PART 9
After the breakfast, meher had to help around the kitchen since heer didi was not allowed to do any work. preet decided to hide himself from ash in the study room pretending that he is doing some work. he didnt want the same incident to happen that happened earlier in the kitchen. he was anxiously waiting to tell everyone about ash. meher assured him that everything will be ok so he should not worry. after a while, he thought meher must be done by now so he decided to search for her. he found her in their bedroom balcony sitting alone and lost in her thoughts. preet moved towards her.
preet: meher yahan akele kyun bethi ho?
meher (a bit sad): bas aise hi
preet (concerned): kya hua meher?
meher: kuch nahi preet
preet (holding her hands): tum jaanti ho na tum mujhse jhoot nahi bol sakti.chalo ab batao kya hua
meher: main soch rahi thi agar us din tum mujhse shaadi na kerte to tumhari shaadi ashlesha se hoti aur shayad yeh sab na hota jo hua hai. us ke aise bartav ki wajah main hun. kahin na kahin maine usay dard dia hai. aur yeh dard badlay ki aag main badal gaya. aur usne hum sab ko dard diya.
preet (listening to this he gets very angry. he stands up and looks away from meher): ash shuru se kaisi hai hum sab jaantay hai. meri aankhon par jo patti bandi thi woh utar gayi thi. meher usay mujhse pyar nahi hua tha. agar woh mujhse pyar kerti to hamari shaadi ke baad usne aur chachi ne jo kia tha hamare parivaar ke saath, woh na kerti.aur main. main to pyar ka matlab bhi nahi jaanta tha. attraction thi ash se bas. woh meri tarah thi. har waqt chill kerna party kerna. magar meher asal zindagi aise nahi guzarti. yeh maine seekha.magar ash aj tak nahi seekhi hai. mere mushkil waqt main tumne mera saath dia aur tumne mujh par bharosa kia. mere bauji tak ne mujhe marne ko keh dia tha. magar tumne mera saath dia.aur kya tum sach main aisa soch sakti ho ke meri shaadi ash jaisi larki se hoti to acha hota?(he looks at her and angrily holds her really tighly closer to him) jawab do! (meher is too scared to say anything. she knows she made him angry. although she has been able to help preet control his anger, but today she knows she cant control him) meher tumne to harman bhai se sacha pyar kia tha. yaad hai jab maine tumhe maya bhabhi ke iraday batayay the to tum apne pyar ko kisi aisi larki ke haathon main janay se bachanay ke liye tayyar ho gayi. tumne to harman bhai se sacha pyar kia tha na. agar aj main kahun ke harman bhai tumhe mujhse ziada khush rakh patay to kya tum mujhe chor dogi? kya tum un ke paas chali jaogi? kya main kahun ke tumhari shaadi unse hoti to acha hota?
meher (not able to bear such things, she started crying):bas preet. preet mujhe tumse ziada khushi koi nahi de sakta. jis din harmanji mujhe chor ker gaye the usi din mere dil main un ke liye koi pyar nahi raha tha. jab main tumhari patni bani to maine tumhare ilawa kisi ka nahi socha.aj main is duniya main sab se ziada tumse pyar kerti hun. i m sorry preet. i m really sorry preet (she starts crying a lot)
preet (wipe her tears and cooled down a bit): ssshhh. rona bund karo meher please. (she doesnt) mere liye please (preet kisses her lips lightly. she stops crying and looks at him) kisi insaan ko badalna bauhat mushkil hota hai aur ash aj tak nahi badli hai. meri shaadi hoti us say agar to phir bhi woh yehi sab harkatain kerti. shayad maine koi acha kaam kia hoga jo mujhe tum mili. meher aik baad hamesha yaad rakhna. preet sirf meher ke liye bana hai aur meher sirf preet ke liye.hamare beech koi nahi aa sakta kabhi bhi. main tumhare aur gungun ke begair nahi jee sakta.
meher (she hugs him really tighly.never wanting to let go): i love you preet. i m sorry
preet(making his grip around her waist tighter): i love you too meher. its ok (kisses her neck)
after a few minutes, they heard bauji and harman bhai coming back. they broke the hug and looked at each other with love. they knew this was the time to reveal ashlesha's truth. they went downstairs and called all the family members and ashlesha. ash was happy to see that finally preet would tell the family that he wants to be with ash and leave meher. she had no clue what was waiting for her.
preet: main app sab ko kuch dikhana chahta hun
he connects his phone with the laptop and shows everyone the video. the whole family is shocked.they look at ash and preet in anger. preet sees everyone looking at him angrily so he decides to talk before anyone thinks that he is leaving meher.
preet: is main kuch sach hai aur kuch jhoot
bauji (getting angry and moves towards preet to slap him for leaving meher): kya sach hai? tu meher ko chorna chahta hai?
meher comes in the way and stops him: bauji please app pehle poori baat sun lain
bauji: laikin beta..
meher: please bauji (stands beside preet again)
preet (starts to talk again): jo ash ne kaha woh sach hai aur jo maine kaha woh jhoot (everyone gets confused and ash looks at preet angrily) ash yahan aayi wapis to mujhe yakeen tha yeh kisi buray maqsad se yahan aayi hai. to maine sachai jannay ki koshish ki. aur yeh drama kia. ash ne 6 saal pehle bhi jhoot kaha tha aur aj bhi yeh jhoot bol ker is ghar main aayi. iski wajah se 6 saal tak hamare parivaar main koi khush nahi reh saka aur hamare beech duriyaan aayi. (heer had tears in her eyes for leaving her prem. the whole family was shocked but releived that their prem was innocent. in their hearts they always believed he was innocent. ash was boiling with anger that preet played this game with her)
ash: jhoot to tumne bhi kaha preet. pehle pyar ka jhoot aur kal raat bhi pyar ka jhoot. natak ker ker ke thaktay nahi tum? maine jo kia tha woh tumhari wajah se kia. tum mujhe meher ke liye na chortay to kuch na hota. hum dono hansi khushi zindagi guzaartay. saray fasaad ki jarh yeh meher hai
preet (ash crossed her line by blaming meher and this made preet very angry.he can never bear anyone saying anything bad about meher): bas ash! aik shabd bhi mat bolna bolna meher ke baray main. is janam kya, main saath janmon tak meher ka hun aur usay kabhi nahi chorunga. jaanti ho aj bhi meri khushi ke liye meher mujhe hanstay hanstay chor daiti. aisi hai meri meher. woh kabhi kisi ka bura nahi soch sakti. kerna to durr ki baat hai. aur tum. tumne to apni izzat hi gawa di. nahi. gawayi nahi. gawanay ka natak kia. Thank God ke meri shaadi tum jaisi aurat se nahi hui. aur jo tumhare saath hua woh tumhare karmo ka phal hai.
ash got very angry as she saw preet defending meher, insulting her in front of everyone, and how he betrayed her again. she ran to the dining table and got a knife and ran towards meher.
Enjoy! and thanks for reading