ff-KumkumSumit(Tu Mile Dil Khile)Upd20/05 - Page 16

Created

Last reply

Replies

393

Views

75.1k

Users

33

Likes

21

Frequent Posters

Ruhihutijufan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
very nice part.kep updating. me too having fun in valsad. 👏 👏
preethi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 18 years ago
cute part great to see sukk tog 😛 👏
janu_kumkumjuhi thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Yaar, Sumit-Kumkum ki is lovestory me aage kya hoga ye besbri to hum sabhi ko hai to ek kaam karte hai woh dono jahan gaye hai wahan jaakar dekhte hai ki kya chal raha hai, Then let's go.................................

Doosre din ki subah Kumkum taiyaar ho jaati hai aur Sumit nahane jaata hai, Kumkum unke kamre ki gallery se bahar samandar ko dekhti hai aur subah ka mazaa leti hai, tab Sumit taiyaar hokar Kumkum ke paas jaata hai aur Kumkum us waqt ek geet gungunati hai.

Kumkum: Bekhudi me sanam, uth gaye jo kadam aa gaye aa gaye aa gaye paas hum.

Sumit pichhe se Kumkum ko awaz dekar,

Sumit: Kumkum.

Kumkum: Are, Sumit. Tum taiyar ho gaye.

Sumit: Haan, magar.

Kumkum: (ekdum innocently) Magar, magar kya?

Sumit: Woh maine pehle bhi geet gate huve suna hai aur aaj bhi tum gaa rahi thi. Woh..

Kumkum: Are, woh to aise hi. Muje gaana accha lagta hai aur jab main bahot khush hoti hoon to halat ke hisaab se jo geet lage woh gungunaane lagti hoon, vaise kuch khas nahi.

Sumit: Main to ye keh raha tha ki tum bahot accha gaa leti ho. Aur tumne kaha ki tum halat ke hisaab se gaana gaati ho. right?

Kumkum: Haan, to?

Sumit: Are, to to kya? Main ye kehna chahta hoon ki aaj bhi tumne us hisab se gaana chuna.

Kumkum: (Uske dimag me strike hoti hai) Haan. Aur vaise sach bhi to hai ki hum ab karib aa gaye hai.(Achanak) Magar Sumit.

Sumit: Bolo.

Kumkum: Main tumhari har shayri ka javaab khayri se hi deti hoon, right?

Sumit: Right.

Kumkum: To ab tumhari baari.

Sumit: Matlab?

Kumkum: Matlab ye ki is geet ka javaab bhi tumhe geet gaakar hi dena hoga.

Sumit: Kya? Main aur geet?

Kumkum: Hummm...

Sumit: Ho hi nahi sakta.

Kumkum: Lekin kyon?

Sumit: Woh isliye madam ki agar maine gaana gaya to aap muje abhi isi waqt talak de dengi.

Kumkum: Magar aisa kya hai tumhare gane me ki main aisa karoongi?

Sumit: Muje gaana gana nahi aata, main bahot besoora gaata hoon.

Kumkum: To tumne ye soch liya ki main aisa karoongi?

Sumit: Nahi, mazak kar raha tha. kyonki tumse door hone ke baare me to soch bhi nahi sakta.

Kumkum: par tumko gaana to batana hi padega varna main rooth jaaoongi.

Sumit: tab to kehna hi padega. To ye suno, Sau baar janam lenge, sau baar fanaa honge , e jaane jahaan phir bhi hum tum naa jooda honge.......................

Kumkum: Are, waah tumne to meri dil ki baat kehdi. I , I, I......

Sumit: Aage to bolo.

Kumkum sharma jaati hai aur.

Kumkum: Baad me.

Sumit: Kab?

Kumkum: Sham ko. Abhi tum jaao, kaam karne aaye the to kaam par jaao.

Sumit: Kya?

Kumkum: Haan.

Sumit:(dukh ke sath) Thik hai, jaana to padega hi. Magar tum?

Kumkum: Main yahan hoon. Tumhara intezaar karoongi, sham ko phir beach par chalenge. Thik hai?

Sumit: Jaisa aap kahe, hum to aap ke gulam hai.

Kumkum: Accha?

Sumit: Haan.

Kumkum: Ab jaao. varna der ho jaayegi.

Sumit wahan kaam ke liye jaata hai aur Kumkum lunch lekar baithti hai tabhi ghar se phone aata hai, Kumkum phone par sabse baat karti hai aur phone rakh kar ek chitthi likhti hai, us chitthi ko table par chhodti hai aur wahan se chli jaati hai. Shaam ko Sumit kaam khatm karke aata hai, aur

Sumit: Kumkum, Kumkum. Shayad kamre me hongi.

Kamre me dekhta hai magar wahan Kumkum nahi hoti, phir sab jagah farm house pe dhhoondhhta hai magar woh usse nahi milti.

Sumit:Ye kahan chali gayi?

Aur bahot pareshan ho jaata hai.

To be continued........................................

........................................................

❤️ I love Juhiji very much. ❤️
preethi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 18 years ago
great going.
kk kha chali gayi 😕 cont soon 😳
Ruhihutijufan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
good part.keep it up.plz update fast. 👏 👏
aditi305 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Haan bina bataye Kumkum kahan chalii gayi? Waiting for the next part.
-Amby- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 18 years ago
where did kumkum go????????????
continue soon
janu_kumkumjuhi thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Guys, Kumkum chali gayi hai, kahan? ye to hai suspense. Magar uske bina Sumit ka kya haal hoga, woh ab kya karega, kya Kumkum ki chitthi se usse koi que milega? Kya Kumkum hamesha ke liye chali gayi hai? Kya usse kisi baat se thes pahonchi hai jo woh is tarah jaa chuki hai? Magar kya woh Sumit ke bina reh payegi? Usne to Sumit ke sath rehneka aur poori tarah se uski hone ka faisla le liye tha magar ab kya? Chaliye jaate hai wahin farm house par jahan Sumit pareshan ho gaya hai.


Sumit Kumkum ko naa dekhkar bahot pareshan ho gaya aur apne aap se baate karta hai.

Sumit: Subah to usine kaha tha ki woh Sumit ke sath jaayegi aur uska mood thik tha. Usne yahan kuch dekha bhi nahi hai, kahan gayi hogi aur is tarah se? Kya baat hogi jo woh is tarah jaa sakti hai. Mujse koi galti hui hai? (thoda yaad karke) Are, nahi. aisi bhi koi baat nahi hui. To phir. (Achanak ek idea aata hai) Main usse phone karta hoon. Abhi pata chal jaayega.

Sumit phone karta hai magar samne se

Phone se: Hi, I'm Kumkum. Mrs.Kumkum Wadhwa. Agar aap Sumit hai to main aap se baat nahi karna chahti.

Sumit: Yaar, ye phone to voice mail me hai aur isne aisa kyon kaha ki ye mujse baat nahi karna chahti. Zaroor mujse koi galti ho gayi hogi varna meri Kumkum aisi nahi hai ki aisa keh de. Zaroor koi baat hogi magar woh ekbaar mujse baat kare to main kisi natije par pahoonchu varna.......Aur aur woh kahan gayi hogi. (Achanak wahan kaam karnewale naukar ko dekhkar) Are, suno.

Naukar: Ji, sahab.

Sumit: Tumne Kumkum ko dekha. Woh kahan hai, tumhe pata hai?

Naukar: Ji nahi sahab.

Sumit: To usne koi messege chhoda tha mere liye?

Naukar: Pata nahi. Muje unho ne kuch nahi bataya.

Sumit: Woh kitne baje gayi aur uske pehle usne kya kiya? Tum kuch bata sakte ho?

Naukar: Shayad aapke aane se lagbhag 2 ghante pehle woh gayi aur haan doopahar ko unho ne lunch liya aur phone pe kisi se baat ki aur phir chali gayi.

Sumit: Thik hai, tum apna kaam karo. (Apne aap se) he, bhagvaan. woh kahan gayi hogi. (achanak) ek minute. Isne kaha ki usne kisi se baat ki to yahan ke phone me record to hoga hi main check karta hoon, shayad isse kuch madad mile.

Sumit record check karta hai aur check karta hai.

Sumit: Are, isme to ghar ka number hai, yani ke last ghar se phone aaya tha aur baad me woh chali gayi. Ghar par phone karta hoon magar wahan sab chinta karenge.

Tabhi uska dhyan table par jaata hai jahan Kumkum ne chtthi chhodi thi aur woh wahan jaakar woh chitthi uthata hai.

Sumit: Ye to Kumkum ki chitthi hai, isme usne kya likha hoga. Padta hoon abhi pata chal jaayega.

Sumit chitthi padta hai aur chitthi me likha hota hai ki,

Sumit, main janti hoon ki jab tak tum yahan aaoge to main chali gayi hogi aur muje samne naa pakar tum pareshan bhi ho chuke honge magar meri fikr karne ki tumhe koi zaroorat nahi hai kyonki ab hum dono ke raste alag ho chuke hai, ab muje lagta hai ki hum sath nahi chal sakte aur tum bhi ye soch rahe honge ki maine aisa kyon kiya aur isika jvab dene ke liye maine ye chitthi chhodi hai, tumhari asliyat mere samne aa gayi hai aur usse to tum bhi jaanna chahoge to aaj tum yahan aane ke baad Tithal beach ke kinare ek tent hai jisme tumhe mere jaane ki wajah mil jaayegi. Aur muje dhhoondhhne ki koshish mat karna. Kumkum.

Ye padhkar, Sumit ki aankho me aansoo aa jaate hai.

Sumit: Ye kya ho gaya hai, maine Kumkum ko aisi koun si taklif pahoonchai jisse woh itni naraz ho gayi aur woh chli gayi, main to ab uske bina ek pal nahi ji sakta. Magar muje ye to janna hi hoga ki aisi koun si baat thi jisse hamare raste usse alag lagne lage. Muje wahan jaakar dekhna chahiye.

Sumit beach par jaata hai aur wahan usse door se ek tent dikhayi deta hai

Sumit: Shayad yahi woh tent hai jiske baare me Kumkum ne zikr kiya tha.

Sumit wahan pahoonchta hai to dekhta hai ki tent poora phoolo se sajaya gaya hai, tent ki ek taraf dinner table hai, doosri taraf music system hai aur side me ek bed hai aur zameen par har taraf rosse bichhe huve hai. Dinner table par khna taiyaar hota hai.

Sumit: Are, chitthi ke mutabik to tent yahin hai magar yhan to sab....shayad main galat jagah aa gaya.

Picche se koi bolta hai.

Aasman ko sitaron ki baraat mubarak, Chand ko uski chandani mubarak, phoolon ko uski khushbu mubarak aur apko apki kamyabi mubarak.

Ye sunkar Sumit moodkar dekhta hai aur wahan aur koi nahi Kumkum hi hoti hai, aur woh Sumit ke aage apni baahen failati hai aur Sumit ye dekhkar daudkar Kumkum ke paas jaata hai aur uske sine se lag jaata hai, thodi der ke liye bas woh dono aise hi ekdoosre me kho jaate hai magar baad me Sumit ko kuch yaad aata hai aur dono alag ho kar

Sumit: Kumkum, chitthi aur ab ye. I mean main kuch samja nahi.

Kumkum: Main samjati hoon. jab tum gaye kaam ke liye baad me ghar se phone aaya tha aur wahan se muje pata chala ki tumhe apne business ke liye Best Business Man Of The Year ka award diya jaa raha hai aur woh tumhe ye award 13 November ko mil raha hai aur tab maine decide kiya ki tumhe kyon naa treat di jaaye aur maine ye sab plan kiya. Magar main janti hoon ki ye chitthi padhkar tum bahot dukhi huve honge magar I'm so sorry. Muje maaf kardo(apne kaan pakadkar).

Sumit: Uski koi zaroorat nahi. Magar is sabke liye Shukriya.

Kumkum: Tumhe bhi shukriya kehne ki koi zaroorat nahi.

Sumit: Magar janti ho, Sagar nadiyon ke bin hota nahi poora aur geet bhi hai sargam ke bin adhoora. Jaise mubarak nahi hai Sukriya ke bin poora vaise Sumit bhi hai Kumkum ke bin adhoora.

Dono hanste hai, us din Kumkum ne red colour ki sari aur diamond jewellary pehni hoti hai aur uske hath me red rose ka bunch hota hai aur woh Sumit ko deti hai. Lete waqt Sumit ke hath me kanta choobhta hai aur khoon nikalta hai, ye dekh Kumkum woh khoon apne hotho se choos leti hai aur us bunch me se ek rose lekar Sumit ke coat me laga deti hai.

Kumkum: Ye tumhe yaad dilayega ki tumhare dil ke paas ab main hoon.

Sumit: Ab to ye dhadkan bhi apki hi hai to dil bhi to apka hi hai. Magar tum aaj bahot khubsurat lag rahi ho. To kya is khubsurat lady ke sath main dance kar sakta hoon?

Kumkum: Zaroor.

Dono dance karte hai, baad me dinner lekar wahan hi so jaate hai.

To be continued.........................................



........................................................
❤️ I love Juhiji very much. ❤️

aditi305 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
Wah Wah, soooo romantic. Kumkum team if you can see this write up please have such romantic scenes other than badmasho ki line jo sada Wadhwa House ke samne lagi hoti hai. Sometimes I wonder Wadhwa House never did any wrong with anyone but the amount of deadly villains and vamps are there.

Its a wonderful update. Thanks and update soon. Waiting for Sumit's Birthday.
preethi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 18 years ago
wonderful update.
now rellived where kk went 😛
cont soon 😳

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".