farisss4 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#1
Dard-e-gham ka mausam jab aata hai,
Muskurahaton se bhi dard chalkata hai,

Lahu ke ashq bhi behte hain,
Saason me toofan sa uthata hai,

Dard-e-gham ka mausam jab aata hai,
Unke saath guzra har lamha yaad aata hai,

Jo hum fana hue to koi azooba nahi,
Ye to aksar aashiqi me dekha jata hai,

Meri maut ka gham na karna mere chahne walon,
Ye Dard-e-gham hume saath liye jaata hai.....


Arz Hai,
Dil ka dhadakna jaari hai tere jaane ke baad,

Tu bhi khush hai apni duniya basane ke baad,

Ye baat aur hai ke ab jeena wo jeena nahi,

Hum aaj bhi Gham-deeda hain tujhe bhulane ke
baad......



Arz Hai,

Yakeen ban kar log zindagi me aate hain,
Khwab ban kar aankhon me sama jaate hain,

Pehle to yakeen dilate hain k wo hamare hain,
Phir na jaane kyon tanha chhod jaate hain.....



Tere ishq me agar wo baat na hoti,
Khwabon me bhi tujhse mulaqat na hoti,

Ye tere ishq ki wajah hai ki mera wajood hai,
Ye ishq na hota to meri zaat hi na hoti....



Arz Hai,

Pyaar wo Noor-e-chashm hai jo kabhi bharta nahi,
Ye wo rehm-o-karam hai jo khuda sab pe karta nahi,

Ho ke dekho kabhi mere ishq me giraftaar,
Ki tere bin ab ye waqt bhi guzarta nahi....



Mujhe is baat ka gham nahi ke mere chahne wale
bewafa nikle,

Ye bhi nayi baat nahi ki humne wafa ki-Wo bewafa
nikle,

Mera gham ye hai ke jise humne khud se jyada
chaha,

Wo hi mere kaafile ke lutne ki wajah nikle....


Zindagi me kuch pal aise bhi ayenge,
Jab hum tumhare saath na reh payenge,

Tum maayus na hona un raahon par,
Hum dil me honge bas saath na chal payenge..... ..


Arz Hai,

Hansi ne labon pe thirakna chhod diya,
Khwabon ke sapne sajana chhod diya,

Ab to hichkiyan bhi nahi aati,
Shayad Aapne hume yaad karna chhod diya.....



Arz Hai,

Teri khamoshi me bhi ek sada si lagti hai,
Tere bagair zindagi bewafa si lagti hai,

Ab aa bhi jao ki zindagi kam hai,
Tu nahi to khushiyan humse Khafa si lagti
hain.....



Arz Hai,

Shayar-e-fitrat hoon main,zikr fermata hoon main,

Rooh ban kar zarre-zarre me sama jata hu main,

Aa ke tujh bin is tarah aye dost ghabrata hu main,

Jaise har ek shay me kisi shay ki kami paata hu main,

Teri mehfil-tere jalwe, Fir takaza kya suroor,

Le utha jata hu zalim,le chala jata hu main,

Haye ri majburiyan tark-e-mohabbat ke liye,

Mujhko samjhate hain wo aur unko samjhata hu main,

Ek dil hai aur toofan-e-hawa hai jigar,

Ek sheesha hai k har patthar se takrata hu main........ .


Tumse to kam gila hai ziyada naseeb se,
Pachana bhi na mujhko wo guzre kareeb se.

Dekhta hu kuch dhyan rahta tu hai.
Aajkal mere haalat ha ajeeb se.

Ek dil hi to faqat daulat thi meri,
Wo bhi tune cheen liya mujh ghareeb se.

'Kavish' ajab si kashmkash di hai khuda ne mere,
Ishq mujhko ho gaya mere raqeeb se.


Created

Last reply

Replies

2

Views

9.1k

Users

2

Frequent Posters

farisss4 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#2
guyz this is mailed to me from my frend...i loved it so though of sharing it with u guyz... 😛
~Anji~ thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#3
Very nice...but i am gonna have to move it to SOS section...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".