Chap 9
At Night
Nidhi is in her room and talking to Anji on phone
Anji: hey Nidhi,what's up?kahaa tak pahucha tera aur major ka romance?
Nidhi: shut up Anji,tumhe pata hai na ki hum dono do different polls hai.Lekin kya kare dono ko Newton ke law ke mutabik hi pyaar karna tha.
Anji: isme bhi science?Nidhi Fairy tale ki stories toh bol?
Nidhi: Nahi,woh in sab stories ke rajkumar se alag hai.Bus pyaar express karne me thoda zizakate hai aur fir bacho ki tarah darte bhhi hai.Par kya karoo,Hum Dil de chuke sanam.
Anji: matlab ab tu bhi unke parade ka,court marshal ke liye discipline life ke liye taiyaar hai.
Nidhi:are woh sab chhod.Aaj toh woh apna principle todke party me bhi aaye the.Lekin ek baat hai Anji,Unke alfaaz se jyada na unki aankhen bolti hai.
Anji: Di ki kya news hai?sab theek chal raha hai na unke aur Armaan ji ke beech me?
Nidhi: are haa re!bus di ko khush dekhkar lagta hai ki ab di ke liye DB aur Baba ko batana padega.Di toh apne muh se kuchh bolegi nahi.
Anji: koi baat nahi nidhi,hum hai na?aur fir DB aur Baba jo karte hai woh di ke bhalai ke liye na?DB ko di ki bahoot fikar reheti hai.
Nidhi: ha toh fir done.Hum dono milkar di ka syllabus set karte hai.
Anji: tu abhi bhi nahi sudhari na?
Nidhi: bus Major saheb ke samne bolti band ho jati hai
Anji:chal bye aur kal khub enjoy karna aur muze aakar phone pe batana.Good night Nidhi.
Nidhi ne phone rakha aur sone hi ja rahi thi ki Mallika entered in her room
Mallika:Nidhi,kya tu suchmuch nahi aana chahti kya?lekin agar tu aana chahti hai mandir toh muze aur Armaan ko koi problem nahi hai beta.
Nidhi: nahi di,muze nahi aana abhi.Main kal Anji ke liye shopping karoongi aur aapki bhi toh shopping baki hai aur di,aapne har baar humare bareme socha hai na?toh ab thoda waqt apne liye bhi nikaliye.Kal toh hum sab juda ho jayenge na?
Aur Nidhi ne apne aasoo safai se chhupa liye
Mallika also shocked by her statment.
Mallika: Nidhi,yeh toh maine socha hi nahi tha.Achhe waqt me hum yeh sab bhul jate hai.Par agar tu humare saath aati toh achha lagta muze.But enjoy yoursself and shoping aur dhyan rakhana apna.
Mallika wahaa se chali gai.
Nidhi ne apna night dress pahena aur woh sone ki koshish kar rahi thi aur uska cell phone baja.
Ashutosh ne call kiya tha Nidhi ko
Nidhi: major sahab aap?
Ashutosh: sirf ashu nahi keh sakti?
Nidhi: wohi toh nahi keh sakti na?
Usne itne sweetly kahaa ki Ashu apni hansi rok nahi paya.
Ashu: theek hai main yeh aap keupar chhodta hoo ki aap kya bulana chahenge muze.Lekin muze yeh toh bataiye,kal aap kahaa jana chahti hai?
Nidhi: jahaa aap le chale.
Ashu: camel ki sawari karna pasand karengi aap?
Nidhi: maine kabhi ki nahi hai,lekin agar aap saath de toh.
Ashu: ab toh main hardum aapke saath hu.Dil se.
Nidhi sharma gai.
Nidhi: toh fir theek hai kal milte hai.
Ashu: Nidhi,lekin no saree please.Aap western kapadome aaiye.Woh aapke liye confortable rahenge.
Nidhi: main western dress me aayi toh aapko achha lagega?
Ashutosh: Nidhi,kabhi bhi kapado ke upar insaan ki rai nahi banani chahiye.Kapde status symbol nahi hota.Muze pata hai aap ka dil kitna khubsurat hai.Aur aap matured hai kapado ke mamleme.So no issue at all.Bye chalo so jao ab.subah 8 baje milte hai.Good night
Subah hui aur mallika nidhi ke kamare aai.
Mallika:Nidhi,hum ja rahe hai.Tu apna khayal rakhna.Paise chaiye kya/
Nidhi: kya di,main bhi dr hu aap kyon bhul jati ho?aur aap yeh sab fikar chhodiye aur apna wwaqtenjoy kijiye na?
Nidhi ne blue jeans aur red cotton ki kurti paheni thi.She was looking beautiful.She entered in Hotel reception aur right 9 baje ashu Indica lekar aaya.
Nidhi ne dekha toh ashu ne safed shirt aur blue jeans paheni thi.
Dono ne ek dusreki jeans ki taraf dekha aur dono hans pade.
Ashu: aa jao Nidhi aur ashu ne uski taraf ka darwaja khola aur nidhi baith gai.
Nidhi: muze aapse kuchh kahena hai.
Ashutosh: muze bhi.
Nidhi: hum kahi shant jagah par ja sakte hai jahaa hum sukun se baat kar sake?
Ashutosh: as you wish Nidhi.Waise muze shant jagah pasand hai.lekin yahaa sareee jagah registan hai toh yahaa ke resort chalte hai.
Nidhi ko ashu ek resort le gaya aur dono resort ke resturant ke ek table pe jake baith gaye
Nidhi: major
Ashu: ji,fir se major.Theek hai time waste nahi karte is par.Jaisa aapko theek lage.
Nidhi: woh kya hume humare bareme sabko bata dena chahiye?
Ashutosh: dekho nidhi,main toh chahta hu ki hum sabko bataye.Lekin main yeh sab tum par chhodta hoo ki tum kya karna chahti ho?
Nidhi: hum abhi kisiko nahi bataye toh?pahele di aur Armaan ji ki shadi karwate hai fir humare bareme sochenge.Tab tak hum ek dusreko miss karenge.
Ashutosh ne paheli baar Nidhi ki aankhome aassoo dekhe sirf miss karne ke liye
Ashu ne Nidhi ko apne next chair par baithne ko kahaa.
Nidhi jab wahaa baithi toh ashu ne Nidhi ki aankhome dekha
Nidhi: aapki aankhe bhar aayi hai major.
Ashu: Nidhi,kehete hai aaasoo kamjori ki nishani hai,lekin mere aasoo sirf tumharee judai ke naam se hi bahete hai.Lekin ek baat ka promise chahta hu tumse dogi?
Nidhi:kya?
Ashutosh: Tum muze yaad karke rogi nahi.Turant phone karogi aur baat karogi.Kabhi bhi.Yeh nahi ki abhi ashu busy hoga ya fir sankoch se na karo ki ashu ko kaisa lagega?
Nidhi ne yeh sunate hi rona shuru kar diya.
Ashu ne Nidhi ke aasoo apni hanky se pochhe aur uska haath apne hathome liye
Ashu: Nidhi,tumhe rote nahi dekhna chahta hu main.Main apne pyaar me kamjor pad jaoonga.Hume toh abhi badi dur tak yeh sab sehena hai.Aur pyaar kabhi insaan ki kamjori nahi taqat banani chahiye.
Nidhi: aap theek kahete hai.Ab main nahi rooongi
Ashutosh: that's like a brave girl.
Nidhi: ab aap bataiye aapko kya baat karni thi?
Ashutosh: bus aap pahele apni aankhe bund kijiye.
Nidhi: aap muzse darke bhaag toh nahi jayenge?
Ashutosh: ab bhagkar kahaa jaoonga aapse?chalo aankhe band
Nidhi ne aankhe band ki aur aashu ne use ek box diya
Nidhi ne aankhe kholi aur usne woh kholkar dekha toh usme pyaari si payal thi.
Ashutosh: nidhi main paheli baar kisi ladki ke liye kharid raha tha pata nahi pasand aayegi ki nahi aapko.Ring bhi kharid sakta tha lekin fir engegment ke liye woh idea postpone kiya.
Nidhi: major sahab it's beautiful.Aapko choice toh achhi hai.
Ashu ne shararat bhari najaro se Nidhi ko dekha aur bola,"woh toh hai."
Ashutohs: Nidhi,maine yeh socha tha ki agar main kisise pyaar karoonga toh kabhi bewafai nahi karoongi.Mera yeh sapna tha ki main use duniya ki har khushi doongi.
Nidhi: hum dono bahoot alag hai major.Lekin pyaar shabd hume pura karta hai.Pyaar har duriya mita sakta hai.Bus dil me sacha pyaar aur jajbaat hone chahiye.
Ashu: Nidhi,tumhe itna pyaar ke bareme kaise pata?
Nidhi: hum ladkiya na thodi pagal hoti hai.Bachpan se Rajkumar ke sapne dekhna shuru kar deti hai.Maine bhi dekha tha ek pyara sa rajkumar jo meri har khwaish puri karega.And i am glad that you are in my life now.aap soch rahe honge main pagal hu na?
Ashu: Nidhi,pyaar toh khuda ki den hai.Woh toh ho jata hai.Bus tumhe aisee bate karte dekhta hu toh khush ho jata hoo.Ab is pyaar bhari hasti tasveer apne dil me rakhna chahta hoo.Nidhi,zindagi bahoot chhoti hoti hai.Woh kabhi apni muthhi me nahi reheti.Lekin tab tak jee leni chahiye zindagi.Main tumhare saath wohi life jeena chahta hu.
Nidhi: main bhi toh chale.
Ashutosh: ha chalo,humare pyaar ka jahaa hume bula raha hai.Lekin usse pahele main tumhe kuchh kahena chahta hoo.I love you love you.Without any hesitation or darr ke.
Nidhi: I love you too.Major
Aur Ashutosh ne Nidhi ko tight hug kiya aur woh camel ki sawari ki taraf badhne lage.
Pyaar Ijhaar ka mohtaaz nahi
Pyaar toh failta ujala hai.
Chand ki mand roshni hai pyaar
Roooh ka sukun hai pyaar
Jis dil me ho sacha pyaar
Woh har rasm se uncha jahaa hai.
In next chap
Armaan mallika ka safar
Nidhi aur Ashu ka parwan chadhta pyaar
Judai ki ghadiya najdeek aur aashu ki badhti bechaini
Now i will update regular
Comment please
Edited by parmarA - 11 years ago