ArMan as parents
Year 2016. Arman have a 5 year old kid namely bablu, very naughty (like his father). Just go though the conversation the trio is having. Its 10:30 pm. Babloo is still not asleep.
Manav- (comes to the bed room) Are bablu beta abhi tak soya nahin?
Archana- main to preshan ho gayi isse sulate sulate. Jitni loriyan pata thi wo sari gaa li. Tumahre bete ko neend hi nahin aati
Manav- achha ab main lori sonata hun
Archana- ji nahin pure chawl ke bachhe jag jayenge aap ka gaana sun ke
Babloo- are nahin! baba to kaafi achha gate hain ..pata hai kal kya hua ..kal back ground se kisi ne gaana gaya..ekdum besuri awaz…
Manav- wo kaise? Background wale gaane to hamesha achhe aate hain..wo to CD se bajate hain Ekta madam ji ke log
Archana- are kal aisa hua ki BT ka CD bajane wala aadmi bimaar tha to Ekta ji khud gaane lagi…bablu usi ki baat kar raha hai. Bablu kya saare chawl ke bachhe itna chillaye ki kal se back ground music nahin baj raha hai
Manav- achha aisi baat hai kya? Tabhi main kahun..roz nahate time "thande thande paani se nahana chahiye" gaana bajta tha aaj kyun nahin baja?
Babloo- haan aur jab main khelta tha tab "lakdi ki kathi " gaana bajta tha aaj se wo bhi band hai
Archana- Ekta aunty ko phone karke sorry bol dena beta..bolna aunty gaane fir se bajaiye lekin CD se
Manav- par beta tu soyega kab?
Babloo- aap log mere sone ke pichhe kyun pade ho ? hamen neend aayegi to hum so jayenge.
Archana- TV serial dekh dekh ke dekho kaise keh raha hai "hum so jayenge"
Manav- beta tu ab so jaa..
Babloo- hum ne kaha na humen neend nahin aayi hai abhi
Manav- oh bhagwan aaj ki raat bhi khali sona padega
Babloo- khali bole to?
Manav- (ghabrake) khali pet beta
Babloo- hamari aankhon ke saamne 10 rotiyan todi aapne, ab khali pet ki baat keh rahe hain?
Archana- tu sota kyun nahin? Lambi chowdi baatein kyun karta hai raat ke 11 baje. Tujhe to main naani ke paas bhej dungi
Babloo- nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii ….aai tum jo kaho wo hum karenge par sunochana naani ke paas mat bhejo
Archana- kyun beta?
Babloo- are kuch bolne hi nahin deti..kehti hai khana kha le..main kehta hun abhi bhuk nahin hai..fir wo kahegi..aaj main khilaungi tu khayega..aise kar ke jabardasti khana khila deti hai
Manav- to beta nana ji ke paas chala jata
Babloo- are apne chashmon ko saaf karne se unhe time mile tab to meri baat sunenge…pata hai hum ne kya kiya..jaan bujh ke unke chshmane tod diye..ha ha ha
Archana- tu bada shararati ho gaya..tujhe to hum hostel mein chhod denge
Babloo- hostel mat bhejna hamen…yahan chawl ki ladkiyan hamare bina zinda nahin reh payengi
Archana- kaun si ladkiyan?
Babloo- 5 se kam umer ki saari ladkiyan aur ek aadh 7- 8 saal ki ladki bhi hum pe marti hain
Manav- tu to kaafi badmash ho gaya…Archana aur dikhao TV is ko..ta ki aur bigad jaye
Babloo- aai jyada TV kahan dekh pati hai baba..bas 17 serials hi to dekhti hai..jaise ki…"aaj ki bahu kal ki saas', "hawa ke sath sath ghata ke sang sang"..
Manav- band kar beta serial ki baat..padhai kaise chal rahi hai teri?
Babloo- achhi chal rahi hai hamari padhai. Bas aane wale dino mein imitihaan ke results khud bayan karenge hamari kamyabi ki kahani
Archana- ab so ja beta
Babloo- tum bhi bhuki ho kya..4 rotiyan to tum ne bhi khayi thi
Archana- ab tu pitega babloo
Babloo- bachhe pe zulam karoge ?
Manav- kitni badi badi baaten kar raha hai. Ab tere liye alag kamra hoga. Tu alag soyega
Babloo- ta ki aap dono jab marji tab rotiyan kha sako (LOL)
( ArMan Sharma jate hain aur gussa karte hain)
Manav- beta ab bahut ho gaya..ab so jaa
Babloo- chaliye aap bhi kya yaad karenge..hum bahar hall mein so jate hain…dadi maa ke kharrate wahan tak sunyi deti hain usse sun sun ke hum lori samajh ke so jayenge ( babloo hall mein chala jata hain)
( ArMan buddhu ki tarah dekhte rehte hain)