Aisa kya ho gya ki Kumkum halat isi ho gayi, hume ye nahi pata magar jnna to padega hi to chaliye Kumkum ke paas aur vaise bhi woh din aa hi gya jiska hume intezaar tha...........................................
Kumkum uthti hai, us din 19 November hoti hai, woh janti hai ki us din Sumit ka birthday hai mgar usse woh yaad hai aisa nahi dikhana tha, rozz Sumit Kumkum ke baad uthta hai magar us din woh Kumkum ke bajoo me nahi hota, usse bed par naa dekh Kumkum usse dhhondhhne jaati hai aur bed se utarne ki koshish karti hai magar woh chonk jaati hai kyonki uske kamre me bahot saare red roses ke bucket hote hai, woh zameen par pair rakhti hai to zameen par baho saare colouring baloons ar ed rosr ki pankhdiya bichhi hoti hai, uska dhyam table par jaata hai wahan bucket, ek gift aur chitthi hoti hai, Kumkum wahan jaakar sabse pehle chitthi padti hai, jisme likha hota hai ki,
Nahi janta ki ye koun si aarzoo hai, nahi janta ki ye koun si justajoo hai magar hamari khwaish hai ki har subah aap ko dekhkar hi ho kyonki aap woh roshni hai jo khud jalkar hume sooraj ki pehli mulayam kirno ki tazgi aur takat deti hai. Aur yahin haseen subah aapke naam karne ye tohfa aapke liye, aapke samne bahot chhota hai magar phir bhi aapke deewane ki taraf se, isse wahin kholna.
Kumkum woh tohfa kholti hai aur usme se red colour ki bahot hi heavy sari nikalti hai aur usme ek note hoti hai ki, ab almari ke drawer ko kholo. Kumkum aisa karti hai wahan ek white rose ke sath gift aur chitthi nikalti hai, Kumkum phir se chitthi padti hai, aur usme likha hota hai ki,
Hum kabhi akele nahi rehte kyonki hamare sath aapki awaz gunjati rehti hai, ye dil ki dhdkane bhi saanso ke sath joodi rehti hai kyonki aapki payal khanati rehti hai. Open the gift. Kumkum gift kholti hai to usme se payal aur bichchhiyan nikalti hai aur usme note hota ki ab dinnig table par jaao. Kumkum wahan jaati hai.
Wahan ek doosra gift, pink rose aur chitthi hoti hai, jisse Kumkum padti hai.
Aapke har kadam ke sath hamara kadam chalega kyonki humsafar hoon apka jo hardam apka parwana rahega. Gift dekho. Kumkum gift dekhti hai jisme se naye sandles nikalte hai, aur note hoti hai jisme usse hall ke table ke paas jaana hota hai, Kumkum wahan jaati hai.
Wahan Yellow Rose, gift aur chitthi hoti hai, jo Kumkum padhti hai aur likha hota hai ki,
Bahot husn chhipa hai tumahar daman me, har waqt main hi bsta hoon tumhari aankho me, sacchai hoti hai tumhare har bolme aur sadgi hi sadgi nazar aati hai tumhare roop me. Please, open the gift. Kumkum gift kholti hai to usme se us saari se matching chudiyan aur sindoor ki dibbi, bindiya aur makeup ki saari chiz nikalti hai aur note me terrace par jaane ke liye likha hota hai aur Kumkum terrace par jaati hai.
Terrace par red rose, gift aur chitthi hote hai, Kumkum chitthi padti hai, jisme likha hota hai ki
Bahot kam chize hai jisse chand chhip jaayega, agar koi hira bhi aapko dekhega to aapke husn ke samne sharma jaayega. Open the gift. Kumkum gift open karti hai to usme note nahi hota magar usme kangan, neckless, joomke hote hai. Usi waqt Kumkum par phoolo ki barsaat hoti hai aur picche se koi kehta hai ki,
Koun kehta hai ki ye duniya pyar par nahi chalti, are yaaro zara mere samne aayi gazal ko to dekho, ye shayar aur duniya yahin kahenge ki zameen aasma ke bin nahi chalti.
Kumkum ghoomkar dekhti hai aur uski aankh me khushi ke aansoo hote hai, aur Sumit bhi usse dekh bahot khush hota hai, uske hath me ring hoti hai aur woh Kumkum ko pehnata hai aur poochhta hai,
Sumit: Kumkum, will you marry me?
Kumkum haan kehkar uske gale lag jaati hai
Kumkum: Ye sab kya hai Sumit?
Sumit: Aaj tumhara pehla karvachoth hai aur isliye main chahta hoon ki inhi chizo se tum sajo savro. Kya meri ye khwaish poori ho sakti hai?
Kumkum: Ye Kumkum poori tumhari hai to kya tumhari khwaish poori nahi hogi? Main tum jaisa chahte ho vaisa hi karoongi.
Sumit: Man tumse baat kehna chahta hoon ki, ki ki.....
Kumkum: Kaho naa.
Sumit: Baad me.
Kumkum: Thik hai. Magar ab chale hum taiyaar ho jate hai aur tumhe bhi to office jaana hai.
Sumit: Haan, aaj to meeting hai. Chalo.
Dono fresh hone jaaate hai.
To be continued.
Abhi asli mazaa to baki hai to ab zaroor dekhiye kyonki 19 November ki subah aisi hai to dopahar aur sham aur raat kaisi hogi ye dekhna baki hai, so, keep watching.