AsYa (KaBhi) FF Chance One In A Milion Thread #3 - Page 10

Created

Last reply

Replies

355

Views

55.6k

Users

59

Likes

608

Frequent Posters

Chahat_A_Doshi thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 11 years ago
#91

Originally posted by: aYASHIKA

Eagerly waiting for update...

9 more minutes

Chahat_A_Doshi thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 11 years ago
#92

Chapter 12

For Zoya to see tears in Asad's eyes was a rare sight. He had only broken down in front of her once when he told her about his childhood. To see Asad sob like this for a child which was not his, Zoya had never imagined that she would witness such a day. Yet just a few minutes ago Asad Asad cried bitterly and said, "Main doosri baar apne bacche ko kho nahi sakta... main doosri baar use khona nahi chahta..." Asad left after letting these words slip out of his mouth. Zoya wondered "Inka doosri baar' kehne se kya matlab tha?"

Zoya sat on her bed and pondered on Asad's feelings. Asad very well knew the child growing inside the womb of Zoya was that of Tariq's, her flirtacious ex - lover. Tariq turned out to be a good for nothing blackmailing b******. That was the reason all of a sudden in order to save her abbu's wealth and reputation Zoya entered into a contract marriage with her abbu's loyal right hand man Asad. And now that she was trying to get rid of the seed of that poisonous snake Tariq from her body forever, then why was Asad crying?

Asad had gone away to his room. Asad and Zoya's bedroom were adjacent to each other. They had consummated their relationship but had not begun to sleep in the same room. That was the basis and truth of her and Asad's contract marriage. Zoya got up and went towards Asad's room. The door was slightly opened. Zoya entered slowly into Asad's room. Asad was sitting at his study table with his face hidden between his hands crossed on the table. The slow up and down movements of his back and the sounds of convulsive gasps told all to Zoya. She realized that his crying hadn't stopped as yet. She went and placed her hand on his shoulder and gently squeezed his tightened shoulder muscles. Asad looked up at her. She saw that his eyes were welled up and tears rolled down his cheeks and there was helplessness in his eyes, pain and more than that there was plead in his eyes which often could be seen in a beggar's eyes. Yes he had a literally begging look in his eyes.

"Zoya, please iss bacche ko rehne dijiye." Asad continued, "Uss nanhi si jaan ne aapka kya bigada hai?" "Kya bigada hai?" There was a heat and sharpness in Zoya's words as if she were speaking after eating a jar of spicy red chillies. But the very next minute she controlled her anger. She took a deep breath and then exhaled. She was now calm. "Asad aap samajhte kyun nahi. Main Tariq ki iss aakhri nishani klo humaare beech se mitakar sir aur sirf aapki hokar rehna chahti hoon. Main nahi chahti ki mere guzre kal ka saya humaare aaj aur aane wale kal par ho. Asad, mere liye ye baccha nahi hai, uss shaitaan Tariq ka kaala saaya hai. Wo jab tak meri aankhon ke saamne palkar bada ho raha hoga mujhe lagega ki uss zehreele saap ka sapola bada ho raha hai. Ye baccha khilkhilakar hans raha hoga toh uski masoom hansi mein mujhe... mujhe uss raakshas ki shaitaani hansi sunayi degi. Agar ye masoom shararatein aur masti karegega toh bhi mujhe usmein ek gunda ek badmaash ek black mailer dikhayi dega. Asad aap samajhte kyun nahi? Main iss bacche ko kabhi bhi pyar nahi kar paaoongi."

"Bacchon mein tameez aur tehzeeb paidaishi nahi hoti, Zoya. Koi apne janam se shaitaan ya farishta nahi hota. Aas paas ka environment or uske ammi abbu ki parvarish use accha ya bura banati hai." "Muhavra sunne mein accha lagta hai." Zoya said sarcastically. "5th standard ki notebook mein sundar handwriting mein likhkar floral design se decorate karne layak. Par use asal zindagi mein implement karna itna asaan nahi hota. Agar main mann mein uske liye ghrina (disgust) aur dhikaar (shame) feel karoongi toh main kaise usse..." Zoya stopped midsentence. She thought that there was no point in arguing about it with Asad. She stood up. "Dekhiye. Kal subah main abortion karwa rahi hoon, ye baat pakki hai. Aap mere saath ho ya na ho, samjhe?" "Jee." Zoya dashed out of Asad's room. Asad was still where he was. He had not moved a centimeter from the chair. When Zoya came out of Asad's room she paused for a moment. She did not ask about the thing she had come to ask... She turned back.

"Suniye, abhi thodi der pehle jo aapne kahaa wo..." "Jee tameez aur tehzeeb ke baare mein..." "Nahi, wo nahi, uss se pehle." "Bacche ke kasoor ka..." "Nahi uss se pehle!" Zoya said irritatedly. "Mere bedroom mein kya bol gaye the aap?" "Jee, yaad nahi." "Kya aur kaise yaad nahi hai? Bolte bolte kaise bacche ki tarah sisak sisak kar ro rahe the! Bole the na ki aap doosri baar apne baache ko kho nahi sakte." Asad looked down guiltily. "Boliye, bole the ki nahi?" "Jee." "Toh ye doosri baar' ka kya matlab hai?" Asad was still standing with his eyes frozen towards the floor. He said while stil looking downwards. "Sorry, doosri baar aisa nahi boloonga." Zoya was irritated and angry to the very core. She felt like slapping Asad out of his yes, no, sorry mode. Kaise school student ki tarah behave kar raha hai ye aadmi?' But Zoya controlled her anger. She went closer to Asad. She placed her palm on one his right cheek and made him face her. She then cupped his face in her palms and with her thumbs wiped the tears flowing down his cheeks. She gave him a sweet smile and kissed him on the forehead like she was kissing a small child. "Kya baat hai Asad? Apni biwi se bhi nahi kahenge?" Asad who was still sitting on the chair at his study table began sobbing hysterically. Asad was sobbing hysterically and Zoya pressed his head to her stomach and ran her fingers through his hair... She pressed his head to her stomach the same place where that life was growing, whom Asad wished Zoya to give life and bring into this world.

**

It was now 11:30 pm. Asad was finally done crying. He had now calmed down and was ready to tell everything in detail. Zoya was listening with concentration. "Zoya, main kya kahoon? Kahaan se shuru karoon? Meri poori zindagi aapke abbu ki yani ki mere abbujaani ki meherbani se hai. Zoya kya aapko lagta hai ki main ek accha insaan hoon? Ek nek dil insaan hoon?" "Asad ye bhi koi poochne ki baat hai? Aap iss duniya ke sabse acche insaan hain aur nek dil bhi. Par aap aisa kyun pooch rahe hain?" Asad looked at Zoya and thought he needed to remind her of another child who had a bad father and bad blood ran through his veins but with a good upbringing had become a model citizen and a good human being.

"Maine aapko mere ateet ke baare mein kadvi yaadein batayi jab tak main abbujaani se nahi mila tha... yaad hai aapko jo sab maine aapse kaha tha?" Zoya remembered Asad reveal his painful past like it was yesterday. His words played in her ears as if he were telling it to her at that moment. "Main jab teen saal ka tha tab ammi ne meri chhoti behen ko janam diya. Najma, meri tamatar. Wo na jab born hui toh ek dum red red thi bahut cute thi meri tamatar. Wo... when she was one year old toh wo bemaar thi, mere abbu kisi kaam ke nahi the, din bhar sharaab aur ayaashi mein mashgul rehte the. Ammi kaam karti thi par unke paas itne paise nahi the ki wo Najma ka ilaaj kara sake. Najma humein chhodkar chali gayi... Najma ki be wqat ki hui maut ko ammi bardaasht nahi kar paayi... dheere dheere wo bhi beemar rehne lagi aur jab main 5 saal ka tha unka bhi inteqaal ho gaya... Main bilkul akela ho gaya tha... par mere abbu ko koi fark nahi pada. Ammi ke jaane ke teen mahine baad unhone doosra nikaah kar liya. Mujhe laga mujhe meri ammi wapas mil gayi... Meri jo nayi ammi thi na... nahi wo meri nayi ammi nahi thi wo toh sirf mere abbu ki biwi thi... wo meri ammi kabhi nahi ban payi... main unke room ke bahar parde ke peeche se unhe dekhta ki shayad ab unhe mere hone ka ehsaas ho aur wo mujhe gale se lagakar meri ammi ki tarah mujhe pyar kare par main sautela tha aur aisa kabhi nahi hua...

Jab main akela tha tab mujhe unse pyar nahi mila phir ek saal baad unka beta Ayaan uska janam hua khud ka beta ho th sautele ko kaun dekhta hai. Mere abbu bhi meri taraf dekhte nahi the... agle do saalon mein unhe do betiyaan hui Nikhat aur Nuzzhat. Tab tak main 8 saal ka ho chukka tha... Abbu kuch kaam nahi karte the... Apne bacchon ki parvarish acche se ho iss liye mere abbu ki doosri biwi Shireen ne meri school ki padhai band karwa di... par mujhe padhna tha... Main kuch nahi kar paya chhota tha na... Ek din abbu kisi ko le aaye aur mujhe unse saath bhejna chahte the... Wo aadmi accha nahi tha maine suna abbu ne mujhe use bech diya aur wo mujhse ghar ka kaam karwayega... Wo mujhe agli subah lene aane wala tha... main raat ko hi ghar se bhaag gaya... Do dino tak bhuka pyasa main sadakon ki khaak chanta raha... ek din bhook se behosh hokar ek car ke saamne aane hi wala tha ki kisi ne mujhe beech sadak se kheechkar apne gale se laga liya... Jaise ammi ne kaha tha meri zindagi mein wo farishta baknar aaye...

Abbujaani, mere abbujaani... aapke abbu... Wo bhi tanha the aur main bhi... humaare saath ne ek doosre ki tanhayi ko door kar diya. Aapko yaad hai jab hum pehli baar mile the aur aapne mujhse poocha tha ki mere abbu kaise hain... Kyunki jabse main 8 saal ki umra ka tha tabse wo mere liye abbu ban gaye the... Unhone mujhe ghar diya, khana, kapde, education, protection, pyar wo sab diya jo ek baap apne bacche ko deta hai aur dena chahiye... Zindagi mein pehli baar mujhe ye pata chala ki jab aabu ho toh kaisa lagta hai... Main sirf unka right hand man ya unka the go to man nahi par unka beta tha... Ye room guest room nahi Zoya ye mera room tha... Isi bed par na jaane kitni raatein unhone jag kar mere liye lori gayi... jab main bure kwaab se darr kar jag jaata toh mujhe thapki dekar sulaya hai... uss study table par mujhe padhate the... Main unki zimmedaari, unki aulad, unki khushi sab tha aur wo mere..."

Zoya stared at Asad with tears. He too had tears in his eyes remembering the painful past once again. "Asad kyun unn dard bhari yaadon ko yaad kar rahe hain? Bhool jaaiye sab kuch." "Nahi Zoya, insaan ko kabhi nahi bhoolna chahiye ki wo kahaan se aaya hai. Main aaj jo bhi hoon uss dard ki wajah se hoon. Jitni bhi galtiyaan ki jitney bhi gunaah kiye wo sab mere ateet ki wajah se hai. Par phir bhi main ek accha insaan hoon abbujaani ki parvarish ki wajah se. Mera khoon bhi toh kharaab tha mere abbu bhi toh bure the par aap maanti hain na ki main accha hoon. Toh aap ko iss baat ka yakeen kyun nahi hai ki ye baccha humaara bachha bhi accha hoga." "Asad mujhe iss sab ke baare mein baat nahi karni. Mujhe nahi chahiye ye baccha. Main ise pyar nahi sirf dhutkaar doongi. Ek bacche ko iss duniya mein lakar use acchi zindagi na dena uss se nafrat karna isse bada aur koi gunah nahi ho sakta aur main ye nahi karna chahti." "Ek bacche ko uske paida hone se pehle maar dena ye bhi toh ek gunaah hai na? Yakeen maaniye mera Zoya uss gunaah ke bhoj tale jeena asaan nahi hai. Main roz jee raha hoon uss bojh ko apne dil mein liye."

"Asad aap kya kehna chahte hain meri kuch samajh mein nahi aa raha. Kiss bacche ki baat kar rahe hain aap? Please mujhe sab kuch bataiye." "Zoya abbujaani ne mujhe sadak se uthakar ghar diya, pyar diya, acchi parvarish di, acche se acche school mein padhaya sab kuch kiya jo wo apni khud ki aulaad ke liye karte. Zoya wo ek anaath bacche ko paal rahe the par kabhi bhi ehsaan nahi jataya. Unhone mujhe har mod par choice di, jo main chahta tha wo karne diya. Jab mujhe choose karne mein mushkil hoti toh wo mujhe samjhaate ki kiss raah par chalna mere liye best hoga..." Asad paused momentarily. He felt a lump in his throat. "Zoya main aapse ye sab issliye nahi keh raha ki main aapko jataoon ki mera aur abbujaani ka rishta aapke aur unke rishtey se zyaada mazboot tha. Main iss liye keh raha hoon taaki main aapko ye bata sakoon ki sirf paidaish se rishtey nahi bante dil se bhi bante hain aur dil se jo rishtey bante hain wo rishtey bahut mazboot hote hain. Zoya abbujaani ne mere liye jo kiya hai main uske liye bahut ehsaan mand hoon par shayad hi main kabhi unke ehsaano ka badla chuka sakoon. Aapne mujhse jab contract marriage ki baat ki tab mujhe faisla karne ke liye aadhe second bhi sochne ki zaroorat nahi padi thi. Par aaj itne saalon ke baad main abbu banoonga iss khayaal se sirf bacche ki khatir main selfish ho gaya tha..."

Zoya had no idea about Asad's this reason for agreeing to marry her. She looked at Asad. There sat a simple man in front of her, she thought that simple people like Asad had such deep meaning for the word loyalty'. In the name of loyalty they had so many deep secrets hidden inside them. On the contrary loyalty' for the young men her age what did it mean for them?... Just a word they heard in filmy dialogues. Asad continued. "Main padhai mein accha tha iss liye abbu jaani mujhe bahut padhana chahte the aur mujhe bhi padhna tha. Mujhe Bhopal ki best school mein admission mila. Har Saturday wo mujhe apne saath office le jaate. Main unhe kaam karte dekhta aur mujhe wo sab seekhna tha jo unhe aata tha main bilkul unke jaisa banna chahta tha. Par pata nahi tha ki unke jaisa banna itna asaan nahi hai. Jaise jaise main bada hote gaya wo mujhe kuch kuch office ka kaam sikhate aur main ghar par practice karta. Har Sunday wo mujhe apne saath uss orphanage mein le jaate jahaan wo social work karte the. Unhone mujhe kabhi nahi kaha ki wo mujhe wahaan kyun le jaate the. Shayad wo mujhe ye sikhana chahte ho ki iss duniya mein har baccha Asad nahi hota jise koi abbujaani mile, iss liye humein unke liye kuch karna chahiye. Unhe meri har baat acchi lagti thi sirf ek shikayat thi ki main dost nahi bana paata tha. Ek din unki ye shikayat bhi door ho gayi..."

Zoya was curious to know who was Asad's one and only friend. She had never met him nor had Asad spoken of him. She saw a glint in his eyes on mentioneing his friend but then tears started streaming down his cheeks once again. "Asad kya baat hai aap abhi ek second pehle khush the aur phir se... Mujhe apne dost ke baare mein bataiye na..." "Har Sunday main aabu jaani ke saath yateemkhaane mein jaata tha. Maine 10th ke boards mein bahut accha perform kiya tha. Abbujaani kitne khush the kitna proud feel kar rahe the. Jis din mera result aaya tha uss din Sunday na hote hue bhi hum orphanage gaye the. Uss din wahaan ek ladki ko laaya gaya tha. Zoya she was 15 years old. Wo wahaan se bhaag kar aayi thi... Wo log uss se zabardasti wo sab karwana chahte the... Wo wo sab nahi karna chahti thi iss liye himmat karke wahaan se bhag aayi... uss dokhaj se... Kisi se baat nahi kar rahi thi... Ek corner mein chup chap baithi thi... Maine abbujaani aur orphanage ki warden ki baatein suni... Main uske paas gaya..."

**

Zoya looked at Asad and was confused about the girl. She had run away but from where? Who was she? Is she still friends with Asad? She was looking for answers and Asad began to tell her about one more incident of his past. Asad along with his abbujaani was visting the orphanage after his 10th standard results had come out. He had done very well and Gafur was extremely happy and proud of his son, Asad. They had gone to the orphanage to distribute sweets and books for Asad's achievement. There a girl was rescued and brought. Asad had seen her but did not know what her problem was. He overheard his abbujaani and the warden speak about the girl. Zoya saw a dreaded look on Asad's face as he spoke. He once again repeated his words. "Zoya she was 15 years old. Wo wahaan se bhaag kar aayi thi... Wo log uss se zabardasti wo sab karwana chahte the... Wo wo sab nahi karna chahti thi iss liye himmat karke wahaan se bhag aayi... uss dokhaj se... Kisi se baat nahi kar rahi thi... Ek corner mein chup chap baithi thi... Maine abbujaani aur orphanage ki warden ki baatein suni... Main uske paas gaya..." "Asad aage kya hua? Bataiye mujhe main hoon na. Kaun thi wo ladki? Kahaan se aayi thi? Kya hua tha uske saath?"

"Main uske paas jaa raha tha tab mere kaano mein wo saari baatein goonj rahi thi jo maine uske baare mein suni thi. Zoya, wo ladki wahaan se bhaag aayi thi... wo wahi par paida hui thi par wo wo kaam nahi karna chahti thi jo uski ammi kiya karti thi... Uski ammi ke inteqaal ke baad wahaan ki owner usse bhi wahi karwana chahti thi... Uski ammi ke jaane se jo kamai band ho gayi uss jagah ki owner uss ladki se karana chahti thi... Zoya wo ladki wo sab nahi karna chahti thi... Wo ek acchi ladki thi... unn sab auraton se alag jo wahaan rehti thi... Wo log use... Zoya uska dard mera jaana pehchaan tha... Main use samajh sakta tha... Maine bhi wohi saha tha jo usne... Jab main uske paas pahuncha toh maine uski aankhon mein dekha... Uski aankhon mein ek chamak thi..." The last words that Asad said made Zoya remember a sparkle she had seen in someone's eyes. Could it be?' She wondered but she had to be sure she had to hear it from Asad. "Zoya jab main uske paas baitha toh usne palak jhapkayi... Shayad use mujhe mein apna koi apna dikha ho... Shayad usne mera dard mehsoos kiya ho... Pata nahi kya tha par kuch toh tha uski aankhon mein jab main uske paas gaya..."

"Kaun thi wo Asad?" "Saira... Wo Saira thi Zoya... Zoya tab main use samaj saka... main bhi usi dard se guzar chuka tha... Main mehsoos kar sakta tha... Jab koi aapko bechna chahta ho toh kaisa feel hota hai... Jab aap kaid se choot kar azaad ho jaate hain toh kaisa lagta hai... Humein samajh nahi aata ki humein kaisa feel karna chahiye... Humein sad hona chahiye ki humaara koi apna humein bechna chahta tha ya khush hona chahiye ki hum kaid se chootkar azaad ho gaye... Yehi batein maine uss se kahi... Wo samajh sakti thi... Maine use kahaan ki waqt ke saath sab theek hoga. Jab usne poocha kaise?', tab main use nahi bata paya ki main bhi iss dard se guzar chuka tha... Main abbujaani ke saath har Sunday orphanage mein jaata... Dheere dheere main aur Saira dost ban gaye..." "Oh toh aapki pehli friend Saira thi?" "Hmm... Jab pehli baar use dekha toh use aur uske dard ko samjha phir kyun nahi samjha maine use saalon ke baad? Kyun kiya maine uske saath aisa? Dost thi meri wo, meri biwi bani, usne mujhe sab kuch diya par maine use diya toh sirf dard aur dardnaak maut..."

**

"Asad aisa kyun keh rahe hain aap? Main nahi maanti ki aap kisi ko dard de sakte hain. Aur maut? Uska toh sawaal hi paida nahi hota." "Zoya insaan ek pal mein kya kar de ye koi nahi jaanta. Aap ab tak mujhe jaanti nahi hain..." "Main jaanti nahi toh mujhe janna hai Asad. Aaj kuch mat rakhiye apne andar. Aap kya hain kaise hain iska faisla mujhe karne dijiye." Asad continued. "Jaise jaise main bada hota gaya abbujani mujhe aur padhate gaye. Meri umra ke saath mujhpar office ki zimmedaariyaan bhi badhti rahi. Abbujaani mujhe office ka har kaam business ki har bareeki khud sikhaate the. Unhone mujhe har department mein lowest level se kaam karwana shuru kiya. Aise mat dekhiye Zoya, unhone mujhe lowest level se kaam karwaya iss liye nahi ki main unko apna beta nahi tha balki iss liye ki main unka beta tha. Wo humehsa klehte ki top level par pahunchne ke liye insaan ko lowest level se shuru karna chahiye. Business man ko business ki har bareeki ka pata hona chahiye taaki koi uske saath dhoka na kar sake. Unhone mujhe business ki har baat sikhayi aur zindagi ki bhi... par shayad main hi zindagi ki baatein seekh nahi saka..."

Zoya patiently waited for Asad to pour his heart out to her. She motivated him to tell her everything. "Abbujaani ne mujhe padhaya, likhaya, apne pairon par khade hone ke layak banaya, mujhe wo sab diya jo ek baap apne bte ko deta hai. Badle mein mujhse kabhi kuch nahi maanga. Mere post graduation ke baad ek din bilkul jaise abbu apne bte se haq se kehte hain waise mujhse haq se kaha, Asad ab tumhe nikaah kar lena chahiye'. Unhone mujhse poocha agar koi ladki ho toh main unhe bata doon, par koi nahi thi. Meri zindagi mein abbujaani aur mere kaam ke alawa aur kuch bhi nahi tha. Unhone mere liye Saira ko pasand kiya aur humaara nikaah ho gaya. Saira ek bahut acchi aur nek dil ladki thi. Sweet and simple, next door girl jaisi. Nikaah ke baad abbujaani ne humein 2 BHK ka flat dilwaya, pata nahi kyun? Kya zaroorat thi? Hum yahaan bhi toh reh sakte the? Bekaar mein flat ke paise waste kiye. Waise property mein invest karna accha tha abhi maine sell kiya falt kaafi acche price mile. Par humein wahaan kyun bheja?"

Zoya giggled when Asad asked this. "Asad abbu bhi jaante honge ki aapka aur Saira ka akela rehna zaroori tha kyunki agar aap yahaan rehte toh abbujaani abbujaani karte rehte biwi par dyaan hi nahi dete. Agar abbu ke rehte humaara nikaah hota toh wo mujhe bhi aapke saath aapke ghar bhejte. Aur bataiye na..." Zoya was not interested in knowing about Asad and Saira's happy married life, she just wanted him to once and for all tell her everything that troubled him. She wanted to take away all his troubles.

"2 BHK ke ghar ko Saira ne apne haaton se sajaya. Wo uska pehla apna ghar tha. Bahut khush thi wo. Wo khana bahut accha banati thi. But mere favorite murg mussallam aur baingan ka bharta banana use nahi aata tha. Sharmindgi aur bahut sorry feel karti thi wo uss baat ke liye. Mujhe kuch samajh nahi aata tha ki wo aisa feel kar rahi thi. Ek Sunday usne bahut darte hue mujhse ye baat kahi. Main shocked tha ki wo itni si baat ke liye darr rahi thi. Hum dost the nikaah se pehle toh mujhe bata sakti thi... Shayad use mujhe disappoint kar dene ka darr tha... Na jaane kyun? Aaj sochta hoon Zoya toh uski feelings ko samajh sakta hoon par tab nahi samajhta tha main kuch bhi. Pehli baar jab usne baingan ko sigri par seka tab uski ungli jal gayi thi. Main jab tak office se nahi laut aata wo balcony mein khadi hokar mera intezaar karti... Maine kai baar use kaha ki mera intezaar na kare, use waqt se khana khakar so jaana chahiye par wo kabhi maanti hi nahi thi... Mera intezaar karti, mere ghar aane ke baad pehle mujhe garamgaram khana khilaati aur baad mein khud khaati... Mujhe accha nahi lagta tha ye sab par use lagta tha issliye phir maine use mera intezaar na karne ke liye kehna band kar diya..."

Asad's eyes moistened. He stopped to adjusted the placing of the only couple photo' placed on his study table. "Humaare nikaah ko 3 mahine ho gaye the. Saira khush thi aur main khush tha ki Saira aur abbujaani khush the. Saira ne kabhi mujhse kuch nahi maanga. Jo tha usmein khush thi, uska apna ghar tha, shauhar tha... wo sab tah uske paas jo kabhi uski ammi ke paas ya unke jaisi aurtaon ke paas nahi hota... Wo sab tha uske paas jiske sapne dekhne ki ijaazat use bachpan se nahi thi par phir bhi usne wo sapne dekhe aur uske wo sapne poore hue. Bas ek cheez ki kami thi use... ek bacche ki. Aapko pata hai na main har cheez mein homework karne ka aadi hoon... Main har taraf se pakka hona chahta tha ki humein jo baby ho wo tandarust ho... Khaaskar Najma ki beemaari aur mere abu ki wajah se... Maine mere test karwaye the baby ko plan karne se pehle..." Asad stopped. He could say no more. Zoya had fallen in love with the man she thought he was what if she would hate him or look down upon him when he told her the truth. He had lost everyone in his life and now he could not lose Zoya. Zoya saw that Asad was figuring out what, how much and how should he tell her the rest of the truth. She gave him a peck on his forehead and an encouraging smile. Asad got the boost he needed to continue and Zoya now paid more attention to what Asad had to say.

"Medical reports ke mutabik ek male ke sperm count average ejaculation ke according motility 20 to 150 million hote hain, par mere count sirf 15 million the. Maine uss poori baat ko mere naseeb samajhkar bhula diya. Zindagi ne mujhe bachpan se kai ghum diye the... Ye ek ghum aur sahi... Aur isiliye main Saira se nahi keh paya ki wo ek cheez jo usne mujhse maangi wo main use nahi de paaoonga. Main uss se wo ummeed nahi ccheen na chahta tha ki wo ek din ammi banegi. Main toh ghumzada tha use kyun main ye ghum doon? Aage jo hoga wo dekha jayega yehi sochkar main din guzaarne laga. Dhai mahine baad Saira ne mujhe ek shock diya..." "Shock? Kaisa shock Asad?" "Saira ne mujhse kaha ki main abbu banne wala hoon. Wo pregnant hai!" Even Zoya was shocked on hearing this. Seedhe saadhi zindagi jeene wale behcaare Asad ki iss news se kya halat hui hogi?'

Asad too was narrating the same. "Zoya, ek pal ko main chakkar kha gaya. Mere dimaag ne kaam karna band kar diya tha. Jise maine apna dost mana, seedhi saadhi dikhne wali tameez aur tehzeeb ke daayro mein rehnewali ladki mana wo wo aisi nikli? Itne saalon ki humaari dosti, 5 and a half months ki shaadi mein jise maine wafa di usne mere saath bewafaai ki? Shaq, dhoka, naklipan, chalava... aisi sab feelings mere mann mein lagatar ek storm create kar rahi thi... Pehle toh yakeen nahi hua par phir uska guzra kal, wo jahaan paida hui, pali badi, uski ammi ka guzra kal wo sab mere mann mein toofaan uthane lage... I thought you can take a person out of a place but not the place out of the person... Mera bartaav Saira ki taraf dheere dheere badalne laga... Bechaari ka 3th month tha... Aisi halat mein unn dino mein use sabse zyaada mere pyar ki mere saath ki meri care ki zaroorat thi, tab main lagatar use disgust ki feelings se dekhta use ignore karta raha. Zindagi mein jo pyar mila uss se kahin zyaada dard mila tha mujhe.

Ek din mujhse raha nahi gaya, maine uske moonh par keh diya ki, Tum badchalan ho! Tum unhi auraton jaisi ho jinse tum bhagkar aayi ho! Tumne mujhe dhoka diya hai! Tumhaare andar jo baccha pal raha hai wo mera ho hi nahi sakta!' Uski halat aisi ho gayi mano maano jaise uss par bijli giri ho ya kisi ne uske kaano mein acid pour kar diya ho. Maine use mere medical reports dikhaye... Wo lagatar roti rahi. Mere pairon mein girkar mujhe samjhaati rahi thi ki tann se toh kya usne kabhi mann se bhi mere saath bewafai nahi ki... Par maine uska yakeen na kiya toh na hi kiya... Zindagi mein itne dard aur dhoke mile the ki main sach aur jhoot ki pehchaan karna bhool gaya tha... Agli subah mere office jaate waqt phir usne mujhe yakeen dilaane ki koshish ki... Maine use yehi kaha ki maine uss se nikaah kiya hai. Abbujaani uss se bahut pyar karte hain. Unhone mujhe Saira ki zimmedaari di hai iss liye wo mere ghar mein reh sakti hai par ab se humaara koi rishta nahi hoga... Shaam jo jab main office se lauta toh building mein bheed jama thi... maine aage jaakar dekha toh... Saira ne ghar ki balcony se koodkar suicide commit kar liya tha..." Asad's eyes welled up. Keeping the photo frame aside he got up from the chair and sat near the window.

"Zoya, uss din maine apna pehla baccha kho diya tha. Mahino tak ye sochta raha ki Saira guilty thi iss liye usne suicide commit kiya... Par ek din jab main apni files samet raha tha mere haaton mein dobara meri report aayi... Uss din report ko dobara padha tab mujhe doctor ke cabin mein unki kahi hui baat yaad aayi... Main bahut mayoos ho gaya tha reports dekhkar kyunki baar baar Saira ka chehra meri aankhon ke saamne aa raha tha... Wo bahut excited thi bache ke liye... Doctor ne mujhse kaha tha... Mr. Khan, fikra karne ki koi baat nahi hai, 15 million toh kya 5 million ya 2 million sperm count ho toh bhi kudrat par bharosa rakhna chahiye, kyunki medical science khud kehta hai ki conception ke liye 1 hi sperm ki zaroorat hoti hai. Hum doctors maante hain ki kabhi kabhi One In A Million Chance kam kar jaata hai..." Asad once again collapsed on the chair. "Zoya, Saira ka wo One In A Million Chance lag gaya tha! Wo baccha mera khud ka tha! Par mere mann mein jo saalon se pyar na milne ki insecurities thi aur mere mardana gumaan ne Saira ki qurbaani le li..."

Asad brought his tell all to a conclusion. "Zoya, main poori zindagi ek machine ki tarah jeeta raha. Meri ammi, tamatar, aur Saira ke jaane ke baad mere pass sirf ek reason tha jeene ke liye aur wo reason abbujaani the...Abbujaani ke inteqaal ke baad main bhi tootkar bhikhar gaya hota. Par abbhujaani ki prayer meeting ki shaam aap ne mujhe jo offer di usmein mujhe mere jeene ki nayi wajah mil gayi... Ye baccha... humaara baccha hoga... mera baccha hoga..." Zoya stared at Asad. Kiss mitti ke bane hain Asad? Saira ek brothel mein janmi, pali, badi, wahaan se bhagkar aayi... Ek taraf itna sab bol diya par brothel' ye shabd nahi bol paaye aur doosri taraf uspar itna ghatiya ilzaam laga diya? Itna dard saha hai Asad ne? Itna tadpe hain wo pyar ke liye? Kitna mushkil raha hoga unke liye wo waqt aur wo bhi jab unhe sach ka pata chala hoga. Ek taraf mujhse itni mohabbat karte hain, meri taraf aur abbu ki taraf unconditionally loyal hain aur doosri taraf ye personal' condition rakh rahe hain ki main iss bacche ko janam doon?' Zoya very well understood Asad's pain and his need for her to give birth to the child growing inside of her. She took Asad to bed and made him lie down. He was looking at her with the same plead in his eyes. He was requesting her to keep the child. He also craved for her to make love to him at that time. Zoya pecked him on the cheeks and forehead. She too wanted to make love to him and take away all his pain but he was too emotionally drained and she too had to make a life changing decision. "Asad mujhe subah tak sochne ka waqt dijiye... iss waqt aap aankhen band kijiye aur sone ki koshish kijiye." Asad wrapped his arm aournd her, placed his head on her chest and she pat on his head till he fell asleep.

**

In the morning Zoya dressed in an absolutely serene and classy white net saree which had gold butta embroidery and sequin work, all over body. It had contrasting red patch patti border has golden sequin work and floral embroidery on it while the pallu is same as the saree. The red colored blouse had embroidery work and frills too, which could be attached to the neck and bottom, respectively. She wore a dozen red bangles in both hands and matching earrings. The car was ready in the front yard. Asad was patiently in silence waiting for Zoya near the car. Zoya came down the stairs and out to the front yard. She was walking slowly and steadily towards Asad. When Zoya reached near him Asad opened the door of the car. He was looking downwards as if he was trying avoiding seeing the answer to his plead in her eyes. But just for a second he lifted his eyes hoping to see the answer he wanted to... Zoya and Asad's eyes met. There was the same plead and question in Asad's eyes. Zoya was very calm. She cupped his face with her hands and gently met her lips with his. "Asad, mujhe aapka hi baccha chahiye. Main abhi bhi chance lena chahti hoon, One In A Million Chance... Mujhe poora yakeen hai ki Allah Miya humaari zaroor sunenge... Humaara bhi baby hoga, hum bhi ammi abbu banenge..."

Zoya sat on the back seat. Asad sat next to her. Zoya locked her right hand fingers with Asad's left hand fingers. Asad protectively put his right arm around Zoya. The car started to go towards Dr. Bharucha's clinic...

A/N: So that was it all readers, the last part of this FF. Thank you so much for reading it.

Readers who liked and hit comment: Thank you so much for all the LIKES and the Comments. Do so for this one too.

Readers who hit like but do not comment: Thank you for the likes but guys last part hai for the entire FF ek word nice de do yaar.

Silent readers: Last time ki silent treatment flop gayi from my side. Break the silence this time.

-RM- thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#93
So she aborted the child? :|

Lovely story it was :)
Epilogue?
Edited by -RM- - 11 years ago
aYASHIKA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#94
Superb update dear 👏 👏
U portrait every emotion so beautifully. ...
Feeling really bad for asad...how much he had suffered in his life 😭 😭 ...
Did zoya abort the child?????? 😕 ...
Why did u end up here?????.
Atleast give us one more part or epilogue. ...plzzz 😊 ...
Waiting for ur next story...
Thanks for pm... .
Edited by aYASHIKA - 11 years ago
treasure11 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#95
Omg ! I don't believe this was the last part 😲
Am gng to miss this !!! The charecters here Asad Zoya were very different and unique 😳
You did a great job!😉

So this was the meaning of the title Chance once in a milion ...she went ahead with the abortion ...I wish she hadn't
zynia890 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#96
So zoya aborted the child!! Aage kya hua?? Well it was a very nice ff! You write very well!! Comeback with new story!!
asifiqbalsh thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#97
Awesome last update
Asad told rest of his painful past to zoya
He requested her to not abort that child
Zoya told her she wants to take a chance as well
Once in a million chance.
Asad supported her in her decision
Looking forward for an epilogue to see the family of asad & zoya
Thanks for beautiful story & pm
Gulaabo thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#98
i can't believe it ended so soon...
wonderful story it was!!!
waiting for the epilogue...
continue soon
Asadluvszoya thumbnail
Posted: 11 years ago
#99
Nice story. I enjoyed reading it.
TheAutumnFizz thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Lovely story!! Beautifully written... Truly amazing...
Asad's pain was truly moving... I do feel for Saira.. Poor thing... Never got what she deserved in life...
I hope Asad and Zoya have a happily ever after... And that chance in a million... :)
Epilogue soon... :)

Related Topics

Qubool Hai Thumbnail

Posted by: Coloursoflove

2 years ago

*New chapter updated* Asya FF: Rendezvous with Honor *New chapter updated* Asya FF: Rendezvous with Honor

Asya FF: Rendezvous with Honor Asad Ahmed Khan is the prodigal son. All the tabloids say so. Coming from an affluent family in Bhopal, he's done...

Expand ▼
Qubool Hai Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

AsYa FF ~ Broken Ties (chapter 5 updated)

[NOCOPY] Hello everyone! Happy to be here. I was searching for an opportunity to be here with all of you as a member after a long time as writer...

Expand ▼
Qubool Hai Thumbnail

Posted by: ExoticDisaster

6 months ago

AsYa OS - Unfolding Yesterday

Writer - ExoticDisaster | Graphicer - Oh_nakhrewaali | Theme - Bag Unfolding Yesterday Zoya coughed, pulling the scarf higher over her nose and...

Expand ▼
Qubool Hai Thumbnail

Posted by: missFiesty_69

6 months ago

AsYa OS - Mixed messages, Matched Hearts. AsYa OS - Mixed messages, Matched Hearts.

This is one of the entries I had submitted for Valentine's day contest - A Bag full of love. cover : oh_nakhrewaali | writer : missFiesty_69 |...

Expand ▼
Qubool Hai Thumbnail

Posted by: missFiesty_69

6 months ago

AsYa OS - Love, Lies and a Spilled Latte AsYa OS - Love, Lies and a Spilled Latte

This is one of the entries I had submitted for Valentine's Day contest - A bag full of love . cover : ExoticDisaster aka Shiri | writer :...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".