ff-KumkumSumit(Tu Mile Dil Khile)Upd20/05 - Page 17

Created

Last reply

Replies

393

Views

75.1k

Users

33

Likes

21

Frequent Posters

-Amby- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 18 years ago
THT WAS SO SWEET KUMKUM MADE SUMEET SO SCARED
CONTINUE SOON
verni thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
very gud bachcha...carry onnn 👏
janu_kumkumjuhi thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Chaliye Kumkum Sumit ko akhir mil hi gayi aur unhone waqt bhi accha bitaya magar ab aage kya hoga aur Sumit kabirthday jis tarah Kumkum chahti hai us tarah manaya jaa sakega, in savalo ke javab to hum wahan jaayenge tabhi milenge to intezaar kis baat ka hai chaliye us mohhobbat bhari dastan ko sunne........................

Sumit Kumkum wahan tent me hi so jaate hai magar us raat baate karte karte Kumkum Sumit ke pehle so jaati hai aur Sumit Kumkum ko sote huve dekhta rehta hai, tab samndar ki thandi havayen chal rahi hoti hai aur Kumkum ko thand lagne lagti hai, Sumit ye dekhta hai aur dekhte hi apna coat nikalta hai aur usse Kumkum pe rakh deta hai taki usse thand naa lage aur Kumkum sukun se so jaati hai aur usse dekhte dekhte Sumit bhi so jaata hai, aadhi raat ko Kumkum karvat badlti hai aur woh nind me hi apna hath Sumit ke sine par rakh deti hai, Sumit ko iska pata nahi chalta aur aise hi subah ho jaati hai aur Sumit ke sir par sooraj ki roshni aati hai usse woh uth jaata hai magar woh dekhta hai Kumkum so rahi thi, bahot pyar se aur uska hath Sumit par tha to Sumit sochta hai ki agar woh hilega to Kumkum uth jaayegi isliye woh aise hi pada rehta hai aur sooraj ki roshni Kumkum ke face par jaanewali hoti hai jisse woh uth jaati isliye woh apne hatho ko Kumkum ke upar thode distance par rakhta hai isliye woh jaag naa jaaye, aise hi kaafi waqt guzar jaata hai aur Kumkum uth jaati hai aur dekhti hai,

Kumkum: Bahot der ho gayi, Sumit. Tum kab jaag gaye aur tum kabse aise......

Sumit:Janti ho Kumkum, har pal naya sapn de jaata hai aur har lamha nayi zindagi de jaat hai. Apki inhi adaon pe to hum hai fida aur apka naam jooda rehta hai hamari saanso se sada.

Kumkum: Oho. Mr.Shayar to suniye apki ye Mrs.shayri kya kehti hai, Maine apka naam ret par likha to samndar usse baha le gaya, baad me maine apka naam hava pe likha to woh mit gaya phir maine apne pyar se apka naam apni dhadkano par likha aur woh meri saanse bankar mera humsafar ban gaya.

Sumit: Kumkum, tumhara javab nahi, tum laajvaab ho.

Kumkum: Pata hai, akhir patni kiski hoon?

Sumit aur Kumkum dono ekdoosre ko dekhkar haste hai.

Kumkum: Magar tumne muje uthaya kyon nahi.

Sumit: Tumhe uthane ko jee hi nahi kiya bas dil kar raha thi ki sari umr tumhe yunhi nihalta rahoon aur bas tum aur main aise hi rahe.

Kumkum: jante ho Sumit hum kabhi boodhe nahi honge.

Sumit: Woh kaise?

Kumkum: Kyonki tumhara pyar muje kabhi aisa mehsoos hi nahi krvayega. Magar ab hume chalna hai.

Sumit: Kahan?

Kumkum: Vapas Bombay. Hamare parivaar ke paas.

Sumit: Magar itni jaldi?

Kumkum: Ek baat batao.

Sumit: Haan, haan. poochho.

Kumkum: Tumhara kaam yahan khatm ho gaya hai, right?

Sumit: Haan.

Kumkum: Aur kal tumhe award milnewala hai.

Sumit: Ye bhi main janta hoon. Aur main ye bhi janta hoon ki is award ki haqdar mujse zyada tum ho.

Kumkum: What?

Sumit: Haan, agar tum meri zindagi me naa aati, agar tumhare bhagya mere bhagya se nahi joodte aur mere kaam ki uljano ko tum naa suljati to ye kaise mumkin tha, isliye ye meri nahi mgar hamari jeet hai.

Kumkum: To phir tumhe mere khatir vapas chalna hoga.

Sumit: Thik hai.

Kumkum: To phir chalo jaane ki taiyari karte hai.

Dono vapas jaane ki taiyaari karke ravana hote hai.


To be continued.........................................

Ye part chhota hai magar abhi muje bahar checkup ke liye jaana hai to sorry, kal phir milenge.

........................................................
❤️ I love Juhiji very much. ❤️

aditi305 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Takecare of yourself. Waiting for tomorrow.
Ruhihutijufan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
thanx for update. keep updating.it's nice.
verni thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
very 😛 sweet ..chalo next one soon 😳
preethi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 18 years ago
great part 😃
sweet 👏 👏
janu_kumkumjuhi thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Chalo vapas Bombay aur ab Sumit ko award milnewala hai magar uska birthday nazdik hai magar kya jisa Kumkum ne chaha tha vaisa ho sakega? Chaliye dekhte hai.

Sumit-Kumkum Bombay ke liye ravana hote hai aur raste me ek phone aata hai magar Sumit drive kar raha hota hai isliye,

Sumit: Kumkum, phone receive karo aur usse baat karlo, driving karte karte phone pe baat karoonga to ek taraf bhi dhyan nahi de paaoonga.

Kumkum: Thik hai. Tumhara cell do.

Kumkum baat karti hai

Kumkum: Hello.

Samne se: Hello, main media center se baat kar raha hoon. Kya main Mr.Wadhwa se baat kar sakta hoon?

Kumkum: Main Mrs.Kumkum Sumit Wadhwa bol rahi hoon. Apko koi kaam hai to aap muje bataiye main unse baat karke aap se baat karti hoon, actually woh driving kar rahe hai isliye.

MC: Mam, hume news mili hai ki Mr.Wadhwa ko Best Businessman Of The Year ka award mil raha hai, is it true?

Kumkum: Yes.

MC: Isliye hum sir ka aur apka eksath interview lena chahte hai, may we?

Kumkum: Aap agar boora naa maane to main apko Mr.Wadhwa se baat karke javab deti hoon.

MC: OK.

Kumkum phone rakhti hai aur Sumit se baat karti hai.

Kumkum: Sumit, media center se phone tha. Woh log hamara interview lena chahte hai. To usse haan bol doon?

Sumit: (Sochkar) Nahi.

Kumkum: Lekin kyon? Agar ye ho jaaye to isse hamari company ko bhi fayda hoga.

Sumit: Main janta hoon magar nahi.

Kumkum: Why don't you understand? Isme harj hi kya hai? Aur aisi koun si wajah hai jisse tum naa bol rahe ho.

Sumit: Kumkum, mediawale is interview me company ke sath sath hamari personal life ke baare me bhi questions poochhenge aur hamare bich kya hai ye sirf hum dono hi jante hai.

Kumkum: Tumhe muj par bharosa hai?

Sumit: Ishvar se zyada.

Kumkum: To tum meri baat maano aur haan kehdo.

Sumit: Thik hai jaisa tum chaho.

Kumkum: Thak you. Main unse baat kar leti hoon.

Kumkum unse baat karke award function ke baad meeting fix karti hai. Woh log ghar pahonch jaate hai raat ko aur doosre din ka intezaar sab karte hai, doosre din poora Wadhwa parivaar award function me jaata hai aur Sumit ko award milta hai aur ab media ke samne Kumkum-Sumit ka interview hota hai.

Reporters: Yahan hum sab aaj Mr.Wadhwa ki kamyabi ke mauke par Mr.& Mrs. Wadhwa ka interview dikha rahe hai. hello, Mr.& Mrs. Wadhwa.

Kumkum-Sumit: Namskar.

Rep: Mr.Wadhwa aap ye bataiye ki is award milne par apko kya lagta hai aur iske liye aap ne kya kya kiya?

Sumit: Sach baat bataaoon to maine is award ki ummid nahi ki thi magar aap woh kahavat to jante hi honge ki har safal admi ke pichhe ek aurat ka hath hota hai vaise meri kamyabi ki asli haqdar meri patni Kumkum hai. Agar aaj woh meri zindagi me naa hoti to aap ke samne aaj main yahan naa hota. Jab se hamari compny ne sath project kiye hai meri company Top five me pahonch gayi hai aur is sabka shrey meri patni ko dena chahoonga. Jab bhi kaam karke ghar jaata tha tab woh mere business ki files check karke muje tarah tarah ke sujaav deti aur isse mere business par bahot accha asar huv aur aaj main is mukam par hoon.

Rep.: To phir aap unko apne office me kaam kyon nahi karvate?

Kumkum: Iska javab main apko deti hoon. Sumit to chahte the ki main office jaoon magar maine hi unse manaa kiya tha kyonki shadi ke baad ek ladki ki sabse pehli zimmedari uska parivaar aur uka pati hota hai. Aur isliye maine ye chhod diya magar ek baat zaroor kehna chahoongi ke ye mere bina kabhi koi project sign nahi karte.

Rep.: Aisa kyon?

Sumit: Woh isliye ki main lady luck me beleive karta hoon aur meri patni ke sath hone se meri har pareshani door ho jaati hai.

Rep.: Mrs.Wadhwa aap is kamyabi ke baare me kya kahengi?

Kumkum: Sumit, is award ka sach me haqdar tha aur woh isse mila, aaj main bahot khush hoon kyonki main us insan ki ardhangini hoon jo ek accha businessman hi nahi magar ek bahot pyara, caring, loving husband aur sabse accha insan hai.

Rep.: Aapki shadi kaise hui, kyonki shayad Mr.Wadhwa ki sagai to kisi or ke sath hui thi.

Sumit: Ji haan, aap ne bilkul sach suna hai, Darsal baat ye thi ki pehle hum company ki meetings ke dauran nazdik aaye aur bahot acche dost bane, tab hum dono ki sagai kisi or se ho chuki thi, mere business ki kai problems meri patni ne mere dost bankar suljai. Uske baad pehchan badhne par hume pata chala ki hum dono jisse shadi karnewale hai woh hum dono ko dhoka dekar hamari properties chhinna chahte hai, aur jinse hamari sagai hui thi woh dono ekdoosre ke pati-patni thi aur ye sab baate jab meri patni ki shadi honewali thi us din pata chali, hum dono ki sagai toot gayi tab hamare parivaar ne aur humne ye milkar faisla liya aur hamari shadi ho gayi.

Rep.: Aap dono ka future ka faisla kya hoga matlab aapke bacche yaa phir company.

Sumit: Mera future me ek plan hai jo mera dream project hai aur us par kaam chal raha hai ab aage dekhenge usme kya hoga.

Kumkum: Aur family me to kuch khas nahi mgar hum dono aur khas mere pati ek ladki ki khwahish rakhte hai.

Rep.: Ladki? Magar itna bada empire aur ladki?

Sumit: Aaj ke zamaane me ladki ladko se zyada aage hai aur bhale hi mera kitna hi bada empire kyon naa ho magar muje ladki hi chahiye kyonki main apni patni ka bachpan meri nazro ke samne dekhna chahta hoon aur main apni patni jaisi hi masoom, khubsoorat aur bahot sweet beti chahta hoon.

Rep.: Thank you.

Kumkum: Most Welcome.

Interview khatm ho jaata hai aur baad me sab ghar par sath me dinner karte hai aur ghar me bahot khushi ka mahol hota hai, tab koi phone aata hai Sumit usse baat karta hai aur raat hone par sab log apne apne kamre me sone ko jaate hai.

Kumkum: Sumit.

Sumit kuch sochta hai aur apne hi khayalo me hone ke karan kuch sunta nahi.

Kumkum: Sumit. Kahan kho gaye.

Sumit: (Khayalo se bahar aakar) Hummm. Tumne kuch kaha?

Kumkum: Haan, aaj ka din bahot accha rah naa?

Sumit: magar tum ek baat batao.

Kumkum: Kya?

Sumit: Tumhe kaise pata ki muje ladki hi chahiye?

Kumkum sharma jaati hai

Kumkum: Ardhangini hoon tumhari, tumhe tum se behtar jaanti hoon jaise tum muje jante ho.

Dono ekdoosre ko smile dete hai.

Sumit: Kumkum, muje tumse kuch kehna hai.

Kumkum: Haan, bolo.

Sumit: Woh abhi phone aaya tha naa.

Kumkum: haan, uska kya?

Sumit: Woh muje Delhi jaana hoga, approximately ek hafte ke liye.

Kumkum: Kya?

Sumit: Haan woh mera dream project, uske silsile me, last sign karke wahan sab aage ke baare me tey karna hai.

Kumkum: Magar.

Sumit: Magar tum fikr mat karo.

Kumkum: Lekin ye mera pehla karva choth hai aur...

Sumit: Main wada karta hoon ki us din chand nikalne se pehle tumhare samne hounga. Aur iske baare me papa se baat ho chuki hai, ddaji bhi maan gaye hai aur kal subah 5 baje nikalna hai.

Kumkum ki aankho me aansoo aa jaate hai.

Sumit: Tum ro mat, varna main jaa nahi paoonga. Aur vaise bhi aksar milo ki dooriyan dilo ki nazdikiyaan ban jaati hai.

Kumkum: Tum agar us din nahi aaye to main tumse kabhi baat nahi karoongi.

Sumit: Hum apko aisa mauka nahi denge.

Kumkum: Woh to dekhte hai aur main tumhara packing kar deti hoon.

Sumit: Thik hai, main tumhe help karta hoon.

Kumkum saman pack karti hai aur Sumit usse help karta hai. Dono ekdoosre ke sath baat nahi karte. Sab packing ho jaane par dono bed par jaate hai.

Sumit: Kal subah jab tum jagogi tab main jaa chuka hoga. Mujse kuch kahogi nahi.

Kumkum ki aankho me phir se aansoo aa jaate hai, woh Sumit ko gale laga leti hai.

Sumit: Muje aise rokar vida karogi?

Kumkum: Jab tum aaoge to tumhe tumhari Kumkum milegi magar jaldi ana aur apna khayal rakhna, khana waqt par kha lena aur main chahti hoon ki hamari iccha I mean hum dono ko jaldi koi papa-mummy boolaye.

Sumit: Kya?

Kumkum sharma jaati hai, Sumit woh jab tak soti hai tab tak uske paas baithta hai aur subah hote hi nikal jaata hai.

To be continued.........................................
janu_kumkumjuhi thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Hey guys, Actually. I'll have to go out of town for my admission, so I am updating the next part now. Aur haan 26 page dekhiye kyonki iske pehle ka part 26 me page me ekdum last hai varna link toot jaayegi.

Sumit Delhi chala gaya hai magar usse wahan ek hafta lagnewala tha, us din ki tarikh 14 November thi aur doosre saat din yani 21 November. Fir bhi Sumit ne Kumkum sewada kiya tha ki woh us din chand nikalne se pehle aa jaayega aur yahan Kumkum ne uske birthday ki sari taiyariyaan kar di hoti hai aur usne Sumit ki ho jaane ki baat bhi kar di thi aur agar Sumit nahi pahuncha to woh usse kabhi baat nahi karegi aisa usne kaha tha, to kya Sumit waqt par pahonch payega? Kya Kumkum apne apko Sumit ko 19 November ke din sonp payegi. Kya uski taiyaari ko anjaam milega? To chaliye jaakar dekhte hai Kumkum ka haal.

Subah Sumit chala gaya hota hai aur Kumkum apni roz ki zindagi shuru kar deti hai magar uski dhadkane sirf Sumit ka naam le rahi hoti hai aur woh sab intezaam karti hai party ke liye aur sab ghrwale uski madad karte hai, woh aur dadima sabko invitation dene jaate hai tab Sumit ka phone aata hai ki woh pahonch gaya hai magar woh wahan nahi hoti, baad me Kumkum ko pta chalta hai aur woh Sumit ko doobara phone karti hai magar Sumit ka cell voice mail par hota hai, aise hi Kumkum ka poora din nikal jaata hai aur woh raat ko sirf Sumit ke baare me sochti rehti hai aur uski aankh lag jaati hai. Doosre din subah bhi woh kam karti hai aur jaise hi uska kaam khtm hota hai woh Sumit ko phone karne ki koshish karti hai mgar No reply. Isse woh bahot upset ho jaati hai magar Sumit ka janmdin usse woh sab bhoola deta hai, doosra din bhi guzar jaata hai, phir 16 November ko sham ko Kumkum wahan se phone karne ki koshish karti hai aur yahan Kumkum ke itne saare phone calls dekhkar Sumit bhi try karta hai magar dono eksath try karte hai isliye dono ka phone lagta nahi, tab Kumkum phone rakh deti hai tabhi Sumit ka phone aa jaata hai, Kumkum ye dekh bahot khush ho jaati hai

Kumkum: Hello, Sumit. Kaise ho. Maine tumhe kitne phone kiye tum ab kar rahe ho. Aur tum thik to ho naa? Tumhari tabiyat aur kab aa rahe ho?

Sumit: Kumkum, Kumkum... Saasns to lo.

Kumkum: Tum jaldi aa jaao, tumhare bin kuch accha nahi lagta.

Sumit: Yahan meri bhi yahin halat hai. Magar main thik hoon, kaam bhi accha chal raha hai, tum batao tum kaisi ho aur ghar ke baare me poochhne ki koi zaroorat nahi.

Kumkum: Main thik hoon, magar gharwalo ke baare me kyon poochhne ki zaroorat nahi?

Sumit: Kyonki main jata hoon ki wahan meri Kumkum hai aur jahan meri Kumkum ho wahan kisiko kuch nahi ho sakta, sab thik hi hoga.

Kumkum: Ye tum kaise keh sakte ho?

Sumit: Kyonki main tumhe tumse zyada behtar janta hoon, meri Kumkum sabka bahot khayal rakhti hai.

Kumkum: Magar Kumkum ka khayal rakhnewala koun hai?

Sumit: Are,main hoon naa.

Kumkum: Chalo, chalo. Phone to ab kr rahe ho ur kehte ho ki main hoon?

Sumit: I'm sorry. yahan bahot kam hai aur kai baar signal nahi aata isliye varna tumhe lagta hai ki Sumit apni Kumkum ki awaz sune bina ek din bhi reh pata hai?

Kumkum: Magar ab ye batao ki kab aa rahe ho?

Sumit: Ek baat poochhu? Tum naraz to nahi hogi naa?

Kumkum: Aisi koun si baat hai jisse main narz ho jaaoongi? Koi ladki to nahi laa rahe ho naa?

Sumit: Tum kehti ho to le aata hoon.

Kumkum: Kya?

Sumit: Mazak kar raha tha. Magar yhan kaam bahot zyada hai aur agar kuch ulta sidha ho gaya to dadaji ki barso ki mehnat bekar jaayegi isliye, isliye, woh

Kumkum: Bolo naa.

Sumit: Main shayad 19 November tak nahi pahonch paoonga.

Kumkum ye sunkar chonka jaati hai aur woh rone lagti hai.

Sumit: Kumkum, tum ro rahi ho?

Kumkum: Nahi, main koun hoti hoon tumhare liye aansoo bahanewali?

Sumit: I'm sorry but dadaji ki ye barso ki mehnat ka natija hai jisse main nahi thookra sakta, please maan jaao.

Kumkum: Parivaar se badhkar mere liye kuch bhi nahi hai, tum jaisa thik samjo.

Aisa kehkar Kumkum phone rakh deti hai aur raat bhar ro ro kar Sumit ko yaad karti hai, doosre din bhi sab kaam karti hi magar ye baat kisiko batati nahi kyonki sab bahot khush hote hai, raat ko woh so jaati hai (17 November), tab usse ek sapna aata hai.

Sapne me woh aur Sumit akele kisi talab ke samne bas akele hote hai aur romantic song pr woh dono dance karte hai and the song is.................

Janam dekhlo mit gayi dooriyan, main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan, kaisi sarhade kaisi majbooriyan, main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan,

Phir Sumit Kumkum ko uthakar talab me le jaat hai aur dono bhigte hai,

Tum chhupa naa sakogi main woh raaz hoon, tum bhoola naa sakogi woh andaz hoon, gumjooda hoon to dil me to heran ho kyon main tumhare hi dil ki to awaz hoon, sun sako to suno dhadkano ki zuban, main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan.

Tabhi kuch awaz aati hai aur uska sapna toot jaata hai aur woh dekhti hai to usse Sumit nazar aata hai.

Kumkum: Kya, Kumkum? Ab Sumit sapne me to dikhta hi tha magar woh ab tere itne karib ho gaya hai ki woh tuje yahan bhi nzar aata hai.

Aisa kehkar Kumkum so jaati hai magar woh sachmuch Sumit hota hai aur woh Kumkum jhan so rahi hoti hai uske baajoo me bethta hai aur Kumkum ko kehta hai.

Sumit: Kumkum, tum sapna nahi dekh rahi. Main sachmuch aa gaya hoon.

Kumkum: Kya?

Sumit: Tum chhu kar dekhlo.

Kumkum Sumit ko chhuti hai aur bas Sumit ke gale lag jaati hai aur Sumit bhi usse kaske apni bahon me bhar leta hai.

Sumit: I love you, Kumkum.

Kumkum: I love you, too. Sumit. Tumhe pta hai ki maine tumhare bin ye din kaise guzare hai?

Sumit: Main janta hoon, aaj hamare dil ki halat ek jaisi hi hai. Kyonki hum dono ekdoosre ki padchhayi jo hai.

Kumkum: Magar ab mujse wada karo ki doobara aise kahi nahi jaoge aur tum to 21 tarikh ko aanewale the to phir.

Sumit: Maine kal raat jaagkar sari reports taiyaar ki aur subah sab final karke kaam khatm kiya aur aa gaya. Kyonki Sumit sab kuch sehen kar sakta hai magar uski Kumkum ki aankh me aansoo aaye ye hargiz bardast nahi kar sakta.

Kumkum: Aadhi raat hai aur tum thak gaye honge. so jaao.

Dono so jaate hai aur Sumit subah uthakar

Sumit: Kumkum.

Kumkum: Hummm.

Sumit: Ye tumhare liye.

Sumit Kumkum ko gift deta hai aut Kumkum usse kholne jaati hai, tab Kumkum ke liye courier aata hai, Kumkum pehle usse kholti hai magar chonk jaati hai.

To be continued...................................... & amp; nbsp;
Edited by janu_kumkumjuhi - 18 years ago
preethi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 18 years ago
to sweet jan.
stopped at great point cont soon 😛

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".