Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 07 Sep 2025 EDT
NASEEB vs BADNASEEB 7. 6
Generation 5:A new chapter in Yrkkh
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 8, 2025 Episode Discussion Thread
「 ✦ Font-tastic Voyage Graphic Contest ✦ 」
BHAGODI MAIRA 8.9
Anupamaa 08 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
The ba****ds of bollywood trailer
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 8th September 2025
Vaishali- jijju bas 15 min mein khana tayaar!! Taai aap keliye aapki man pasand dish bana rahi hai
Archana- (kitchen mein se) nahin main unkeliye nahin bana rahi
Manav- tum na pakao to hi achha hai. Pata nahin kitni mirch dal dogi badla lene keliye.
(Archana, Varsha come out. Varsha- Vaishali laughing)
Archana- main koi dushman hun aap ki
Manav- biwi ho. Yeh kya kam hai?
Varsha- wah jijju wah…aap un lakhon karaodon patiyon mein se hain jo apni biwi ko dushman se jyada darte hain
Vaishali- Taai itni darawani wife banegi humne kabhi socha nahin tha (LOL)
Archana- mere maze le rahe ho na manav apni saaliyon ke sath.
Manav- tum jab tak naraz rahogi, main aise hi kuch bhi bolta rahunga
Archana- yeh meri narazgi ka asar nahin, kal ki abhi tak utri nahin uska asar hai (feels awkward after saying this as she didn't want to tell Varsha-Vaishu that Manav drank)
Varsha- ab baat samajh mein aayi, yeh jhagda kyun hua
Vaishali- jijju you are mind blowing. Pehli baar aap ne dude wali harkat ki. Waise daru pi ke taai ki pitaai to nahin ki na?
Manav-are main aisa kar sakta hun kya
Archana- bas wohi baki reh gaya tha
Varsha- to fir kya dikkat hai. Thodi pi li to tujhe kya harz hai Taai
Archana- tu apne hubby ko pilana varshu. mujhe nahi achha lagta yeh
Vaishali- satish jijju doodh ke alawa kuch lete nahin. Wo bhi malai mar ke (LOL)
Varsha- chup kar..beech mein Satish ka naam mat le..aur taai manav jijju tujhe achhe nahin lagte to chhod de unhe. Unhe hazar ladkiyan mil jayengi (LOL)
Vaishali- kam se kam main to tayaar hun
Archana- tum dono chup karo
Varsha- oye hoye….dil ke tukde ho gaye hamari taai ke
Manav- ab man bhi jao Archana bola to aur aisi galati nahin hogi mujh se
Archana- aap ka koi bharosha nahin. Kal koi aur dosti ki kasam de dega to fir pi loge
Vaishali- are wah taai..tu itni jhagdaalu hai hamen aaj pata chala..wo khadush manju ko manane uski kamini aai rasika ke ghar chali gayi thi..aur aaj Jijju tujhe manane aaye hain tu man nahin rahi… !!!
Varsha- us karamjali manju ka naam mat le. Pata nahin dada ne kaun si manhoos ghadi mein us pakhandi aurat se pyar kiya tha jis keliye har koi aaj bhugat raha hai
(Sulochana bahar aa jati hai)
Sulochana- manju is ghar ki bahu hai. Uske khilaf main ek shabd nahin sun sakti. Haan yeh baat alag hai ki gusse mein aake wo kuch bhi keh deti hai, par tum log usse yeh sab nahin keh sakte.
Vaishali- teri baki do betiyon ki zindegi barbaad karne ke baad shayad tujhe Manju ki asliyat maloom padegi
Sulochana- chup karo. Aaj main bolungi tum sunoge…
Varsha- is mein nayi baat kya hai. Aaj tak hum sunte hi aaye hain. Maaf karna aai tu baba ke samne jake bol. Hum at least manju ki tarafdaari nahin sunnewale.
(Manohar aa jata hai aur sulochana ko samjha bujhake andar le jata hai. Andar sulochana manju kitni achhi hai wo describve karti hai Mano ke samne, which is quite irrelevant to our story. Sulochana ke anger ko thanda karne keliye BT wale gaane bhi baja dete hain, jo sirf uske bedroom mein hi sunayi deta hai. " swarg se sundar sapno se pyara hai apna ghar dwaar)
Varsha- chalo khana khate hain
(dinner over. Everybody goes to sleep. ArMan in their bedroom)
Manav- yeh bata do main kya karun jo tum mujhe maaf kar do
Archana- kuch nahi
Manav- deewar mein sar takraun
Archana- main bhi takraungi
Manav- ro lun?
Archana- jhoothe aansoo mujhe achhe nahi lagte
Manav- had karti ho Archana ( baahon mein kaid kar leta hai). Kitna gussa karogi aur? Main ab ek min bhi tumhara gussa bardasht nahin karnewala ( jabardasti kiss kar leta hai)
Archana- chhi..kya kar rahe ho. Nahin chahiye mujhe yeh sab
Manav- tumhe lagta hai main tumhe pyar nahin karta
Archana- haan yeh sab natak hai
Manav- hey bhagwan mujhe bachao
Archana- mujh se
Manav- jo tum samjho (so jata hai muh udhar kar ke)
Archana – ( soch rahi hai, are yeh to mujhe aur bhao nahin de raha so gaya)
( Archu waiting ki kab Manav neend se jage aur usse manaye. 30 mins later jab manav kharrate lene lagta hai, Archu ko aur gussa aa jata hai ki Manav so gaya. Woh jaga deti hai manav ko)
Archana- manav
Manav- ( neend ka natak kar raha hai) main kahan aa gaya aur aap kaun hain?
Archana- hey bhagwaan…
Manav- oh Archana ji..aap ko Sharm nahin aati mere sath ek bed pe au wo bhi mere seene pe leti hui hain
Archana- chup karo manav..bahut narazz hun main aap se
Manav- ( samajh mein aata hai ki Archana aur bhao chahti hai) naraz ho to mere se chipak kyun rahi ho
( Archana separetes herself and starts crying)
Archana- kya manav aap bhi
Manav- (Archu ko gale laga leta hai) sorry jaan..aisi bhi kya naraazgi jo tum mujh se ek pal keliye bhi alag ho jao..do din ki zindegi mein agar hum ek ghanta bhi jhagda karte hain tab suffer hum hi kar rahe hain. Pyar karne keliye bahut kam waqt hai jaan. Aur naraaz mat ho
Archana- aap wada karte ho ki aur kabhi nahin pioge sharaab?
Manav- nahin piunga. Bas piunga to tumhare hontho ki sharaab. Nasha karna hoga to tumhari nashili aankhon mein dub jaunga. Nashe mein neend aayegi to tumhari zulfon ki chhaon mein sar rakh ke so jaunga
Archana- hato ji..filmi baatein kar rahe ho
Manav- filmi baaten is liye kar raha hun ta ki back ground mein gaana baj jaye aur hum gaane ke sath pyar karein aaj ki raat
Archana- chhiiii…gande
( BT wale waste no time in playing the song
"Yeh raat pyasi pyasi
Pyaasi na reh jaye
Tum bahon mein aa jao
Ya waqt theher jaye")
(Archana manav ki aur kareeb ho jati hai aur saare gile shikwe door ho jate hain. Kuch reh jata hai aur hota hai to wo hai pyar, pyar aur sirf pyar)