The old man ws seriously funny.......300 yrs old khooni darinda....nd esp his retort "kis ki padi hain" cnt wait fr the next edition.
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-16th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 16, 2025 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Oman, 7th Match, Group A, Abu Dhabi🏏
🏏T20 Asia Cup 2025: SL vs HK, 8th Match, Group B at Dubai🏏
Kaun banege PL ke Mummy and Papa?
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs BAN, 9th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
BHAJAN & DANCE 16.9
BALH Naya Season EDT Week #14: Sept 15 to 19
The Armaan Poddar Unappreciation Thread
Katrina Kaif Is Pregnant
Welcome Baby Boy ❤️🧿
which new Bollywood movie should i watch ....
💫 The Heuphorias Discussion Thread 💫
YRKKH SM updates, BTS and Spoilers Thread #127
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 17, 2025 Episode Discussion Thread
Two much official trailer- Varun Alia Salman Aamir Govinda
BALH Naya Season BC Voting~BY PM INVITE ONLY~Vote for 2 entries
Farewell week...In Every Glance, A Lifetime: The Saga of PraShiv💕
BACK TO MUSSORIE 17.9
Originally posted by: commentator
No, no, SD, you have it just right. Learn from the creatives: formula hit ho to usee pe lage raho.Again, such a deft and light hand with dialogue.... yeh haath mujhe de de thakur.😊
Archana gets scared as she could hear some girls laughing so loudly. Manav is in deep sleep.
Archana- Manav utho na
Manav- (neend mein) ek baar main so jaun mujhe aur kuch karne ka mann nahin hota..sone se pehle maine kaha tha karne ko. Ab tumhe mann kar raha hai to main kya karun?
Archana- dhet gande..mujhe darr lag raha hai..jaldi utho na..koi ladki has rahi hai uski awaz hai
Manav- tum has rahi hogi uski awaz hogi
Archana- darr se main yahan mari ja rahi hun aur aap ho ki mazak kar rahe ho..utho na
Manav- ( aankhen kholta hai) kya hua?
Archana- koi ladki abhi yahan has rahi thi
Manav- ladki!! Wow..bulao yaar usse
Archana- chup karo. Hamesha doosri ladki pe nazar hai aap ki. Jao main aap se baat nahin karti
Manav- baat nahin karni thi to jagaya kyun? Chalo main so jata hun ( so jata hai)
( Archana dari sehmi si Manav ke seene se lipat ke baithi hai. Achanak uski aankho ke saamne ek kata hua sar aake floor pe girta hai. Kate hue sar ke chehre ke upar baal hain, aur khoon se latpat hai. Archana chilla uthti hai)
Archana- Manav……………
Manav- ( chaunk ke uth jata hai) ji…
Archana- dekho ek kata hua sar
(Manav dekhta hai to wahan kuch bhi nahin hai)
Manav- kahan hai
Archana- abhi yahan gira tha…manav main yahan ek second nahin ruk paungi..mujhe le chalo
Manav- tumhari aankhon ko dhoka hua hai jaan..aur upar se manjusha jaisi dayan tumhare ghar mein rehti hai..us ke sath adjust karne ke baad tumhe kisi se bhi darr lag sakta hai yeh mujhe yakin nahin ho raha
Archana- par manav..main sach keh rahi hun..yahan koi pret atma hai
Manav- chalo un budhe dada ji sevakram ko bulate hain
Archana- wo to bahar gaye the
(dono bahar jate hain. Sevakram ped se latak raha hai. Dono tangen ped ki ek dali mein hain aur puri body hawa mein jhul rahi hai. Archana fir se chilla uthti hai)
Archana- Manav yeh to sach much ped se latak raha hai
Sevakram- bitiya maine pehle hi kaha tha main ped se latak ke sota hun..to is mein itni darnewali baat kya hai
Manav- (ab ehsaas hota hai, yahan koi gadbad hai. Manav bhi dar jata hai) to aap wake hi khhoni darinde hain?
Sevakram-bete hum jhooth kyun bolenege? Waise tum dono ka wo sofe wala kaam ho gaya?
Manav- plz hamen chhod do…hum yahan se bhagna chahte hain
Sevakram- bete tumhe marna hota to ab tak tum mere pet mein hote..kuch khaas wajeh hain maine tum dono ko nahin maara..to meri taraf se koi khatra nahin tum ko..jao andar so jao
Archana- par wahan ek kata hua sar aake gira
Sevakram- wo bachhiyan aisi harkatein karti rehti hain logon ko darane keliye..bachiyan bole to bhatakti atmayen…aap dono andar sone ki koshish karo..jaise hi koi dikkat aaye mujhe awaz de dena. Mujhe KD bula lena. KD bole to khooni darinda. Is it clear?
(ArMan go in aur ek doosre ke haath pakad ke baithe rehte hain)
(Achanak payal ki jhankaar sunayi deti hai aur 2 behad khubsoorat ladkiyan aa jati hain)
Archana- bachao……………
Atma 1- mahanrani aap…
Atma2- aur dekh bela sath mein maharaj bhi hain
Atma 1 (bela)- hamen maaf karna maharaj maharani..hum ne aap ko pareshan kiya
Juhi- par aaj 300 saal baad aap dono ko dekh ke hum bahut khush hain
Manav-hum dono ko chhod do..hum aam aadmi hain..koi raja rani nahin hai
Bela- aap dono ka punar-janam ho gaya aur hum wahi 300 saal purane sadi mein hi reh gaye
Archana- bachaooooooooooooo
Juhi- lagta hai Maharani ko yakin nahin hota..aap dono hamare sath upar ke kamre mein chaliye
(aankhen jhapakte hi sabhi upar ek aalishan bedroom mein pahuch jate hain. Wahan ek badi si tasveer latki hai)
Bela- dekhiye is tasveer ko
(ArMan dekhte hain ki yeh tasveer unhiki hai. Dono raja rani ke bhesh mein hain)
Bela- ab to yakin aaya na Maharaj…aap maharaj Manveshwar the aur yeh thi maharani Archana
(ArMan ko yakin hi nahin ho raha. Par manav ab archu ko samjhata hai darne ki koi baat nahin.)
Manav- aap kuch bataiye hamare pichhle janam ke bare mein
Juhi- dekhiye maharaj..yeh aap ka hi shayan sthan hai..aap dono yahan sote the..aur hum log aap ko pankha kar rahe the kyun ki us samay bijli to thi nahin pankha ya AC chalane keliye
Manav-Matlab hum dono ko aapne sab kuch karte hue dekha hai?
Bela- Oh maharaj aap ab bhi mazak karte hain theek usi tarah..hum log kuch dekhte nahin the..kuch is tarah tayari thi ki baju wale kamre se rehke idhar hawa karte the
Juhi- bas awazein sunai deti thi (LOL)
Archana- chhi..kitni gandi baatein karti ho aap dono..aur Manav aap ko bas yehi puchhna tha apne pichhle janam ke bare mein. Yeh batao juhi aur bela ki kya main in se pichhle janam mein bhi preshan thi?
Bela- aap ab bhi pareshan ko preshan kehti hain maharani?
Manav- kuch aur bataiye hamare bare mein
Juhi- aap dono ka prem vivah hua tha..padoshi rajya ki raj kumari thi Archana—aap ne unko unke rajya se utha liya tha aur yahan aake shaadi ki thi..fir yeh maharani bani
Archana- matlab inki aur bhi raniyan thi
Bela- is ke bare mein hum kuch aur nahin kahenge warna aap dono mein jhagda ho jayega (LOL)
Archana- matlab inki kai raniyan thi..itne gande ho aap manav..jao main aap se baat nahin karti
Manav- ab is janam to sirf tumhare sath hun na….juhi aur bela mujhe us samay ki yaad mat dilao..wow…4-5 raani..hye ab waisi kismet kahan
Archana- chup karo Manav. Waise aap logon ka punrjanm kyun nahin hua
Juhi- ek lambi kahani hai..
Manav- shot cut mein batana please
Bela- Rasika naam ki ek dayan thi…uski ek beti thi Manjusha..dono jaadu tona mein maahir..Manjusha ki nazar Manaveshwar pe padi..un se shaadi karna chaha usne…par maharaj Manveshawr ne saaf saaf mana kar diya. Manjusha ne fir kaha shaadi na sahi kam se uske sath mahine mein 3-4 raat gujarein. Par maharaj ne wo bhi inkaar kiya. Fir kya..jaadu se usne maharani Archana ko raj mahal se utha liya.. maharaj maharani ki talaash karte hue rasika ke ghar pahunche..manjusha Archana ki jaan lene wali thi aur maharaj wahan se Archana ko badi muskil se bacha ke le gaye..lekin taqdeer mein kuch aur likha tha…rasika aur manjusha inka pichh karte rahe..raja rani dono ghode se jate jate ek badi si ghai mein gir gaye...yeh dekh ke manjusha pagal ho gayi aur usne shapath liya agle janam woh badla zaroor legi..
Juhi- aur maharaj maharani ke nidhan ki khabar sunke pure rajya mein matam chha gayi…saare logon ne Rasika aur uske gharwalon ko zinda jala diya. Aur raj mahal mein kaam karnewale aadhe log sadme se mar gaye. aur un sab ki bhtakati atma aaj bhi hai. Sevakram ji se to aap ki bhet hui hogi
Manav- manjusha aur rasika ka punrjanam hua hai aur wo hum se badla le bhi rahe hain..
Archana- par juhi bela aap logon ko mukti kab milegi
Bela- ab hamari mukti ho jayegi…aap dono khush hain yeh dekhke hum log khush ho gaye…hamari barson ki pyaas bujh gayi
Juhi- bas aap dono ek baar hum logon ke saamne ek chumban kar len to hamen mukti mil jayegi
Archana- chhi
Manav- (mauke ka fayda utha ke Archana ko kiss karne lagta hai)
( Juhi Bela aur na jane kitne log taali bajane lagte hain. Achanak wo ladkiyan gayab ho jati hain aur manav aur Archana dekhte hain ki wo log apne guest house ke paas hi hain aur savera ho chuka hai)
Archana- ab chhodo mujhe unko mukti mil chuki hai
Manav- are maza aa raha hai yaar..thoda aur karne do
( guest house se inke friends yahan aa chuke hain. Unhe dekh ke Manav Archana ko azad karta hai apni baahon se. saare log has uthte hain)
The End
gud story n usual typical SD humour. m liked it.