja raha hoon.
Khushi(hugging him): Aaj.. daud lagaane mat jaiyye na! Please..
Arnav: Jana padega. Tumne suna na dr ne kya kaha? Sugar level high hai. Toh usse control me rakhne k liye exercise toh karni hogi na?
Khushi: Aaj aap humare saath mandir tak chalkar jaayenge toh uss me aapki kasrat ho hi jaayegi na?
Arnav: But thats not enough. Aur walking me utne calories burn nahi hote hain jitne jogging me hote hain. Kal raat ka heavy khaana khaane k baad I desparately need to jog! Varnaa sugar level aur high ho jaayega..
Khushi(sighs): Theek hai,jaiyye. (turns to get up)Hum aapka tracksuit nikaalkar dete hain..
Arnav: Main khud nikaal loonga. Tum so jao..
Khushi: Nahi,ab humein neend nahi aayegi. Aap tracksuit nikaaliye,hum aapki pani ki botal bharkar dete hain.
It was only when she sat up that she noticed the unpleated,dishevelled state of her saree.
Khushi: oh ho!
Arnav: BTW,tum saree me kyun so rahi thi? Nightgown ya chemise pehen leti na?
Khushi(gathering the pleats): Kis k liye pehentein? Aap toh so chuke the. Aur jab hum sone gaye tab humein itni neend aa rahi thi ki humara kuch aur karne ka jee hi nahi kiya! Tab hi toh humne gehne bhi nahi utaare.
Arnav: Aur make up bhi remove nahi kiya. Maine pehle bhi kaha tha,gehne aur make up remove kiye bina nahi sona chahiye. Its not good for your skin. *shifts her necklace* Dekho,tumhari neck par kaise red lines ho gaye hain..
Khushi nods while supressing a yawn.
Arnav: Aaj koi heavy jewellery mat pehenna,okay?
Khushi: Hmm. Aur aap bhi,ho sake toh,tie mat peheniyega. Saari raat sherwani me rahe hain. Aapki gardan par bhi nishaan padh gaye honge.
Arnav sighs when she caresses his neck with her cold fingers.
Arnav: I'm fine. Main.. change kar k aata hoon.
Khushi(getting up): Yaheen kar lijiye. Bathroom me sherwani kharaab ho jaayegi. Hum.. neeche jaakar aapk liye paani bhar dete hain.
Arnav: Tum bhi change kar leti..
Khushi(straightens her pallu): Hum oopar aakar kar lenge. Aap taiyyaar ho jaiyye.
She left the room after saying that.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
*Later that morning*
"Oh no...!",groaned Arnav as he entered the bedroom,post his jogging session.
Khushi(concerned): Kya hua?
The towel,with which she was drying her hair,fell from her hands as she ran towards Arnav.
Khushi: Aap theek toh hai na?
Arnav: I'm fine! Par.. tum..
Khushi(confused): Humein kya hua hai?
Arnav(points to her dress): Tumne yeh kyun pehna hai?
http://www.sweetcouch.com/womens/4969319-yellow-chanderi-cotton-silk-anarkali-readymade
Khushi: Oh,toh yoon kahiye na! Jis tarah se aapne "oh no!" kaha,humein toh lagaa ki aapko kuch ho gaya hai! Itne dinon baad aap daud lagaane gaye na? Toh humein dar tha ki kaheen aapk pair me baitaa na chadh gayaa ho!
Arnav: You still havent answered my question..
Khushi: Honey,aap hi bataiyye? Mandir tak chalkar jaane k liye kya zyaada comfortable hogi-anarkali ya saree?
Arnav: I get your point.
Khushi: Somvaar ko jab hum aapk saath office jaayenge na tab saree pehen lenge,theek hai?
She kisses one of his sweaty cheeks.
Arnav: Okay.
Khushi: Ab aap jaakar naha lijiye. Hum rasoi me ja rahe hain.
Arnav: Fine.
Khushi: Aur suniye..
Arnav: Boliye?
Khushi: Aaj samay mile toh aaj varnaa kal,parso me Lavanyaji se baat kar lijiyega. Unk jaane se pehle hi unki galatfehmi door ho jaaye toh behtar hoga.
Arnav nods as he leaves for the bathroom.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Nani: Chhotey,aap mandir se office kaisan jaayenge?
Arnav: Mandir pahuchne k baad main Akash ko call kar dunga. Jab tak hum darshan karenge,tab tak woh car lekar mandir pahuch jaayega. Phir humlog office chale jaayenge.
Nani: Toh ka.. Khushi bitiya bhi office jaayengi?
Arnav: Nahi nani. Office pahuchne k baad main Mohan ko chaabi de dunga. Woh Khushi ko ghar tak drop kar dega.
Nani: Ee sahi rahega! Hum..
Arnav(interrupts): Mujhe der ho rahi hai,nani.
Nani: Theek hai. Hum baad ma batiyaa lenge aapse. Filhaal,aap office jaakar aaiyye.
Khushi: Chalte hain,naniji.
Nani: Haan bitiya. Sambhalkar jaiyyega. (places a hand on her head)Devi Maiyya aapki sab hi manokaamnaayein puri karengi!
*******
Arnav had a hard time with Khushi on the road.
Arnav: Tumhe kitni baar kehna padega? 1 direction me chalo! Kabhi left chal rahi ho toh kabhi right! What is wrong with you?
Khushi: Oh ho! Ab.. ulte pair chalte waqt thoda-bahut yahaan-wahaan toh honge hi na? Aaj se pehle kabhi ulte pair chale nahi hain hum. Aur aap humari chhodiye aur apneaap ko dekhiye. Humne baar-baar aapse kaha tha ki coat mat peheniye. Aapko garmi lagegi. Lekin aapne humari ek na suni! Ab dekhiye, kaise paseene se latpat ho gaye hain. Abhi toh aadha safar tay karna..
She is about to stumble on a large stone when Arnav catches her.
Arnav: Tum baatein karnaa band karo aur neeche dekhkar chalo!
Khushi: Hum kahaan kuch keh rahe the? Aap hi ne bolna shuru kar diya! Jahaan bolna chahiye tha wahaan kuch bola nahi aur ab yahaan bole ja rahe hain!
Arnav(frowns): What do you mean?
Khushi: Humne aapko Lavanyaji se baat karne k liye kaha tha. Naashta taiyyaar hone tak aapk paas samay bhi tha. Par aapne..
Arnav(interrupts): Main gayaa tha uss se baat karne k liye!
Khushi: Toh aapne humein bataaya kyun nahi? Kya kaha aapne unse? Aur unhone kya kaha?
Arnav(looks away): Kuch nahi..
Khushi(shocked): Kya? Woh aapse rooth gayi?
Arnav: Nahi Khushi! Main.. kuch keh hi nahi paaya..
Khushi: Kyun?
Arnav: Kyunki tab hi wahaan NK aa gayaa. Phir se apni irritating baaton se mera dimaag kharaab karne lagaa..
*Flashback*
Arnav(knocks on the door): Lavanya?
Lavanya looks up from the magazine that was resting on her lap.
Lavanya(surprised): ASR?
Arnav: Andar aa saktaa hoon?
Lavanya: Come on ASR! Yeh tumhara hi ghar hai! You dont need my permission!
Arnav: So,whats up?
Lavanya: Nothing much. You tell me.. Office jaane k liye ready?
Arnav: Ya. uh.. Lavanya..
Lavanya: What happened?
Arnav: Main tumse kuch kehna chah raha tha..
Lavanya: Agar gift k liye ya.. program k liye thank you kehne aaye ho toh..
Arnav(interrupts): Nahi! Main.. Actually, main NK se.. related kuch kehna chahta tha.
NK(entering the room): Haan bolo,mere bhai! Kya baat hai?
Arnav(thinks): Oh hell! Isse abhi yahaan aana tha!?
Lavanya(frowns): NK se related.. as in?
NK: As in mere baare me koi baat,Anya! Kyun Nannav? Aisaa kaunsa saaz hai jo tum reveal karnaa chahte the?
Arnav: Saaz nahi raaz!
NK(holds his earlobe): Haan,sorry! Woh hi,raaz!
Arnav: Main yahaan koi raaz kholne nahi aaya hoon. (hesitates) Main..
NK: Kya? Bolo?
Arnav: Main..
NK: Lakshmi ki tarah mehh.. mehh kyun kar rahe ho? Jus' say it,man! Jo bhi bolna hai jhul k bolo!
Arnav: Jhul k nahi,khul k! Filhaal,mujhe kuch nahi bolna hai! I'm jus.. in a rush. Main office se aane k baad.. tum se baat karunga. Excuse me..
*Flashback ends*
Khushi: Banti baat bigaad kar aa gaye aap! Toh kya hua agar Nanheji wahaan aa gaye? Unk saamne hi keh dete..
Arnav: Woh chup rehta toh main kuch bolta na!
Khushi(holds his hand): Achchha,shaant ho jaiyye. Nanheji ki gairhaazri me bolna chahte hain toh.. hum 1 kaam karenge. Kal hum kisi baahaane se Nanheji ko rasoi me bulaayenge aur unhe wahaan baaton me uljhaaye rakhenge. Aap utni der me Lavanyaji se baat kar lijiyega.
Arnav: Tumhe usse uljhaane ki koi zaroorat nahi hai! I'll manage..
Khushi(shrugs): Jo aapko theek lage.
She lowers her gaze to the road and resumes walking backwards while chanting Devi Maiyya's name.
She was interrupted by Arnav a few minutes later.
Arnav: Aage bus stop aa raha hai. You wanna sit for 5 minutes?
Khushi shakes her head while chanting Devi Maiyya's name under her breath.
She's surprised when Arnav stops her after a minute or so.
Arnav: Ruko..
Khushi: Humein nahi baithna hai!
Arnav(thru gritted teeth): Bachchhe aa rahe hain. You wanna bang into them or what?!
Khushi turns around to find two girls,in school uniforms,staring at her.
The younger one spoke up when Khushi smiled at them.
Younger girl: Aunty,aap aise kyun chal rahe ho?
Khushi: woh.. Beta, humne mannat maangi hai na? Isiliye humein mandir tak aise hi jana hoga.
Younger girl(frowns): Mannat kya hoti hai?
Before Khushi could explain,she heard a voice from the other side of the road.
"Bus aa rahi hai,beta!"
Khushi turned towards the other side of the road to find a woman in her thirties with a white pug at her heels.
Younger girl: Mujhe school jana hai. Bye aunty! *calls out* Bye mumma! Bye Snoopy!
The dog barks and runs across the road till the divider.
Younger girl(shocked): No Snoopy!
The pug gets scared when a jeep passes by.
Woman(yells): Snoopy! Come back!
As soon as the road is clear,it runs all the way across to where the younger girl was standing.
Khushi shifts closer to Arnav and grabs his hand as they dog sniffs her.
However a smile appears on her lips when she hears the little girl scolding her pet.
Girl: Bad boy! Aapne road kyun cross kiya? High(injury) ho jaati toh?
The older girl calls her from the bus.
Older girl: Shaalu! Chal jaldi!
In the meantime the mother walks towards them and the dog starts running the moment it sees her.
Mother: Snoopy,wait! (to the girl)Beta,tu ja varna bus wale uncle chillayenge!
Khushi watches the dog running farther as the mother runs after it.
Finally the mother catches hold of it and takes it in her arms.
The way the mother holds the dog reminds Khushi of Lakshmi.
Khushi: Jab Lakshmiji kho gayi thi aur humne unhe sadak par dekha tha,tab hum bhi unhe aise hi uthaakar ghar laaye the. Par Devi Maiyya ki kripa se, Lakshmiji itni tezi se nahi daudi thi!
Arnav: Ab aage chalein?
Khushi: Ji..
She let go of his hand and resumed walking.
Arnav stopped her again after 5 minutes.
Khushi: Ab kaun hai?
Arnav(points behind her): Khud hi dekh lo!
Khushi turns around to find 3 cows walking towards her.
Khushi: Oh,yeh?! Yeh kuch nahi karengi!
Arnav: Still,side par hat jao..
They move aside and allow the cows to pass.
Khushi: Waise,gaay maata k darshan ho gaye iss ka matlab mandir nazdeek hai.
Arnav: Tumhe kaise pataa?
Khushi: Kyunki mandir k baahar kayeen log gaay-bhaison ko chaara daalte hain. Isiliye mandir k aas-paas aapko kayeen sari gaayein aur bhaisen nazar aayengi.
Arnav: I see.. Phir toh humein carefully chalnaa chahiye.
Khushi: Aapk hote huye hum carefully na chalein,aisaa kaise ho saktaa hai!?
Arnav: Enough! Ab chalo..
Khushi resumed chanting Devi Maiyya's name while taking slow steps backwards.
As per the plan,Arnav called Akash the moment they reached the temple.
By the time they were through with the darshan,Aakash had already reached the temple.
They found him waiting outside as they descended the stairs.
Khushi: Yeh lijiye prasaad..
Akash(smiles): Thanks Khushiji!
He turned to Arnav after having the prasaad.
Akash: Chalein bhai?
Arnav: Sure! Chalo Khushi..
Khushi nodded and followed them to the car.
Once the car halted in the parking lot of AR,Akash got down first.
Arnav(turns to her): Bye!
Khushi was conscious of the fact that Akash was standing outside.
Thus she smiled at Arnav even though she wanted to hug him.
Khushi: Mannat poori karvaane k liye shukriya!
Arnav(pats her cheek): Its okay!
After a brief eyelock,Arnav left with Akash while Khushi sat staring at their retreating backs.
Khushi: Ho sake toh.. jaldi aaiyyega.
She checked herself as she saw Mohan approaching the car.
Mohan(smiles): Namaste bhabhiji!
Khushi: Namaste Mohanji! Kaise hain aap?
Mohan: Hum theek hain. Aur aap?
Khushi: Hum bhi.. theek hi hain. a.. Lijiye prasaad..
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
*Later that day,7:30 p.m.,Arnav's cabin*
Akash: Bhai?
Arnav(looks up from the laptop): Haan Akash?
Akash: Mohan ko main Shantivan bhej raha hoon,Paayal ko laane k liye..
Arnav(smiles): Tumlog movie dekhne jaa rahe ho?
Akash: Nahi bhai. Paayal.. mere liye dinner lekar aa rahi hai.
Arnav nods.
Akash: Main keh raha tha ki.. Aap bhi uss k saath ghar chale jaiyye. Waise bhi aap subha se kaam kar rahe hain. You need a break now..
Arnav: Yes,I need a break and (smirks)you need to spend some time with her!
Akash gives a shy cum embarassed smile in reply.
Arnav: Tumne usse office me dinner laane k liye kyun kaha? You could've taken her out..
Akash: Nahi bhai. Actually,pregnancy ki wajah se Paayal baahar ka khana prefer nahi karti hai. So..
Arnav: Oh,okay. By the way,how are things with her? I hope the baby's fine?
Akash(smiles): Ya,the baby's fine,bhai. Ek hafte baad uss ka first ultrasound hai. (smiles)We're looking forward to seeing the baby!
Arnav(smiles): Thats great! I'm really happy for you both!
He walks over to Akash and hugs him.
Akash: Thanks!
Arnav: Tum Mohan se 10 minute baad car nikaalne k liye kaho. I'll jus' pack up in the meantime..
Akash: Sure!
Arnav(thinks): I should be home by 8.30. (smiles)Khushi mujhe dekhkar bahut khush ho jaayegi! Sab k saath dinner bhi kar lenge aur phir..
He smiles to himself as he shuts down his laptop.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
*Later that evening*
Arnav tiptoed towards the bedroom, expecting to find Khushi unpacking or doing some other work.
He secretly hoped that he would get to hear her singing.
He was,therefore,shell shocked to find her sitting on the edge of the bed grasping the cordless phone
with both hands.
There were tears in her eyes & on her cheeks.
"Aapne humein pehle kyun nahi bataaya,amma? Kab hua yeh sab?"
Arnav's heart lurched upon hearing these words from Khushi's mouth.
Had something happened to babuji? Or was it.. buaji?
He nearly ran towards the bed,startling Khushi in the process.
Arnav(hand on her shoulder): Kya hua Khushi? Babuji.. theek hain?
Khushi nodded briefly before gesturing him to sit next to her.
When he sat down,she rested her head on his shoulder.
Khushi: Haan,amma.. boliye. Humein kisine kyun nahi bataaya? Aur babuji iss waqt kahaan hain?
Amma tried her best to pacify her daughter in a soothing tone.
Amma: Saant hui ja,bitiya. Tohre babuji kal der raat ki bus se hi Lucknow ko ravaanaa hui gaye. Bhaisa'ab ka dehaant kal dopahar ko hui gayaa. Neend maa hi oo k praan nikal gaye.
When Khushi closed her eyes an image of the ever smiling Tanveer chachaa popped up in her mind.
Arnav,meanwhile,wrapped his arms around Khushi & waited for the phone call to get over.
Amma: Tohre babuji ko kaal saam ko hi pataa chal gaya tha. Par tohri saadi ki saalgiraah ka jasan hone wala tha ae hi liye oo chup rahe. Humko bhi ghar pahuchne k baad pataa chalaa,bitiya.
Khushi: Toh aap humein tab hi bataa deti na amma.
Amma: Hum tohko bataakar tohko dukhi naahi karnaa chaahte the. Humne toh ab tak Payalia ko bhi naahi
bataaya aur.. hum toh ee hai soche the ki.. tohko bhi,tohre babuji k aa jaane k baad ahi bataayenge.
Khushi: Par aapki aawaaz ne aapko dhoka de diya! Achchha hi hua jo humein pataa chal gayaa. Humein unka
phone number yaad nahi aa raha hai. Aap zaraa likhvaa dijiye. Hum aaj hi chachi se baat kar lenge.
Amma: Rahne de,bitiya. Huaan mehmaan aaye honge aur bhabhiji vyast hongi.
Khushi(interrupts): Aap number toh likhvaaiye,amma. Hum kal savere unn se baat kar lenge..
Amma(sighs): Theek hai,bitiya. Jaisi tohri marji.. Par sun..
Khushi(interrupts): Samajh gaye. Jiji ko filhaal kuch nahi bataayenge..
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Once the call ended,Khushi turned to Arnav & hugged him tight.
Arnav gently ran a hand through her hair whilst giving her a few moments to compose to herself.
Arnav(breaks the hug): Kya hua hai,Khushi? (cups her face) Kisi ki.. death ho gayi?
Khushi(nods): Tanveer chachaa ki. Humne aapko bataaya tha na? Lucknow me humare ghar k bagalwaale ghar me..
Arnav(interrupts): Ya,I remember. Kya hua tha unhe?
Khushi: Unhe kayeen saalon se sugar ki beemaari thi. Aur kuch samay pehle dil ka rog bhi lag gaya tha. Operation toh karvaaya tha par tabiyat me kuch khaas sudhaar nahi aaya. Pichchhli baar jab humari chachi se baat hui thi tab woh bataa rahi thi ki unk ilaaj par bahut paise kharch kiye par.. parinaam(result) waisaa nahi aaya jaisaa aana chahiye tha. Pichchhle kuch mahinon me chachaa k saath chachi ne aspataal k kayeen chakkar lagaayein, unki khoob seva ki,apni or se jo mumkin hua woh kiya lekin.. (sighs)phir bhi woh unko nahi bachaa paayi.Shaayad.. dil ka dauraa padhne se hi woh.. neend me chal base.
She pauses to release a shaky breath.
Khushi: Jaante hain Arnavji? Chachaa humein apni bitiya maante the. Aur humare liye bhi woh babuji jaise hi the. Woh ghar k baahar kursi
lagaakar ghanton baithkar akhbaar padhte rehte the. Jab bhi hum aate-jaate nazar aate,toh humein apne paas bulaate the.. Humse baatein karte the,haal-chaal poochhte the.. Hamesha unk hothon par muskuraahat aur naak par chashmaa lagaa rehta tha!..(sighs) Kaash humare Lucknow jaane tak woh.. zinda rahein hote toh hum.. aakhri baar unse mil lete.. Unk pair chhoo lete.. unka muskuraata hua chehra dekh lete..
Arnav kisses her after hugging her close.
Khushi: Amma keh rahi thi ki humein dukhi hone k bajaaye yeh sochna chahiye ki unko moksh mil gayaa..
Arnav: I think she's right. Woh kaafi dinon se suffer kar rahe the. It mustve been painful for him.. Aur unki family k liye bhi unk treatment k expenses ko bear karnaa aasaan nahi raha hoga. Besides,nani kehti hain ki jinhe neend me maut aati hai unhe dard nahi hota hai. Woh suqoon se chale jaate hain. Nanaji k saath bhi.. yeh hi hua tha.
Khushi lifted her head to gaze at him with a tear stricken face.
Khushi: Nanaji ko kya hua tha?
Arnav: Multiple health problems the.. Medicines ki wajah se unki body pehle se hi kaafi weak ho gayi thi aur.. (gulps) ultimately succumb kar gayi..
Khushi: Uss samay aapki kya umar rahi hogi?
Arnav: Almost 21.. Main Harvards' me padh raha tha jab.. yeh sab hua.
Khushi(cups his cheek): Yeh sab sunte hain na toh.. humein aisaa lagtaa hai ki.. kaash uss waqt hum aapk saath hote jab nanaji ka dehaant hua tha! Aur kaash aap humare saath tab hote jab phuphaji chal base the ya jab naniamma chal basi thi! Ya jab.. humare amma-babuji.. (pauses)Agar hum dono bachpan se hi ek saath hote kitna achchha hota!
Arnav holds her hand & kisses it.
Khushi: Humein toh phir bhi gharwaalon ka sahaara tha ,par aap? Aapko sahaara milta toh bhi aap nahi lete! Kyunki aap sahaara dene k maamle me ped jaise hain aur sahaara lene k maamle me paahaad jaise hain!
Arnav(frowns): What do u mean?
Khushi: Jaise ped sabko phal,phool aur chhaaya deta hain waise aap sabko sahaara dete hain. Lekin jab sahaara lene ki baat aati hai tab aap paahaad jaise ho jaate hain. Ped toh phir bhi jhuk-kar bagalwaale ped ka sahaara le letaa hai par pahaad toh na jhukta hai na hilta hai! Aandhi aaye chaahe toofaan aaye,waise ka waisaa khadaa rehta hai! Jaise aap! Andar se chaahe kitne bhi dukhi kyun na ho,baahar se paahad ki tarah mazboot rahe honge..
Arnav(nods): Main pehle aisaa hi tha par ab nahi hoon. (squeezes her hand)Ab toh mujhe bhi sahaara mil gaya hai! (smiles)So,ab main bhi ped ban gaya hoon!
Khushi kisses the back of his hand.
Arnav(wipes her tears): Ab tum moonh dholo. Come on..
Khushi: Pehle humein Devi Maiyya se dhang se praarthna toh kar lene dijiye!
She stands in front of the idol with closed eyes & folded hands.
Khushi: Hey Devi Maiyya! Tanveer chachaa ki aatmaa ko shaanti dijiyega! Humne kabhi bhi jaane-anjaane me unka dil dukhaaya ho toh hum uss k liye maafi maangte hain!
Arnav: Jinhe jana tha woh toh chale gaye,Khushi. Agar tumhe Devi Maiyya se kuch maangna hi hai toh jo peechhe reh gaye hain unn k liye maango.
They're the ones who'll have to live with his absence now..
Khushi nods before praying for his family.
Then Arnav scoops her in his arms & carries her to the bathroom.
Khushi: Kyun?
Arnav(placing her on the bathroom floor): Kyun matlab?
Khushi: Matlab yahaan bathroom toh kamre k andar hi hai. Phir aap humein godh me uthaakar yahaan kyun lekar aaye?
Arnav: Kyunki mujhe lagaa ki filhaal (tweaks her nose)iss ped ko sahaare ki zaroorat hai!
Khushi hugs him once again.
Arnav(pats her back): I know how you're feeling,baby. But go easy on yourself. Kal raat ko tum waise bhi theek se soyi nahi ho. Tumhari aankhein jal rahi hongi,I'm sure. Ab itna ro-ogi toh tumhari aankhon ko aur taqleef hogi.(breaks the hug)Main nahi chahta hoon ki tumhe aur taqleef ho! (kisses her parting)Main change kar leta hoon tab tak tum bhi fresh ho jao. Phir hum khana khaane chalte hain.
Khushi nods before he leaves the bathroom.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Khushi barely eats anything for dinner.
Arnav does not force her either.
Arnav: Om Prakash..!
OP: Ji bhaiyya?
Arnav: Khushi k liye garam doodh me haldi aur khadi shakkar daalkar lekar aao.
Everyone is surprised when he says that.
Anjali: Chhotey,tumhe yeh sab..
Arnav: Di,jab flight me mujhe neend nahi aa rahi thi tab Khushi ne mujhe iss nuskhe k baare me bataaya tha. (turns to Khushi)Aaj tumhe achchhi neend ki zaroorat hai. Aur hopefully yeh nuskha tumhare kaam aayega.
Nani: Aur jaun kaam naahi aaya taun bhi aap tau honge hi bitiya k saath!
Arnav: Of course,nani!
Nani: Jaiyye bitiya,aaraam se sui jaiyye. Aur Paayal bitiya ki tanik au chinta naahi kijiye. Hum sab ma se kauno bhi oo ko aap chachaa ki maut ka samaachaar naahi dega. (turns to Manorama)Hum theek kahat hai na Manorama?
Mami: Hum tau pahile hi aapan lips k seal kar diye hain,sasuma!
Nani: Hmm. Chhotey,le jaiyye bitiya ko.. Aur Om Prakashji,aap doodh eelogan k kamre tak pahuchaaye dijiyega.
OP: Ji naniji.
*****
Arnav kept the empty glass on the bedside table before turning to Khushi.
Arnav: Ab tum let jaao..
Khushi: Suniye..
Arnav(cups her cheek): Kya hua?
Khushi: I'm sorry!
Arnav: Kis liye?
Khushi: Kal raat humne oopar aane me der kar di aur aap.. so gaye toh.. hum sambandh nahi banaa paayein. Aur.. aaj raat toh..
Arnav(interrupts): Come on,Khushi! Tumhe lagtaa hai ki aaj tumhari haalat dekhne k baad main sex k baare me sochunga bhi?
Khushi: Nahi,humara woh matlab nahi tha!
Arnav: Phir tum sorry kyun keh rahi thi? Kal jo hua ya aaj jo death hui hai uss me tumhari koi galti nahi hai,okay? So dont say sorry for that!
Khushi: Achchha,hum nahi kahenge. (arm around him)Aap humse naraaz mat hoiyye na!
Arnav: Main naraaz nahi hoon. Chalo,ab tum so jao.. You need to take rest..
He lies down next to her after switching off the lights.
Khushi immediately leans closer to him & wraps her arms around his neck.
Arnav gathers her to himself before covering them with the quilt.
He pats her head and runs a hand through her hair alternately till she falls asleep.
He falls asleep shortly thereafter.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Precap:
Khushi: Aap SUV lekar Chandni Chowk ki galiyon me nahi ghus paayenge.
Arnav: In that case hum Mercedes Benz lekar chalte hain..
Khushi: Bazaar me itni mehengi gaadi lekar jaayenge?
Arnav: Toh phir kaise jaana hai?
He speaks before she could utter a word.
Arnav: Ab yeh mat kehna ki rickshaw me jaana chahti ho!
Khushi: Aapko rickshaw me nahi jaana hai toh na sahi! Hum metro se chalte hain!Waise bhi, humein metro me baithe huye bahut waqt ho gaya hai.
Arnav(doubtfully): Met.. ro se? Chandni chowk tak?
Khushi(non-chalantly): Haan! Hum kaunsa Chandigarh jaane ki baat kar rahe hain! Chandni chowk tak hi toh jana hai! (holds his hand)Chaliye na, metro se chalte hain.. (excited) Badaa mazaa aayega!
Arnav: Tumhe toh har cheez me mazaa aata hai!
Kindly ignore typos & mistakes. Translation will be up tomorrow night. Next update on Sunday,30th November.
Pic used for illustrative purpose only.
Credit for pic goes to Google & respective uploaders.
Credit for outfit goes to respective designer.
Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...
703