Chalo bhaiya Sumit ki tabiyat bigad gayi aur Kumkum apni tabiyat ko chhod Sumit ke liye jaagi kya is baat ka asar Sumit par hoga aur uska reaction kya hoga, aap janna chahte hai? To usi pyar bhare safar par chaliye mere sath ...........................................
Kumkum Sumit ki khayal rakhte huve raat me Sumit ke kandhe par hi sir rakhkar so jaati hai aur baad me jab subah hoti hai to sabse pehle Sumit ki aankhe khulti hai aur jab apne kandhe ki or uski nazar jaati hai to usse ehsas hota hai ki Kumkum raat me uska khayal karte karte aise hi so gayi hai aur woh apne aap se baate karta hai.
Sumit: Ye Kumkum bhi naa. Mera khayal rakhte rakhte ye khud bhool gayi ke usko bhi rest karna hai, sach me shayad main Kumkum ke kabil nahi hoon. Mere parivaar aur muje Kumkum ne is tarah sambhala hai ki agar ek second ke liye bhi woh kahin chali jaaye to naa jaane hamara kya hoga. Bhagvaan ne Kumkum ko bahot hi fursat me banaya hoga jo woh itni khoobsurat hai aur jitni woh khoobsurat hai usse kain guna zyada uska dil khoobsurat hai jisme woh sabko basa leti hai aur kisiko paraye hone ka ehsas nahi hota, usse dekhkar aisa lagta hai ki bhagvaan ka doosra roop uska doosra naam hi Kumkum hai. Aur usse main janmo janmo se janta hoon aur woh har janam me meri ho jaaye.
Par usi dauran Kumkum ki nind ud jaati hai aur woh Sumit ki baate soon leti hai magar Sumit ko iska pata nahi chalta aur tab Kumkum uthakar.
Kumkum: Sumit.
Sumit: Are, tum uth gayi.
Kumkum: Haan, tum ab kaisa feel kar rahe ho?
Sumit: I'm OK now.
Kumkum: Magar ye sab abhi tum kya keh rahe the ki tum mere layak nahi,
Sumit: Woh to main aur tumne soon liya.
Kumkum: Haan, maine sab soon liya aur aaj bole so bole aaj ke baad aisa kabhi mat bolna ke tum mere kabil nahi ho aur main bhi yahin manti hoon ki hamara janmo janmo ka naata hai aur aage bhi har janam me tum hi mere jeevansathi bano. Banoge naa?
Sumit: Nahi.
Kumkum: Kya?
Kumkum ki aankho me aansoo aa jaate hai.
Sumit: Are, kya huva tumhe?
Kumkum javab nahi deti. Sumit samaj jaata hai.
Sumit: Are, main to mazak kar raha tha. Aur tum rone lagi.
Kumkum: Sumit, mazak me bhi kabhi ye baat naa kehna varna tumhari ye Kumkum apni jaan de degi.
Sumit ki aankho me bhi ye soonkar pani aa jaate hai.
Sumit: Itna pyar karti ho mujse?
Kumkum sharma jaati hai aur wahan se jaane ki koshish karti hai. Magar tab Sumit uska hath pakad leta hai aur Kumkum ki dhadkane tez ho jaati hai, usse Sumit ke sparsh ka ehsah hota hai aur uska dil aisa mehsoos karta hai jaisa usne aage kabhi nahi kiya tha aur ye ehsas uske man ko chhu leta hai aur Sumit,
Sumit: Banda apne jeevansathi ko dukh pohchanewali khatake liye maafi mangta hai, magar samne woh aap se pyar bhi to karta hai.
Kumkum: (Sharmate huve) Apki ye khata khata nahi thi magar hume bhi to aap tak apne pyar ki gehrai pahunchani thi.
Sumit: Bahot khoobsurat hai ye aankhe tumhari bana dijiye ise kismat hamari.
Kumkum: Usse aur kya chahiye zindagi me jisse mil gayi ho mohhobbat tumhari.
Itna kehkar Kumkum chali jaati hai fresh hone aur Sumit apni shadi ki photo ko dekhta rehta hai, thodi der ke baad Kumkum fresh hokar aati hai, tab usne red colour ki sari pehni hoti hai, uske baal gile hote hai aur jaise koi swarg ki apsara ho aisi khoobsurat woh dikh rahi hoti hai, Kumkum dressing table ki or jaati hai aur tab Sumit ka dhyan uski or khincha jaata hai, Sumit Kumkum ko taiyaar hota dekh raha hota hai, Kumkum sabse pehle apne baal savarti hai baad me apne mathe par red bindi lagati hai, hatho me chudi, pairo me payal, gale me mangalsutra pehnti hai. Kumkum jahan baithi hoti hai uske samne aina hota hai usme Sumit usse nazar aa raha hota hai, Sumit ko bhi ye baat pata hoti hai, phir Kumkum ghoomkar Sumit ki or dekhti hai aur sindoor ki dibiya apne hath me lekar apne sir par sindoor lagati hai, baad me Sumit aine me ishara karta hai aur Kumkum bahot soondar lag rahi hai aisa aine me ishara karke kehta hai, Kumkum ye dekhkar sharma jaati hai, tab Sumit kehta hai
Sumit:Chand bhi dekha, phool bhi dekha, badal bijli titli joognu, koi nahi tere aisa, tera husn hai jaisa.
Ye kehkar Sumit apne bed se uthne ki koshish karta hai magar achanak usse zor se chakkar aa jaate hai, uske samne kala andhera chha jaata hai aur ye Kumkum aine me dekh leti hai aur Sumit ki or bhagti hai, yahan Sumit girnewala hota hai magar Kumkum aakar usse pakad leti hai aur usse bed par letati hai.
Kumkum: Sumit kya huva?
Sumit: Woh zara sa chakkar aa gaya.
Kumkum: To uthne ki kya zaroorat thi? Doctor ne tumhe rest karne ko kaha hai.
Aisa kehkar Sumit ko letati hai magar tab Kumkum ke baal Sumit ke chehre paar aa jaate hai aur Kumkum ka mangalsutra Sumit ki kafni ke button me fas jaata hai aur Kumkum wahan se jaane ki koshish karti hai magar fasne ke karan Kumkum Sumit ki or khinchi chali aati hai aur Sumit ke upsr jaa girti hai aur Sumit usse pichhe se pakad leta hai, Kumkum uthne ki koshish karti hai tab Sumit uske hath se Kumkum ki zulfe hatata hai aur gardan ke pichhe chhuta hai aur Kumkum ki aankh band ho jaati hai, Kumkum ko ye sparsh apna sa magar bahot accha lagta hai, uski saanse ruk ruk kar chalti hai, uska dil Sumit ke liye dhadkne lagta hai aur dhadkano ki raftar tez ho jaati hai, tab Sumit kehta hai.
Sumit: Meri nigahon ne ye kaisa khwab dekha hai, zameen pe chalta huva mahathab dekha hai.
Kumkum andar se khush to hoti hai magar uski aankho me haya ki lali dikhai padti hai aur ye dekhkar Sumit uska hath le leta hai aur Kumkum uthne jaati hai tab Sumit usse rookne ke liye ishara karta hai aur woh mangalsutra nikalta hai, uthne ke baad Kumkum sharmakar doosri aur chali jaati hai magar aaj woh apne man se bahot khush hoti hai, baar baar usse jo huva usika ehsas hota hai, yahan Sumit bhi usi khayalo me ulja huva hota hai, tabhi kisika phone aata hai aur Kumkum wahan aati hai, Sumit phone par baat kar raha hota hai, baat khatm hone par Sumit Kumkum se kehta hai.
Sumit: Kumkum.
Kumkum: Hummm.
Sumit: Main jaa raha hoon.
Kumkum ye sunkar chonk jaati hai.
Kumkum: Kahan?
Sumit: Woh Mr.Khanna ka phone tha, hamare farm house ke baajoo jo jagah thi usse kharidne ki deal sign karne aur wahan ke project ka kuch kaam hai uske liye. Main aaj dupahar ko hi jaa raha hoon.
Kumkum: Magar main tumhe nahi jaane doongi tumhari aisi halat nahi hai ki tum wahan jaa sako.
Sumit: Muje jaana hoga, tum baat ko samaj nahi rahi.
Kumkum: Magar wahan koi aur bhi to jaa sakta hai, tumhi kyon?
Sumit: Woh isliye ki woh sab mere naam par hai isliye legal formalities ke liye muje hi jaana hoga aur woh bhi akele.
Kumkum: Nahi tum aise akele nahi jaaoge, main tumhe kahin jaane nahi doongi.
Sumit: Baat ko samjo, mera jaana bahot zaroori hai varna main tumhe chhodkar aise jaata kya?
Kumkum: Nahi. Main kuch nahi janti.
Sumit: Kumkum, suno to sahi. Main jaldi aa jaaoonga.
Kumkum: aaoge to tab naa jab main tumhe jaane doongi.
Sumit: Kumkum, please. main kisiko bhi sath le jaata magar koi aisa nahi hai jisse bhej sakoon yaa sath le jaa sakoo.
Kumkum:(Achanak ye baat sunkar uske dimag me strike hoti hai) Sumit, tum muje to le jaa sakte ho naa?
Sumit ye baat sunkar confused ho jaata hai aur baad me sochkar
Sumit: Thik hai. Tum chal sakti ho. Apna packing karlo aur main gharwalo ko batakar aata hoon, tum bhi chalo.
To be continued.........................................
........................................................
❤️ I love Juhiji very much. ❤️