
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein

Saare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Kaise kahen kya hai sitam
Sochte hai ab yeh hum
Koi kaise kahen woh hai ya nahi humare
Karte to hai saath safar
Faasle hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare
Pass hain phir bhi paas nahi
Humko yeh gum raas nahi
Seeshe ki ek diwar hai jaise darmiyan
Saare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Humne ne jo tha nagma
sunaDil ne jo tha usko chuna
Yeh dastan humein waqt ne kaise sunai
Humjo agar hai gumgeen
Woh bhi udhar khush to nahi
Mulakato mein jaise ghul si gai tanhai
Milke bhi hum milte nahi
Khilke bhi gul khilte nahi
Aankhon mein hai baharein dil mein khiza
Saare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
o hoo Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
type=text/javascript>