herez mine one
Mere Dharkano ko Qarar do
Sehar: mahrukh jaldi se tyaar ho jao bahi hamein lene ke liye ane wale hain
Sehar ke kehne par woh teeze se apne room mein aye wardrobe khol kar kitni der tak woh hang kiye huwe kapron ko ghoorte rahe aaj se pehle use kapron k iselection mein itni mushkil kabhi nahi huwe thi lekin aaj who aacha lagna chahti thi kise khaas person se apni tareef sunna chahti thi tyaar ho kar woh neeche aa gai sehar abhi tak bahir nahi aye thi tahmoor ki car ka horn sun kar woh ek dam khari ho gai………us ne buhat ziada ehtamam nahi kiya tha sirf matching earrings aur bangles ka azafa kiya tha apne shoulder cut hairs ko hamesha ki taah khule rehne diya tha lekin phir bhi woh nervous ho rahi thi tabhi tahmoor darwaza khol kar ander dhakil huwa
Tahmoor: mahi tum tyaar ho sehar se kaho jaldi bahir nikle (tahmoor ne ajlat mein use dekha aur phir kitchen mein chala giya ek pal ke liye woh chup rah gai tahmoor chand lamhon baad bahir aya
Tahmoor: sehar dorr lock kar ke bahir aa jao chalo mahi (us ne oonchi awaaz mein sehar ko kehte huwe use mukhatib kiya aur darwaze ki taraf mur giya woh jo kise khoobsoorat jumle ki muntazir thi ek dam us ki aankhon mein pani teerne laga sehar ke saath woh bahir aa gai gate ke pass pohanch kar sehar doobara kise kaam se ander chale gai tahmoor car ke saath take laga kar khari tha woh us se kuch fasle par jaa kar khari ho gai
Tahmoor: (mahrukh se poochta hai) sehar nahi aye
Mahrukh: woh bari ami ne apne kapre mangwai the woh lene gai hai (us ne sir jhuka kar jawab diya to tahmoor khamoshi se key ring ungali mein ghumane laga )
Mahrukh: tahmoor bahi (akhir us ne himmat kar ke use mukhatib kar hi liya)
Tahmoor: hmmmmm (woh ab bhi gate ki taraf dekha raha tha {stupid})
Mahrukh: main kese lag rahi hoon (tahmoor jahtke se us kitaraf mura {hmm a big electric shock} ek pal ke liye us ke aankhon mein hairat dar aye aur hoonton par halki se muskarahat lekin agle hi pal woh khul kar muskaraya)
Tahmoor: hamesha ki tarah buhat achi chalo ab jaldi se gari mein behto (sehar ko gate se bahir ata dekh kar woh jaldi se driving seat k itaraf barh giya us le lehje mein kuch aisa khaas nahi tha hamesha ki tarah ka wohi andaaz jese woh kise bache se mukhatib ho )
Sehar: chalo mahrukh (sehar ke kehne par woh gari ka pichla darwaza khol kar beht gai sare raaste woh aanson peene mein masroof rahi)
Mahrukh (to herself): tahmoor bahi to mujhe aise nazar se nahi dekhte na hi mere tareef karte hain jese sameen ka cousin karta hai main hi pagal hoon (us ne ghusse se apne hathon mei npahne churiyon ko dekha us ka dil chaha sari churiyan utar kar phenk de lekin gari ke rukte hi use apne es khiyaal ko jhtlana para wahan bare papa aur salman pehle se majood the woh sab sheraz se milne ke baad Tania ke kamre mein chale gai tahmoor ne jate hi Tania ke bete ko utha liya)
Mahrukh: tahmoor bahi es ke haath paon kitne chote chote se hain (woh bare ishtiyaq se us ke chote chote paon ko choo rahi thi aur sab us k ies harkat par muskara diye tahmoor ne ghor se us ke purjosh chehre ko dekha
Use waqt muzaffar sahab ne ek nazar tahmoor mahrukh aur salman ko dekha aur Tania ke kaan mein kuch kaha to Tania ne herat se un teeno ko dekha aur muskara di
Salman: bahi aisa nahi lagta yeh poora mujh par giya hai (Salman ne ghor se bache ko dekh kar kaha)
Mahrukh: aise hi yeh to itna pyara hai (mahrukh ki baat par salman ne herat se use dekha)
Salman: kiya matlab hai tumhara main pyara nahi
Mahrukh: hadh hai khush fehmi ki (us ne chiraya)
Sheraz: chalo tahmoor tum es ka naam rakho (sheraz ke kehne par woh heran huwa)
Tahmoor: main nahi bahi yeh tum logon ka kaam hai (muskarate huwe)
Sheraz: kyun tum es ke mamu nahi ho tum batao ge
Tahmoor (kuch der soochte huwe) sheryar
Sheraz: zabardast mujhe pehle hi pata tha tum job hi socho ge acha hi socho ge
Phir call bell hote hai to sheraz bahir chala jata hai aur jab woh wapis ata hai then there is a young man with him
Tania: (after seeing that man) are talha aao tum kahan se rasta bhool gai
(Imagine talha as piyush of kth)
Talha: bhabhi jee rasta bhool giya hota to yahan kaise pohanchta
Tania: papa yeh talha hiasheraz ke uncle ka beta aap shadi mein es se mile to hoon ge (phir talha ki taraf murte hai) akele aye ho
Talha: nahi mummy papa bhi saath hain
Just then talha's mummy papa enter (same in kth) then they all chatting wid each other talha is getting bore he just see mahrukh who is watching tv he come to her
Talha: excuse me agar mein galti nahi kar raha to aap mahrukh hain na (mahrukh mur kar dekhti hai)
Mahrukh: jee nahi aap galti nahi kar rahe main mahrukh hi hoon (woh jawab de kar dobara tv dekhne lag jate hai)
Talha: maine aap ko Tania bhabhi ki shadi par dekha tha tab to aap coti se thi
Mahrukh (ghusse se): mere khiyaal mein do saal mein insaan bara ho hi jata hai
Talha (haste huwe): aap ab bhi wese hain
Mahrukh: kiya matlab hai aap ka es doran mere sir par seeng nikal aye hain (talha us ke ghussa karne par hasta hai to mahrukh ko aur ghussa charh jata hai but woh control kar lete hai) mere khiyaal se aap pagal hain
Talha: jee nahi main army mein LT. hoon
Mahrukh peer patakhte huwe kitchen mein chali jate hai talha ki nazron ne akhir tak us ka peecha kiya
to be continue
coming up: death of mr. muzaffar
(some intro of talha: he is LT. in army he is somr flirt type of boy actually woh jis larki ko dekhta hai to use aisa lagta hai ke use es larki se pyaar ho giya hai aur woh us larki ko shadii ke liye propose kar deta hai lekin aur mahrukh se milne se pehle bhi woh buhat se larkiyon ko propose kar chukka hai)